Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Meri Maa mere ghar aati hai...........
Old
  (#1)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
Meri Maa mere ghar aati hai........... - 22nd April 2016, 06:34 PM

Kuch ajeeb sa he chalan hai iss duniya ka.............jahan bete ki maa bade garv aur bade chaav se apne bete ke ghar jaati hain wahin beti ki maa ek jhijhak ke saath bohut aupchaarikta ke sath beti ke ghar rukti hai agar kabhi ruk bhi jaaien to.............. usi ko apni iss kavita mein dhalne ki koshish ki hai ummeed hai pasand aayegi.

Sukh dukh mein sath nibhane ko wo mere paas aa jati hai
thoda sa ghabraati hai aur thoda hichkichaati hai

Meri Maa mere ghar aati hai...................

subah ki chaai banaane mein bhi kitna wo sakuchaati hai
Kahaan padi hai cheeni patti poochne mein sakuchaati hai

Meri Maa mere ghar aati hai...............

Khana main hi pakaungii...zidd par atak si jaati hai
kaam bata kya karna hai..kar ke hi chain wo paati hai

Meri Maa mere Ghar aati hai..........

bas-2 kitna khaungi main? keh kar ke aankh churaati hai
'Beti ka ghar' bol bol kar...mujhko kitna tadpaati hai

Shaam ko jab main thak jaati hu...sar par tel lagaati hain
god mein jab main sar rakh doon to dheere se sehlaati hai.

saari chinta saari fikrein hawaa mein ud si jaati hain
jab houle se paas aaker wo apne gale lagaati hai

Baccho ko wo paas bithakar....kisse roz sunaati hain
kabhi kabhi to unhe dekh kar naani ki yaad aati hai

kabhi jo laa du tohfa koi lene se katraati hain
duniya ki ye reet nahi hai ..roz mujhe samjhaati hain

Chaar paanch hi dino mein itni vyakul si ho jaati hai
kehti nahi par mujhe pata hai...bhai ki yaad sataati hai

Jaane ka din aa jata hai..jane kyu itni jaldi
abhi to aayi thi maa meri..abhi abhi dekho chal di..
Har baar wo waapas jaati hain to mujhko bohut rulati hain
Beti hoti hai kyu paraayi? sawaal chod kar jaati hai...

Meri maa mere ghar aati hai .............meri maa mere ghar aati hai..


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
22nd April 2016, 07:30 PM

Sukh dukh mein sath nibhane ko wo mere paas aa jati hai
thoda sa ghabraati hai aur thoda hichkichaati hai

Meri Maa mere ghar aati hai...................

subah ki chaai banaane mein bhi kitna wo sakuchaati hai
Kahaan padi hai cheeni patti poochne mein sakuchaati hai

Meri Maa mere ghar aati hai...............

Khana main hi pakaungii...zidd par atak si jaati hai
kaam bata kya karna hai..kar ke hi chain wo paati hai

Meri Maa mere Ghar aati hai..........

bas-2 kitna khaungi main? keh kar ke aankh churaati hai
'Beti ka ghar' bol bol kar...mujhko kitna tadpaati hai

Shaam ko jab main thak jaati hu...sar par tel lagaati hain
god mein jab main sar rakh doon to dheere se sehlaati hai.

saari chinta saari fikrein hawaa mein ud si jaati hain
jab houle se paas aaker wo apne gale lagaati hai

Baccho ko wo paas bithakar....kisse roz sunaati hain
kabhi kabhi to unhe dekh kar naani ki yaad aati hai

kabhi jo laa du tohfa koi lene se katraati hain
duniya ki ye reet nahi hai ..roz mujhe samjhaati hain

Chaar paanch hi dino mein itni vyakul si ho jaati hai
kehti nahi par mujhe pata hai...bhai ki yaad sataati hai

Jaane ka din aa jata hai..jane kyu itni jaldi
abhi to aayi thi maa meri..abhi abhi dekho chal di..
Har baar wo waapas jaati hain to mujhko bohut rulati hain
Beti hoti hai kyu paraayi? sawaal chod kar jaati hai...

Meri maa mere ghar aati hai .............meri maa mere ghar aati hai..


