Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Juz sitam ke, tera sab kuch tau yaad raha...
Old
  (#1)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Arrow Juz sitam ke, tera sab kuch tau yaad raha... - 22nd September 2004, 08:56 PM

zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii
majabuur the ham us se muhabbat bhii bahut thii

kaleem ajiz

-------------------

Sab doston ko Adaab!

Iss kalaam mein takniqii galatiyaan hain, jinse main wakif hoon...lekin jazzbaaton ko apne andaaz mein kehne ka shayar ko poora haq hai...isliey inhein please nazar andaaz kijieyga...

tau arz kiya hai....

tera *khuluus se thukrana tau yaad nahin
mast nazarron se, dil ka takraana yaad raha

sweetly

teri berukhi se tootna tau yaad nahin
nazar chura dil mein chup jana yaad raha

tera chahat meri lautana tau yaad nahin
teri bahon mein simat, mar jana yaad raha

tere lehje se murjha jana tau yaad nahin
labon se zulf hata “Merijaan” kehna yaad raha

tera sata sata ke rulana tau yaad nahin
ashk girne se pehle pee jaana yaad raha

teri furqat mein khamoshi tau yaad nahin
*taaron ko ‘paras’ ki, chednaa yaad raha

strings

teri baton, teri nazron, teri bahon ka gila
nahin mujhe kuch bhi tau Jaanaa yaad nahin
haan inse *rihaa-ii na paana yaad raha


freedom

ab hon tau kis tarah, tujh se juda hum
*juz sitam ke, tera sab kuch tau yaad raha

other than


muntazir

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
22nd September 2004, 09:54 PM

tere lehje se murjha jana tau yaad nahin
labon se zulf hata “Merijaan” kehna yaad raha

tera sata sata ke rulana tau yaad nahin
ashk girne se pehle pee jaana yaad raha

teri furqat mein khamoshi tau yaad nahin
*taaron ko ‘paras’ ki, chednaa yaad raha

strings

teri baton, teri nazron, teri bahon ka gila
nahin mujhe kuch bhi tau Jaanaa yaad nahin
haan inse *rihaa-ii na paana yaad raha


Bahut khoob Paras ji...

Bahut hi naayaab nazm pesh ki hai aapne... Humesha ki tarah ek aur khoobsoorat nazm ke liye mubarakbaad kubool keejiye..

Kitne likhe hain "Paras" ne umda nagme yaad nahin..
Har nagme mein mohabbat ka hona yaad raha..

Take care..

~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
22nd September 2004, 10:07 PM

oh priya priyaa...........

Kitne likhe hain "Paras" ne umda nagme yaad nahin..
Har nagme mein mohabbat ka hona yaad raha..


kitna pyaara likh diya tumne...shukriya shukriya shukriya


paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
23rd September 2004, 02:54 AM

Paras pehle to shukriya ki aapne mera naam apni nazm ke pehle sher mein shaamil kiya....dosraa shukriya ki aapne bahut pyaar se dil par vaar kiya aaj is nazm se....aur tesraa ki aapne nacheez ko phir aage kuch likhne ka maukaa diya...

tera *khuluus se thukrana tau yaad nahin
mast nazarron se, dil ka takraana yaad raha

teri berukhi se tootna tau yaad nahin
nazar chura dil mein chup jana yaad raha

tera chahat meri lautana tau yaad nahin
teri bahon mein simat, mar jana yaad raha

tere lehje se murjha jana tau yaad nahin
labon se zulf hata “Merijaan” kehna yaad raha

tera sata sata ke rulana tau yaad nahin
ashk girne se pehle pee jaana yaad raha

teri furqat mein khamoshi tau yaad nahin
*taaron ko ‘paras’ ki, chednaa yaad raha

teri baton, teri nazron, teri bahon ka gila
nahin mujhe kuch bhi tau Jaanaa yaad nahin
haan inse *rihaa-ii na paana yaad raha

ab hon tau kis tarah, tujh se juda hum
*juz sitam ke, tera sab kuch tau yaad raha

