Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
saath beete huve lamhaat bahut yaad aaye(nayi ghazal)
Old
  (#1)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Post saath beete huve lamhaat bahut yaad aaye(nayi ghazal) - 16th June 2002, 01:32 AM

Salaam Dosto!!

Ek taza tareen ghazal likhi hai jo islaah ke baad yahaN pesh kar rahi hooN...hamesha ki tarah aap logoN ki ray ka intizaar rahega..

To ghazal haazir hai....



saath beete huve lamhaat bahut yaad aaye
haN vo bikhre huve zarraat bahut yaad aaye

bhoolna chaheiN to har baat bhuladeiN laikin
yaad aaye hai to har baat bahut yaad aaye

jin khyaloN se mera jism mehek uThta tha
vo machalte huve jazbaat bahut yaad aaye

tum bhi na bhool sake hoge vo lamhe janaN
mujhko bhi pehli mulaqaat bahut yaad aaye

jab bhi shahnaayi ki awaaz suni kanoN ne
vo mere mehndi lage haat bahut yaad aaye

jo mere ho ke bhi apna na sake the mujhko
phir 'shumaila' wahi halaat bahut yaad aaye



Muntazir,
Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Uday
Registered User
Uday is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 72
Join Date: Jul 2001
Rep Power: 23
Thumbs up 16th June 2002, 06:53 PM

waah waah shaumilaa ji!
Aap ki shayri din ba din aur bhi dilkash hoti chali jaa rahi hai!
bahot khub,kamaal ki nazm likhi hai aapney!
aapki agli gazal kaa intezaar hai!

Is nacheez ki ek guzareesh hai aapsey
Zarraat kaa matlab bataa dijiye,meri urdu itni achhi naa honey ke karan samaz nahi sakaa,gustaakhi maaf ho!


jai bharat
   
Reply With Quote
MASHA ALLAH .... chashm-bad door
Old
  (#3)
kashmiri
Registered User
kashmiri is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 59
Join Date: May 2002
Location: saudi arabia / uk
Rep Power: 22
Thumbs up MASHA ALLAH .... chashm-bad door - 16th June 2002, 08:50 PM

ASSALAMU ALIKUM SHUMAILA BAJI ..

KESI HO ? UMMID HE KHERIYYAT HO GEE ...

AAPKI NAI GHAZAL PARI YAQEEN KIJEYE BUHUT PASAND I ..
LAGTA HE KISI NE AAPKO GEHRI CHOOT DI HE ..... AAPKE JAZBAT KI MUKAMMAK AKKASI IN ASHAAR MEn NAZAR AATI HE ...

CHUNANCHE AAP ASHKBAARI KARTI HEn .....

saath beete huve lamhaat bahut yaad aaye
haN vo bikhre huve zarraat bahut yaad aaye
> wah ji wah ........<

AAP APNI MARZI KE MUTABIQ APNI ZINDAGEE GUZAR TI HEn ..MAGAR MAHBOOB NE KUCH AISA JADO KIA HE KE AAP OSKI HAR BAT YAD RAKHTI HEn YANI MAHBOOB KE MUAMALE MEn AAP BE IKHTIYAR HEn ..

bhoolna chaheiN to har baat bhuladeiN laikin
yaad aaye hai to har baat bahut yaad aaye
KHOOB KAHA ....

AAP IQRAR KARTE HOWE KEHTI HEn ....
tum bhi na bhool sake hoge vo lamhe janaN
mujhko bhi pehli mulaqaat bahut yaad aaye
WAH .....KHOOOB KAHA ...

jab bhi shahnaayi ki awaaz suni kanoN ne
vo mere mehndi lage haat bahut yaad aaye
LA JAWAB HE .....LA JAWAB HE ...


AAP APNI MAZI PAR AAnSOn BAHATI HEn .....
jo mere ho ke bhi apna na sake the mujhko
phir 'shumaila' wahi halaat bahut yaad aaye

KHOOOB SHUMAILA BAJI KHOOB ...

