Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 12 votes, 5.00 average. Display Modes
khalil ullah farooqi (tum kyse mohhabat kerty ho
Old
  (#1)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
khalil ullah farooqi (tum kyse mohhabat kerty ho - 10th August 2008, 11:26 PM

Samjhauta !!
khush-haal se tum bhi lagtay ho
yun afsurdah tu hum bhi nahi

per jan-ne walay jaantay hain
khush hum bhi nahi,khush tum bhi nahi

tum apni khudi ke pehray may
aur daam gharoor may jakray hoay

hum apnay zuam ke narghay may
ana haath humara pakray hoay

ek muddat se halqan peechan
tum rabt guraiz ke dhaaroon may

hum apnay aap se uljhay hoay
pachtaaway ke angaaroon may

mehsoor-e-talatim aaj bhi ho
jo tum ne kinaaray dhoond liye

toofan se sambhlay hum bhi nahi
kehnay ko saharay dhoond liye

khamosh se tum, hum mehar ba lub
jo beet geay dukh baat keay

chalo khel adhoora chortay hain
bina chal chalay bina maat keay

jo bhagtay bhagtay thak jain
wo saay ruk bhi saktay hain

chalo toro qasam iqrar karain
hum dono jhuk bhi saktay hain
   
Reply With Quote
tum
Old
  (#2)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
tum - 10th August 2008, 11:27 PM

tum

main aisi mohabbat karti hoon
main aisi mohabbat kartee hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
tum jahan pe bayth k jate ho
main waheen pe bethi rehti hoon
us cheez ko *****i rehti hoon
main aisi mohabbt karti hoon

tum jis se huns k milte ho
main us ko dost banati hoon
tum jis rustay par chaltay ho
main us say aati jati hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho

tum jin ko daykhtay rehtay ho
wo khuwab....sarhanay rakhti hoon
tum say milnay julnay k
kitnay hi bahanay rakhti hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho

tum jahan bhi bayth k jata ho
jis cheez ko hath lagatay ho
main waheen peh baythi rehti hoon
us jaga ko *****i rehti hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho

kuch khuwab saja kar aankhoon main
palkon say moti chunti hoon
koi lums agar choo jaa a to
main pehroon us ko sochti hoon
main...aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
jin logon main tum rehtay ho
tum jin say batain kartay ho
tum jin say huns k miltay ho
jo tum ko achay lagtay hoon
wohi mujh ko achy lagtay hain
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho

jis bagh main subh ko jatay ho
jis sabzay par tum chaltay ho
jo shakh tumhain choo jati hay
jo khushboo...tum ko bhati hay
wo os tumharay chehray par
jo qatra qatra girti hai
wo titli chor k phoolon ko
jo tum say milnay aati hai
jo tum ko choonay aati hay
un sab k nazuk jazbon main
meray dil ki dharkan basti hai
miri rooh bhi shamil rehti hai
tum paas raho ya door raho
nazron main samai rehtay ho
main tum ko takti rehti hoon
main tum ko sochti rehti hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho

her moqay par her manzar main
main sath tumharay rehti hoon
main chashm-e-tasavvur main aksar
bus tum ko dekhti rehti hoon
bus tum ko sochti rehti hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
   
Reply With Quote
mohhabat
Old
  (#3)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
mohhabat - 10th August 2008, 11:28 PM

Mohobbat khush gumaa hai

....
Mohobbat khush gumaa hai.......
((Mohobbat ik Dua hai))

Mohobbat ik Dua hai
Mujhay bus ye Dua daina
Khata koi ju ho jaey
Kabhi lehja badal jaey
Zaroori baat reh jaey
Mera chehra bigar jaey
Ager pehchaan na paoon
Tumhay gar jaan na paoon
Dua daina
Mohobbat ik Dua hai
Tum mujhay bus ye Dua daina
Sitaray toorna paoon
Tumharay kaam na aaon
Tawazun ju na reh paey
Nazar bandi nazar aaey
Ishara ho shararat ka
Koi dhoka basarat ka
Dua daina
Mohobbat ik Dua hai
Tum mujhay bus ye Dua daina
Main tum se keh nai paya
Tumharay naam ka saya
Meray humrah rehta hai
Mujhay her pal ye kehta hai
Koi mushkil ju dar aaey
Tasawur mera dhundlaey
Dua daina
Mohobbat ik Dua hai
Tum mujhay bus ye Dua daina.
   
