Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > General Stories

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
~*Kuch Kahee An-kahee...*~
Old
  (#1)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
~*Kuch Kahee An-kahee...*~ - 27th September 2013, 12:32 PM

Railgaadi apni raftaar meiN lagaataar izaafa kartii jaa rahi thi, aur main Premchand ki Nirmala me sar diye baithaa thaa... Soch rahaa thaa Naari kitni mahaan hai, kitni kartawya parayaan hai, apna sab kuch kisi ke charno me nyochaawar karne waali koi Devi hi ho saktii hai...

Khair jaise taise sochte vichaarte main apnaa samay kaaTne me vyast thaa.... Patni ji shaayad apne mobile me koi game khel rahi thiiN, par meri ruchi to shuruaat se hi kitaaboN me hi thii isi liye ghar jaane ka samay main kisi upanyaas ya kathaa kahaani me hi bitaaya kartaa thaa.....

Aaj kareeb 1 sal ke baad main apne Pushtaini ghar jaa raha thaa jahaaN aaj bhi mere Maata Pitaa rehte hain.... rehte kyaa hai ek alag duniyaa hai unki , poorn anushashan yukt.. Mere Pitaaji ek behad siddhantwaadi insaan haiN, aur maata ji unke anushashan ko paalan karne me sadaa tatpar rehtiiN, dono ki sabse acchi baat ye hai ke dono sarkaari daftar me padasth hain aur isi ke saath saath ghar ki saari zimmedaari bhi akele uThaae hue haiN..

College ki degree lene ke baad, naukri ke chakkar me Pune aa gaya thaa aur pichle 4 saaloN se yahiN reh gaya hoon.... Aur pichle hi saal shaadi ki Dorr me bhi bandh chukaa hooN.. Ab main aur patni ji Pune me rehte hain aur is baar Eid ki chuttiyoN me ghar jaa rahe hain apne maata pitaa ke saath tyohaar manaane....

Khair ye kahaani ko jis uddeshya se maine badhaane ki koshish ki hai wo in sab zindgee ki kashmakash se bahot door ki kahaani hai.... kahaani hai us waqt ki jab na to internet, phones, mobile ka itnaa shouq logon ko huaa kartaa thaa aur na hi log kaalpnik duniyaa me khoe rehte they jaise ke ab hamaari Patni ji aur na jaane unke jaise kitne hi log khoe rehte haiN.... us maadhyam se jise hum Mobile, tablets , laptops ya kuch bhi keh leN....

Us waqt to bas insaan, insaan me hi khoyaa rehtaa thaa, log jahaan apne kaam kaaj me, apne daftaroN me aur uske aas paas ke logon ke sath zyada se zyaada waqt bitaaya karte they, wahin bacche chuttiyoN me zyaadatar waqt apne Naana naani ke yahaan bitaane me yaqeen rakhte they , aur saal bhar intzaar kiyaa karte they ke kab chuttiyaaN aayengi aur kab wo daud padenge un galiyoN me jahaaN unka bachpan apni amiT chaap chhodne waala hai.......

Kahaani ko jald aage badhaauNga.. Filhaall koi station aaya hai shaayad aur patni ji ne Chaay ki farmaaish kar di hai...... jald aata hoon paathakoN kahin jaaiyega nahi.....

aapka

Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
swaraa
Registered User
swaraa is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 47
Join Date: Jun 2013
Rep Power: 0
27th September 2013, 05:01 PM

Shaad Ji,

Sabse pahle to apka shukriya mujhse ye kahaani share karne ke liye . Apme ye hunar bhi hai ye jaan kar bahut khushi hui. Kahaaniya aur upanyas padhna mujhe bhi bahut pasand hai. Apki kahaani ki shruvat bahut dilchasp lagi jaise phir se beete dino ki duniya laut aayi ho.


Us waqt to bas insaan, insaan me hi khoyaa rehtaa thaa,

ye baat bahut sachchi aur achchi lagi........saada aur sunder.
nani ke ghar jaane ka maza yaad aa gaya apki kahaani se . aage ki kahaani ka intezar rahega. thanks for sharing.

   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
27th September 2013, 10:38 PM

Swaraa ji aapke saath aur hausla afzai ke liye tahe dil se shukriyaa.... ummeed kartaa hoon aage bhi aap sab ka saath milta rahegaa.....

Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,795
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
27th September 2013, 11:44 PM

sameer bhai.,..ye naya silsila to khoob hai...par ye silsila hai kya?....kya sabko apni apni kahani likhni padegi. Ya kuch aur.



एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Old
  (#5)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
28th September 2013, 09:59 AM

Arvind bhai sabse pehle to main aapka bazm me istaqbaal karta hoon.... baad iske main aapka tahe dil se shukrguzaar hoon is silsile me aane kaa....

Darasal ye silsilaa hai us kahaani kaa jo maine shuru ki hai.... aap bhi apni kahani keh sakte hain.. isi section me naya thread banaa kar ... ye kahaani likhna maine shuru kiyaa hai just for a variation aur apne members ko ye bataane ke liye ke wo sirf shero shayri ke alawa apni andar chupe kahaanikaar ko bhi saamne laa sakte hain...

aap agar apne andar chupe kahaanikaar ko saamne lana chahte hain to you are most welcome.... ap naya thread bana lijiye aur hame milwaaiye us shkahs se jise hame aap se milne ki poori ummeed hai......

aate raheN... saath dete raheN...

Shaad.............


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
28th September 2013, 03:30 PM

Khair jaise jaise Railgaadi manzil ki taraf badhtii jaa rahi thii, waise waise main bhi apne ateet ki gehraaiyoN me utartaa jaa raha thaa..

Mujhe yaad hai wo Din, Jab jab Mere vidyaalay ki pareekshaaeN shuru hotiiN mere dimaag me bas ek hi khayaal hota thaa, ke kaise in pareekshaaon se peechaa choote aur main bhaag ke wahaaN jaauN jahaan meraa bachpan meraa intzaar kar raha hai ....

Iske pehle main aapko bataana chahunga us jagah ke baare me jiska zikr maine uupar likhaa, asal me hum log shaher ke civil lines me rehte hain... wahaan na to bacchon ko padhne ka alaawa koi aur kaam sikhaaya jaataa aur majaal hai ke shaam ke alaawa koi din me khelne nikal jaae... aise mahoul me main khud ko behad akelaa paata thaa, kyonki bachpan se hi meri behad chanchal privritti rahi hai... Mere Maata ji aur pitaaji apne daftar subah se hi nikal jaaya karte they aur dopahar ko school se loutne ke baad sara waqt ghar pe akele hi beet'taa.. tab mujhe us jagah ki behad yaad aati jiske baare me main aapko bataa rahaa thaa... asal me wo jagah thi meri Naani ka ghar...

Bachpan me mere mata pitaa mujhe naani ke ghar hi chhod jaaya karte they, wo shahaer ki ek puraani basti thii... jahaan na to anushaashan ke pratibandh they, aur na hi wahaaN ke bacchoN pe itni paabandee thii... Mere wahaan itne dost they ke main shaayad hi gin sakuN.... chal kapat se door wo bachpan kitnaa sunder thaa, aaj sochtaa hoon to aankhen barbas hi chalak uthtee hain...

Khair main bataa rahaa thaa, ke pareekshaaen khatam hone ke baad main aur meri chotee bahen , hum dono hi naani ke ghar chale jaaya karte they, jahaan hamaari umr ke itne bacche they khelte khelte pataa hi na chaltaa kab din beet jaata.... Shaher ki bhaag daud se door wo choti si bastii jahaan ki galiyaaN hame mahloN se pyaari thii..

Lukaa chipii, gend gippi, gilli dandaa, aur na jaane kitne hi khel hote they, jinke binaa hum ek din bhi naa reh sakte they, aur un sab ke alaawa jo cheez mujhe wahaan jaane ke liye kheenchtii wo thi hamaari naani kaa dher saara pyaar...
Hum log bhale hi saara din khel kood me lage rehte magar shaam hote hi naani ko gher ke baith jaate, wo khanaa banaati aur main aur meri bahen apni apni baateN nani se kaha karte.. duniyaa bhar ki baateN huaa karti school ki, padhaai ki khel kood ki aur na jaane kis kis ki....

Us zamaane ki sabse acchi baat yeh thii, ke us waqt ke log kisi ke ghar aane jane me sankoch nahi karte they, na hi kisi ke yahaan aane jaane se bade chote hone ki koi baat thi, mujhe yaad hai shaam ke waqt Nazmaa jo ki hamaari pados me raha karti thi, aksar hamaare ghar aa jaya kartii thi... Mujhe ye to pataa nahi ke wo log wahaan kab se rehte aaye hain magar itna yaad hai ke wo meri maa ji ko baaji (badee bahen) kahaa karti thi, isi lihaaz se wo meri khala (mausi) to lagtii thii, aur mujhse umr me bhi kaafi badee thii, us waqt shaayd 23, 24 ki rahi hogee.. magar maine hamesha use nazmaa hi kahaa, shaayad aas paas ke log use yahi kahaa karte they isiliye sabka sun ke maine bhi use yahi kehnaa shuru kar diyaa....

