Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
maze jahaan ke apnee nazar meiN
Old
  (#1)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
maze jahaan ke apnee nazar meiN - 11th November 2013, 01:55 PM

maze jahaan ke apnee nazar meiN KHaak naheeN
siwaay KHoon-e-jigar, so jigar meiN KHaak naheeN
magar GHubaar huve par hawa uDaa le jaaye
wagarna taab-o-tavaaN baal-o-par meiN KHaak naheeN

yeh kis bahisht_shamaail kee aamad-aamad hai ?
ke GHair jalva-e-gul rahguzar meiN KHaak naheeN

bhala use; na sahee, kuchch mujhee ko raham aataa
asar mere nafas-e-be_asar meiN KHaak naheeN
KHayaal-e-jalva-e-gul se KHaraab hai maikash
sharaabKHane ke deewar-o-dar meiN KHaak naheeN
huwa hooN ishq ki GHaaratgaree se sharminda
siwaay hasrat-e-taameer ghar meiN KHaak naheeN

hamaare sher haiN ab sirf dil_lagee ke 'Asad'
khulaa ki faayda arz-e-hunar meiN KHaak naheeN


Ye bahot puranee ghazal, Ghalib saab ne apne pehle takahllus "Asad" istemaal karke likhi hai. Mujhe bhi net pe dhundte hue milee.



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
11th November 2013, 02:06 PM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
maze jahaan ke apnee nazar meiN KHaak naheeN
siwaay KHoon-e-jigar, so jigar meiN KHaak naheeN
magar GHubaar huve par hawa uDaa le jaaye
wagarna taab-o-tavaaN baal-o-par meiN KHaak naheeN

yeh kis bahisht_shamaail kee aamad-aamad hai ?
ke GHair jalva-e-gul rahguzar meiN KHaak naheeN

bhala use; na sahee, kuchch mujhee ko raham aataa
asar mere nafas-e-be_asar meiN KHaak naheeN
KHayaal-e-jalva-e-gul se KHaraab hai maikash
sharaabKHane ke deewar-o-dar meiN KHaak naheeN
huwa hooN ishq ki GHaaratgaree se sharminda
siwaay hasrat-e-taameer ghar meiN KHaak naheeN

hamaare sher haiN ab sirf dil_lagee ke 'Asad'
khulaa ki faayda arz-e-hunar meiN KHaak naheeN


Ye bahot puranee ghazal, Ghalib saab ne apne pehle takahllus "Asad" istemaal karke likhi hai. Mujhe bhi net pe dhundte hue milee.
Waaah ... Ghalib sahab ki ye ghazal pehle naheen dekhi thi ... bahaut bahaut shukriya aap ka Aadeil bhai is se ru na ru karwaane ka ..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
14th November 2013, 11:11 AM

waaahhhhhhhhhhhh...... kyaa khoob intekhaab e ghazal haai ..... ghaalib ki ye ghazal kkisi gauhar se kamm nahi..... wo aaj hamaaree beech to nahi magar asar ab tak qaayam hai..... aap hum jaise log shaayd unhe hamesha zindaaa rakkhenge.... bahot shukriyaa ...

Shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
14th November 2013, 11:52 AM

Ghalib saab ke andaaz ko kaun nahi'n jaanta? Aur phir wo khud keh gaye the..

Hain aur bhi duniya mein sukhanwar bahut achchhe
kehte hain ki Ghalib ka hai andaaz-e-bayaan aur.

To, sochta hoo'n, issee ghazal ko yahaa'n pesh bhi kar doo'n
(Alag thread banayee hai)



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
maithly
Registered User
maithly is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 2
Join Date: Dec 2013
Rep Power: 0
9th December 2013, 06:01 PM

Khuda khud meer-e majlis bood andar laamakan Khusrau;
God himself was the master of ceremonies in that heavenly court, oh Khusrau,
Muhammad shamm-e mehfil bood shab jaay ki man boodam.
where (the face of) the Prophet too was shedding light like a candle.


MAITHLY
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com