Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Aaj ka daur..!!
Old
  (#1)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Angry Aaj ka daur..!! - 19th February 2002, 03:58 PM

Mera Salaam sabhi ko pahuche...ek taaza ghazal likhi hai..hamesha pyaar,mohabbat pe likhti thi to is baar aur woh bhi pehli baar kuch hat ke likhne ki koshish ki hai...bataiyega zaroor ke kaisi lagi..aur meri baat me kuch sacchai hai ya nahi..intizaar rahega


aaj ke daur meiN,insaan insaan ke khoon ka pyaasa hai
jidhar bhi dekho,har taraf yahi manzar hai,nazaara hai

laalach ki paTTi bandhi hai, is kadar aankhoN pe
paise ke ilaawa,kuch aur dekhna bhi nahi gaNwaara hai

kahiN taras jaate haiN log roTi ke ek tukre ko,aur
kahiN hota,ek din meiN caRoRoN ka waara niyaara hai

jaan,maal,izzat,aabru sabhi to khatre mein hai aajkal
buri nazar waaloN se na jaaney kya kya bachaana hai

aaye din hota hai yahan danga fasaad,mazhab ke naam pe
Allah jaaney kya hashr is khalq ka hone waala hai

apni position,power ka galat istimaal karne wale logoN
mat bhoolo,tumhe bhi ek din mitti mein mil jaana hai

kiska main thamooN haath,kaun apnaa hai,kaun paraaya hai
is matlubi duniya mein nahi hota koi kisi ka sahaara hai

apne juute ki nok pe logoN ko rakhne wale bereham aadmi
sun le, in juutoN ko bhi ek na ek din Ghis janaa hai

jaan lo,usi ka dil sabse zyaada chaknachoor hai
ghazloN aur sheroN mein jo apne ghamoN ko chupaata hai

sukh chain aafiyat ki zindagi ab kise naseeb hai
socho to lagta hai ki,ye sab to bas ek guzra zamaana hai

jab bahut pyaar mohabbat se,phuslaakar baat kare koi
to samajh lo 'Shumaila',daal me zaroor kuch kaala hai!!!

--shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
bahot khoob kaha hai
Old
  (#2)
tanhadil
Registered User
tanhadil is on a distinguished road
 
tanhadil's Avatar
 
Offline
Posts: 106
Join Date: Feb 2002
Location: Canada
Rep Power: 23
bahot khoob kaha hai - 19th February 2002, 04:13 PM

aadaab shumailaji......

aapne jo bhi kaha sach kaha hai.....

kaun apna hai kaun paraya hai....is duniya mai kisi pe etbaar nahi hota hai......

likhti rahiyega.....accha likha hai......


Yeh Gham Nahi ke Andhere Se Sulah Ki Maine

Malal Yeh Hai Ke ab Subh Ki Talb Bhi Nahi
  Send a message via Yahoo to tanhadil  
Reply With Quote
bahut bahut shukriya..!!
Old
  (#3)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile bahut bahut shukriya..!! - 19th February 2002, 04:19 PM

Adaab tanhadil!!!

Shukriya jo aap ko hamari ghazal acchi lagi..aur sach lagi!!

Ek aur ghazal likhi thi..'Adaayein khoob..' isi forum mein..waqt mile to nazar daal lijiye...shukriya!!

regards,
shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Abid_Majaaz
Registered User
Abid_Majaaz will become famous soon enough
 
Abid_Majaaz's Avatar
 
Offline
Posts: 40
Join Date: Apr 2010
Location: Peshawar Pakistan
Rep Power: 0
10th October 2011, 07:57 AM

Mujhe isi tarah k shair ache lgte hain,pyar Muhabbat sb fazool hai,
agr ap sun rahi hain to main apko khair maqdam kehta hun.thanks in 2011 for 2002's Shumaila..
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Daur umesh.vajpai Shayri-e-Sharaab 1 24th February 2007 06:57 PM
-----AAj ke daur me---- sam007 Shayri-e-Ishq 1 26th October 2006 01:43 PM
aaj ke daur me.n pappu Shayri-e-Dard 3 8th December 2004 09:32 PM
woh daur.. mahen Shayri-e-Dard 1 27th June 2004 09:23 AM
daur kunjal Shayri-e-Dard 2 2nd April 2003 08:46 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com