Nazma ke Abbaa tailor master they, magar shaayad kaam dhaam me unkaa mann nahi lagta thaa, sara din ghar pe hi pade rehte they, kabhii doston me nikal jaate aur saara din beedi peete rehte ... Nazma ke uupar hi ghar ki zimmedari thi, uski amma beedi banaaya karti thi, aur nazmaa kisi school me padhaane jaati thii... jaise taise unka guzar basar hotaa thaa, merii usse zyaada paTtee to nahi thii, magar haan jab kabhi wo hamaare ghar aa jaati, main aur meri bahen usi ke saath khelnaa shuru kar dete they... wo hum dono ko bahot pyaar karti par shaayad main andar hi andar usse naraaz rehtaa.. shayad wo hamaare parivaar ke baraabar hote to ye baat na hotii, magar us waqt ye khayaal kahaan aata hai ke kaun ameer hai kaun gareeb... bas dil ka rishta hota hai insaaniyat ka rishta hotaa hai....

Main jab bhi apne doston ke saath baahar khel raha hotaa aur nazmaa wahaan se nikalti to mujhe dekhkar baateN karne ki koshish kartii magar main hameshaa use taal jaata, aur naa hi uski baaton ka jawaab detaa.. is darr se ke shaayd mere dost is baat ka mazaaq na banaa leN ke main usse baat karta hoon jiskaa sab mazaaq udaate haiN...

Asal me mujhe ye baat thodii der se maloom huii ke muhalle ke bacche uskaa mazaaq "Amir khan" keh kar udaate hain.. koi kehta "amir khan paagal hai", koi kehtaa "amir khan mere ghar jhadu pochaa krne aata hai".. bas itnaa sunte hi wo aag babooola ho jaati aur yooN kharii khotii sunaati ke acche acchon ki naani yaad aa jaati....

Ek din jab wo hamaare ghar aai to maine usse iskaa sabab poochaa, ke aakhir ye amir khan ka chakkar kyaa hai... tab usne jo kuch bhi mujhe bataayaa, wo main aapko jaldn bataaungaa.... par shaayd phir koi station aa gaya hai aur main zaraa baahar tahel kar aata hoon..... tab tak aap sab thodaa intzaar kijiye..... jald louTtaa hoon.....

Shaad..........


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
29th September 2013, 08:33 PM

Haalaki is baat ko samajhnaa koi mushkil kaam nahi thaa, par shaayad main tasalli karna chahtaa thaa... isliye sab uske muh se sunnaa chahta thaa... aur jab usne mujhe yeh bataaya ke wo Aamir khan ko behad pasand kartii hai, aur uske khilaaf kuch sunna use pasand nahii, itnaa sunte hi merii itnii zor se haNsii chootii ke bas main wahaan thahar na sakaa aur bhaagta huaa baahar chalaaa gayaa , andekhaa karte hue ke mere peeche koi ladki aankhoN me aansu liye baithii hai aur ye soch rahi hai ke sabke saath saath maine bhi uska dil dukhaaya...

Samay beet'taa jaa raha thaa aur jaise jaise main aage ki padhaai poora karta ja raha thaa, naani ke ghar jaane ka waqt kam se kam hotaa ja raha thaa... ab main garmi ki chuttiyoN me nani ke ghar jane ke bajay agle saal ke subjects ki coaching lene me lag jaata thaa... phir bhi thoda bahot waqt nikaal kar main hafte das me nani ke ghar chalaa hi jaata thaa..... zyadatar waqt koshish karta thaa ke bahar hi rahun doston ke saath lekin phir bhi na chahte hue meri aur nazmaa ki mulaaqaat ho hi jaati thi... par ab hamaari zyaada baatcheet nahi hoti thii... haan bas wo kabhi kabhi pooch leti thi ke main kaisaa hoon aur baaji yaani ke meri maa kaisi hain, aur main muskura kar bas itnaa hi keh pata tha ke theek haiN, sab acche haiN... shayad ab merii badhti Umr mujhme aham paidaa kar rahi thi, shayad yahi anaa mujhe usse baat karne se rokti thi.....