dewaangi ki sarhad tak ka safar yaad nahin
mere mehmaan teri aankhon ka shikan yaad raha

tere dar par hasrat-e-dil liye aaye the
'mast' nazron se dil-e-hasrat ka *patan yaad raha

downfall

mehaz ehsaas hai inko shikayaat na samajh
*aehd-e-ulfat mein ada kaari ka chalan yaad raha

period of love

mere humdum teri hasti ko jaa mein bhul jaata hoon
dhundhla hi magar tera beygana pan yaad raha


yunhi likhte rahiYeGaa

-aapka apnaa



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
23rd September 2004, 09:59 AM

Yun hi nahi mashhoor tha kaatil mera
Us shaks ko is fan me maharat bhi bahut thee

-- Next 2 lines of that beaitiful Kaleem aziz creation



tera *khuluus se thukrana tau yaad nahin
mast nazarron se, dil ka takraana yaad raha

sweetly

teri berukhi se tootna tau yaad nahin
nazar chura dil mein chup jana yaad raha


Wah Wah!!


tera chahat meri lautana tau yaad nahin
teri bahon mein simat, mar jana yaad raha

tere lehje se murjha jana tau yaad nahin
labon se zulf hata “Merijaan” kehna yaad raha


Kya baat kahi hai!!


teri baton, teri nazron, teri bahon ka gila
nahin mujhe kuch bhi tau Jaanaa yaad nahin
haan inse *rihaa-ii na paana yaad raha

freedom

ab hon tau kis tarah, tujh se juda hum
*juz sitam ke, tera sab kuch tau yaad raha


Another beautiful beautiful work paras... Technical fault ka to pata nahi, Expressional fault nahi hai Full of expressions, full of love.... another lovely Paras Creation...

I loved what priya has written..as if she's written what i wanted to


Kitne likhe hain "Paras" ne umda nagme yaad nahin..
Har nagme mein mohabbat ka hona yaad raha..


Well.. this is ur charm... u get ppl to write such wonderful things.. Mast ne bhi kya khoob likha hai


mere humdum teri hasti ko jaa mein bhul jaata hoon
dhundhla hi magar tera beygana pan yaad raha..


Lovelyy....These 2 lines are simply majestic....

What else to say? What ever u write itself becomes a classic.. so u just do keep writing Take care and keep smiling


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#6)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
23rd September 2004, 10:32 AM

paras meri behan

"ab hon tau kis tarah, tujh se juda hum
juz sitam ke, tera sab kuch tau yaad raha"

tumhari poori ghazal ka khulaasa is shayr mein hai.
aur paras yeh duniyaa abhi tak qaayem o dayem hi isi liye hai, isi jazbe ke tehat hai, ke koee aap per kitna hi sitam aur aap ko nazer andaaz kare, aap sirf us ki achchi achchi baaton ko yaad karen, to aap ko zinda rahna ki wajah aur lagen rahe gi, warna to aap zindagi ke bawajood zindagi se bohat duur ho jaayeinge.
mujhe tumhare kalaam mein yehi baat achchi lagti hai, ke tumhare haan jazbe ki lagen aur subh ki taazgi milti hai, bas yehi baat hai jo mein apni behan mein dekhna chahta hoon, ke mayoos kabhi na ho, voh kisi na kyaa khoob kaha hai
"Apne liye to sab hi jeete hain is jahan mein"
"Hai zindagi ka maqsad auron ke kaam aanaa"

ejazat chahta hoon ke is dua ke saath ke tum hamesha khush raho.
musharrafhusian
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
UDAS
Registered User
UDAS has a spectacular aura aboutUDAS has a spectacular aura about
 
UDAS's Avatar
 
Offline
Posts: 652
Join Date: Aug 2004
Location: India
Rep Power: 21
23rd September 2004, 12:15 PM

Oh meri priye...tu vo dukh bhool gai...acchha laga..
oh meri paras...tujhe vo pyar yaad raha..acchha laga..

ye khoobsurat yade.n na ho to jeena mushkil hai..
sirf gamo ko yaad kar k roai to marna bhi mushil hai..