Reply With Quote
dard
Old
  (#4)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
dard - 10th August 2008, 11:30 PM

Dard-E-Mushtarik

~.
~



Tumhay Daikha Nahi ,, Jana Nahi,,
Phir Bhi Lagta Hy,,
Qabeela Aik Hy Apna……


Wohi Dard-E-Judai Hy,,
Wohi Bheegi Hoi Palkain,,
Naseeba Aik Hy Apna…….


Kisi Sy Kuch Nahi Kahna,,
Koi Shikwaa Nahi Krna,,
Qareena Aik Hy Apna……


Kisi Ki Yaad Sy,,
Wirana-e-Dil Jagmaga Lena,,
Khazeena Aik Hy Apna……


Yaqeen Ki Aakhri Hud Tak
Milan Ki Khushgumani Hy
Nateeja Aik Hy Apna…
   
Reply With Quote
tumhe
Old
  (#5)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
tumhe - 10th August 2008, 11:31 PM

TUMHE MUJHSE MOHABAT HAI

.
..
..
musalsal soch mein rehna
kisi se kuch nahi kehna
kisi goshey mein chup k
khud se mehve guftugu rehna

achnak dil mein koi methe metha dard uthna
besabab bechain ho jana
akele beth k rona
kai ratein nahi sona
wo pehron bethe beth
jane kis manzar mein kho jana

kisi ahat kisi bhi chap se
phir chonk si parna
mere saye se bachna
samne ane se katrana
suno pagal si ai larki

kahi or unkahi k rarmiyan
soli pe latki ho
tumhe malom hai tum jan kar
manzil se bhatki ho
ye mana bohat khud.dar ho tum
per ye haqeqat hai

ana ek had tak achihai
magar us had se agay
ye mehz khud farebi hai
azaiet seh rahi ho or chup ho
kiya qayamat hai

tum akhir q nahi kehtin

tumhe mujh se mohabat hai......
tumhe mujh se mohabat hai.
   
Reply With Quote
mareez e mohhabat
Old
  (#6)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
mareez e mohhabat - 10th August 2008, 11:32 PM

mareez e mohhabat

mareez_E_muhabbat unhi ka fasana sunata raha dum nikalty nikalty

magar jab alam zikr_E_shaam aaya charagh_E_sahar bujh gaya jalty jalty

unhy khat men likha k dil muztarib hey
jawab un ka aaya muhabbat na karty

irada tha tark_E_muhabbat ka lekin
fareb_E_tabassum men phir aagaey

abhi khai thokar sanbhalny na paey phir khai thokar sanbhalty sanbhalty

thumen dil lagany ko kis ne kaha tha
behil jaega dil behilty behilty

bhala wada khilafi ki bhi koi had hey hisab apny dil men laga k tu socho

qayamat ka din agaya rafta rafta mulaqat k din badalty badalty
   
Reply With Quote
mujhy
Old
  (#7)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
mujhy - 10th August 2008, 11:35 PM

mujy

Mujy Yaad hai....
pichlay saal enhi dino'n me..
main ne tume'n apney andr..
Saatvie'n(7) bar Qatl kr ke wohie'n kahe'n
kisi viraney me Dafan kr dia tha..
aur Tumari Qaber...
Framoshi ke bhari pathro'n se bhar di thi..
Aur oss se bhe pehley aik bar..
Door draz se aney waley kisi Deo-haikal prindey ke pairo'n se...
Tujhay baandh ke osey ora dia tha..
Aur pir oss se be pehlay bilkul enhi dino'n me..
Main ne tujhey mokamal tor per Jala ke..
Tumari Rakh aik Tez raftar Daryya me baha di thi..
Lekan es sari Jaa'n-kaahi ke bawajood...
Tum aaj phir..
Hamesha ki trah..
Meri Aankho'n me Aankhe'n daley..
Aur mery Dil ko apni muthi me jakrey, meray samney kharey ho.....
   
Reply With Quote
kaho
Old
  (#8)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
kaho - 10th August 2008, 11:36 PM

Kaho phir kiya kia jai.

