Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Gauhar-e-shayri.com

 
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
MaiN khushiyaN lekar aauNgi
Old
  (#1)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
MaiN khushiyaN lekar aauNgi - 9th December 2014, 08:36 PM

Arbab-e-sukhn, 'kanya bhroon hatya' (female foeticide) naam ka ek marz humare muashre ko khaaye ja raha hai..ek nanhi si guRiya, jo abhi iss duniya meiN nahi aayii hai, uska dard bayaan karne ki koshish pesh kar raha hooN.
Ilfaaz ka intekhhab itna baRhiya nahi hoga, lekin jazbaat ko paRhne ki koshish kijiyega. Aur apni besh qeemti aara'a zaroor rakhiyega.


MaiN nanhi si guRiya hooN, khushiyoN ki maiN puRiya hoon
HansuNgi hansaauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi
main khushiyaN le kar aauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi..

Par... ... ... ...

Yeh kya karne lage haiN log, mujhe pakaRne lage hain log
kyuN mujhe yeh maar rahe haiN, dekho toh dhikkaar rahe haiN
MaiN bhii jeena chahti hooN, par cheekh kise sunauNgi
main khushiyaN le kar aauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi

Taras mujh pe khaao maaN, papa ko samjhao maaN
Poore karuNgi saare sapne, garv kareNge mujh pe apne
Ek baar tum mauqa de do, ghar ka maan baRhaungi
maiN khushiyaN le kar aauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi

Dard sabhi ka jaanuNgi, kehna sab ka maanuNgi
Ooncha aapka sar hoga, khushiyoN bhara ghar hoga
Bete jo bhi karte hain woh sab kuchh kar dikhauNgi
main khushiyaN le kar aauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi

Koii toh sun lo meri pukaar, de do mujh ko thoRa sa pyar
Bhaiya ka khilona ho, ya phir chaandi sona ho
waada karti hooN sabhi se, haath na maiN lagauNgi
main khushiyaN le kar aauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi

Kya laRki hona gunaah hai, jo itni baRi sazaa hai?
SaanseiN meri rok rahe ho, zara bhi nahi soch rahe ho
Dard mujhe jo ho raha hai, kisko maiN sunauNgi
main khushiyaN le kar aauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi

Main.ne toh yeh socha thaa, jaise bhaiya chhota thaa
MaaN ki aaNkh ka taara thaa, daadi ko bhi pyara thaa
Waise he toh maiN bhi sab ki laadli ban jaauNgi
maiN khushiyaN le kar aauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi

MaaN tum bhi toh laRki ho, phir kyuN nahi samajhTi ho
LaRki he jab na hogi, duniya phir yeh kahaN hogi
Apne komal haaThoN se maiN khaana tumheiN khilauNgi

Jab bukhaar hoga tum ko, sar-maatha dabauNgi
Kuchh din apne saath toh rakh lo, phir parayii kehlauNgi
BooRhi jab tum ho jaogi, haal poochhne aauNgi
Waada karti hooN, tumhara dil kabhi na dukhauNgi
KhushiyoN ki maiN puRiya hooN, khushiyaN le kar aauNgi,
maiN khushiyaN le kar aauNgi.

SAGAR AASHNA


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
 

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com