Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Main Shayar to nahin .................
Old
  (#1)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
Main Shayar to nahin ................. - 13th January 2013, 10:08 AM

Dosto Namaskar, yeh meri 150th Post hai SDC per , socha ik naya kahyal pesh
karun. Umeed hai apko pasand ayega....

__________________________________________________ _________________
Main shayar to nahin per is galatfahmi mein jeeta hun,
Mujhme hai dard samaya hua aur apne Ashk peeta hun.

Main shayar to nahin per kabhi 2 bhavnao ke bhav mein beh jata hun,
Aur alfazon ke zariye bhav pravah karne ki koshish karta hun.

Main shayar to nahin per kabhi 2 jab dil pe chot main khata hun,
To vedna aur samvedna ko shabdon mein dhal kar likh deta hun.

Main shayar to nahin per jab mera dil machalta hai,
jazbaaton ke saath main chalta hun unhe ik aks main deta hun.

Main shayar to nahin per jab dil mein khumar aata hai ,
Ya mujhe kisi pe pyar aata hain main baith ke do shabd likh deta hun.

Main shayar to nahin per jab dil mein tarang si uthti hai,
Aur man mein nayi umang jagti hai bus kuch ashar kah dalta hun.

Main shayar to Nahin per Jab koi mujh pe prahar karta hain,
Aur koi apna hi waar karta hain wo dard siyahi se udelta hun.

Main shayar to Nahin per jab khud se anjaan main ho jaata hun,
To Apni penchann main dhundata hun aur ik nayi kavita likh dalta hun.




Sanjay Sehgal



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.

Last edited by Hamdam; 13th January 2013 at 10:57 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,796
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
13th January 2013, 10:17 AM

accha likha hai aapne sanjay jee, khaas baat ye hai kee aapne vo hee likha hai jo aapke dil mein hai....



एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
13th January 2013, 06:31 PM

Aru ji ,
bahut shukriya jo apne jahmat ki.

Sannay sehgal



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
20th January 2013, 02:29 PM

Meri is rachna pe thora twajo dein bhayi logo to bari meharbani hogi...

Main aaj tak is uljhan mein hun ki hum jo bhi likhte hain kya wo hamari effort hai,
ya phir flow ke saath apne aap ho jata hai....hum sirf kalam ya computer keys chalate hain,
thought process apne aap chalta jaata hai...

Kya aap log is pehlu per roshni dalenge , kyonki yahan is rachna mein meri tawajo is issue
per hai ki hum kuch nahin likhte , bas likha jata hai apne aap

regds
sanjay Sehgal



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
20th January 2013, 03:03 PM

Aadaab !
Sanjay Sehgal saHb , umeed hai app Khariyat se hoNge . dil mai uThy jazbaat , aHsaas , muhabbat , nafrat , shikayat , khayal , kasak waghera waghera ko lafzoN mai dhaal daina apny aap mai bahut baRi kalaa hai maharat hai . neechy aik post ka Hawaalah day raha hoN us per ghaur kijiye , samjhiye aik din app bhi yeh kalaa paa laiNge baShart^ e keh app meHnat karieN or lagan dikhaieN isko seekhny mai .

over all jazbaatoN ka aHsaasoN ka koi mol ya value naheeN hotee yeh anmol hoty haiN . appki koshish achi hai ager app neechy bayaan kijiye gaey basic rules ko bhi follow kar laiN to appke kalaam mai aur nikhaar aa jaey ga . is tereH appki koshish ko meHnat ko zyada se zyada log sarahieNge

mera yeh sab kehna ager appki dil aazaaree ka sabab ho to ma'zrat khuwah hoN , beshak app is post ko ignore ker sakty haiN .

meri taraf se daad Haazir hai , keep writing .
khush rahieN

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
Dear Readers.....

I'm writing this article for people who has always wondered about how a Ghazal is written.
Who are keen to know the technical side of Ghazal writing

Note that i'm only trying to pass this information to you based on what i had been taught.

What is a Ghazal...?
A Ghazal is a combination of :-

1.Beher (Meter
2.Radeef
3.Kafiya
4.Matla
5.Maktaa

1. What is Beher (Meter) ...?

Beher is the rhythm of a sheyr which compliments the connecting misra's (lines) of a ghazal...all the misra's in a sher and all the sheyrs in a ghazal has to follow the same beher. There are many different beher's and it demands serious studies to be understood.Apart from those set beher's a shayar can also creat his own beher as long as the sheyr is easy to recite and can be pronounced in rhythm n match the "wazan" of the ghazal..

2.What is Radeef...?

Radeef is the word(s) which ends the first two misra's and the second misra of every sheyr in a Ghazal.it is not necessary to use radeef in all the Ghazals...such Ghazals are called "gair-muraddaf" ghazals...but this is not what tradition allows...!!