MASHA ALLAH BUHUT PEYARI GHAZAL HE ....
OR HAn SATH SATH YE BHI AAPKO KEHDOn KE AAP ZEADA ZEYADA URDU ADAB PARNE KI KOSHISH KAREn ..... OR URDU ADAB KE JO MUHAWARAT HEn ... ON PAR BHI ZOOR DEn ..

FAQAT
KHAKSAAR ,

SAGAR KASHMIRI
  Send a message via Yahoo to kashmiri  
Reply With Quote
kamal hai aapka... sach...
Old
  (#4)
amin muztar
Registered User
amin muztar is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 14
Join Date: May 2002
Location: Manchester, UK
Rep Power: 0
kamal hai aapka... sach... - 17th June 2002, 04:57 AM

salam-o-aadaab,

mujh haqeer ki janib se mubrakbad awwalan qabool kijiye itni achhooti nazam par...

sach kehta hun, aapke baaz ashaar dil ki gehraiyon ko chho kar nikal jate hain...

mujhe apni mahroomi ka shiddat se ehsas ho jata hai ki itne saade aur be takalluf andaz mein itne ba ma'na aur sales alfaz mein itni gehre aur fitri jazabaat au khayalat ka izhaar... buzurgon ki istilah mein isko 'karamat' keh sakte hain...

main aapki yeh ghazal padh hi raha tha ke mera ek saathi (bichara mazloom-e-ishq hai. haalaat se majboor hokar apne mahboob se wasl ka muntazir hai..) aa gaya... main ne uske munasib-e-haal hone ki wajah se ghazal use padh kar sunai... to tabsara bhi usi ke alfaaz mein...

"tum is kehne wale se keh do ki itni QAATIL nazmen na kaha karen... kahin ham diljalon ki nazar chadh jayengi to tabahi mach jayegi..."

Khair yeh to unki rai thi... usko wahi zyada samajh sakte hain... magar mujhe to aapke kalam mein khayalat ke is ajeeb se sangam ne bokhla diya hai...

masalan.. ek hi sher mein mayusi bhi nazar aati hai aur usi ko doosri nazar se dekha jae to ummeed ki halki si kiran door ufaq par tabinda nazar aati hai... aapki is ghazal ka taqreeban har sher isi tarah he...

saath beete huve lamhaat bahut yaad aaye
haN vo bikhre huve zarraat bahut yaad aaye

bhoolna chaheiN to har baat bhuladeiN laikin
yaad aaye hai to har baat bahut yaad aaye

jin khyaloN se mera jism mehek uThta tha
vo machalte huve jazbaat bahut yaad aaye

tum bhi na bhool sake hoge vo lamhe janaN
mujhko bhi pehli mulaqaat bahut yaad aaye

haan, iske baad ke sheron mein ek pehlu bhari ho jata hai...

jab bhi shahnaayi ki awaaz suni kanoN ne
vo mere mehndi lage haat bahut yaad aaye

aur maqta, wallah, qatil hi to hai...

jo mere ho ke bhi apna na sake the mujhko
phir 'shumaila' wahi halaat bahut yaad aaye

kitni tadap, kitni umang, kitna gila hai is aakhri sher mein... mein kya bayan karun?

by the way, ghazal badi pasand aayi... aur samajhta hun ke aap se mazeed ki talab is forum ke naate se apna haqq hai... please, phir se apni aisi hi koi umda takhleeq jald pesh kijiyega...

hamein khushi hogi... aur sheron mein poshheeda khayalat ko kuredne ka mauqa milega woh bonus... khair, bahr wagheira par tabsara to hamare asaatiza aur fankaron ke zimme, ham jahil to inhi ehsasat ki dunya mein bhatakte hain, inhi par tabsara bhi karenge...

chalein, phir milenge...

khuda hafiz..

amin muztar


ujaale apni yaadoN ke hamare saath rehne do
na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaaye
   
Reply With Quote
Shukriya Uday!!
Old
  (#5)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Shukriya Uday!! - 17th June 2002, 06:31 PM

Quote:
Originally posted by Uday
waah waah shaumilaa ji!
Aap ki shayri din ba din aur bhi dilkash hoti chali jaa rahi hai!
bahot khub,kamaal ki nazm likhi hai aapney!
aapki agli gazal kaa intezaar hai!