Kaho phir kiya kia jai...?
Mujhe tum achi lagti ho
Tumhai'n main Acha lagta ho'n
Kaho Phir kiya kia jai...?
Tumhari jagmagati, Muskurati,
Geet gati, Dil ruba Aankhai'n
Boht gehri Badi katil nihayat
Kushnuma Aankhai'n
Mere Dil se meri Be'tabiyo'n se
Khailti Aankhai'n
Kamoshi ki zuba'n me
mujh se kiya kuch Bolti Aankhai'n
Bazahir Dosto'n me Khil-kilati
Chor Nazro'n se mujhe Muskurati
Aawaz deti Dhunty Aankhai'n
wo meri Rouh K Rukhsar ko
ek faasle Chumti Aankhai'n
Ye sb Batai'n btati hay
Main tum ko Acha lagta ho'n
wo mere Zabth Kho Denay
pe Pemaish bhari Nazrai'n
Ada-e-be'niazi ka wo ek
naa-kaam sa manzar
wo ek Kamzor si be'ittifaqui,
be'rukhi k sir pe ek
Mohoom se kawish
Mujhe ha'n mujhe
yu'n he Nazar andaz
karne ki wo ek
Dil-Chusp si koshis
Sar-e-Mehfil tumhara Raaz
Khul jane k Dhar se
Be'irada gher ehem Logo'n se
Rasm-e-guftogu'n karna
Ye sb Batai'n btati hay
Tumhai'n main Acha lagta ho'n
kaho phir kiya kia jai...?
Mere be'sakhta fikre
mere Lehjay ki hr Shoki
Mera hr waqt hr ek Simt
tum ko Dhunttai'n rehna
Nazar partay he tum pr
Zor se Dil ka Dharak uthna
Ye sb batai'n btati hay
Mujhe tum Achi lagti ho
Tumhai'n main Acha lagta ho'n
Kaho phir kiya kia jai...?
Hamaray Darmiya'n Rasmo'n, Riwajo'n ka
Samaji martabe ka Umr ka or Khandano'n ka
Boht gehra khala hay
Usay Kesay, Kesay, Kesay pur kiya jai...?
Kaho phir kiya kia jai...?
Kaho phir kiya kia jAi...?
   
Reply With Quote
wo
Old
  (#9)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
wo - 10th August 2008, 11:38 PM

Wo mujh se pochta tha

Wo mujh se pochta tha
kaho jaana'n !
tumhai'n kis bat ka dhar hay
main tum ko chorh jao'n ga
kabhi wapas na aao'n ga
tumhai'n DIL se bhula do'n ga
talluk rakh na pao'n ga
kaho jaana !
tumhai'n kis bat ka dhar hay
tumhare hote koi dosri larki
mere DIL-o-nigah
me kasam le lo bas nahi sakti
k jab tak saans chalti hay
tumhai'n main kho nahi sakta
kisi ka ho nahi sakta !
Wo mujh se pochta tha
kaho jaana'n !
tumhai'n kis bat ka dhar hay
kyu'n mujh se bad'guma'n ho tum
kasam le lo
tumhai'n kho kar main har giz
jee nahi sakta
ye zeher-e-judai jo hay
is ko pee nahi sakta
suno jaana !
meri be'loss chahat par
kabhi apne yaqee'n k honth rakho
main kitna pyaar karta ho'n
kabhi aazma kar dekho
baday daway wo karta tha
na jane kiya kia kehta..
main us k talismi dawo'n me
ulajh kar khud he apne aap ko
faramosh kar bethi
magar ek dum jo ruth badli
to mujh se kho gaya sang-DIL
kisi ka ho gaya sang-DIL
wo jis ka DIL mere DIL me dharakta tha
jo meri ruh me he saans leta tha
badalti ruth me yu'n badla
k phir koi bi wada yaad us ko reh na paya
muhabbat k safar me tun se
rah badalne ki waja wo keh na paya
wo jis ko ek pal mere bina
boht dushwar lagta tha
jo meri ek pal ki khamoshi pe
tharap uthta tha
usi sang-DIL ne meri ruh me
werania bhar de
meri roshan nigaho'n me ajab
herania bhar de
so ab hum hay hamara dard hay
or be'zubani hay
yahi bas apni kahani hay
   
