Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > General Stories

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 11 votes, 5.00 average. Display Modes
akhiri paana
Old
  (#1)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
akhiri paana - 27th January 2005, 01:24 PM

Dear veiwers,
aaj ka din shyari.com par mera teesara din hai. yeha par maine ek khasiyat paayi ki aap sab lekhak ko bahoot hi sahi responce dete ho. isliye maine bhi himmat ki mere dil me base ek kahani ko bhi yeha doo taaki mai apne hi kuchh sawalo ka jawab maang sakoo .
waise to kahaniyo ke roop ko viewers ke anoosaar badale jaa sakte hai lekin meri kahani kalpnik nahi hai miane esake kisi bhi panne me koi fer badal nahi ki bas apne patra ka naam badal diya hai.
kahani jo sach ke dharaatal par hai.
ek baat batao doo ki aap sab kahani ke anjaam ko khud hi bataoge kyunki abhi tak anjaam ke faisala nahi ho paya hai hota bhi kaise jabki jisaki ye kahani hai abhi tak wo kashmakash me hai . aap sab pls iska anjaam bataana taaki jab wo ladki is site par aakar app sabka ray dekhe to use koi faisala lene me madad mile. mujhe pura wiswaas hai ki aap sab mujhe support karenge.
kahani jara lambi hai isliye ho sakta hai ki kahi na kahi maine likhane me koi galati ki ho to mujhe maaf kar dijiyega.
is waqt mai roj hi kahani par time nahi de sakti mujhe apne book ko pura karane ki hod lagi hai isliye aaj ke din mai saari kahani ko ek saath hi rakh de rahi hoo. aap pls padhna aur mujhe apna ray bhi batana kyunki iska akhiri panna abhi bhi baaki hai.