Is nacheez ki ek guzareesh hai aapsey
Zarraat kaa matlab bataa dijiye,meri urdu itni achhi naa honey ke karan samaz nahi sakaa,gustaakhi maaf ho!
Bahut bahut shukriya hamari ghazal pasand farmaane ke liye!!Ye hamari khsuhnaseebi hai ki aap chahe apna koi kalaam na post kareiN magar aap hum jaisoN ki ghazloN pe apni ray dena nahi bhoolte haiN..Thanx a lot!! magar bhai kabhi hame bhi to aapki taraf se kuch sunne ka mauqa deiN...

Zarrat jo hai woh zarraa ka plural hai aur zarraa ka matlub hota hai MINUTE PARTICLE ya PIECE so zarraat means PIECES,DUST ,MINUTE PARTICLES...I hope aap ko ab samajh aa gaya hoga


DuaooN ke saath,
Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Bohat khoob Shumaila ji
Old
  (#6)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Thumbs up Bohat khoob Shumaila ji - 17th June 2002, 07:21 PM

Adaab Shumaila ji

Aapki taza ghazal padhkar bahut hi achcha laga. Khaas taur par ye dekh kar ke aapke sukhan mein ek ravani aane lagi hai. Kyunke waise bhi aapke paas khoobsoorat khayalaat to haiN hi, islah ne unmeiN jadoo jaga diya hai. Aapne bahut achcha kaha hai Shumaila ji.

Kuch khaas sheroN ne bada mutassir kiya, maslan -

saath beete huve lamhaat bahut yaad aaye
haN vo bikhre huve zarraat bahut yaad aaye
---- bahut khoob matla hai.

bhoolna chaheiN to har baat bhuladeiN laikin
yaad aaye hai to har baat bahut yaad aaye
---- bahut achchey

tum bhi na bhool sake hoge vo lamhe janaN
mujhko bhi pehli mulaqaat bahut yaad aaye
----- khoob!

jab bhi shahnaayi ki awaaz suni kanoN ne
vo mere mehndi lage haat bahut yaad aaye
---- khoob soorat hai aur bada hi gehra khayal hai.

jo mere ho ke bhi apna na sake the mujhko
phir 'shumaila' wahi halaat bahut yaad aaye
----- waah kya jazbaat haiN aur maqte ke liye ekdum fit.

dua hai ke aapka andaaz-e-sukhan din-b-din yuN hi nikharta jaaye aur aap apne umda kalamoN se hameiN mehzooz karti raheiN.

bahut achche
Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Thanx Sagar!!!
Old
  (#7)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Thanx Sagar!!! - 18th June 2002, 03:06 AM

Bhai sagar itni taareef karke to tumne hume lajawaab hi kar diya Kitni detail meiN tumne meri ghazal ke ashaar pe tabsira kiya hai...bas kya kaheiN humne yahaN sirf shayri nahi likhi magar apni zindagi ki haqeeqat bayaan ki hai...

Khair bahut bahut shukriya hausla afzaii ke liye..waise aap bhi kuch kam nahi likhte..bahut khoob likhte ho..Keep it up!!

DuaooN meiN yaad rakhna,

K'hafiz,
Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Adaab Amin !!
Old
  (#8)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Adaab Amin !! - 18th June 2002, 03:23 AM

Kaise haiN aap?? Pehle to sagar ne aur ab aapne hume lajawaab kar diya Jis darya dili se aapne hamari ghazal pe apne tassurat pesh kiye haiN..dil ko chuu lene wale haiN....aapne farmaaya ke..

