phool tha ya ke khaar tha -
1st April 2019, 03:42 PM
phool tha ya ke khaar* tha kya tha
kis meiN mera shumaar* tha kya tha
dasht* tha aabshaar* tha kya tha
jaane kya us ke paar tha kya tha
kya wo haajat* thi ya ke qurbat* thi
wo adab* tha ke pyaar tha kya tha
ye sila* aehtemaam* ka mere
ke tera aetebaar tha kya tha
meherbaaN si huwee nazar teri
ya mujhe hi khumaar* tha kya tha
tujh meiN mujh meiN daraar hai kya hai
tujh meiN mujh meiN qaraar tha kya tha
dil-shikan* to gham-e-firaaq* magar
jab hua baar baar tha kya tha
"zarraa" tha ek aaina-bardaar*
n tha dushman n yaar tha kya tha
- zarraa
*
khaar = thorn
shumaar = being counted in
dasht = desert
aabshaar = waterfall
haajat = necessity
qurbat = closeness
adab = etiquette
sila = result
aehtemaam = management
khumaar = intoxication
dil-shikan = heart rending
gham-e-firaaq = sorrow of separation
aaina-bardaar = mirror carrier
maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
|