Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
tamaam maikash pukaar uT,Thay...
Old
  (#1)
B.G.M.
Moderator
B.G.M. will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 113
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 10
tamaam maikash pukaar uT,Thay... - 23rd February 2015, 06:35 AM


Dosto, aaj mire marGhuub Shaa'ir Janaab Shakil Badayuni ki ik Ghazal pesh-e-Khidmat hai, ummid hai aap ko pasand aayegi.

-------------------------------------------------





Ghazal

Lateef pardoN se thay numaayaaN makeeN ke jalve makaaN se pehle
muHabbat aa’inah ho chukee thii, vajuud -e-bazm-e-jahaaN se pehle

nah woh mire dil se baa-Khabar thay, nah un ko eHsaas-e-aarzuu thaa
magar nizaam-e-wafaa thaa qaa’im, kushuud raaz-e-nihaaN se pehle

har eik ‘unvaan-e-dard-e-furqat hai ibtidaa sharH-e-mudd’a ki
ko’ii bataaye kih yeh fasaanah sunaaye un ko kahaaN se pehle

masarrateN raazdaar-e-Gham thiiN, masarrotoN meN alam tha pinhaaN
jabhi to SeHn-e-chaman meN shaayad bahaar aayii KhizaaN se pehle

samajh rahaa thaa kih naa-ummeedii nah pardah-daar-e-umeed hogii
nazar uThaa kar jo maiN ne dekhaa, Ghubaar thaa kaarvaaN se pehle

uThaa jo meenaa ba-dast saaqii, rahii nah kuChh taab-e-zabt baaqii
tamaam maikash pukaar uT,Thay, “yahaaN se pehle, yahaaN se pehle"

qasam fareb-e-nigaah-o-dil ki, hameN to us justajuu ne khoyaa
wahiiN thi dar-asl apni manzil, qadam uThay thay jahaaN se pehle

ajal se shaayad likhay hu`e thay :Shakeel: qismat meN jo’r paiham
khuli jo aankheN us anjuman meN nazar milee aasmaaN se pehle



~Shakeel Badayuni

================================================== =======
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
23rd February 2015, 10:32 AM

waaahhhhhhhhhhhhhhh.............. din bana diyaa bgm saahab.
kmaal ki ghazal peshe ki hai........ waaahhhhhhhhh


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
Smile 26th February 2015, 10:36 AM

Quote:
Originally Posted by B.G.M. View Post

Dosto, aaj mire marGhuub Shaa'ir Janaab Shakil Badayuni ki ik Ghazal pesh-e-Khidmat hai, ummid hai aap ko pasand aayegi.

-------------------------------------------------





Ghazal

Lateef pardoN se thay numaayaaN makeeN ke jalve makaaN se pehle
muHabbat aa’inah ho chukee thii, vajuud -e-bazm-e-jahaaN se pehle

nah woh mire dil se baa-Khabar thay, nah un ko eHsaas-e-aarzuu thaa
magar nizaam-e-wafaa thaa qaa’im, kushuud raaz-e-nihaaN se pehle

har eik ‘unvaan-e-dard-e-furqat hai ibtidaa sharH-e-mudd’a ki
ko’ii bataaye kih yeh fasaanah sunaaye un ko kahaaN se pehle

masarrateN raazdaar-e-Gham thiiN, masarrotoN meN alam tha pinhaaN
jabhi to SeHn-e-chaman meN shaayad bahaar aayii KhizaaN se pehle

samajh rahaa thaa kih naa-ummeedii nah pardah-daar-e-umeed hogii
nazar uThaa kar jo maiN ne dekhaa, Ghubaar thaa kaarvaaN se pehle

uThaa jo meenaa ba-dast saaqii, rahii nah kuChh taab-e-zabt baaqii
tamaam maikash pukaar uT,Thay, “yahaaN se pehle, yahaaN se pehle"

qasam fareb-e-nigaah-o-dil ki, hameN to us justajuu ne khoyaa
wahiiN thi dar-asl apni manzil, qadam uThay thay jahaaN se pehle

ajal se shaayad likhay hu`e thay :Shakeel: qismat meN jo’r paiham
khuli jo aankheN us anjuman meN nazar milee aasmaaN se pehle



~Shakeel Badayuni

================================================== =======
Bahut hee umdaa ghazal share ki aapne BGM saheb...
bas ek guzarish hai ki...urdu ke alfazon ki meaning aur add karenge to badi mehar bani hogi...aur ham jaise..naye logon ko samajhne me asaani hogi...
......ummeed hai meri baat ka bura nhi manege aap...
..
duaon k sath..



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
B.G.M.
Moderator
B.G.M. will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 113
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 10
26th February 2015, 11:36 PM

Madhu ji, aadaab!

Ghazal aap ko pasand aayii to mujhe Khushii hu'ii.
aap ne mushkil alfaaz ke m'aanii bataane ki guzaarish kee hai, us ke javaab meN mira kehnaa hai kih kaun se alfaaz mushkil haiN yeh to pataa chale!

agar aap yaa ko'ii bhi member is ki nishaandihi kare to Insha Allah maiN zaruur bataa'uuNgaa jo mujhe pataa hai yaa us :source: ki taraf jaane kaa raastaa bhi dikhaa duuNgaa.

yehi ik tareeqah hai seekhne aur seekhaane kaa.

~B.G.

=====================================
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
27th February 2015, 08:26 AM

Quote:
Originally Posted by B.G.M. View Post
Madhu ji, aadaab!

Ghazal aap ko pasand aayii to mujhe Khushii hu'ii.
aap ne mushkil alfaaz ke m'aanii bataane ki guzaarish kee hai, us ke javaab meN mira kehnaa hai kih kaun se alfaaz mushkil haiN yeh to pataa chale!

agar aap yaa ko'ii bhi member is ki nishaandihi kare to Insha Allah maiN zaruur bataa'uuNgaa jo mujhe pataa hai yaa us :source: ki taraf jaane kaa raastaa bhi dikhaa duuNgaa.

yehi ik tareeqah hai seekhne aur seekhaane kaa.

~B.G.

=====================================
Adaab BGM saheb..
sabse pahle to bahut shukriya ki aapne meri baat ko tawajjo di...aur reply kiya.bilkul sahi farmaya aapne..yahi ek tareeka hai seekhne sikhane ka...is ghazal ki baat karein to..sdc me kuch doston ki madad se ise to maine pad liya aur samajh bhi liya..to isme kuch poochna nhi ab...haan aage se koi bhi ghazal padhoongi to alfazon ke sath hazir houngi........
abhi ijazat chaungi...
apna khyaal rakkhein..
duaon ke sath.....



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com