>>mujhe apni mahroomi ka shiddat se ehsas ho jata hai ki itne saade aur be takalluf andaz mein itne ba ma'na aur sales alfaz mein itni gehre aur fitri jazabaat au khayalat ka izhaar... buzurgon ki istilah mein isko 'karamat' keh sakte hain...<<

Aap ne to itni baDi baat kehke hume sharminda hi kar diya...Ji kya kareiN hum bas saade alfaazoN meiN apne dil ke ehsaasat ko bayaaN karne ki koshish karte haiN kyoNki hume aap ki tarah itni acchi urdu nahi aati hai na ....aur ye hi wajah hai ki meri ghazloN har kisi ko araam se samajh meiN aa jati hai kyoNki mai bahut simple alfazoN ka istimaal karti hooN aur zyaadatar to rozmarra ke bolchaal wale lafz

Aapne mere har sher ko baDe gaur se paRha aur samjha aur jis sher pe aake aap ruke aur aap ko us sher ka pehlu bhari laga to sach kahooN to poori ghazal usi ek sher pe based hai...us sher meiN meri zindagi ki sacchaii chupi hai!!

Khair itni taareef aur hauslaa afzaii ka ek baar phir shukriya!!

DuooN ke saath,
Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
W'Adaab Janaab!
Old
  (#9)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Thumbs up W'Adaab Janaab! - 18th June 2002, 03:30 AM

Kaise haiN Praveen ji ..hume maloom hai ki aap bahut mashgool rehte haiN phir bhi aap waqt nikal kar zaroor aate haiN is mehfil meiN...uske liye behud shukriya

Aapne jis pyaar se meri ghazal ko saraha hai uske liye dil ki ghehraiyoN se shukriya kabool kareiN!

Aate rahiye aur yuhiN mehfil sajate rahiye!!

Dua go,
Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
dastak
Registered User
dastak will become famous soon enoughdastak will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 91
Join Date: Mar 2002
Rep Power: 24
Thumbs up 20th June 2002, 08:00 PM

shumaila jee apke kalam waqai kabile tarif hain..umeed karte hain aap aagee bhi es tarah ke dil koo lubhane wali gazal lekhtee rahengi.......
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Pyarali Rajan
Registered User
Pyarali Rajan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 403
Join Date: Oct 2001
Location: Copenhagen, Denmark
Rep Power: 23
21st June 2002, 04:30 PM

Shumailaji,

Hamesh ki tarah phir sey aapney bahot hi dil ko bha janey wali ghazal likhi hai- yakeenen aap ek bahot hi "Super" Shayra ban chuki hai- Meri duae'n hamesha aapkey saath rahegi-

Rajan


cool
   
Reply With Quote
Salaam!!
Old
  (#12)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Salaam!! - 21st June 2002, 06:02 PM

Quote:
Originally posted by dastak
shumaila jee apke kalam waqai kabile tarif hain..umeed karte hain aap aagee bhi es tarah ke dil koo lubhane wali gazal lekhtee rahengi.......
Tah-e-dil se shukriya Dastak hausla afzaaii ke liye!

Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Namaste Rajan jii!!
Old
  (#13)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Namaste Rajan jii!! - 21st June 2002, 06:29 PM

Quote:
Originally posted by Pyarali Rajan
Shumailaji,

Hamesh ki tarah phir sey aapney bahot hi dil ko bha janey wali ghazal likhi hai- yakeenen aap ek bahot hi "Super" Shayra ban chuki hai- Meri duae'n hamesha aapkey saath rahegi-

Rajan
Arey janaab baDe arse baad dikhayi diye. Aap hamesha meri ghazleiN pe apni ray pesh karte haiN..hum to aapke ehsanmand haiN....aap ne is ghazal ko bhi saraha..meri khushkismati...