..sarika...kitni sahajta se tumne un sare bhavon ko laybaddh kar diya hai jinhe ham ladkiyaan kabhi maa ke samne vyaqt nahi kar pate....akhir tak aate aate aankhein bhar aayiin meri...maa ki hichak to shayad unki jagah pahunch kar hee samjh paungi main...par unke vyavhaar se dil me jo bhaav aate hain vo saaf nazar aaye tumhari kavita padhkar......

Kab se intzaar tha ki tum kuch likho..Der se hee sahi par Bahut bahut sundar rachna huyi hai...bahut sari shubhkamnayein...aise hee likhti raho..

Luv
Madhu.
.



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
23rd April 2016, 08:04 AM

Alfaaz nahi hai bataane ke liye ki in jazbaaton se aankhen nam ho gayi, yunhi likhti raho aur aati raho



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#4)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
28th April 2016, 07:17 AM

Sarika ji namaste,

Bohot hi sundar kavita likhi aapne..padh kar man bhar aaya......bhai hum to is baar apni sasu maa ko mahina bhar pakad kar rakhenge....jane hi nahi denge...taki unki bhi zhizhak nikal jaye.....bohot bohot badhiya kiya aapne is vishay par likh kar....
Dher sari shubhkamnaye

Aapka apna
Bhushan



Bhushan Joshi
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,796
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
29th April 2016, 07:28 AM

Sarika jee....bahut hee khoobsoorat aur pyaar se bara hua nagma hai aapka....pada.to padta hee reh gaya
Heartblowing...amazing ..simply superb...very nice creation....



एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Old
  (#6)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
18th May 2016, 08:42 PM

sarika jii aadaab.......... aaj achaanak se aapki is ghazal par merii nazar padee.... aur jo padhaa to bas usii me samaa gaya ... usi dard ke bhaav me doob sa gayaa...

bahut hi bareeki se aapne ise mahsoos kiyaa hai aur behad maarmik taur par likhaa hai....

sacche aur gahre jazbaaton se sajaa huaa kalaam hai ye..... likhte rahiye....

Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
27th June 2016, 07:30 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
Sukh dukh mein sath nibhane ko wo mere paas aa jati hai
thoda sa ghabraati hai aur thoda hichkichaati hai

Meri Maa mere ghar aati hai...................

subah ki chaai banaane mein bhi kitna wo sakuchaati hai
Kahaan padi hai cheeni patti poochne mein sakuchaati hai

Meri Maa mere ghar aati hai...............

Khana main hi pakaungii...zidd par atak si jaati hai
kaam bata kya karna hai..kar ke hi chain wo paati hai

Meri Maa mere Ghar aati hai..........

bas-2 kitna khaungi main? keh kar ke aankh churaati hai
'Beti ka ghar' bol bol kar...mujhko kitna tadpaati hai

Shaam ko jab main thak jaati hu...sar par tel lagaati hain
god mein jab main sar rakh doon to dheere se sehlaati hai.

saari chinta saari fikrein hawaa mein ud si jaati hain
jab houle se paas aaker wo apne gale lagaati hai

Baccho ko wo paas bithakar....kisse roz sunaati hain
kabhi kabhi to unhe dekh kar naani ki yaad aati hai

kabhi jo laa du tohfa koi lene se katraati hain
duniya ki ye reet nahi hai ..roz mujhe samjhaati hain

Chaar paanch hi dino mein itni vyakul si ho jaati hai
kehti nahi par mujhe pata hai...bhai ki yaad sataati hai

Jaane ka din aa jata hai..jane kyu itni jaldi
abhi to aayi thi maa meri..abhi abhi dekho chal di..
Har baar wo waapas jaati hain to mujhko bohut rulati hain
Beti hoti hai kyu paraayi? sawaal chod kar jaati hai...

Meri maa mere ghar aati hai .............meri maa mere ghar aati hai..


..sarika...kitni sahajta se tumne un sare bhavon ko laybaddh kar diya hai jinhe ham ladkiyaan kabhi maa ke samne vyaqt nahi kar pate....akhir tak aate aate aankhein bhar aayiin meri...maa ki hichak to shayad unki jagah pahunch kar hee samjh paungi main...par unke vyavhaar se dil me jo bhaav aate hain vo saaf nazar aaye tumhari kavita padhkar......

