Quote:
Originally posted by garima
Dosto ek chhoti si baat hai... kisi ek saks ko adhaar nahi maana hai is kavita me...humaare ird gird.. aisa ho raha hai.. jaane kab tak hota jaayega...
kaash......
aksar ye sun.ne me aata hai
“bahoot pyaar hai tumse
dil kya jaan bhi de denge”
aksar ye sun.ne me aata hai
“kabhi ajmaa ke to dekh lena
jaroorat par jahaan bhi de denge”
aksar ye sun.ne me aata hai
“ pyaar me tumhaare hai itne dube
chaand taare bhi tod ke laa denge”
aksar kayi baat sun.ne me aati hai...
par sach kya hai...
sau log kahate hai
kuchh hi kar paate hai..
usme bhi chaand taare to kya
ek pal bhi saath nahi de paate hai...
kho jaate hai wo waade
jo khushiyon ke waqt kiya tha
toot jaati hai wo rasme..
aur bachta hai ..
ya to nafrat...
ya “kaash”
fir ye sun.ne me aata hai
“kaash” mai kuchh kar sakta
|
mere beta ..
bohat hi dilfareb khayal .. ek sach hi nahi .. ek sawaal bhi ..
sach jo sabke saath hai sabne dekha hai ...
sawaal ye ki kya wakai maiN .. sab dhoka tha .. badal tha .. kya hum hum na the ,... ya wakai hum kuch kar sakte the ..
karodoN dil par sawaal shayad yahi .. na sirf mohabbat ka .. har rishte ka .. har pehchan ka .. aur insaniyat ka bhi ...
dekh raha huN mera beta bada ho gaya hai .. khush bhi huN .. apna khayal rakhna aur likhti rehna ..
tumhara bhai
kunal