Humne ek aur ghazal bhi post ki hai "Aye dil Khuda..." Uspe bhi nazar-e-karam farmaaiyega agar waqt ho to!!

Bahut Shukriya ek baar phir

Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Mahek
Registered User
Mahek will become famous soon enoughMahek will become famous soon enough
 
Mahek's Avatar
 
Offline
Posts: 166
Join Date: May 2002
Location: US
Rep Power: 24
3rd July 2002, 03:01 AM

adaab shumaila-jee - bahut dinon ke baad aapki ghazal pardhi hain - aur humesha ki tarah bahut luft huwa - in sheron par aap humari mubarakbaad qubool farmaaye :

bhoolna chaheiN to har baat bhuladeiN laikin
yaad aaye hai to har baat bahut yaad aaye

jin khyaloN se mera jism mehek uThta tha
vo machalte huve jazbaat bahut yaad aaye

jab bhi shahnaayi ki awaaz suni kanoN ne
vo mere mehndi lage haat bahut yaad aaye

jo mere ho ke bhi apna na sake the mujhko
phir 'shumaila' wahi halaat bahut yaad aaye

- bahut khoob - lekhte rahiyega -
- Mahek -


zindagI jab bhI terI bazm mein LAtI hai hamein
ye zamIn chAnd se behatar nazar AtI hai hamein

surkh phUlon se MAHEK uThatI hain dil kI rAhen
din Dhale yUN terI AvAz bulAtI hai hamein
----------------------------------------------
taeray Gham ki KhuShbu say jism-o-jaaN MAHEK uTThay
saaNs ki havaa jab bhi Choo kay maeray lab guzri

aek saath reh kay bhi, door hi rahay ham bhi
dhoop aur Chaa'ooN ki dosti ajab guzri
  Send a message via Yahoo to Mahek  
Reply With Quote
Thanx!
Old
  (#15)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Thanx! - 6th July 2002, 07:16 PM

Thanx a lot mehek for ur appreciation

Hausla afzaii ka dil se shukriya....DuaooN ke saath!

Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Bahot achchhe....
Old
  (#16)
Aas_Sea
Registered User
Aas_Sea is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 19
Join Date: Aug 2001
Location: Gujarat
Rep Power: 0
Thumbs up Bahot achchhe.... - 7th July 2002, 06:23 PM

VO AAP KE NA HUE TO KYA HUA......JO YAAD AAYA UTNA HI BAHOT HAI...JO LAMHE SAATH BITE UTNA ZINDAGI KE LIYE KAFI HAI.....AISA NAHI LAGTA AAPKO SHUMAILA JI?

REALLY NICE GHAZAL....AAP KE JASBATON KO BAKHUBI LABZON ME UTARA HAI.....LET THEM BE THE POWER FOR YOU...THEY ARE REALLY VALUABLE....UNKO MEHFOOZ RAKHIYEGA BESHKIMATI HAIN VO...

CHALIYE...ABHI KE LIYE KHUDA HAFIZ....


SHUKRIYA ITNI ACHCHHI GHAZAL KE LIYE..SHABBA KHAIR


-AAS.....SEA....


Kisi nazar ko tera intezar aaj bhi hai.....

Last edited by maikasH; 8th July 2002 at 10:00 PM..
  Send a message via Yahoo to Aas_Sea  
Reply With Quote
Navazish!
Old
  (#17)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Navazish! - 10th July 2002, 05:08 PM

Bahut shukriya Aas ji hamari ghazal paRhne aur use pasand karne ke liye!!aur apne khayaloN ko bayaN karne ke liye ..aapne kaha ke "VO AAP KE NA HUE TO KYA HUA......JO YAAD AAYA UTNA HI BAHOT HAI...JO LAMHE SAATH BITE UTNA ZINDAGI KE LIYE KAFI HAI.....AISA NAHI LAGTA AAPKO SHUMAILA JI?"