Example of a Ghazal with radeef and kafiya :- (Abdul Hameed "adam")

phuuloN kii aarazuu meN baDe zaKhm khaaye haiN
lekin chaman ke Khaar bhii ab tak paraaye haiN

us par haraam hai Gam-e-dauraaN kii talKhiyaaN
jiske nasiib meN terii zulfoN ke saaye haiN


mahashar meN le gaii thii tabiyat kii saadagii
lekin baDe Khuluus se ham lauT aaye haiN


aayaa huuN yaad baad-e-fanaa unako bhii 'Adam'
kyaa jald mere siikh pe imaan laaye haiN


***here.."haiN" is the radeef of this Ghazal***




ai maigusaaro savere savere
Kharaabaat ke gird phere pe phere

(Abdul Hameed "adam")

here....radeef is missing...as last words of the sheyr are not same so its a "Ghair-muraddaf" ghazal...so radeef is that exact word or words that ends the first two lines and every second line of a ghazal...!!

3. What is Kafiya...?

Kafiya is that common sounding word that's used before "radeef"...for example in first ghazal mentioned above "khaaye".."paraaye"...."laaye" is the kafiya or should is say "aaye" is the kafiya because "aaye" is the sound that gives "wazan" to the radeef of the ghazal.

4.What is Matla...?

The very first sheyr or the first two misra's of a ghazal where radeef is used in both misra's is the "Matla" of a ghazal...!!

for example...

saaGar se lab lagaa ke bahut Khush hai zindagii
sahan-e-chaman meN aake bahut Khush hai zindagii


Matla is very necessary for the weight of a ghazal because the whole ghazal depends on kafiya and radeef used in the Matla.

5.What is Maktaa

Maktaa is the last sheyr of a ghazal where shayar use his "takhhallus" to leave his signature on his composition...A poet rather not have a maktaa rather than having a meaningless maktaa...its one of those finer points of shayri where shayar can express himself or his feelings or talk about anything using the rhythm of the ghazal...!!

example... ( Shakeel Badayuni ) :-

Khush huuN ki meraa husn-e-talab kaam to aayaa
Khaalii hii sahii merii taraf jaam to aayaa

log un se ye kahate haiN ki kitane haiN "Shakeel" aap
is husn ke sadaqe meN meraa naam to aayaa

.................................................


Dear friends...thsi article is far from complete as far as depth and rules of ghazal writing are concerned..each topic especially "beher" needs to be studied thoroughly if someone wants to understand this fine art of shayri.

These are just the basic points that someone needs to look at before writing or understanding a ghazal...if anyone have any questions at all..i'll be overwhelmed to answer...i have an advice for shayar's who has just begun to write and are serious about learning shayri....you NEED to find an ustad who can guide you...find someone whom you can show your compositons...who can explain each term step by step and seek an advice..coz there's a lot more...A LOT MORE..in shayri than you can imagine...!!

I'll try to post more articles like this...its an attempt to bring all shayri lovers more closer to the real picture of shayri.

On the closing Note i'd like to thank all my friends out there who have supported me with all their strength...!!


maikasH


__________________
mat poochiye kya shugl raha apna shab-e-gam
ye shama bhujhaai kabhi woh shama bhujaai

"har aansu" mein thi neelam si chamak ....par
afsos...ye dunyia hee ise na dekh paayi
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#6)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
23rd January 2013, 08:34 PM

Mujeeb Sahab,
Namaskar aur Adaab . Pehle to main apka ka shurguzar hun ki aapne samay nikaal kar meri (so called) ghazal paree aur phir aap ne Maikash sahinb ka thread bhi attach kiya jo main pehle bhi par chuka hun aur kah sakta hun ki main thora 2
aware hun ab is subject ke bare mein..Maine Zid sahib ka behar ke uupar likha thread bhi para ( thora samajh me aya bakee nahin samajh saka).
Main shayri ki pathshala mein bhi aap logon ko follow kar raha hun , per kya karun
urdu zubaan ke kayi lafz itne bhari bharkam hote hai ki meri samjh choti par jaati hai, phir bhi koshish jaari hai.

Bura na mane hazur to mere jaise unginat log presently bhi bebehar ghazal likh rahe hain..aur aap logo ka barappan hai ki aap log jante hain ko woh technicals se koso duur hain per phir bhi accept karte hain ..

But the question is who will guide such budding poets or shayars and point out
the errors so that they can learn and improwise..Like in one of the posts Ahmad Shakil Sahib commented in detail verse by verse of a budding poet and told him how to rectify and improvise..

Nahin to mere jasie budding poets apne kuen mein hi chalang lagate rah jayenge.

I wrote English Poetry some 25 years ago and thought that rhyme and rythem
are only needed to write poetry, After coming to SDC I got the platform to put
forth my hidden talent because herre I got the Ambience and atmosphere.

Now I want to learn and improvise but I can learn by myself..

If you have raised this isuue pls help us further in this matter.