Ha.n meri pyar paras ji...bahut bahut acchhe jazbaat piroye hai tumne apni gazal me...ye kaam aur itni khoobsoorti se aur itne sadhe hua andaaz me sirf aur sirf tum hi kar sakti ho....main bhi u hi koshish to karti hu...magar jaisa tumne apne sher me sabse uper kaha ki

zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii
majabuur the ham us se muhabbat bhii bahut thii

Iss kalaam mein takniqii galatiyaan hain, jinse main wakif hoon...lekin jazzbaaton ko apne andaaz mein kehne ka shayar ko poora haq hai...isliey inhein please nazar andaaz kijieyga...

bas paras ji yahi haal mera hai...main bhi sirf apni baat kehna janti hu aur jaroori samajhti hu...mujhe ye atla...mafiya viz..viz..nahi aata..

bas tumari gazal par kar main uper tumare liye ye do sher hi likh payi jo maine mehsoos kiya....ha.n yahi to hota hai pyar main...ham jis-se pyar aur behad pyar karte hai...uske sab sitam seh kar bhi bas uska pyar hi yaad rakhte hai...ye ek acchhi baat bhi hai...hamare dukhi man ki tabiyet k liye....aur hamare jeene k liye bhi...

acchha chalti hu...apna dhyan rakhna...acchhe se...lagta hai aaj apko neend nahi aa rahi...

