Tu na tha mere mahr-o-wafa ke kaabil -
18th May 2009, 09:45 PM
Har pal chaaha tha tere liye ek naya aasmaan
Jeene ko uksaati rahi deke sau-sau bahaane
Raat saari jaagti thi tere liye zindagi ki duaaon main
Rab se maangti thi tere liye saare zamaane
Aaj wohi main hun wohi raat hai wohi tanhaai hai
Lekin aaj na woh baat hai na halaat hai na jazbaat hai
Jaagti hun tere yaad main lekin tadapti hun pal pal
Aaj maangti hun Rab se apne liye maut har pal
Teri bewafaai ne khoon rulaaya hai mujhe
Ab hogayi hun nidhaal gham ke bojh se
Ya to doob jaaungi is gham ke bhanwar main
Ya ubhar jaaungi zindagi ki nayi sehar main
Tay karega waqt kis ore mujhko jaana hai
Dafan karke tujhko aur teri har ik yaad
Waqt ke saanche main dhal jaaaungi main
Tujh se bohot door chali jaaungi main
Reh aayega tu bas ik kadwa pal bankar
Meri nas-nas main doorega zehar bankar
Nikaal dungi tujh ko apni zaat se ek din
Dafan kardungi tere har jazbaat ko ek din
Tu na tha mere mahr-o-wafa ke kaabil
Meri ghazlon-nazmon main ab tera zikar hoga
Bewafaai ke qisse sangdili ke fasaane honge
“Aarzoo” ke ashqon se likhe afsaane honge.
_NM_
[IMG] [/IMG]
|