Reply With Quote
mohhabat
Old
  (#10)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
mohhabat - 10th August 2008, 11:39 PM

Mohabbat Jeet Hoti Hia

Mohabbat Jeet Hoti Hia
magar ye haar jaati ha
magar Ye Haar Jaati Hai

Kabhi Dil Soz Lamhon Se
Kabhi Bekaar Rasmon Se
Kabhi Taqdeer Walon Se
Kabhi Majboor Qasmon Se
Magar Ye Haar Jaati Hai

Kabhi Ye Phool Jaise Hai
Kabhi Ye Dhool Jaise Hai
Kabhi Ye Chand Jaise Hai
Kabhi Ye Dhoop Jaise Hai
Kabhi Masroor Karti Hai
Kabhi Ye Rog Deti Hai

Kisi Ka Chain Banti Hai
Kisi Ko Rol Deti Hai
Kabhi Le Paar Jaati Hai
Kabhi Ye Maar Jaati Hai
Mohabbat Jeet Hoti Hia
Magar Ye Haar Jaati hai
   
Reply With Quote
main ayse mohhabat kerta hon (part 2)
Old
  (#11)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
main ayse mohhabat kerta hon (part 2) - 10th August 2008, 11:41 PM

Main aysi muhabbat karta ho'n
tum kaise muhabbat karti ho..?

jis colleg me tum padti ho
main us me lekchar deta ho'n
wo class jaha'n tum hoti ho
main us ko takta rehta ho'n

jis kursi pr tum bethti ho
main us ko chuta rehta ho'n
jo copy tum ne gum ki thi
main apne beg me rakhta ho'n

gadla sa aik tisshu-paper
jo tum ne class me chora tha
wo mere pars me rehta hay
wo mere lams me rehta hay

wo makhmal hay, wo teeba hay
wo chandi hay, wo soona hay
wo ambar hay, wo sandal hay
wo kushbo'n ka aik jungal hay

har mokay pr, har manzar me
main sath tumharay hota ho'n
main chasham-e-tassawor se aksar
bas tum ko dekhta rehta ho'n
bas tum ko sochta rehta ho'n

Main aysi muhabbat karta ho'n
tum kaise muhabbat karti ho..?

tum kaise muhabbat karti ho..?
   
Reply With Quote
mar nahi sakti
Old
  (#12)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
mar nahi sakti - 10th August 2008, 11:42 PM

hazaron dukh paray sehna mohabbat mar nahin sakti
hai tum say bus yeh hi kehna mohabbat mar nahin sakti

tera har baar meray khat ko parhna aur ro dena
mera har baar yeh hi likh dena mohabbat mar nahi sakti

kia tha hum ney campus ki nadi per ik haseen waada
bhalay hum ko paray marna mohabbat mar nahin sakti

jahan mai jab talak panchi chahektay udtay phirtay hain
hai jab tak phool ka khilna mohabbat mar nahin sakti

puranay waadey ko jab zinda kernay ka khiyaal ayay
muyjhay bas itna likh dena mohabbat mar nahin sakti

wo tera hijar ki shab phone rakhnay say zara pehlay
bohat rotey huay kehna muhabbat mar nahin sakti

puraanay raabton ko phir naey waadon ki khwahish hai
zara ik baar to kehna mohabbat mar nahin sakti

gayay lamhaat wo fursat k kahan say dhoond ker laaoon
wo pehron hathon pai likhna mohabbat mar nahi sakti.

ager hum hasraton ki qabar mai hi dafan ho jaain
to yeh kutbon per likh dena mohabbat mar nahin sakti
   
Reply With Quote
mohhabat
Old
  (#13)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
mohhabat - 10th August 2008, 11:43 PM