Ji bilkul lagta hai...magar ye kambhakht dil ko bhala kaun samjhaye jo dil toDne wale ko bhi dil se yaad karta hai....waise bhi insaan ke liye nothing is enough...use to aur aur chahiye hota hai..kab uski khwaahishat poori hoti hai...hain ki nahi...

Baqol GHALIB....

HazaroN khwaaisheiN aisi ke har khwaaish pe dam nikle
bahut nikle mere dil ke armaaN magar phir bhi kam nikle!!!

(kuch aage peche ho gaya ho to muaff kijiyega!)

Khair,Hausla afzaii ka ek baar phir shukriya!!

Regards,
Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
ghalab ka sher durust kar lijiye
Old
  (#18)
barrun_jawed
adna sa sukhanwar
barrun_jawed will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 22
Join Date: Jul 2002
Location: kanpur india
Rep Power: 0
ghalab ka sher durust kar lijiye - 10th July 2002, 07:04 PM

aadab shumaila ji,

bahot bahot mubarak ho itni badi shyara ban gayin hain aap ke ab aap ko sar utha ke dekhna padega. aap ka kalaam mashaallah tareef ke kaabil hai mere jaisa to bas yehi keh sakta hai
umar main aap humse badi hain isliye maafi chahta hoon is ghustakhi ki, par asad ullah khan ghalib ka sher aapne thoda sa badal diya

sher zara yun hai

HazaroN khwaaisheiN aisi ke har khwaaish pe dam nikle
bahut nikle mere dil ke armaaN "lekin" phir bhi kam nikle!!!

bas " " yahin apne galti ki thi

i again apologise.

anyways allahhafiz



ishq ne humko shayar bana diya, warna aadmi humbhi the kaam ke
 Send a message via ICQ to barrun_jawed Send a message via Yahoo to barrun_jawed  
Reply With Quote
Old
  (#19)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
10th July 2002, 09:10 PM

barrun sahab

ghalti to shumaila bibi ne do-jagah aur ki hai jo ki aapki nazar se bhi pinhaaN reh gayi

aapne ghaalib miyaaN ke she'r ko durust to kiya go muqammal durust nahiiN kar paaye.....lijiye she'r phir se mulaiizaa kijiye

hazaaroN khwaahisheN aisiiN ki har khwaahish pe dam nikle
bohat nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle

is she'r men lafz-e-armaan ko "armaan" hi paDha jayega...."armaaN" nahiiN....... aur asl she'r meiN lafz-e-"dil" ka kahiiN zikr nahiiN hai....!!

aadaab
maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#20)
barrun_jawed
adna sa sukhanwar
barrun_jawed will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 22
Join Date: Jul 2002
Location: kanpur india
Rep Power: 0
10th July 2002, 10:27 PM

ama sahab ispar meri nazar nahin gayi thi waise mujhe sher achii tarah yaad tha par "dil" ka istimaal bhi hai yeh maine gaur nahin kiya tha

ji beshak humne bhi galti ki, allah marhoom ghalib chacha ko jannat nasib kare (bade purane saathi the apne)

galti ke aejaaz main chacha jaan ke kuch sher hain jo yahan lana chahunga

ye masaail-e-tasavvuf, ye teraa bayaan 'Ghalib'
tujhe ham walii samajhate, jo na baadaa_Khvaar hotaa

---------------------------------------

ham_peshaa-o-ham_masharab-o-ham_raaz hai meraa
'Ghalib' ko buraa kyo.N kaho achchhaa mere aage

---------------------------------------



ishq ne humko shayar bana diya, warna aadmi humbhi the kaam ke

Last edited by barrun_jawed; 10th July 2002 at 10:59 PM..
 Send a message via ICQ to barrun_jawed Send a message via Yahoo to barrun_jawed  
Reply With Quote
Old
  (#21)
imroz
Registered User
imroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 16
Join Date: Jul 2002
Location: Hyderabad (india)
Rep Power: 0
Thumbs up 11th July 2002, 01:38 PM

Assalamualaikum !