urs-udas


DARD JAB HAD SE GUZERTA HAI TO GAA LETI HOO
ASHK AANKHO ME CHHUPA KER GAM PE MUSKURA LETI HOO
********
"Haale dil to dil me hi rakhte hai, in ankho ka kya karai.n
Jinse yaad main tumhari hardam aansu behte hai"
~~~~~
**
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
23rd September 2004, 12:21 PM

paras ji ....

kya kahoo aapke is kalam ke bare main... mai pehle hi keh chuka hun aapke samne to likhne se pehle mujhe rumal ki jaroorat hogi.... kuch kahun to sooraj ko diya dikhane wali bat hogi.... par main khamosh bhi nahi reh sakta ... paras ji bohat hi accha likha hai... aapne bas tareef nahi krunga kyun upar bata chuka hun... chand line hi likhunga aap samajh lijiyega .....

hasrate poori na ho saki ....
toone sapne mere tode to kya...
manjile pyar ki ret ki thi....
tune punkh se daha di to kya...
mere pyar ka asar tere dil main nahi...
khanjar tune mere dil main utara to kya ...
pyasi rooh ko chain tere pyar se milta...
tune meri lash bicha di to kya ...
hume yaad hai har manjar tere jhoote pyar ka...
tune "saccha_pyar" bhula diya to kya...

//Sacccha_(ŻĄŻ)_Pyar---»(kunal)

har dil main SACCHA_PYAR hota hai...
phir chup ke kyun KUNAL tu rota hai ...
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#9)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
23rd September 2004, 12:23 PM

paras,
jyada tar mera reply maun hota hai.... jo aap dosto ko pasand nahi aata.. jaanti hu maie...... fir bhi kai baar koshisho ke baavjood bhi mera maun meri jubaan ki jagah le baithhta hai......
to kabhi jubaan kuch jyada hi bahek jaati hai...
in dono par mera bas nahi chala...... bas... maie inke vajood ko swikaar leti hu... chahe maun ho chahe jubaan........

is rachna ke liye taarif kabul karna

meena
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
roopali
sifar
roopali is a jewel in the roughroopali is a jewel in the roughroopali is a jewel in the roughroopali is a jewel in the rough
 
roopali's Avatar
 
Offline
Posts: 957
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 24
23rd September 2004, 12:39 PM

Meri galiyon se tera guzarna toh yaad nahin
Chupke se mere dil mein bas yaad raha

Paras ji…

Behtreen kalaam pesh kiya hai aapne…behad umda…meri daad kabool kijiyega

Take care


Main zakhm zakhm hoon phir bhi tujhe dikhayi na doon
tadap uthoon bhi toh zalim teri duhayi na doon
(NM)
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
25th September 2004, 10:38 AM

Anu...

you like that? hain na? Malum thaa mujhe isiliey 'Mast' use kiya maine...lol...aur bahut achha laga ki tumne phir se mera kalaam poora kiya aur use itna khubsurat bana diya...

dewaangi ki sarhad tak ka safar yaad nahin
mere mehmaan teri aankhon ka shikan yaad raha

tere dar par hasrat-e-dil liye aaye the
'mast' nazron se dil-e-hasrat ka *patan yaad raha

downfall

mehaz ehsaas hai inko shikayaat na samajh
*aehd-e-ulfat mein ada kaari ka chalan yaad raha

period of love

mere humdum teri hasti ko jaa mein bhul jaata hoon
dhundhla hi magar tera beygana pan yaad raha


bahut khuub!

lekin malum jahan maine mehboob ki dil lubhane wali baatein yaad rakhin...yahan tumne uske dil todne wali baatein yaad rakhin...

aankhon ka shikan
hasrat ka patan
adakaari ka chalan
beygana pan

bahut kuch chipa hai in lafzon mein

bus sab zara dil ko dukha gaya...ki kash aisa na hota...khair...haqiqat bayaan ki hai tumne bhi...yoonhi meri kalam ka hausla badhaate rehna...

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
25th September 2004, 10:45 AM

[QUOTE]Originally posted by Pulkit_gupta
[B] Yun hi nahi mashhoor tha kaatil mera
Us shaks ko is fan me maharat bhi bahut thee

-- Next 2 lines of that beaitiful Kaleem aziz creation


Dear Pulkit...

always there to keep me going...what a beautiful sher! isn't it...? expressional fault nahin hai that is so sweet Pulkit...tumhara bus aana hee mujhe bahut khushi de deta hai...you always put a smile on my face the way you badhaa chaddhaa ke praise what i write...

NO EXPRESSIONAL FAULT in that I must say...