(larki ka jawab)main aisi mohabbat karta hoon

tum jab bhi ghar par aatay ho
aur sab say batain kartay ho
main aut say parday ki janan
bus tum ko dekhti rehti hoon
ik tum ko dekhnay ki khatir
main kitni pagal hoti hoon
main aisi mohabat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
jab darwazay par dastak ho
ya ghanti phone ki bajti ho
main chor k sab kuch bhagti hoon
aur tum ko jo na paoon to
ji bhar k ronay lagti hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
mehfil main kaheen bhi jana ho
kapron ka selection karna ho
rang bohat say samnay bikhray hoon
us rang pe dil aa jata hai
jo rang k tum ko bhata hai
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
rozana apnay college main
kisi aur ka lecture suntay hoay
ya break k khali ghantay main
sakhyoon say batain kartay hoay
meray dhiyan main tum aa jatay ho
main, main nahin rehti phir janan
main tum main gum ho jati hoon
bus khuwabon main kho jati hoon
un aankhon main kho jati hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
jis chehray par bhi nigha paray
her chehra tum sa lagta hai
wo sham ho ya ke dhop samay
sab kitna bhala sa lagta hai
janay ye kaisa nasha hai
garmi ka tapta mosam bhi
jaray ka maheena lagta hai
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
tum jab bhi samnay aatay ho
main tum say sunn na chahti hoon
kash kabhi tum ye keh do
tum mujh say mohabbat kartay ho
tum mujh ko bohat hi chahtay ho
lekin janay tum kyun chup ho
yeh soch k dil ghabrata hai
aisa to nahin hai na jana
sirf meri nazar ka dhoka ho
tum nay mujh ko chaha hi na ho
koi aur hi dil main rehta ho
main tum say poochna chahti hoon
main tum say kehna chahti hoon
lekin kuch pooch nahin sakti
mana ke mohabbat hai phir bhi
lab apnay khol nahin sakti
main larki hoon kaisay keh doon
main kaisi mohabat karti hoon
main tum say ye kaisay pochoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
chup chap see main...ho jati hoon
phir dil main apnay kehti hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
   
Reply With Quote
yaad nahi aya
Old
  (#14)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
yaad nahi aya - 10th August 2008, 11:44 PM

TO KIYA MAIN TUMHAIN KABHI YAAD BHI NAHI AYA

to kia tumhain main kabhi yaad he nahi aya
kisi gulaab ko tehne say torr kar bhe nahi

subuk kalayi main gajray kabhi pehentay huay
gulaab hathon pe mehndi kabhi lagatay huay
safaid dodhya anchal ko zard rangtay huay
gulaal maltay huay, choryan pehentay huay
chamaktay mathay pe bindya kabhe sajatay huay
subah ko dair tak uth k ayenay ko taktay huay

kabhe diyaa kisi dargah main jalatay huay
kisi dukaan pe sarhee pasand kartay huay
lachakte shakh pe pehla gulab lagtay huay
kabhi yonhi kisi makhsoos dhun ko suntay huay
kabhi kabhi yonhi koi kitaab parhtay huay
barastay abar me chat pe kabhi nahatay huay

khud apnay jism say yonhi kabhe lajatay huay
kisi sahaile say hanstay samay lipt'tay huay
kisi khayal main baithay say uth k chaltay huay
kisi bhi raat ko uth kar yonhi tehaltay huay
akailay dour talak khamoshi me chaltay huay
khala main zaat ke be asra bhataktay huay

kisi pahar pe tanha sanbhal k charhtay huay
utartay chand ka mojon main aks partay huay
libaaas pe khushboo koi lagatay huay
khizaaan main sokhtay patton ka shor suntay huay
mitay huay say darakhton pe naam parhtay huay
kisi bhi roz yonhi ghar k kaam kartay huay
azaan hotay he anchal say sir ko dhaktay huay

to kia tumhain main kabhi yaad he nahi aya
kisi gulab ko tehni say torr kar bhi nahi
kisi kabotar-e-gardan ko dekh kar bhi nahi
kisi darakht k sayay main beth kar bhi nahi
to kia tumhain main kabhi yaad he nahi aya
   
Reply With Quote
zindagi
Old
  (#15)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
zindagi - 10th August 2008, 11:45 PM

zindagi k melay mein khuahishon k relay mein
tum say kya kahain jana is kadar jhamailay mein

waqt ki rawani hai bakht ki garani hai
sakh be zameeny hai sakht la makani hai

hijer k samander mein
takht aur takhtay ki aik hi kahani hai

tum ko jo sunani hai baat go zara c hai
baat umer bhar ki hai
umer bhat ki baatain kab do ghari mein hoti hain

derd k samander mein un ginat jazeeray hain
be shumaar moti hain

aankh k dareechay mein tum nay jo sunaya tha
baat us us diye ki hai
baat us gilay ki hai

jo lahoo ki khalwat mein chor ban k aata hai
lafz ki faseelon paer toot toot jata hai

zindagi say lambi hai baat ratt jagay ki hai
rastay mein kesay ho baat takhliye ki hai

takhliye ki baatoon main guftagu izafi hai
pyar karnay waloon ko ik nigah kafi hai
   