kahani yeha se suru hoti hai-

Neha apne ghar me kaam kar rahi thi, tabhi uski ma ki awaj sunaai di Neha o Neha kya kar rahi hai jaldi se aa bahoot kaam bacha hai. Neha ne jawab diya ki mai abhi aayi maa.
Neha ki ma fir se chilaai bandkar apni khitir pitir itna kaam bachha hai kaun karega.
Neha bahoot hairaan thi ghar me wo sab kaam karake hi apne kaam ko anjaam dene bhaithati hai fir bhi usaki ma hamesha chilaati hi kyu rahati hai.
Jo bhi ho Neha ko akhir apne kaam ko band kar ghar ka kaam karane jaana hi tha lekin aaj wo bahoot kasmakas me thi. Aaj jaise use kuchh na karane ka jee kar raha tha wo ateet ki yaado me doobati jaa rahi thi. Use apni puraani baate yaad aa rahi thi. Ajj jaise usake dabi hui dukhi nabz ko kisi ne hila diya tha, jaise wo bahoot dard me ho, jaise use lag raha ho ki wo apne yaado me na jaaye fir bhi wo gai use jana pada kyunki wohi yaade to usake wartmaan ka karan thi.
Neha sochane lagi usane jaldi se khana banya aur ye bolkar ki usaki tabiyat thik nahi, letne chali gayi.
Usaki ma ne ek baar bhi nahi puchha ki akhir use hua kya hai balki ulte wo boli ki ha ye to hona hi tha jab bhi ise ghar ka kaam karna ho isaki tabiyat ko jaane kya ho jata hai. Neha ne kuchh nahi kaha wo chup chap apne kamare me aayi aur let gayi usaki yaade use ateet ki gahraiyo me le gayi. Lete lete Neha ko apne bachpan se lekar ab tak ke saare baat yaad dhire dhire karake usaki aankho ke saamne ghumale lage jaise koi chal-chitra ek rekha-chitra ke saman chal raha ho.
Neha apne ghar me sabse badi ladki thi matalab ki usake papa apne ghar me bade ladke hai aur wo unaki sabse pahli bachhi, janm se bade hone tak matalab lagbhag 5 saalo tak kya hua iska use yaad nahi sayad kisi ko na yaad ho lekin usake baad ka use yaad hai.
Ek ek pal use yaad hai haa ye baat nahi ki usake sath sirf khatti yaade hai mithi bhi hai lekin insaan ki maansikata ka kya kahenge use mithi baato se koi matalab nahi hota use khatti baate hamesha yaad rahati hai.
Lekin Neha aisi ladki nahi thi usane har baato se ek naya sikh liya tha. Use yaad hai ki kaise usane saari baato ko suna samjha fir wo baate jo use achhi na lagati thi uska pratisodh bhi kiya.
Neha ka janm gao me ek normal family me hua tha. Ghar me usake papa do uncle papa ki 2 bahane aur dada dadi hai. Fir dhire dhire ghar me vistaar bhi hua.
Haa ye baat tab ki hai jab wo bahoot chhoti thi age thik se yaad nahi us waqt usake papa ki badi bahan apne sasural se ghar aayi thi unko ek ladka bhi tha jo lagbhag Neha ke umra ka hi tha hota ye ki galatiya wo karta aur maar Neha ko padati, Neha ko is bat se sikayat thi ki usake fufere bhai ko to apni safaai dene ka samay milta, lekin usako nahi. Neha ne jab ye baat apni maa se kaha to usaki maa ne usaki aur pitaai kar di. Ghar ke log jab usaki pitaai karate to wo kuchh bardast kar leti lekin jab usaki ma ne pitaai karati to wo bahoot hairaan ho jaati. Us waqt ek hi insaan tha jise Neha bahoot pyaar karati thi usake DADAJI jo Neha ko bahoot pyaar karate thay. Neha hamesha apne DADAJI ke god me baith jaati aur roj ki baato ko apne dadaji ko sunaati.
Kul milakar din bhar ki pitaai ka ilaj usake dadaji ke paas jaakar hota.
Lekin Neha ke dadaji bhi use maar khaane se nahi bacha paate. Neha ke papa to waise Neha ko pyaar karate thay lekin wo apne kaam ke chakkar me ghar par nahi rahate thay. Neha ko baad me is baat ka ehsaas ho gaya ki use ladki samjhakar apni safai dene ka samay nahi diya jaata.
Jaise hi Neha ko is baat ka ehsaas hua use is niyam ke prati vidroh ki bhawana paida ho gayi lekin ek bachhi kitne samay tak vidroh karati aur kya karati. Samay ka chakra chalta gaya . Neha ke papa ko ek company ne unke talent ko dekhkar apne company ka sharepartner ghosit kiya .Wo ab sahar me rahenge Neha ke papa, Neha ki maa aur Neha ko apne saath sahar le gaye. Neha sabkuchh bhool jana chahati thi wo ek nayi suruaat kar rahi thi use apne papa ka saath achha lagta, Neha ab 7 saal ki ho gayi thi usake papa ne use school me admit karaya wo sidhe claas 1 me admit hui usaki saari teachers use bahoot like karati. Neha apne claas me sabse talented ladki thi , uski teachers hamesha bolti ki Neha ko padhaane me hume koi paresaani nahi hoti, maje ki baat ye thi ki suru me Neha ke unhi teachers ne uska majak udaya tha ki ye village ki ladki kaise yeha padhegi lekin Neha ki mehnat aur lagan rang laayi aur wo apne claas me sabse top rahati.
Neha bachpan ki pneumonia patient thi lekin usane exercise aur yoga se is rog par bhi jeet haasil ki thi.
Sab kuchh achha bit raha tha.
Usaki maa bhi ab usaki pitaai kam karati Neha ko laga jaise usaki maa use jaanboojhkar nahi maarti thi wo dadi ke daar se maarti thi so uska najariya badla. Wo apne ghar me khus rahane lagi ha bich bich me usake dadaji sahar aate to wo bahoot khush hoti lekin jab usaki dadi aati to wo aape se bahar ho jaati fir bhi Neha ne ye socha ki jab sab thik hai to pichhali baato kyu yaad kiya jaaye.
Isi bich Neha ko ek bahan bhi mili.7 saal baad Neha ko bahan mili usane bade pyaar se uska naam sona rakha sayad isliye kyunki usaki najar me sona sabse kimti chij thi. Neha apni bahan ko bahoot pyaar karati thi aur ghar me bhi sab thik tha bas usaki dadi kabhi-kabhi jalaane ka kaam karati lekin ab Neha ko usase koi matlab nahi tha wo apne hisaab se thik thi aur fir usake pyaare papaji uska saath dete thay. Papaji use hamesha beta kahakar pookarate tab Neha ki dadi chidh jaati lekin Neha ko bahoot maja aata. Neha ki ab ek tamnaa ho gayi ki wo sach me apne papaji ka beta bankar dikhayegi.
Neha ke bade uncle ki saadi hui samay bitataa gaya baad me Neha ke papa ka transfer kisi aise jagah hua ki waha family lejana munasib nahi tha so usake papa ne fir apni family gao pahucha di, Neha ke papa apne ghar ko bahoot pyaar karate thay unhone apnea bhaiyo ko bhi alag-alag business diya aur kuchh fix deposit bhi diya tha. kulmilkar ab Neha ke ghar me kisi baat ki kami na thi uska ghar bhi ab us elaake ke dhani ghar me aata tha.
Usaki dadi ke siwa usake ghar me sab Neha ko pyaar karane lage. Neha ki dadi hi use ladki bolkar usake har kaam me badha banati lekin Neha ko to jaise is baato ko todane me ab maja aata tha .Us waqt Neha abhi sirf 8 saal ki thi Neha ka fir se admission hua, waha usake village ke sabse achhe school me usaki pratibha ko dekhakar sab hairaan thay uska admission sidhe claas 3 me hua. Ek baar Neha ki dadi ne Neha ko baithakar use ek lamba chauda niyam bataya, ki ek ladki ko kya karna chahiye kya nahi karna chahiye ab Neha ko maja aa gaya, baat wo sab usko dard dene waali thi, use ye sab isliye bataya gaya taaki wo fir se apni dahlij me aa jaaye, lekin Neha ko maja is baat par aaya ki wo abse wo saare kaam karane lagi jo usaki dadi ne mana kiya. Wo isliye kyunki wo to apne papaji ka beta banane ki tammna rakhti thi.
Jaise-
Wo ab ladkiyo se dosti nahi karati bahar jaakar cricket khelti, jaha kahi koi achhe logo ki mahfil jamati waha pahooch, apne dadaji ke saath pure din bahar ghumati rahati.
Jaha kahi stage show hota wo bhi apna speech dene pahooch jaati. Usaki dadi use jab bhi usaki buraai karati ya use maarne aati to wo bas apni cycle uthati aur ghar se bahar chali jaati.
Ghar me baaki sab thik tha, waise Neha buri ladki nahi thi use usaki dadi se bhale hi pyaar na ho lekin jab bhi uski dadi bimaar padati to Neha hi apni dadi ka sewa karati thi lekin usaki dadi jab ye bolti ki ha ye hua na sahi ladkiyo wala kaam bas wo unke thik hote hi wo apne kaam ko fir se start kar deti. Neha ke papaji usase aakar jab puchhte ki dadi ne kya kaha to wo bas itna kahati ki .Wo aapki maa hai bhala aapki maa aapki beti ko kucch kyu bolegi .
Wo har pal apne papaji ke gao aane ka intjaar kiya karati thi. Jab bhi usake papa aate to Neha se puchhate mere bete ke liye kya laaunga to Neha jawab deti bas aap aa jaao aur mujhe kuchh nahi chahiye, haa mom ke liye sari dadaji ke silk shirt aur uncle ke liye ek ghadi aunty ke liye mom jaise sari aur sona ke liye achha sa dress lete aana, maine dekha hai unhe ye chije bahoot pasand hai.