Kab se intzaar tha ki tum kuch likho..Der se hee sahi par Bahut bahut sundar rachna huyi hai...bahut sari shubhkamnayein...aise hee likhti raho..

Luv
Madhu.
.
shukriya madhu pasandgi ke liye..............

deri se jawaab ke liye muafi chahti hu..........


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
27th June 2016, 07:31 PM

Quote:
Originally Posted by mast View Post
Alfaaz nahi hai bataane ke liye ki in jazbaaton se aankhen nam ho gayi, yunhi likhti raho aur aati raho
thank you anu......................


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
27th June 2016, 07:33 PM

Quote:
Originally Posted by bhushan View Post
Sarika ji namaste,

Bohot hi sundar kavita likhi aapne..padh kar man bhar aaya......bhai hum to is baar apni sasu maa ko mahina bhar pakad kar rakhenge....jane hi nahi denge...taki unki bhi zhizhak nikal jaye.....bohot bohot badhiya kiya aapne is vishay par likh kar....
Dher sari shubhkamnaye

Aapka apna
Bhushan
aap ka message padh kar achanak chehre par muskaan aa gayi.............

chalo acha hai saasu maa ke banaye lazeez pakwaan khane ka apko bhi mouka milega.........khate hue mujhe yaad karna mat bhoolna...


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
27th June 2016, 07:36 PM

Quote:
Originally Posted by aru View Post
Sarika jee....bahut hee khoobsoorat aur pyaar se bara hua nagma hai aapka....pada.to padta hee reh gaya
Heartblowing...amazing ..simply superb...very nice creation....
Thank you Aru ji

and sorry for replying late actually bohut dino se aayi hi nahi.

yunhi aate rahiye aur housla badaate rahiye.


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
29th June 2016, 11:28 PM

Quote:
Originally Posted by masti View Post
Kuch ajeeb sa he chalan hai iss duniya ka.............jahan bete ki maa bade garv aur bade chaav se apne bete ke ghar jaati hain wahin beti ki maa ek jhijhak ke saath bohut aupchaarikta ke sath beti ke ghar rukti hai agar kabhi ruk bhi jaaien to.............. usi ko apni iss kavita mein dhalne ki koshish ki hai ummeed hai pasand aayegi.

Sukh dukh mein sath nibhane ko wo mere paas aa jati hai
thoda sa ghabraati hai aur thoda hichkichaati hai

Meri Maa mere ghar aati hai...................

subah ki chaai banaane mein bhi kitna wo sakuchaati hai
Kahaan padi hai cheeni patti poochne mein sakuchaati hai

Meri Maa mere ghar aati hai...............

Khana main hi pakaungii...zidd par atak si jaati hai
kaam bata kya karna hai..kar ke hi chain wo paati hai

Meri Maa mere Ghar aati hai..........

bas-2 kitna khaungi main? keh kar ke aankh churaati hai
'Beti ka ghar' bol bol kar...mujhko kitna tadpaati hai

Shaam ko jab main thak jaati hu...sar par tel lagaati hain
god mein jab main sar rakh doon to dheere se sehlaati hai.

saari chinta saari fikrein hawaa mein ud si jaati hain
jab houle se paas aaker wo apne gale lagaati hai

Baccho ko wo paas bithakar....kisse roz sunaati hain
kabhi kabhi to unhe dekh kar naani ki yaad aati hai

kabhi jo laa du tohfa koi lene se katraati hain
duniya ki ye reet nahi hai ..roz mujhe samjhaati hain

Chaar paanch hi dino mein itni vyakul si ho jaati hai
kehti nahi par mujhe pata hai...bhai ki yaad sataati hai

Jaane ka din aa jata hai..jane kyu itni jaldi
abhi to aayi thi maa meri..abhi abhi dekho chal di..
Har baar wo waapas jaati hain to mujhko bohut rulati hain
Beti hoti hai kyu paraayi? sawaal chod kar jaati hai...

Meri maa mere ghar aati hai .............meri maa mere ghar aati hai..

wah wah sarika jee kamaal kar diya kya chitr khecha hai
aapne sahi chot hai yeh un sanskaron pe jo ab badlne hi
chahiye.........radhe radhe


Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com