Waise pahli baar yahan shayri.com mein aya hoon. Sher mein kehta nahi hoon magar mughe sher sunne ka bada shoukh hai.

Aapne jo likha woh padhkar aapki sonch aur yaade mazi ka bharpoor nakhsa samne aya hai. Han yeh sach hai zindagi mein kuch lamhein ayse bhi hote hain jisko chahte huwe bhi bhulana mushkil sa hojata hai. Ab isko zindagi ka sarmaya hi samagh kar rakhlene mein hi bhalai hai. Ek baat zaroor hai acchi shayer tabhi mumkin hai jab koi is daur sae guzarta hai. Kisi ne khoob kaha hai

SHIKAN SHIKAN TERI YADEIN HAIN MERE BISTAR KI
GAZAL KE SHER NAHI KARWATEIN HAIN SHAB BHAR KI


Imroz
   
Reply With Quote
Shukriya!
Old
  (#22)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Shukriya! - 11th July 2002, 06:08 PM

Quote:
Originally posted by barrun_jawed
aadab shumaila ji,

bahot bahot mubarak ho itni badi shyara ban gayin hain aap ke ab aap ko sar utha ke dekhna padega. aap ka kalaam mashaallah tareef ke kaabil hai mere jaisa to bas yehi keh sakta hai
umar main aap humse badi hain isliye maafi chahta hoon is ghustakhi ki, par asad ullah khan ghalib ka sher aapne thoda sa badal diya

sher zara yun hai

HazaroN khwaaisheiN aisi ke har khwaaish pe dam nikle
bahut nikle mere dil ke armaaN "lekin" phir bhi kam nikle!!!

bas " " yahin apne galti ki thi

i again apologise.

anyways allahhafiz
Salaam barrun ji!!

Ye kya keh rahe haiN ..aap ne to hume sharminda hi kar diya..wallah hum koi baDi shayra nahi haiN..balki nau seekhiya haiN..abhi to ghazleiN likhna shuru kiya hai....baDa hona to door ki baat hai... Waise SHUKRIYA ke aapko hamari ghazal pasand aayi...

aur ye kya?? Muaffi to hume maaNgni chahiye ke maine GHALEB chacha ka sher post karte waqt ghalti kar di..mai bahut sharminda hooN......I'm really sorry!! Thanx for pointing it out!!

Regards,
Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Thanx for correcting me again!!
Old
  (#23)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Thanx for correcting me again!! - 11th July 2002, 06:21 PM

Quote:
Originally posted by maikasH
barrun sahab

ghalti to shumaila bibi ne do-jagah aur ki hai jo ki aapki nazar se bhi pinhaaN reh gayi

aapne ghaalib miyaaN ke she'r ko durust to kiya go muqammal durust nahiiN kar paaye.....lijiye she'r phir se mulaiizaa kijiye

hazaaroN khwaahisheN aisiiN ki har khwaahish pe dam nikle
bohat nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle

is she'r men lafz-e-armaan ko "armaan" hi paDha jayega...."armaaN" nahiiN....... aur asl she'r meiN lafz-e-"dil" ka kahiiN zikr nahiiN hai....!!

aadaab
maikasH
Bahut shukriya maikasH sahab for pointing out my mistake..maine jaldi meiN sher likha tha isliye mujhe shaq tha ki koi ghalti hogi....I'm thankful to u and barrun for poiting it out to me...I apologise once again for making this blunder!!

maikasH sahab aap haamri is ghazal tak aa gaye magar bina hamari ghazal pe comments diye chup chap chale gaye....hamara to dil hi TOOT gaya.... aaj tak hamesha aap ne haamri hausla afzaii ki hai...kya humse koi ghalti ho gayi....ya aap humse naraaz haiN kisi baat pe..agar aisa hai to hume muaaff kar dijiyega....shayad anjaane mein aapko meri koi baat buri lag gayi ho for which I'm sorry!!!

