<>*Ek Dost Hua Karta Tha..*<>
Ek dost hua karta tha
Sang hasta sang rota tha
Meri pal bhar ki udaasi me
Wo apna kasoor dekhta tha
Meri ankahi baaton ko
Bin kahe samjh leta tha
Meri palkon ki nami ko
Apni hatheli me samet leta tha
Ek dost hua karta tha
Jiske maasoom se sapne the
Jo wo mujhe sunaya karta tha
Apni mast baaton se
Raaton ko jagaya karta tha
Ek dost hua karta tha
Jo dosti k liye jeeta tha
Doston ko apna
Guroor kaha karta tha
Par na jane kyun
Ek baat par wo rooth gaya
Wo dost mujhse safar me
Pichhe kahin chhoot gaya
Wo ab bhi bht yaad aata hai
Is dil ko ab bhi bht bhaata h
Uski pyar bhari baaton se
Ab bhi jeena sikhata hai
Wo pas nahi mere fir bhi
Mere sath wo har pal rehta hai
Meri bheegi palkon me wo
Ab nami banke palta hai...!!!!