Usake papa bolte aur mere bete ke liye kya laaunga jo apne liye mujhse kabhi kuchh nahi mangta.(Neha ko apne liye gift nahi mangne ki adat thi reason bete maangte nahi hai dete hai, aisa usane suna tha ya papaji bhi to apni maa papa ko dete thay.)
Ek baar usake papa ne bahoot zid kiya ki bol tere liye kya laaoo to usane apne liye ek achhi ring mangaayi.
Ring Neha ko bahoot achhi lagati thi.
Jab usake papa ring laaye aur usane abhi use apne haath me lekar dekha hi tab tak usaki dadi bolo are ye ring to bahoot achii hai bahoot kimti bhi hogi.
Sona ne puchha dadi aapko ye ring pasand aayi hai to unhone haa bol diya .ring bhi neha ke ke hisaab se badi hi thi.
Neha toorant wo ring dadi ko dekar boli ye aapki hi hai aapke liye hi to managaai thi.
Dadi me ring to fit nahi baithi usane toorant apna cycle uthaya aur use sunaar ke paas lejakar dadi ki anguliyo ke sahi karwaya aur lejaakr dadi ko de diya.
Papaji khushi se bol uthay are ye hui na mere bete waali baat. Neha ko laga jaise use saari khushi ek saath mil gayi hai.
Neha hamesha ki tarah school me first aayi.
Usane apna admission sidhe claas 6 me karaya kyunki baaki ke kitaab to use aise hi yaad ho gaye thay.
Neha is tarah badi hone lagi claas 6 me jab wo padhne lagi to use ek cousin bhai bhi hua ab fir se samay ne palta khaya. Ab dadaji ke siwa koi use pyaar nahi karta tha, papaji to ab sahar se kam hi aate Neha bhi kahati ki aapko apne kaam par hi dhyaan dena chahiye, aap jab bahoot paisa kama lena to hum fir se ek saath rahenge, papa hamesha kahate mera beta ab bahoot bada ho gaya hai.
Ab dadi Neha ke saath usaki maa ko bhi kosati thi halanki Neha ab bachhi nahi thi usane pratisodh ki jwala jala li thi.Wo apne dadi ka har war jo usaki maa par hota use apne upar sahan kar lena ya uska samuchit jawab dena usake baaye haath ka khel tha.
Neha apne ghar me sab se itna pyaar karati thi lekin jab use uske pyaar ka samuchit reply nahi mila to wo aagbaboola ho gayi.
Wo ab sahi mayne me badi ho gayi use ab sirf samaj me hi nahi apne ghar me bhi pura control kar liya apne dadi ke har tikhe baato ko jawab dena har muskilo me apni maa ka saath dena, hamesha apni maa ka protective layer bankar rahana, uska ek maatra kartavya rah gaya is bich usaki padhai kuch dawaadol ho rahi thi lekin usane sab fir se sambhaal liya tha.2 saal usane bahoot muskil me rah kar gujaare fir bhi hamesha hasati rahati.
Jab bhi usake papa use fone par baate karate to wo bolti papaji ab aapka beta bada ho gaya hai ise kisi baat ki koi kami nahi.
Ye do saalo ne yaani claas 6 se 8 tak ne Neha ko ek purn kartavyanisth wykatitva banya.
Wo apne school me bhi top thi apne samaj me bhi top thi apne ghar me to wo kisi se nahi darti. Wo hamesha apani dadi ko bolti ki agar apnea meri ma ko kuchh bol diya to ye to sayad chup ho jaaye lekin mujhse aap kaha bachkar jaaogi.
Neha bahoot bahadur ladki bani, ek baar wo kisi speech ko sun rahi thi usame naari uthaan aur dahej pratha par baate ho rahi thi Neha toorant khadi hui aur boli ki maharaj ek baat bataiye aapko kitne ladke aur ladkiya hai.
Jawab mila 2 ladke 3 ladkiya.
Hmm to fir apnea apni ladko ki saadi me to dahej nahi liye hoga jawab me mila kyu nahi are maine use padhya likhaya hai koi awara thodi hai mera beta ,
Bas neha ne bola to aap joote khaane ka kaam kar rahe ho jo aadmi apne ladko ki saadi me dahej jaroor lega aur kahata hai ki dahej pratha band honi chahiye.
Are samaj ke dhongi kyu in sab masoom logo ko ullu bana raha hai. Dahej partha to abhi isliye band karega kyunki teri ladkiyo ki saadi abhi nahi hui hai,
Bechara wo aadmi kuchh nahi bol paya.
Neha ghar luati to pata chala ki usaki dadi ghar par danda ke saath uska swagat karane ko taiyaar hai. Dadi ne kaha Neha ghar par jo karati so karati hai bahar jaakar meri naak na kataya kar. Neha ne tapak se bola dadi bahar jaakar dekh lena aaj ke waqt koi mujhe aapke naam se nahi mere naam se aapko jaanta hai. So aap kahi aisi jagah na jaana jisase meri naak kat jaaye.
Itna kahna tha ki dadi ne use bahoot mara lekin dadi ko rokane ki himaat abhi bhi usame nahi thi. wo dadi ka pratirodh apne baato se karati thi abhi usaki itani himmat nahi hui thi ko wo dadi ka haath rok sake.Wo kuchh boli nahi chup chap maar khaya lekin boli ki aapko kabhi na kabhi iska pachhtawa jaroor hoga. Waise Neha chahati to dadi ka haath pakad leti lekin wo ye kaam tabhi karati thi jab usaki maa par koi haath uthaye.
Haa ek baat aur jisne Neha ko bahoot bigada wo tha ki Neha ki maa bhi ab use marna start kar chuki thi actually me usake uncle jab bhi ghar aate to neha ki koi mangadhant baat maa ko bata dete fir neha ki khoob pitaai hoti usane baar baar apni maa se kaha ki aap meri baat to kam se kam sun lo, lekin us darbaar me uski baat sunane wala koi nahi tha.
Neha ab chhoti chhoti baato par apne dadaji se bhi nahi bolti maar khana aur apna kaam karna ab usake liye bahoot mamooli baat thi.
Jaise bhi claas 8 ka exam dekar usase ab nahi bardast hone par apne papaji ko bola ki wo mujhe apne saath hi rakhe ab aapka beta bahoot thak gaya hai.
Papaji gao aaye aur apni family ko fir apne saath le gaye waha kuchh din tak thik chala lekin neha ko abhi aage bhi padhna tha, aur papaji ka fir se transfer so neha ko akele hi gao fir se aana pada.
Neha fir se musibato ke changul me fas gayi.
Ab neha pahale jaise nahi rah gayi thi. Use ab pahale se bhi jyada muskilo ka samna karna padta tha. Neha ek ladki thi use ghar me sara kaam karna padta usake baad ghar ke logo ki daat fatkaar sunani padti fir claas attend karna waha jaakar bhi samaj me wo bhi gao me ladkiyo ke saath jo behaviour hota tha wo sabko handle karna. Neha apne pure claas me akeli ladki thi. Use ye jaankar bahoot hairaani hui ki yeha ki ladkiya bhi khood in sab kaamo ko pasand karati hai. Wo ya to ghar ke kaam karati hai yea padhne aati hai to sirf isliye taaki unaki saadi koi achhe se ghar me ho jaati.
Neha ko laga jaise usake sapno ka mahal toot gaya ho.
Use charo taraf sirf ajanbi aur usake dusman najar aate.
Wo bahoot paresaan ho gayi ab kya kare.
Tabhi ek raat ek aawaj ne use uthaya us awaj ne kaha neha ye tumhari akele ki ladai hai.
Ise tumhe khud hi jitna hai, tumhe apne sapne ko kisi bhi kimat par nahi tootane dena hai chahe tumhe isaki koi bhi kimat kyu na ada karani pade.
Isi waqt neha ke chhote uncle ke bhi rishtey aane lage.
Neha sawabhav se ab bahoot gambhir ho gayi thi so koi bahoot jald usaki umra nahi pehachhan pata tha. Kisi ne dadaji se ye kaha ki ab aapki poti bhi saadi ke umra ki ho gayi hai. Neha ko aisa laga jaise usake pairo tale se kisi ne jameen hi khich li.
Dadaji hans pade ye kya kah rahe ho aap abhi isaki umra bahoot kam hai.
Ye bolti kam hai na isliye bade umra ki lagti hai.
Lekin usaki dadi saadi ke baat se sehmat thi.
Waise ye baat aage nahi badhi bhala kaun ek 12 saal ki ghamandi ladki se saadi karane ko maanta aur fir papaji ko bhi manana dadi ke bas ki baat na thi.
Neha ne rahat ki sans li, lekin ab use usaki dadi roj ek nayi kahani sunati aur hamesha use is baat ka ehsaas dilya jaata ki ek ladki ki puri jindagi usake saadi par hi tiki hui hai.
Neha ko ye baate aisi; lagti jaise koi use kisi darawane sapne ko dekhne ke liye jabardasti force kar raha hai.
Wo ek din bahoot bigadi aur apne dadi ko bahoot kuchh sunaya.
Neha ka swasth ab bigadane laga wo kisi se kuchh kahati to nahi lekin ab wo sukh gayi thi use buri tarah pneumonia ka attack aane laga.
Wo chalte behos hokar gir jaati…..kuchh doctors ne bola ki ab ye nahi bachegi ye baat neha ke papa ke kaano me jaise hi gayi wo toorant wapas aaye lekin neha us waqt ghar nahi thi college gayi thi .usake ghar walo ne usake papa se usaki khub sikayat kar daali.
Use aisi aisi naamo ka darja mila jo sunane ke baad pao tale jameen khisak jaaye.
Neha ke papa kucch nahi bole neha jab college se aayi to sab ab ye jaanne ko utsuk thay ki ab neha ka kya hasra hoga. Neha mahual dekhkar samjh gayi thi, use ab pura ye viswaas tha ki jaise mom ko usaki baato par viswaas nahi rahta waise papaji ko bhi nahi hoga lekin aisa kuchh nahi hua.
Usake papa ne bahoot pyaar se bola ki beta saman pack kar le hum tere ilaaj ke liye fir se sahar chalenge.
Too wahi rahegi bas exam dene aayegi.