take care

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
25th September 2004, 10:56 AM

Mere pyaare Mushi Bhayyia...

Apko apni post pe paati hoon tau...meri khushi ki intehaa nahin rehti...apko meri koshish pasand aayi...aapki guidance hamesha chahiye Bhayyia...tabhi tau sahi kar paaongi apni shayri...Jee aapne sahi buujha...yeh sher maine sabse pehle likha thaa...baki baad mein...so zahir hai inspiration isi se paayi hogi shayad...

"ab hon tau kis tarah, tujh se juda hum
juz sitam ke, tera sab kuch tau yaad raha"


Jee, aapne sahi kaha...hamein dusron ke sitam na yaad kar unki achhayiyaan hee yaad rakhni chahiyein...tabhi zindagi ko jiyaa ja sakta hai...main aage bhi yahi koshish karoongi ki meri shayri mayoos na hone paaye...chahe kitna bhi dard bayaan kare...

apna khayaal rakhieyga

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
25th September 2004, 11:03 AM

Oh meri priye...tu vo dukh bhool gai...acchha laga..
oh meri paras...tujhe vo pyar yaad raha..acchha laga..

ye khoobsurat yade.n na ho to jeena mushkil hai..
sirf gamo ko yaad kar k roai to marna bhi mushil hai..


Priye Udas...

tum meri ghazal padhkar itni bhavuk ho gayin ki itna khubsurat us ehsaas ko bayaan kiya...shukriyaa...tumhara aana aur mere lafzon ko saraahna behad achha laga...tum khud bahut achha likhti ho...kehne kee zaroorat hee nahin...tumhari fan mail se sab pata chalta hoga...hai na? lol...

khayal rakhna...paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
25th September 2004, 11:11 AM

Parastaar G Namaste

Kya baat hai G aap to ek ke baad ek aise kalaam pesh karti jaa rahi hai ke jisko paDh ke hamaare dil-o-zehen ke taar hilne lagte hai.. khayaalat beshak bohot khoobsurat hai aapke... gar aap thodi sa takniki pehloo ki jaanib tawajjo dein to aap ke kalaam ko sar-a-pa shringaar naseeb ho jaaye... ek baar phir iss khoobsurat kalaam ko mukammal kar paane par meri mubaarakbaad qubool karein..


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#16)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
25th September 2004, 11:20 AM

kunal...

hasrate poori na ho saki ....
toone sapne mere tode to kya...
manjile pyar ki ret ki thi....
tune punkh se daha di to kya...
mere pyar ka asar tere dil main nahi...
khanjar tune mere dil main utara to kya ...
pyasi rooh ko chain tere pyar se milta...
tune meri lash bicha di to kya ...
hume yaad hai har manjar tere jhoote pyar ka...
tune "saccha_pyar" bhula diya to kya...

yahi mere liye hausla afzaayi hai ki aap log aage kuch likhne ko majbuur ho gaye hain...shukriya itna achha jawaab diya tumne...

take care

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
25th September 2004, 11:39 AM

Paras ji...

Aadaab!

Aapka ye kalaam zabardast raha! Kaii baar paRa ise.. magar iski sachchai humesha chaunka gayi.. Pyaar ki intehaa hui ye to.. ki har sitam bhool gaye.. aur pyaar ke siwa kuchh na yaad rakha.. aur shayad yahi chaahiye hota hai.. mohabbat banaaye rakhne ke liye.. Bohat khoob!

Behtareen kalaam likhne par tareef kubool kijiyega..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
sanjoo
MriiGchiika
sanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to all
 
sanjoo's Avatar
 
Offline
Posts: 1,664
Join Date: Sep 2002
Location: INDIA (Mumbai)
Rep Power: 28
25th September 2004, 09:26 PM

teri baton, teri nazron, teri bahon ka gila
nahin mujhe kuch bhi tau Jaanaa yaad nahin
haan inse *rihaa-ii na paana yaad raha........

kyaa baat hai.......

par ek baat bolun tum bhul gaii sanju ko naa...hotaa hai hotaa hai.....kabhi bhule bhatke hume bhii yaad kar liyaa karoo..han...ab itne tao bure nahii hai hum kii..humaree khabar bhii naa lo......khair...ap naa aaye hum hii chale aaye ap k daR par.........daaD kabul karnaa......chote mote..sorry i am not mote....lolzz bass 80 kG ka hii hu... aur uchaii hai merii..5.5 kii..... ek damm gubbaRa.....yaa damroo kahoo tao bhii chalegaa......nahiiiiiii jokin yaar...tumne tao dekhaa hai mujhe naa..? par yahaan aa kar joo haal khane pine kaa hai puchoo mat.....mai jalld naa 100 kG par kar jaungaa.....sachii.........paiR jameen par nahi hote hai matlab..chalne ka kaam hii nahi hai yahaan.tao......paidal chalnaa yaha khatarnaaK hotaa hai...