Adaab,
SHumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
W'salaam!!!
Old
  (#24)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile W'salaam!!! - 11th July 2002, 06:30 PM

Quote:
Originally posted by imroz
Assalamualaikum !

Waise pahli baar yahan shayri.com mein aya hoon. Sher mein kehta nahi hoon magar mughe sher sunne ka bada shoukh hai.

Aapne jo likha woh padhkar aapki sonch aur yaade mazi ka bharpoor nakhsa samne aya hai. Han yeh sach hai zindagi mein kuch lamhein ayse bhi hote hain jisko chahte huwe bhi bhulana mushkil sa hojata hai. Ab isko zindagi ka sarmaya hi samagh kar rakhlene mein hi bhalai hai. Ek baat zaroor hai acchi shayer tabhi mumkin hai jab koi is daur sae guzarta hai. Kisi ne khoob kaha hai

SHIKAN SHIKAN TERI YADEIN HAIN MERE BISTAR KI
GAZAL KE SHER NAHI KARWATEIN HAIN SHAB BHAR KI

Imroz
Sabse pehle to khushamaadeed Imroz shayri.com pe!! aur shukriya hamari ghazal pasand farmaana ka aur uspe apne comments dene ka

SHIKAN SHIKAN TERI YADEIN HAIN MERE BISTAR KI
GAZAL KE SHER NAHI KARWATEIN HAIN SHAB BHAR KI

Wahhhhhh!!Kya sher hai...!!

bahuuuuuuuuuut hi pasand aaya....wah wah..bas dil ku chuu gaya...too good!! ChaleiN agar aap khud shayri nahi karte haiN to hum jaisoN ki shayri paRhne aa jaya kareiN ya aap aise hi acche acche shers ya ghazal post kiya kareiN taaki hum bhi unka lutf utha sake!!

Accha phir aate jaate rahiyega...

Regards,
Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Kuch Acche sher aapke nazar
Old
  (#25)
imroz
Registered User
imroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 16
Join Date: Jul 2002
Location: Hyderabad (india)
Rep Power: 0
Kuch Acche sher aapke nazar - 14th July 2002, 12:27 PM

Dearest Shumaila,


Appka jawab pakar to hosla aur badh gaya hai. Kuch acche sher zahen mein aye hain jo aapke nazar kar raha hoon. Umeed ke pasandh ayenge:

DIL KO THAMA UNKA DAMAN THAM KE
MERE DONO HAAT NIKLE KAAM KE

HUR DAUR SAE GUZRA HOON MASARRAT HO YA GAM
HUR RAAH MEIN EK NAKHSHE KHADAM CHODH DIYA HAI

SAAF RAASTA HAI SU-E- DEEDAO DIL CHALE AAO
AKHAL KI RAAH SAE AAOGE TO PHERA HOGA

MEIN AUR KOI BAHANA TALASH KARLOONGA
TU APNE SAR NA LE ILZAM DIL DUKHANE KA
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Lamhaat-e-yaad-e-yaar Mayank Shayri-e-Dard 9 9th December 2008 01:09 PM
Tum yaad bahut aaye. Vishal_aryan Shayri-e-Dard 0 13th October 2007 09:30 PM
Lamhaat-e-yaad-e-yaar ka din.......! Dhaval Shayri-e-Ishq 8 18th February 2007 10:24 AM
bohat yaad voh aaye......ek nayi Ghazal maikasH Shayri-e-Dard 24 30th May 2006 06:04 AM
Tere Saath Beete Lamhe Yaad Aate Hai Mujhe Diggaj_Dave Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 14th July 2005 01:48 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com