Ghar ke logo se kaha aap log jo bhi kaho mujhe mere bete par pura yekin hai. Ye jiddi ho sakti hai bahar ghum sakti hai kuchh bhi kare lekin mujhe pura yekin hai ki mere beta koi bhi aisa kaam nahi karega jisase isake papa ko sharminda hona pade.
Neha ko jaise sahara mil gaya neha ke papa use sahar to le aaye lekin tab tak bahoot der ho gayi thi uske 10th ka exam karib tha aur usaki tabiyat bahoot kahraab thi . Kucch dino ke ilaaj ke baad jab usake halat me kucch sudhhar aaya to use fir se gao jana pada apni padhai puri karane ke liye.
Neha ki ma bhi usake saath aa gayi ya u kahiye ki usake papa ne use aur usaki bahan sona ko ghar pahucha diya wo isliye taaki neha ko koi taklif na ho lekin taklife to ab start hui.
Sona bahoot hi achhi aur sanskaari ladki thi ghar me sab use chahane lage mom ko bhi neha ki nahi sona ki chinta rahati thi.ab pahale ka jo kaam tha wo to tha hi ab mom ka daat kahna sona ke tevar sahna usake kaam karna sab kucch neha ko bardast karna pada. Le de kar neha apna exam nahi de paayi. Wo saare exam dene ke baad bhi last din itni bimaar hui ki college jaate waqt uska cycle ek ped se takra gaya aur wo behos ho gayi. Neha fail ho gayi.
Ab muskile badhi, papaji bhale hi ghar walo par believe nahi karate neha ke character par koi anguli utha de aur wo believe na kare, lekin jab mom ne hi bol diya ki neha padati nahi thi isko sabse jayda maja ghumane aur khelne me aata hai to papaji kya kare.
Neha ko is baar bhi apni safai me bolne ko awsar nahi mila. Iska ek matra Sahara jisake bal par wo itna sab kuchh sahan kar jaati thi toot gaya.
Usake papaji ne bhi usase baat nahi karane ka faisala le liya.neha ek baar bahoot toot gayi usane kaha ki ab is life ka manjil kya hai ab mai kya kar sakti hoo.
Fir use sona yaad aayi sona, neha sona ko bahoot pyaar karati thi sona ko dilo jaan se chahati thi lekin sona, oh wo chhoti bachhi bhi use bol gayi mujhse baat nahi karna, jis ladki ko usake ghar me hi koi nahi puchhta ho usase mai baat nahi karati nahi to mujhe bhi aapki tarah banana padega.
Neha ab toot gayi wo subah ghar se nikali mom ne pucch kaha jaa rahi hai to bol diya ki fir se admission karane ja rahi hoo.
Admission to ek bahana tha neha atmhatya karane jaa rahi thi.
Neha ne apne cycle ke pech dhile kar diye taaki wo bahoot tez chalane par ukhad jaaye.
Aur chali bajar ki taraf neha ne dekha ki ek truck road par aa raha hai wo truck ke saamne usake taraf chalne lagi dono ka takara ho aata.Neha ne ghar me atmhatya isliye nahi kiya taaki kahi usake ghar wallo par usake maut ka case na lag jaaye ya koi ye na kahe ki neha acchi ladki nahi thi jisase usake papaji ko sharmindagi hoti.
Wo atmhatya truck ke saamne isliye kar rahi thi taaki usaki maut ko mahaj ek accident karar kar diya jaata.
Jaise hi neha thik ab maut ke karib thi ki usake andar fir ek awaj uthi neha ye tum kya kar rahi ho agar tum haar maan logi to tumhari us bachpan ke sapne ka kya tum kaise use pura karogee yaad karo neha maine tumhe kaha tha ki ye ladai tumhari apni hai tumhe ise khud ladna hai chahe isaki kitni bhi badi kimat na chukaani pade neha apne aapko u nahi mita sakti, wo dunia se bhaag nahi sakti, neha is dunia me jinda rahegi aur apni jindagi apne hisaab se jeeyegi, ise dunia ke logo se koi wasta nahi hoga ye apna kaam karegi apni manjil khud banayegi.
Neha haar nahi maanegi, neha jaldi karo isake pahale ki maut tumhe apne agosh me le le . Tum maut se jeet jaao.
Neha ne socha ha thik mujhe abhi nahi marna hai mujhe apna mukaam pana hai apne ghar me ek misaal banana hai inke harek sawalo ka jawab dena hai mai itni jaldi haar nahi maan sakti.
Bas neha ek achhi cyclist thi wo toorant hi apne aap ko us musibat se nikaal laayi college gayi fir se admission liya.
Neha ki jindagi badal gayi thi wo ab kitaabo me rahati, bahar jaakar garibo ki madad karati, laachar bacho ki sahayata karna, anpadho ko padhna fir bahoot kucch. Kul milakar wo apne kaam me itna wayast ho gayi ki use ghar jaane ka waqt hi na milta tha.wo Neha ka swashth sudhra nahi lekin usaki himmat itni majboot ho gayi thi ki ab koi bhi use rok nahi sakta tha . Wo subah hi ghar ka kaam sambhaal bahar nikal jaati fir der se shaam ko wapas aati. koi kucch bolta bhi to wo usaki baat nahi sunati thi.swasth ki duniya se bahoot upaar ho gayi thi use sirf mehnat karane aata tha haa swasth ne usake padhai par jaroor prabhav dala lekin wo haar nahi maani kucch dino ke liye wo fir se papaji ke saath gayi waha par usane jaakar pahale waali masti nahi ki ab waha kuchh naya sikha. Ab usaki tamnna badal gayi thi. Fir dhire dhire neha apna intermediate me chali gayi. Wo ek couching karati thi sabhi teachers se uska bahoot lagav tha. Neha ab ek philospher ladki hai , use har baat me philosphy dene ke adat hai. Sir to usase bahoot khush rahate thay lekin use dost ki kami thi. Aisi baat nahi thi koi use apna dost nahi bana chahata tha / WO aisi ladki thi jise sab chahate thay ki wo usaki dost bane lekin neha ko is baato se koi matlab nahi tha ab uski jindagi apne liye nahi rah gayi thi wo bahoot badal gayi thi. Neha ne apni padhaai aaj porri ki hai saath me kucch muskilo ke karan ab wo ghar par hi apne aapko ek naya ropp de rahi hai. bahoot mehnati ladaki hai wo.Hmm neha aaj bhi jindagi ki ladai lad rahi hai aaj bhi wo hai yeha apne mom papa ke paas papa bhale hi kuchh bhi bole kabhi kabhi, use fatkar bhi lagate hai mom se kam hi lagate hai, lekin papa se neha jayda khush kyunki wo kam se kam apne bete ko aaj fir se apna beta maante hai jo kaisi bhi ho lekin unke naam ko roshan jaroor karegi. chahe kitni bhi der hi ha kabhi kahbhi use usake papa ka saamna bhi ajeeb dhang se karna padta hai lekin usako khushi is baat ki hai ki ab use ek naye maksad ko paana hai. Neha ki sona jo us waqt bahoot chaheti thi sabki ab usaki wo us darje par nahi rahi reason mom ko aisi ladki nahi mili jo ghar ka kaam kar sake, neha kucch bhi ho kaam me help to karati hi hai, fir sona apni study me bhi utani achhi nahi rahi lekin use neha ka pyaar milta hi raha. Aaj apne ghar me sona se jyada neha ki pucch hai thodi bahoot daat fatkaar to chalti hai lekin pahale se bahoot behtar hai. haa ye alag baat hai ki aaj bhi neha se agar ek chhoti si galati bhi ho jaaye kisi kaam ke jara si der bhi ho jaaye to bahoot saari baato ko sunana padta hai.fir bhi wo us awstha ko paar gayi haijaha use sird dard hi milta tha.
Neha ko lagta hai wo jeet gayi hai usane apne jindagi me wo paaya jisaki wo tamnna karati thi lekin ab usake hisaab se ye tamnaaye aur bhi badi honi lagi hai.Neha ne ab tak jo kia wo apne aapki halat sudharne ke liye ab wo jo karegi wo apne mom dad ke liye .
Aaj uske kucch dost bhi hai wo kahate hai ki neha pagal hai use samjh hi nahi hamesha philosphy deti hai , sabdo ke jaal me uljhaati hai. kisi bhi baat ko ek alag mod deti hai. neha dost ko dost to kahati hai lekin unse apni samsyaao ko nahi batai to ye kaisi dosti hai. ye bahoot alag hai . koi koi dost use pagar ya patthar dil ka khitaab bhii dete hai.
Neha ka kaam abhi bhi pura nahi hua iska akhiri adhyaay abhi bhi pura nahi hua hai. Ye ladki neha itni alag kyu hai kyu wo aisa behave karati hai koi ise sayad hi samjh paaye lekin mere hisaab se neha galat nahi hai.
Neha jo kar rahi hai wo sahi hai.
Neha ne ab apna pura dhyaan apne papaji ka beta banane me lagaya hai to isame kya buraai hai.
Neha ne in muskilo ka samna kiya hai us ko par karke agar wo aisi ban gayi to isame isaki kya galati hai.
Ab neha ke ghar wale bhi ise halka sa pagal maante hai papa kahate hai ki ye thodi nahi poori pagal hai.
Ise kaam ke siwa aur kucch dikhta hi nahi, ise pata hi nahi isake baad bhi bahoot kucch hai.
Sochiye kya neha apne papa ke samne kabhi apni baato ko kah paayegi?
Kya neha uhi akeli jindagi se ladati rahegi?
Kya neha apni jindagi se haar jaayegi ya bahaduri se uhi samna karti rahegi?
waise to aaj neha har waqt hasati rahati hai usake chere ki hasi kabhi kam nahi jaati, aap jab bhi neha se miloge wo pagalo si baate karati hai kisi bhi topic ko ek naye andaaj me badal deti hai.
lekin fir bhi neha akeli hai use apne kaam ko pura karna hai. aaj bhi neha aise waqt ki talassh me hai jo puri tarah se uska ho.