Main aap ka tahe dil se shukrguzar hounga ..

with warm regards

Sanjay Sehgal
and where he was wrong and



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
23rd January 2013, 09:30 PM

Quote:
Mujeeb Sahab,
Namaskar aur Adaab . Pehle to main apka ka shurguzar hun ki aapne samay nikaal kar meri (so called) ghazal paree aur phir aap ne Maikash sahinb ka thread bhi attach kiya jo main pehle bhi par chuka hun aur kah sakta hun ki main thora 2 aware hun ab is subject ke bare mein
Aadaab !

jaan ker Khushee huwee ke app is mazmoon ko peRh chuky haiN or seekhnee ke khuwahish mand haiN .

Quote:
..Maine Zid sahib ka behar ke uupar likha thread bhi para ( thora samajh me aya bakee nahin samajh saka).
Zidd saHb apney app mai e'lm kar daryaa haiN , unse app bahut kuch seekh sakty haiN , awal to yehee kahoN ga ke kiyoN ke aik saath sab kuch seekhnaa kaafi kathin balkeh namumkin nazar aany lagtaa hai . appko jitna smajh aayaa ussey zehn nasheen rakhiye or jo naheeN smajh aaya usse doobara smajhny kee koshish kijiye , aur waisy bhee zidd saHb active member haiN to app direct un se bhi sawaal pooch sakty haiN jo smajh naheeN aa rahaa appkoo , app yaqeen kijiyee zidd saHb ko appki madad kerne mai beHad khushee ho gee or app ko woh mazeed asaan tareeqy se samjhaa daiNge .

Quote:
Main shayri ki pathshala mein bhi aap logon ko follow kar raha hun , per kya karun
urdu zubaan ke kayi lafz itne bhari bharkam hote hai ki meri samjh choti par jaati hai, phir bhi koshish jaari hai.
moHteram , ba'Z auqaat yeh hotaa hai keh woh lafz^ hamary liye to asaan hotaa hai mager dosroN ke liye mushkil or yehee hum per bhee lagoo hotaa hai jab hindee ka koi lafz (shabd) aa jaaey , ab jab is thread ka naam paTshaalaa rakhaa gaya to maiN lughat(dictionary) dekhny laga ke iska matlab kiya hotaa hai or yeh kiyoN bana gaya , per meree lughat mai iska zikr naheeN ha phir google kerne per pata chalaa ke paaTshaala madrasa , school keh kehty haiN ager mujhy google kerne se bhi na miltaa to yaqeenan mai kisi hindustaanee dost se poochta , to jo lafz^ appko smajh naheeN aata woh app bilaa jhijhak usi fard se pooch laiN jisne woh darj kiya is se appko to seekhny ko mily ga hee saath mai hum bhi seekhty rahieNgy or yehee baat hum per bhee laago hai

Quote:
Bura na mane hazur to mere jaise unginat log presently bhi bebehar ghazal likh rahe hain..aur aap logo ka barappan hai ki aap log jante hain ko woh technicals se koso duur hain per phir bhi accept karte hain ..
app mujhy bhee apnee hi list maiN shumaar ker laiN , SDC per app mere jitnee bhi koshishieN darj haiN sab ki sab bebeHr naheeN balkeh , us maiN appko qaafia or radeef ka bhi fault nazar aaye ga , aur ab tak ka meree koi bhee koshish beHr mai naheeN hai , but i am still learning.
aisa to mumkin thaa hee nahieN ke maiN aik raat ko so ker uThoo or aik urdu daan ban jaaoN , i can say you still write better than me at least you are trying seriously app mujhse acha likhty haiN , keep it up my friend

Quote:
But the question is who will guide such budding poets or shayars and point out the errors so that they can learn and improwise..Like in one of the posts Ahmad Shakil Sahib commented in detail verse by verse of a budding poet and told him how to rectify and improvise..
SDC per bahut achy achy shaa'ir maujood haiN , jaisy , dheer saHb maikash saHb , kshitiz saHb , masoodhassas saHb , zidd saHb waghera waghera .
jo dheery dheery appki iSlaaH kerty rahieNge . aur aik baat zarooree naheeN ke koi aik fard hee appko sab kuch sikhaaey , app ko jahaaN se bhee kuch seekhny ko miltaa hai usse apney pass meHfooz^ kerty jaaieN , qat^rah qat^rah mil ker daryaa ban jaaey ga


Quote:
Now I want to learn and improvise but I can learn by myself..
If you have raised this isuue pls help us further in this matter.
Main aap ka tahe dil se shukrguzar hounga ..
with warm regards

Sanjay Sehgal
app lagan aur meHnat ka sahaaraa laiN , kmayaabee appke saath rahegee
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#8)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
24th January 2013, 05:01 AM

shukriya Mujeeb Sahib,
Main apne sawaal shayri ki pathshala mein rakhunga aur gurudevon se guidance maanguga.

sanjay Sehgal



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com