jaisa desh waisii jindagii.........kahii mai bhii 5 waqt ki namaaZ na padhe lag padu.....kalmaa padh kar.....
sorry jokin.....par jo hai woh hai....

hey pata nahi kyaa bak bak karne laga huu..aaj bade dinoo baad fhursat mili hai tao apni bhadaas nikal hii luu.....itne dinoo kii......choloo ab jate hai...kanjuuuuuuuuuus kabhii fon bhii kar liyaa karoo.........yahan se mai gar karne laga tao ganjaa hone mai waqt nahi lage gaa...bhai bohooooot mehngaa hai...ek sms mera.....2.5 zar(rand) mai jaata hai....(Rs18)

ap jata hu.........bhulnaa nahii.......sanju ko!


Jindagi se to khair shikvaa tha,

muddato mout ne bhi tarsaaya hame..

.....
   
Reply With Quote
Re: Juz sitam ke, tera sab kuch tau yaad raha...
Old
  (#19)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: Juz sitam ke, tera sab kuch tau yaad raha... - 27th September 2004, 11:37 AM

tera chahat meri lautana tau yaad nahin
teri bahon mein simat, mar jana yaad raha

tere lehje se murjha jana tau yaad nahin
labon se zulf hata “Merijaan” kehna yaad raha

tera sata sata ke rulana tau yaad nahin
ashk girne se pehle pee jaana yaad raha

teri furqat mein khamoshi tau yaad nahin
*taaron ko ‘paras’ ki, chednaa yaad raha

PRIYE PAARS
bahoot khoob !! deir se aane ke liye muaafi chahata hoon..aapne phir ek baar dil baag baag kar dia apni purasar kalaam se..."yadon" mein utar kar is kalaam ko "yaadgar" bana dia aapne.meri daad kubool kijiye...isi khubsurati se likhte rahiye
take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#20)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
29th September 2004, 11:08 AM

Quote:
Originally posted by meena chheda
paras,
jyada tar mera reply maun hota hai.... jo aap dosto ko pasand nahi aata.. jaanti hu maie...... fir bhi kai baar koshisho ke baavjood bhi mera maun meri jubaan ki jagah le baithhta hai......
to kabhi jubaan kuch jyada hi bahek jaati hai...
in dono par mera bas nahi chala...... bas... maie inke vajood ko swikaar leti hu... chahe maun ho chahe jubaan........

is rachna ke liye taarif kabul karna

meena
pyaari meena jee

maie inke vajood ko swikaar leti hu... chahe maun ho chahe jubaan........

lekin mujhe tau aapka maun samajh nahin aata na...agar budhoon hoon tau kya karoon..isliey aap tau hamesha bata ke daad diya kijiey

thanks

apki paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
29th September 2004, 11:24 AM

Meri galiyon se tera guzarna toh yaad nahin
Chupke se mere dil mein bas yaad raha


How sweet of you Roopali...

bahut pyaara sa sher likh hai...zarra nawaazi ke liye tahe dil se shukrihaa........

paras


-------------------

Come on Ustaad Talib Saheb...

dil-o-zehen ke taar hilne lagte hain.. ?

lol...humne tau socha humne muaafi tau maang hee li hai pehle se...hamare ustaad ji hamare ek mamuuli se takniki pehloo ko nazar andaaz kar deinge...

aur waise bhi hum saadgi pasand karte hain...lol...jo khuubsurati saadgi mein hoti hai wo shringaar mein kahaan...?

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
29th September 2004, 11:49 AM

Afshan..

gar ek jabardast shayraa ko kalaam pasand aaye tau jabardast hoga hee...jee pyaar ki intehaa...pyaar ka janoon..bus yahi hai...ki apne mehboob kee har baat siwaaye uske pyaar ke bhuul jaaye...

yahan aane ka, mujhe padhne ke liye shukriya bahot bahot...

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
29th September 2004, 11:53 AM

Sanjoo...

kya kuch aise hee bolte ho...kaun bhula sakta hai tumhein? tum bhuulne bhi dete ho...lol...bataao settle ho gaye...kaisa lag raha hai...duty join kar lee kya?

sab bataana ok... tumhein yeh kalaam achha laga...bahut khushi huyi jaankar...bus kabhi kabaar yaad kar liya karo apne shayri ke doston ko bhi...sab miss karte hain tumhein...

kanjoos log hee paise jod paate hain...tum jaise ghar lutaao bus ganje ho jaate hain...lol