iska akhiri adhyaay yehi hai
aap sab pls is akhri adhyaay ko apne hisaab se dekhe aur aap sab apna pura view de.
akhir har kisi ko apna view dene ka pura hak hai, haa ek baat dhyaan de ki ye neha haiyeha aasapaas hamare bich to apna view dekar usako sahi maargdarshan bhi kare.

yeha apni pahali kahani post karate hue jara ajeeb lag raha hai , yeha to ek se ek kahanikaar hai jaane meri baato ka aap sabke upar kya responce hoga fir bhi is asha ke saath ki akhir koi galati maine ki hogi to mujhe aap sab maanf bhi karenge.

haa galati se darkar mai apni kahani post na karati to apne aapko kayar samjhti.
bhale hi aap sab meri kahani ko napasand kar de lekin asha hai ki aage koi aisi baat kah paaungee jo aapkopasand aaye.

with love light and care
garima


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Old
  (#2)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
27th January 2005, 10:04 PM

hi garima ji ....

kaisi hai aap ... umeed karta huN ... behtar se behtar bhi aapke samne feeka hoga....

khair sabse pehle to maiN aapka iteqbaal (swagat) karna chahuNga ... mere is parivar maiN... jisko sabhi azeem log shayri.com ke naam se jante hai ... aapka teh dil se swagat karta huN maiN shayroN lekhkakoN, aur kalam ke mahiroN ki is anokhi duniyaN maiN... umeed hai aap yahaN ek bada arsa aur accha waqt vyateet kareNgi....

garima ji ... pehle to aapko mubarakbaad dena chahuNga ... ki aapne sach aur ek sacche kadwe sach se hum sabhi ko roobroo hone ka mauka diya... aur aapne jis behtreen tareeke se .. apne alfzaOn se is kahani ko sajaya hai... us par aapko teh dil se daad deta huN maiN ...

kehna bohat kuch hai ... aapki is kahani ke bare maiN ... par waqt shayad izazat nahi de raha ... kyuNki .. kuch halatoN ke gheroN maiN yuN fans gaya huN ki chaha kar bhi .. yaroN ko unke hunar par sahi jawab nahi de pa raha ... par aapki is kahani ne jo dil maiN ek hulchal machaiyi hai ... hath rukna nahi chahte ... kyuNki hum jab likheNge to shuru se akhiri ki tak ki kahani ka jawab hamare jawab maiN milega ... muafi chahuNga ... aur sath maiN kuch waqt ki mohlat ki aapke is dardmand rachna pe wapas aake apne najariye vyakt kar sakuN... umeed hai ki aap mujhe muaf kareNgi ...

darasal badi behan ki shadi hai 1 tareekh ko .. aur office maiN kam kuch is kadar badh gaya hai ... ki sans kab li jaye ...sochna padhta hai ... jald hi in halatoN se chutkara mil jayega .. tab aapki mehfil maiN poori rangat se shirkat kareNge ,... aur apni kahani ko bhi aage badhayeNge ... jiske sirf 2 hi part bache haiN...

umeed hai aapka humse rishta kabhi na tootega aur .. aapo mere is parivar maiN yuN hi apne hunar ka istemal kar hum sabko chonkati raheNgi... inhi duaoN ke sath kunal aapse vida leta hai ...

khuda kare aap har mukam hasil kare ...

apna khayal rakhiyega

aapka apna

kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#3)
Rohin
Registered User
Rohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to behold
 
Rohin's Avatar
 
Offline
Posts: 3,937
Join Date: Dec 2003
Rep Power: 32
28th January 2005, 02:01 AM

Hi Garima,

Apne Neha ki zindagi ke ha pehlo ko bahut bariki se dekha hai shayad isliye aapne Neha ke Zindagi ko itni gehrayi se pesh kiya hai.

aap ne humari rai mangi hai aur marg darshan bhi karne ko kaha hai....

Pata nahi mein kissi ke marg darshan ke layak hoon ki nahi...
Mein to bus apne vichar prakat kar sakta hoon...
Age yeh to Aapki ya Neha ji ki marzi hai ki kaun sa rasta chunna hai...

Zindagi aasan nahi hoti..
Neha ke liye bhi nahi hai... Pagal.... Haan woh thodi Pagal to hai...
Kyun?.... Bhai koi zindagi jeena chahe.... Zindagi mein jo ho raha ho uska dat kar samna karna chahe..... Andhere mein bhi roshni ki aaas na chode...... woh.... pagal to hai hi na....