Ab wo din bhi aa gaya jab mere baarhwiN ke exams khatam ho gaye they aur main PET coaching ke silsile me pareshan thaa... PET ke exam 2 mahine ke baad they aur main apna sara ka sara waqt is exam ko hi dena chahta tha, mera sapna tha ke kisi acche engineering college me mujhe daakhila mil jaaye... nani ke ghar ke paas me coaching tha bas yahi sochkar maine 1 mahine ki coaching ke liye wahin rukne ka faislaa kiya taaki aane jaane me waqt ki barbaadi na ho sake... ab main doston se bhi bahot kam milta milaata thaa... bas sara din kamre me ghuse kitaabon me hi juujha rehta thaa... haan par in sab ke baavjood nazmaa se kabhi kabhi takraav ho hi jata tha, wo aksar shaam ko ghar aati nani ke sar pe kabhi tel laga diyaa kabhi rotee pakwaa li....

Ek din wo badhawaas haal me ghar aayee aur bhabhi , bhabhi pukaar rahi thi.. bhabhi wo meri nani ko kehti thi... shayad uski maa meri nani ko bhabhi kehti wahi sun kar usne bhi bhabhi kehna shuru kar diyaa thaa... baat darasal ye thii ke nazma ki amma ko lakwaa maar diyaa tha, aur paise rupae kuch they nahi unke paas bas use aakhri sahara bhabhi yani ke meri nani dikhin aur fir sab aspataal bhaage....jaise taise doctors ne unki jaan to bachaai magar unke shareer ka daayaaN bhaag ab kaam nahi kar saktaa thaa... ab ghar ki saari zimmedaari nazma ke uupar aa gyee.. ab wahi ghar sambhaalti thi, aur school me padhaa kar ghar kharch bhi chalaati thi...

Mere PET ke exams bhi ho chuke they aur uska result bhi aa chuka thaa aur councelling ke baad mera selection bhopal ke ek Private Engineering College me ho gayaa, aur agle hafte mujhe bhopal nikalnaa thaa..... Itni khushi ho rahi thi mujhe ke ab na nani ke ghar jana aana huaa aur na hi udhar ke dostoN se milne ki fursat mili.... bas mere dimaag me bhopal ka bhoot chadh chukaa thaa... aur dimaag unhi khayaalon me khoya huaa thaa, ab wo dost wo khel kood mujhe bekaar samajh aane laga thaa.... bas dimaag khoya thaa to bade shahaer me rehne ka khwaab poora karne me......


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
2nd October 2013, 10:31 AM

Chaar saal ki padhaai ke dauraan jab bhi kabhii main ghar ko jaata to sab dostoN rishtedaaroN se milne me hi waqt guzar jaata thaa... har koi mujhe pehle se zyaada tavajjoh dene lagaa thaa, har dost mujhse ab aur bhi zyaada garm joshi se milta thaa.. Par un sab ke beech shaayad koi aisi bhi cheez thii jo mujhe pasand to bilkul bhi nahi thii magar uski kami mujhe kachotne lagii thiii....

BaatoN baatoN me mujhe maloom huaa ke Nazmaa ki shaadi ho chuki hai, umar bhi bahot ho chukii thi uski, to rishta bhi milaa waisaa.. sunne me aataa thaa ke uskaa pati sharaabi aur juaari thaa... Sharaab ke nashe me ghar aaata thaa, aur Nazmaa ko khoob maarta peeTtaa thaa... ye sab sunkar na jaane kyon mujhe behad takleef bhi hoti thi, par kabhi itni himmat na huii ke uske ghar jaakar ek baar uska haal chaal pooch sakuN...

Na jaane kyaa kyaaa sochte hue ye safar bhi meraa, kaTtaa jaa rhaa thaa, aur Raat bhi bahot ho chukii thi, main na jaane kab so gayaa... Subah neend khulii to pataa chalaa station aaane me bas aadhe ghante hi reh gaye hain.. maine jaldi jaldi patni ji ko jagaayaa, sab samaan sametaa aur seat pe baithaaa chaay ki chuskiyaan lete hue akhbaar padhne lagaa... aur aakhir kaar station aa hi gayaa... sab kuch bhool kar main bilkul khushi khushi neeche utraa aur pitaaji ki taalaaash me lag gayaa... wo door se dikh gaye haath hilaate hue.... hum unse mile aur maaine unhe gale lagaaya.. aur chal diye ghar ki taraf....