apna khayaal rakhna...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Namaskar Paras
Old
  (#24)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
Namaskar Paras - 29th September 2004, 12:37 PM

Namaskar Paras ji

Kaise hain Aap.Aap ki is Rachna par nazar gayi..........Bahut khoob likha hay aapney..............Very nice...........Sari Panktiyaan Dil ko chuu gayi.

teri berukhi se tootna tau yaad nahin
nazar chura dil mein chup jana yaad raha

tera chahat meri lautana tau yaad nahin
teri bahon mein simat, mar jana yaad raha

tere lehje se murjha jana tau yaad nahin
labon se zulf hata “Merijaan” kehna yaad raha

tera sata sata ke rulana tau yaad nahin
ashk girne se pehle pee jaana yaad raha

teri furqat mein khamoshi tau yaad nahin
*taaron ko ‘paras’ ki, chednaa yaad raha

Paras Ji Humne bhi Ek Rachna likhe thi..............ho sakey to padiyega.............



Aap hamara likha kuch padengey to hamey Kushi hogi.Aap ka Avtaar bahut sundar lagta hay.............Kya aap bhi utni masuum aur itni sweet nazar aati hay.........Aapkey Har ek Lafz motiyon se saje rehtey hain.

Sada kush Rahiye

Last edited by sukanya; 29th September 2004 at 12:40 PM..
   
Reply With Quote
Re: Re: Juz sitam ke, tera sab kuch tau yaad raha...
Old
  (#25)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Re: Re: Juz sitam ke, tera sab kuch tau yaad raha... - 1st October 2004, 03:12 AM

PRIYE PAARS
bahoot khoob !! deir se aane ke liye muaafi chahata hoon..aapne phir ek baar dil baag baag kar dia apni purasar kalaam se..."yadon" mein utar kar is kalaam ko "yaadgar" bana dia aapne.meri daad kubool kijiye...isi khubsurati se likhte rahiye
take care
-MANOJ


Manoj...

Sorry der se jawaab de rahi hoon...aur aaj shaam bus yeh pc bhi pack ho jayegaa...aur phir na jaane kab tak log on ho sakoon...tumhein yeh kalaam pasand aaya...shukriyaa...bus jahan jazzbaat le jaayein wahi keh deti hoon...dil tau mera bhi karta hai ki main bhi aap bade shayaron kee tarah poore qayenaat kee taraf nazar daudaaon...par abhi tak kuch likh nahin paayi...apne dard o gham se nijaat mil jaaye...tau sochoon...lol...abhi tau yahi thakaa thakkaa hee likhne ko dil chahta hai...

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#26)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
1st October 2004, 03:18 AM

Aap hamara likha kuch padengey to hamey Kushi hogi.Aap ka Avtaar bahut sundar lagta hay.............Kya aap bhi utni masuum aur itni sweet nazar aati hay.........Aapkey Har ek Lafz motiyon se saje rehtey hain.

Sukanya ji...

pehle tau hamein padne ka shukriya kabuul kijiey...phir hamein itna maan diya aapne...main tau aapka kalaam usi din padh aayi thhee..jawaab bhi diya hai...bahut pyaara likha hai aapne...

Haan, yeh avtaar hamein bhi bahut pasand hai...kyonki yeh paras kee masoomiyat bakhuubi zahir karta hai...waise paras kitni masoom aur sweet hai aap hamare doston se jaan lijiey...lol...asliyat wahi bataayeinge...

thanks for coming to my post...take care

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
WAH
Old
  (#27)
meetaparekh
Registered User
meetaparekh will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 529
Join Date: May 2004
Rep Power: 20
WAH - 1st October 2004, 07:01 PM

pARAS
BAHOT KHUB


meetaparekh
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
10th October 2004, 08:49 AM

Meeta jee namaskaar...

kahan rehtin hain aap...kabhi kabhi hee aapke darshan ho paate hain...thanks for coming to my post...

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Ghazal: Tera pata yaad raha khud ka thikaana bhool gaye.. Mayank Shayri-e-Dard 12 2nd June 2011 12:23 PM
ayena hansta raha kuch sawal puchta raha koi to ho Shayri-e-Ishq 8 15th April 2007 08:41 PM
kuch aur sitam......... sameer'shaad' Shayri-e-Dard 8 2nd September 2006 06:45 PM
Tera Jaana Kuch Aisa Lag Raha Hai Junior_Ghalib Shayri-e-Dard 0 4th January 2006 02:41 PM
Yaad Aa Raha Hain Tera Pyaar** Shimul Hindi/Urdu Lyrics 0 22nd January 2005 08:12 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com