Aaj kal ki duniya mein aise logon ko pagal hi kehte hain....

Zindagi kiski hai...??? Neha ki hi hai....
Zindagi kisse jeene hai....??? Neha ko hi na...
To phir Neha ko kisne roka hai.... Kehte hain na zindagi ki rah hum khud tai karte hain... To yeh chunav neha ka hi hai.... Agge bhi usse hi karna hoga

Haar Aur Neha nahi manegi....Kyunki woh pagal hai...
Yeh to abhi zindagi ki shuruat hai.... Abhi to bahut kuch hai jo badlega Neha ki zindagi mein.....

Pata nahi kyun Magar mujhe kuch lag raha hai..... Jis din Neha yeh padhkar iska jawab degi us din mein kahoonga....

Waqt kissi ka nahi hota....
Waqt to muthi mein reth ko pakadne ki tarah hai....
Jitna pakadne ki koshish karoge utna hi chutta hi chala jaayega....

Neha ko meri taraf see ek sandesh pahoocha dijiyega....

Uske Manzil kuch aur hai....
Papa ka sapna ek padav hai jo poora ho jaayega....
Aaj nahi to kal uska sapna sakar hoga....

Uska saath koi de na de....Uske saath Bhagwan to ha hi...Aur aap aur hum bhi hain

Zindagi mein mushkil aayein bhi to hum darren kyun???
Kya Mahan logon ki zindagi aasaan hoti hai????
Akela to insaan humesha hota hi hai... To aaj jab sach samne hai to us sacch se ghabrana kyun?

Dekhne ka nazariya hai garima jee
Socho to sab kuch tumhara hai
Aur socho to kuch bhi nahi humara

Shayad aapko aapke sawalon ka jawab mil jaaye....
Mujhe to Neha ki Manzil bhi dikh gayi hai... Aur uske chehre ki muskurahat bhi jab woh yeh padh rahi hogi...Aur apni asli manzil ki aur bah rahi hogi....

Truth of life is bitter
But reality is darker than darkness itself
What you see is just a mirage
Reality is a desert no one wants to see.

Maafi chahonga agar meri baatein aapko ya Neha ji ko pasand na aayein

Thanks
Rohin


http://www.thoughtsunbound.com a place for my thoughts
   
Reply With Quote
thanks
Old
  (#4)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
thanks - 28th January 2005, 11:57 AM

Ek baat kahana chaungee .
Kunaal bhai aapki bahan ki shadi ho rahi hai unhe meri taraf se bhi subhkaamnaye jaroor dijiyega. aapne jis hisaab se apne pariwar se mera parichay karaya hai aur mera sawgat kiya hai mai tahedil se aapki sukragujaar hoo.
mujhe maaf karna mujhe letter reply karane nahi aata khaas taur se jab meri baato ka itna achha responce kahi se mile. thanks again

Rohin bhai aapne jo kaha bilkul sach kaha waise neha jaanti hai use kya karna hai maine kahani ko waha vishraam isliye de diya taaki kahi se wo paresaani ka karan na ban jaaye, life me bahoot kucch hota hai aur aap jara socho kisi ke jindagi ke harek pahaluuyo ko koi kagaj par kaise rakh dega waha par sabd to aa sakte hai lekin bhawanaaye naahi aati unke liye un sab baato se gujarkar dekhna hota hai. ek hi baat ke kyi pahaloo hote hai.
jaise ek hi sabd hai 'love' ye sabd jaha kahi bhi jaayega isake utane hi meaning honge,
haa ek baat hai aapki baat sach me hi thik hai lekin aise log kaha tak pagal hai nahi pata.
mai khud hi ek achhi pagal hoo kisi aur ko aisa kahane se mai apni tauhin hi karti hoo .
cool joke.....
Neha tak aapka mesaage pahooch gaya maano.

pata nahi mujhe aap dono ke responce ka kitna reply karna chahiye aur kin lafjo me afterall mai bhi ek pagal hi hoo.

agale padawa tak ke liye alwida.

with love light and care
garima


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Re: thanks
Old
  (#5)
budhhu
Registered User
budhhu is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 12
Join Date: Jan 2005
Location: Gurgaon
Rep Power: 0
Re: thanks - 31st January 2005, 08:37 PM

Apki puri kahani ko padha. Yun to main itna kabil nahin ki apki ish kahani ko ek khubsurat anjaam de sakoon. Lekin Ish pariwar ka ek adna sa sadasy hone ke nate chunki apne sabse puchha hai, jaroor kuchh kahoonga. Mujhe do lins yaad aa rahin hai share karna chahoonga.

"Main tamam taare lutakar garib logon mein baant doon, Koi ek raat jo asma ka nizam de mere haath mein."

Rahi baat neha ke agle manzil ki to main to yahi samajhata hoon ki

"kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta, kahin jami to kahin asma nahin milta"

Mere hisaab se jo end hona chahiye wo yeh ki.

Kisi ne likha hai.

"The woods are lovely , dark and deep, but I've promises to keep.
and Miles to go before I sleep and miles to go before I sleep"

Haribans Rai Bachhan sahab translated the same.

"Gahan saghan manmohak vantaru, mujhko aaj bulaatein hain
Kintu kiye jo wwade jo maine , yaad mujhe woh aate hain.
Abhi kahan aaram bada, yeh mook nimantran chhalana hai,
abhi to mujhko milon mujhko, milon mujhko chalana hai"


And Neha has promises to her father. Use prove karna hai, woh apne papa ka beta hai.
Use prove karna hai uski daadi galat thi. Use prove karna hai sona ko woh ek misaal hai uske liye.
Yadi use ek samaanjanak koi naukri milti , ya phir koi prize , ya phir uske kisi achhe kaam ke liye organizational recognition.to yakin maniye sabhi usase pyar karane lagenge. Jarurat hai to use apna will power strong karne and aage badhate rahne ki. yahin pe kahani ka climax hoga.

Yadi aap kahani ko ek naya aayam dena chaahein to kahani kuchh jarur lambi hogi, lekin phir kahani ek social pahloo ko chhuwegi aur ek awareness paida karegi at least parents ke andar ki agar hum najarandaaz karein to bachhe gumraah bhi ho sakte hai. Neha has a silent well-wisher who never comes forward, but he/she is always helping her from back the stage. yeh he/she ho sakta hai ki sona ho , dadaji hon, ya phir koi saheli ya phie ek male sakhs (so called boy-friend) bhi hi sakta hai jo Neha ke saath-saath har mushkilon mein usa dard share karna chahta hai. Use hamesha khus dekhna chahta hai. At front Neha to usase bahut nafarat karti hai. yeh samajhkar woh opposite sex ka hai. and he has his own interest and that's why he is trying to come close to her. lakin finally jab neha ko yeh ahsas hota hai uske ish safar mein woh sakhs har kadam par uske saath tha, She starts her second life as she has got her dadaji, dadiji, mom , parents and most most loving Sona back with here. She lives happily thereafter.


Yeh meri apni soch hai. HO sakta apko pasand na aaye kyun main itna matured nahin ki kisi ki jindagi ko ek naya aayam de sakoon. phir bhi main aasahwadi hoon aur koshish hamesha jaari rakhta hoon.

