Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

 
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 5.00 average. Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
meree 100Veen kavita aap logon ke sneh kee arti bahut pyar mila mujhe yahan
Old
  (#1)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
meree 100Veen kavita aap logon ke sneh kee arti bahut pyar mila mujhe yahan - 12th May 2006, 05:36 PM

aaj khud se kahata hoon to bhee yakeen nahee hota ki main yahan meree apnee 100 shayri ke panne chor chuka hoon. ye ab jo likh raha haoon main mera 100 van vark hai. kisee panne par shikayat hai kisee par romance hai kisee par ksiee aur ke ansoo hain. koyee achee hai koyee buree hai. par jo sab se achha mila bahut se logon ka bahut sa pyar. kuch ne mujhe achha kaha kuch ne bura bhee samjha mujhe par jab bhee kabhee gaya yahan beeta ek ek pal yaad rahega. jab koyee ballebaj 99 par hota hai to us ka dil hota hai woh 6 ran se apne 100 run porre kare. par sada hota nahee aisa. maine bhee bas koyee ek kavita yahan de raha hoon dekhen us ko kya mukam milta hai apake dilon main. par maine mere man se meree dil ko achee lagane wala kalam diya hai. aap ke sneh pyar aur ashirwad sada chahoonga main
Anil

aaj barson baad teree yaad ayee thee
ab main samjha hoon tere pyar main gahareyee thee
aaj jab mere hathon se koyee hath chhoota hai
aaj jab beawaaz mera dil toota hai
tab ye samjha hoon
tere dil ke tootane kee bhee awaz nahee hotee thee
too mujh se door
mujh se chip ke kaheen rotee thee
aaj jab rat maien jag ke katee
to socha too bhee kabhee sotee thee?
aur main tere har ansoo me muskraaya tha
aaj teree unhee boondo ko maine meree ankho main paya tha
maine barson tujhe udas kiya
aaj mujhe kisee ne rulaya tha
aaj teree boondo ko maine meree ankhon main paya tha

main nek dil bhee tha
bura bhee naheen tha
par tujhe meree duniya ka hissa maan naheen saka
teree har baat main mera khayal tha
main khud ko hee kabhee pahchan naheen saka
aaj jab koyee kah gaya us kee duniya zuda hai
meree dunya zuda thee
mujhe ahsas huya main yoon hee sa shakhs tha
aur teree woh muhabbat khuda thee

mere hathon se hath chootana hee tha
mera dil kabhee to tootna hee tha
tona kabhee bura chaha naheen mera
par ahon main asar tha
aaj main pathar se pyar kar baitha
kal main bhee to pathar tha

aj jab teree galee tera shahar tera pata maloom naheen
dil ke too aas paas hai
zis pyas ka kal main ab-e-hayat tha
ab mere lab pe wahee pyas hai
kal toone talash kiya aur kuch nahee mila
aaj mujh ko talash hai
ab mere lab pe wahee pyas hai

mere is dard ne khuda kee raza payee hai
ye game hizr naheen hai
maine gunahon kee saza payee hai
aaj barson baad teree yaad ayee thee
ab main samjha hoon tere pyar main gahareyee thee


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
 


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Ke Tum Mujhe Pasand Ho... ! (Kavita) naresh_mehra110 Hindi Kavitayen 27 17th October 2010 04:49 PM
mujhe bahut pyar karneh doh!!! deewaana Shayri-e-Ishq 3 29th March 2010 09:29 PM
Khamosh bachaney walon ko yahan charchaa na mila sukanya Shayri-e-Dard 5 5th August 2006 12:39 PM
1000 veen post masoomshayer kee ya aap logon kee jinhone parha mujhe? masoomshayer Shayri-e-Dard 30 21st April 2006 02:21 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com