Reply With Quote
main
Old
  (#16)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
main - 10th August 2008, 11:46 PM

Main Aiyna Hoon,Wo Mera Khayal Rakhti Hay
Main Toot-ta Hoon Tu Chun Kar Sambhal Rakhti Hay,

Har Aik Maslay Ka Hal Nikal Rakhti Hai
Zaheen Hai,Mujhay Hairat Main Daal Rakhti Hay,

Main Jab Bhi Tark-e-taluq Ki Baat Karta Hoon
Woh Rokti Hay Mujhay, Kal Pay Taal Rakhti Hay,

Woh Mairay Dard Ko Chunnti Hay Apnay Pooron Say
Woh Mairay Wastay Khud Ko Nidhaal Rakhti Hay,

Woh Dobnay Nahi Daiti Hay Dukh Kay Darya Main
Mairay Wajood Ki Naow Uchaal, Rakhti Hay,

Duain Uss Ki , Balaoon Ko Rook Laiti Hain?
Woh Mairay Chaar Soo Hathon Ki Dhaal Rakhti Hay,

Ik Aisi Dhunn ,Kay Nahin Phir Kabhi Main Nay Suni
Woh Munfarid Saa Hansi Main Kamal Rakhti Hay..... ,

Usay Nadamatain Mairi Kahan Gawara Hain,,
Woh Mairay Wastay Asaan Sawal Rakhti Hay,

Bichar Kay Uss Say Main Duniya Ki Thokaron Main Hon
Woh Pass Ho Tau Mujhay Lazawaal Rakhti Hay......... ,

Woh Muntazir Mera Rehti Hay Dhoop Main
Main Laut-ta Hoon To Chahoon Nikal Rakhti Hay...!
   
Reply With Quote
masoom larki
Old
  (#17)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
masoom larki - 10th August 2008, 11:47 PM

Masoom Larki

Kahin Aik Masoom Nazuk Si Larki
Bohat Khubsurat Magar Saanwali Si
Mujhay Apne Khuaboon Ki Bahoon Main Pakar
Kabhi Khuwab Main Muskarati To Hogi
Issi Khuwab Main Kasma-Kasam Kar
Sarhane Se Takeye Girati To Hogi
Wohi Khuwab Din Ki Mundaioon Pe Aakar
Issi Maan Hi Maan Main Lubhati To Hoonge
Kai Saaz Seene Ki Khamoshiyoon Main
Mere Yaad Se Jhinjhate To Hoonge
Woo Besakhta Dheme Dheme Suroon Main
Mere Dhun Main Kuch Gungunati To Hogi
Chalo Khat Likhain Jee Main Aata To Hoga
Magar Ungaliyaan Kapkapati To Hoonge
Qalam Haath Se chhoot Jata To Hoga
Umangain Qalam Phir Uthati To Hoonge
Mera Naam Apni Kitaboon Pe Likh Kar
Woo Dantoon Main Ungaliyaan Dabati To Hogi
Kabhi Moon Se Aah Nikalti To Hogi
Badan Dhere Dhere Sulagta To Hoga
Kahin K Kahin Paoun Parte To Hoonge
Dupata Khande sebaar Baar Sarakta To Hoga
Kabhi Subha Ko Sham Kehti To Hogi
Kabhi Raat Ko Din Batati To Hogi
Kahin Aik Masoom Nazuk Si Larki
Bohat Khubsurat Magar Saanwali Se
   
Reply With Quote
bohat
Old
  (#18)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
bohat - 10th August 2008, 11:48 PM