Ap reply jaroor dijiyega. Bahut khushi hogi. Main bhi ish pariwar mein naya hoon. Lekin lagata aisha hai jaise ish site ke sabhi members ko saalon se jaante ho. yahi to acchhai hai ish site ki.
Chaliye take care.


Milna hai to samundar ki tahon mein aa jao, main dubti lash nahin jo ubhar jaoon.
  Send a message via Yahoo to budhhu  
Reply With Quote
hello
Old
  (#6)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
hello - 31st January 2005, 09:24 PM

Hello buddhu bhai,
aapka reply padha aur bahoot achha laga
aapki ye lines
"Gahan saghan manmohak vantaru, mujhko aaj bulaatein hain
Kintu kiye jo wwade jo maine , yaad mujhe woh aate hain.
Abhi kahan aaram bada, yeh mook nimantran chhalana hai,
abhi to mujhko milon mujhko, milon mujhko chalana hai"

jaise ek dam mere dil ki baat kahati ho.

waise aapne theek kaha mai is kahani ko aage badhaunge to ye lambi hogi mai ise ek naya mod bhi doongee lekin ek baat bata doo yeha NEHA ke gharwaaale kabhi ye nahi sochenge ki unke misunderstanding ne unke bache ko galat raasta de diya.
waise aapne jo kahaani ko ek naya ayam dene ki kosis ki hai haa jaha tak duniyadaari hai aapne bilkul ek sahi mod diya diya.
lekin ye to neha hi jaaegi ki wo apni life me kya naya mod degi kaise wo apne ghar ko convince karegi.
mujhe khud bhi intejaar hai us pal ka jis din mai is kahani ko aage badhunaage kyunki kahaani ho ya haqiqat ho mai khood bhi bahoot intejaar nahi kar sakti hoo.
to is kahani ke kucch panne to mai aage badhaungee hi bas tab tak wait kijiye jab tak mujhe ek aayam nahi mil jaata.

aapki reply ka bahoot bahoot sukriya
with love light and care
garima


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Re: hello
Old
  (#7)
budhhu
Registered User
budhhu is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 12
Join Date: Jan 2005
Location: Gurgaon
Rep Power: 0
Re: hello - 31st January 2005, 10:16 PM

Garimaji

Mera to yeh manana hai, safalta ek aishi cheej ho, jo badi se badi galtiyon ko nazarandaaz kar deti hain basarte ki woh imandaari se ki jaye, aur phir Nahe ke gharwale to uske apne apne hai. Unhe to convince karne ki jarurat hi nahin. Jab saara samaj apki taarif karega to yeh namumkin hai ki woh Neha ki safalata ka raaj ka pata lagane ki koshish na karein. Woh jarur karenge. aur phir unhe apne bachhe pe bahut hi naaj hoga.
Rahi baat. Neha ke Gumraah hone ki, Apki puri kahani se yeh saaf jahir hai ki , Neha is enough matured to think what is good and what is bad. Ek baar jab suicide jaisa decision lene ke bawjood woh sambhal jaati hai and she wants to fight with the system. She wants to win the battle. In this case how can she go on a wrong path?
She should look for a kind of break in her life, (As I told earlier, A prestigious job, award or recognition) and it will definitely change her rest of life.
tab uske parents ko ahsaas hoga woh kahan galat the, Yadi Unki Neha kamjor hoti, to shaayad kabhi ka suicide kar li hoti. ya phir kisi ke jhuthe sympathy mein aa sakti thi aur uska fayda uthaya ja sakta tha. Lekin unki bachhi ne aisha kuchh bhi nahin nahin kiya. Usne apne papa ka viswaas kayam rakha. Woh hamesha beta banakar jeeti rahi ish ash mein ki kabhi to uske papa uske pass wapas aa jayenge. kabhi to uski dadi yeh soch kar proud feel karengi ki jis Neha ki ring woh uski pasand ki parwah kiye bagair pahan li, Woh kitna sangharsh karti rahin, apne apno se. Har roj markar bhi jeeti rahin. Tab jaakar shayad sab Neha se mahi mange, aur bole ki woh sab galat the aur Neha sahi thi. Bade bhi galat ho sakte ho. Hum bachhe to chhoti galti karte hain. lekin bade to badi galti kar sakte hain. In this case we should teach them a lession.

Waise to Neha ko to aap bakhubi janti hain. Aap use achhe mod par hi chhodengi aisha mera viswas hai. Kyunki

"Woh afsana jise anjaam tak laana na hon mumkin, use ek khubsurat mod dekar chhodana achha"

Take Care.

-Satish


Milna hai to samundar ki tahon mein aa jao, main dubti lash nahin jo ubhar jaoon.
  Send a message via Yahoo to budhhu  
Reply With Quote
reply
Old
  (#8)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
reply - 1st February 2005, 11:44 AM

Satish bhai,
aapka reply dekhkar bahoot achha laga. aap jaise insaan ke rag rag se waakif hone ki power rakhte ho. aapne jis hisaab se kahnaai ko padha samjh mujhe reply diya wo wakai kabil-e-tarif hai.
jindagi ke har pahaloo me jaane kab kaun sa mod aayega ye koi nahi jaanta, ye kahani jaha parents ko ye sochane par majoboot karegi ki kaha tak wo apne bachoo ke saath sahi hai wahi kahi ye paigaam bhi un bachoo ki mil sakta hai ki jindagi me chahe kitni bhii badhaaye kyu na aaye lekin jindagi shaan se jeene ka naam hai kisi ke sahaare ki jaroorat ise pad jaaye aisa nahi hona chahiye.
haa kabhi kabhi aisa hota hai ki hum akela anubhav karate hai lekin agar sahi dhnag se dekha jaaye to ye akelapan hi hume sahara deta hai.
jaha tak neha ki baat hai use aisi kayi oppurtinities milti hai milti rahengee jisaki wo hakdaar hai lekin NEHA kisi oppurtineites ki ab mohtaj nahi hai.
aapko ek baat mai khud ke experince se bata doo ki mai ek concultant hoo aur meri halat khud k ye hai ki apne hi ghar me jab mai mud kar dekhti hoo to aisa lagta hai ki sayad bahoot akeli hoo aur ye akelapan kisi ke liye abhisaap ho mere liye wardaan saabit hua mai isi akelapan ka fayda uthakar behtar se behtar faisala lene ke kabil hoo.
mere hisaab se NEHA bhi kucch aisa hi karegi aur wo aage apni life chalti hi jaayegi.

EK BAAT AAPKE LIYE - EK METAPHYSICALIS HONE KE NAATE AAPKO YE SALAH DOONGEE KI AAPAPNI ID CHANGE KAR LO BEHTAR NAAAM RAKHO NAAM BHALE HI INSAAN NA HO LEKIN USASE USAKE PERSONLE LIFE PAR BAHOOT ASAR PADTA HAI. YE BAS MERA SUJHAAO HAI AGAR AAPKO ACHHA NA LAGE TO SORRY ACTUALLY DIN BHAR SALAH DETE DETE MUJHE AB KAHI BHI EK SALAH DENE KI ADAT SI PAD GAYI HAI KABHI KABHI ISASE PANGA BHI HO JAAT HAI. HOPE KI AAPSE PANGA NAHI HOGA.
HAHA
AAGE KUCCH LIKHOO ISAKE PAHALE CLINTS ONLINE AA GAYE
ABHI KE LIYE IJAJAT CHAHOONGEE

WITH LOVE LIGHT AND CARE
GARIMA


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Old
  (#9)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
1st February 2005, 01:21 PM

Hi Garima Ji,

Aapki story parhi aur bohot pasand aayi. Ek ladki ka jeevan se aur aaj ke is male dominated society se sangharsh ko bakhoobi bayan kiya hai is story mein. I think u're story would provide a lot of hope to all those facing similar circumstances.

