tum kiun aaey -
23rd November 2004, 08:35 AM
tum kiun aaey........
muzhe intezaar tha hamesha hi se talaash thi
khwahish thi uss pyaar ki jo tum saath laaey
par tum kiun aaye
muzhe khawaboon k ashiyane mein sajaya
nazar ko dilneesheen nazarey bhi dikhaye
par tum kiun aaey
muzhe khudi se juda karke kiya paya tumne
muzh me yun kis ki ijazat se tum samaeyy
par tum kiun aaey
Adhoorey hain jazbaat...abhi to ibtedah hai tum kiun aaey........ tum kiun aaey........
Addab,
Dil ki Lagi se Dillagi
|