Ghar me maata ji hamaare swaagat ke liye taiyaar baithi theeN, tarah tarah ke pakwaan bane they aur un logoN ki khushiyoN ka kkoi thikaana nahi thaa.. sab ne patni ji ka bhi khoob aav bhagat kiyaa.....

Sab milaa ke dekhaa jaae to itne waqt ke baad ghar jaane ki khushi me main phoolaa nahi samaa raha thaa... Agle din hum sab ne naani ke ghar jaane ka sochaa... Is baar naaani ke ghar jaane me mujhe ajeeb sa hi lag raha thaa, shaayad is baar apni patni ke sath apne bachpan se milne jaa raha thaa....

Mama mami, naani sab ne hame khoob dulaaraa, mujhe aur patni ji ko khoob duaaeN mileeN... tohfe adal badal hue.. ab mere dost, wo galiyoN ke khel kood na jaane sab kahaaN chale gaye they... Achaanak mera dil ghabraane lagaa aur main dostoN ki talaash me baahar nikal gayaa.... kuch dost naukri me lag gaye they aur kuch ne apni dukaaane khol li theeN... Main na jaane kya sochte hue Aslam ki dukaan ki taraf badh gayaa, kyonki wahi mera ek maatr dost yaad aa raha tha jo is waqt mil saktaa thaa... hum saath baithe, usne chaay mangwaai aur humne na jaane kitni baateN kariiN... ab jaakar kuch accha lagaa... maine sochaa waqt ke saath kaise insaan bhi badal jaate hain..... ab wo na ladakpan thaa na wo nadaani.. bas taqalluf hi nazar aa raha thaa....

Jab main waapas nani ke ghar pahochaa to dekhaa Nazmaa bhi wahaan hai, par ekdam khamosh , na wo shokhi usme nazar aa rahi thi na wo chulbulaa pan.... Mamu ne bataaya ke nashe ki latt ne uske shauhar ne use chhod diyaa, aur shayad usne doosri shaadi bhi kar li, usne nazma ko akelaa chhod diyaa.. aur uski amma bhi beemari se ladte bistar pakad liyaa... mujhe behad afsos huaa sunkar.... maine usse koi baaat nahi ki bas salaam kar liyaaa....

na jaane kya sochte hue main chhat par chalaaa gayaa... kisi khayaaloN me dooba huaa thaa ke achaanak nazma ki aawaaz ne mujhe chaonkaa diyaaa...
Mujhe samajh me nahi aa raha thaa ke kya baaat karuN usse... itne dukh shaayad usne dekh liye they ke ab apni umr se behad baDee nazar aane lagee thii... sanjeedgii ki misaal nazar aa rahi thii... itnaa sabr usne kiyaa tha ke uske chehere se wo sab bhaav gaayab ho gaye they jo pehle huaa karte they...

Humne baateN shuru kiiN, main jaaan bujh kar apne baaare me use bataane lagaa, padhaai likhaai aur ab shadi ke baad ka waqt , shaayad ye sab bataane ka uddeshya ye raha ho ke ek pal ko hi sahi uske gham ko thodaa door kar sakuN...

Achaaanak mujhe kuch yaaad aaaya aur maine usse kahaa, " Suno ek baat kahuN ?" usne jhijhakte hue kahaa "haan kaho"

"Tumhe pataa hai mere Ghar jhaadu lagaane kaun aata hai?"

"kaun?" usne poocha..

maine kaha "Aamir khan" aur muskuraate hue intzaar karne lagaa uske palat waar ka...

Usne bas itnaa kahaa "Kaun Aamir khan"

Main Thagaa ka Thagaa reh gayaa.... aur Zindgee ki kashmakash me joojhtii us ladkii ko dekhtaa reh gayaa.....

-Samaapt...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,795
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
4th October 2013, 06:05 PM

.waah sameer miyan...aapke is hunar se to hum waqif hee na the..subhan allah...kya jasbaaton ko shabdon mein vyakt kiya hai......aise hee koshish karte rahiye...daad aur dua dono aapke liye...



एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Old
  (#10)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
5th October 2013, 06:53 PM

Quote:
Originally Posted by aru View Post
.waah sameer miyan...aapke is hunar se to hum waqif hee na the..subhan allah...kya jasbaaton ko shabdon mein vyakt kiya hai......aise hee koshish karte rahiye...daad aur dua dono aapke liye...
Nihaayat shukrguzaar hoon aapka..... bas aapki muhabbat hai jo aapne aise nawaaz diyaa.... bahot bahot inaayat hai aapki... bahot shukriyaa

Shaad.....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
14th October 2013, 11:29 AM

Shoaib..........bahut accha likh rhe ho, ab tak ki kahani maine pad li hai....yeh zindgi hai dukh-sukh lge rehte hai...Nazma jaisi ladki har gali mohalle meiN mil jati hai ab to...aapki kahani padkar aisa lag rha hai jaise mere aas-paas ki kisi ladki ki baat bata rhe hai aap muje...!


bahut khoob likh rhe hai aap...kya yeh mehaz kahani hai ya kisi ki asl-zindgi ki baat hai ?

duaoN ke saath


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#12)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
14th October 2013, 02:32 PM

sunita dee, thanks for reading this story as well aur behad shukrguzaar hoon jo aapne ise pasand kiyaa...

kahaaniyaan bhi darsal kya hoti hain bas smaajka aainahoti hain, har kahaani ke sacchai liye hoti hai aur ye aapko pasand aayee baho khushnasebi meri...

aaindah bhi saath deti rahiyega...

shukriyaa

Shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
30th October 2013, 05:12 PM

next episode plssssss.......................................... ..!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#14)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
31st October 2013, 01:46 PM

Sunitaa dee kahaani samaapt ho chukii hai....................


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
15th November 2013, 02:40 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
sunita dee, thanks for reading this story as well aur behad shukrguzaar hoon jo aapne ise pasand kiyaa...

kahaaniyaan bhi darsal kya hoti hain bas smaajka aainahoti hain, har kahaani ke sacchai liye hoti hai aur ye aapko pasand aayee baho khushnasebi meri...

aaindah bhi saath deti rahiyega...

shukriyaa

Shaad...

hawwwwwwwww...kahani khatam


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#16)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
15th November 2013, 04:33 PM

dekhiye na... neeche samaapt likhaa tha.. aapne to beizzati kar di..............


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
18th November 2013, 02:00 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
dekhiye na... neeche samaapt likhaa tha.. aapne to beizzati kar di..............


na na bhai, aisi baat nahi hai, muje lga ki aik episode khatam hua hai to ab koi nya pehlu saamne aayega...kyuki aapki pichli kahani aisi hi thi na, kai episode thy uske...to maine socha nahi tha ki etni chotti kahani hogi...esi liye....maiN apne nazriye se sochti rhi...don't mind plssssss

ab nye kahani kab aayegi

god bless u brother


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#18)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
18th November 2013, 05:32 PM

hehehhehee its Ok dear bahnaa...... notthing to be worry...

actually ye ek laghu kathaa thi.. pichli baar to mahagatha thi .... lolzzz

wese nai ka filhaal to koi plan nahi hai lekin jaise hi bantaa hia main aapko bataaunga.... take care dee.....

aati raha kijiye.......

shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
31st March 2015, 02:09 PM

Wash shoaib jee...aap to chupe rustam hain....
Kya khoobsoorti se un purani Dino ka chitran kiya..mujhe bhi dadi ke ghar bitayi vo garmiyon ki chuttiyaan yaad aa gayi .....
Aur insanityat aur Dillon ke rishton ko bhi bahut achchi tarah prastut kiya hai aapne...
Bahu sari Mubarak baad aur daad aapko...
Aate bhi aapki likhi aur kahaniyon ka intzaar rahega mujhe....
Likhte rahein...
Khush rahein...



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
1st April 2015, 09:34 AM

Madhu ji aadaab........

muddat ke baad aapne is kahaani ko jaise fir se zindaa kar diyaa ho.....

waqt ke beetne ke saath na jaane kahana dabee huii ye kahaani dhool khaa rahii thii.... magar apki nazron ne ek baar phir iise mere saamne laayaa.... main karzdaar hoon aapka jo aapne ise padhaa, samjhaa aur saraahaa......

main shukrguzaar hoon jo aapne iske peeche chupe ehsaason me utarne ki koshish kii aur badii gahraai se unhe samjhaa...... main kyaa khaun shaayad har shukriyaa kam padegaa....

ye duaa hai dil se, aap sadaa khush rahen..... shaad rahen aabaad rahen...... jazaaq Allah.....


mukhis.....


Shaad...
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com