Umeed karte hai aapka saath uhi bana rahega. Khayal rakhiye aur khush rahiye.


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
reply
Old
  (#10)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
reply - 1st February 2005, 02:30 PM

salim bhai,
aapne story padhi thanks.
waise mai ek baat se aapse sahmat hoo ise padhane ke baad is paristhitiyo se jojhaane waale ko sahara jaroor milega aur sahi maayene me ye hona bhi chahiye nahi to kya jaroorat hai is hisaabse kisi ke life ko yeha dene ki.
waise ye baat kaha tak sach hogi nahi pata pariwartan sansaar ka niyam hai aur sabke condtion me bhi pariwartan aata hi rahata hai, fir bhi bahoot kucch aisa hota hai jise hum kahi aur se dekh ke apne life me utaar lene ki chahat rakhate hai.
mai ye kabhi nahi chahungee ki kisi ko is story ke hisaab se chalane ki jaroorat pade kyunki aisi jaroorat ke liye pahale is hisaab se dard se bhi gujarna padega.
fir bhi agar ye story kisi ke kaam aa jaaye to mere likhna sarthak ho jaayega.

with love light and care
garima


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Re: reply
Old
  (#11)
budhhu
Registered User
budhhu is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 12
Join Date: Jan 2005
Location: Gurgaon
Rep Power: 0
Re: reply - 1st February 2005, 07:47 PM

Quote:
Originally posted by garima

I am surprised the way you manage time for your compositions and responding to all your well-wishers.I've two lines for your Neha. I hope you would like it.
"Dil ko dhadkane ki sazaa milti hai
gul ko mahakane ki sazaa milti hai
ish zamaane ka ajeeb dastur hai yaaron
Bulbul (Neha) ko chahkane ki sazaa milti hai"


Rahi baat apki rai mere id change karne ki, aap hi bataaiye na garimaji, yadi main apna id change kar smart boy kar loon to log mujh budhhu par hasanege nahin? Ek budhhu ka naam budhhu hi to hona chahiye na. Ish mahfil mein ek-se badhkar ek shayar , composer hain. unke aage main to ek diya bhi nahin, Any ways... Thanks for your honest opinion. main agle janam ke liye kuchh achha naam sochkar jarur rakhoonga. lekin abhi to ishi naam se jeene dijiye. Main diamond banana nahin chahta. stainless steel hi mere liye comfortable hai. Waise yeh jaankar achha jaankar ish mahfil ke sabhi log apne doston par itne possessive to hain"


Milna hai to samundar ki tahon mein aa jao, main dubti lash nahin jo ubhar jaoon.
  Send a message via Yahoo to budhhu  
Reply With Quote
reply
Old
  (#12)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
reply - 1st February 2005, 09:19 PM

satish bhai,
mao online bahoot kaam karati hoo isliye lagbhag sabke mail reply kar sakti hoo fir mai kahi job nahi karati apna kaam hai jab tak jee kiya kar liya isliye bhi waqt mil jaata hai.
jaha tak reply ki baat hai aisa nahi ki mai har waqt sahi bata hi paao kabhi kabhi ek window khol diya aur kisi ko reply dene lagi tab tak bahoot der ho jaata hai aisa kayi baar hua fir bhi uska koi gam nahi jindagi gam me nahi har pal enjoy kar loo.

waise jaha tak aapne apni ID ke baare me puchha hai to mai bata doo
har lekhak suru me bacha hota hai baad me jaakar bada hota hai isliye apne aapko budhu kahane se behtar hai ki mai apne aapkobacha maan loo taki bada ho sakoo.
waise ye aapki apni life hai mujhe isame kucch kahane ka koi hak nahi hai , apne ko panga lene ki adat hai waise achha hua jo aapne koi panga nahi liya. haha
mujhe dar bhi lagta hai maja bhi aata hai kya kare adat si ho gayi hai


aapne neha ke baare jo kaha bilkul sach kaha ek dam mast bahoot achha kaha aapne

aage kya kahoo agale padawa ke liye abhi chalti hoo

with love light and care
garima


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Old
  (#13)
shadow
In Search of the unknown!
shadow will become famous soon enough
 
shadow's Avatar
 
Offline
Posts: 248
Join Date: Jan 2005
Location: Shade in the shadow world
Rep Power: 20
2nd February 2005, 06:12 AM

Hi Garima ji,
Well written story, will post detailed reply soon since time is of constraint to answer for an indepth writing like this.
Keep writing...


The higher you go, steeper will be the valley and greater will be the fall.

Shade in the shadow world
   
Reply With Quote
reply
Old
  (#14)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
reply - 2nd February 2005, 07:46 PM

Thanks for reading my story,
I will wait for ur reply.


with love light and care
garima


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Old
  (#15)
shadow
In Search of the unknown!
shadow will become famous soon enough
 
shadow's Avatar
 
Offline
Posts: 248
Join Date: Jan 2005
Location: Shade in the shadow world
Rep Power: 20
4th February 2005, 08:59 PM

Hi,
I would like to express my views not any suggestions ......

In my first opinion Neha seems to be rectionary character basis for this being
1. Her reaction to hurt her grand mother by acting the way she did not want.
2. Trying to become a boy rather being oneself.
3. Identifying oneself with virtues rather being natural.
4. Acting on instincts in cases of distress and to exhibit the behaviour of escaping into something else when facing problem.

Well this I do not attribute as wrong since the same characteristics surface many times in myself.

Since the path she has chosen to escape is a positive one, I regard she will achieve the success in the path. Only suggestion if it were a real person would be to establish a balance in oneself and thoughts. Before arriving at a conclusion it requires good thought and even after that it would not be complete. (Being flexible is the key may be.)

The other characters in the story, it seems that women are the main enemy of women seems to be evident. The male characters are bit rational except for the uncle. May the uncle is right if you see his children are not upto the mark as Neha and hence he tries to balance his ego by bringing Neha down in some other aspect.
Male domination is questionable may be part of the problem but not complete. Anyway Neha is a strong character but story seems biased towards Neha alone. What i mean to say is as seen by eyes of Neha only, surroundings explanation need to be devoid of this factor I suppose.
Thanks for the beautifull story,
Please continue....


The higher you go, steeper will be the valley and greater will be the fall.

Shade in the shadow world
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Kuch na bacha Akhiri Mulakaat ke baad Kavita Negi Shayri-e-Dard 33 11th October 2010 10:54 AM
Akhiri Jajbat Bhuvi Shayri-e-Dard 0 21st July 2006 06:51 PM
mohabat akhiri nhe hoti SIMMI SACHDEVA Shayri-e-Dard 0 26th April 2006 02:01 PM
tumhe paana niceonly4u Hindi/Urdu Lyrics 0 24th January 2005 11:09 AM
Tumko hai paana meghratna Shayri-e-Ishq 0 27th August 2004 03:55 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com