Bohat mudat k baad

Bohat mudat k baad kal jab kitaab-e-maazi ko main ne khoola
Bohat say chahrey nazar main utrey
Bohat say naamoon pai dil paseeja
Aik aisa safha bhi us main aaya
Likha howa tha jo aansooun say
Jis ka unwan “hamsafar” tha
Wo safha sab say hi moutabar tha
Aik aur aansoo phir us pai tapka
Phir is se aagey main parh na paaya
Kitab-e-maazi ko band kar k
Usi ki yadoon main khoo gaya main
Agar wo milta to kaisa hota
Inhi khayaloon main soo gaya main
   
Reply With Quote
sunoooo
Old
  (#19)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
sunoooo - 10th August 2008, 11:49 PM

Suno tum laut aao na

Suno tum laut aao na

Woh dekho chand nikla hai

Sitarey jagmagaye hain

Hamari muntazir aankhein

Duaein mangti aankhein

Tumhain hi sochti aankhein

Tumhain hi dhondti aankhein

Tumhain wapis bulatin hain

Yeh dil jab bhi dharakta hai

Tumahara naam leta hai

Yeh aansoo jab bhi behtein hain

Tumahrey dukh mein behtein hain

Ke barish jab bhi hoti hai

Tumhe hi yaad kartein hain

Khushi koi jo aayey bhi

Tumharey bin adhori hai

Suno tum laut aao na

Suno tum laut aao na
   
Reply With Quote
jab
Old
  (#20)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
jab - 10th August 2008, 11:51 PM

Jab seena gham se bhojal ho aur yaad kisi ki aati

Jab seena gham se bhojal ho aur yaad kisi ki aati ho
Tab kamrey me band ho jana aur chupke chupke ro lena

Jab ankhain baagi ho jayen aur yaad me meri bhar aayen
Phir khud ko dhoka mat dena aur chupke chupke ro lena

Jab palkein karb se moondi hon aur sab samjhain tum soye ho
Tab munh per takkiya rakh lena aur chupke chupke ro lena

yeh duniya zaalim duniya hai, yeh baat bohat phelaaye gi
Tum saamney sab k chup rehna aur chupke chupke ro lena

Jab barish chehra dho daaley aur ashk bhi boondain lagti hon
Woh lamha hargiz mat khona aur chupke chupke ro Lena!!!!!!
   
Reply With Quote
mujh se bicher
Old
  (#21)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
mujh se bicher - 10th August 2008, 11:53 PM

Zikar e Shab e Faraq Se Vehshat Usay Bhi Thi
Meri Tarhan Kisi Se Muhabbat Usay Bhi Thi

Mujh Ko Bhi Shouq Tha, Naye Chehron Ki Deed Ka
Rasta Badal Ke Chalnay Ki Adat Usay Bhi Thi

Us Raat Dare Tak Wo Raha Mehv e Guftgu
Masroof Mein Bhi Kam Tha, Faragat Usay Bhi Thi

Mujh Se Bichar Ke Shehar Mein Ghul Mil Gaya Wo Shakhs
Halankay Shehar Bhar Se Adawat Usay Bhi Thi

Wo Mujh Se Barh Ke Zabt Ka Aadi Tha Ji Gaya
Warna Har Aik Sans Qayamat Usay Bhi Thi

Sunta Tha Wo Bhi Sab Se Purani Kahania
Shayad Rafaqton Ki Zaroorat Osay Bhi Thi

Tanha Huwa Safar Mein, To Mujh Pe Khula Yeh Bhaid
Saye Se Pyar Dhoop Se Nafrat Usay Bhi Thi

Mohsin Mein Us Se Keh Na Saka Yoon Bhi Haal e Dil

Dar Paish Aik Taza Moseebat Usay Bhi Thi
   
Reply With Quote
bohat
Old
  (#22)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
bohat - 10th August 2008, 11:55 PM

Bohat dino ki baat thi
shabab per bahar thi
fiza bhi khushgawar thi
na jaane kioun machal para
main apne ghar se chal para
kisi ne mujh ko rok ker
bari aada se tok ker
kaha ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee

magar mujhe khabar na thi
mahaul per nazar na thi
na janey kioun machal para
main apney ghar se chal para
phir shehar se main aa gaya
khayal tha ke paa gaya
usey jo mujh se durr thi
magar meri zaroor thi
phir ik haseen shaam ko
main chal para salam ko
gali ka rang dekh ker
naye tarang dekh ker
mujhe bari khushi hui
main kuch isi khushi main tha
kisi ne jhank ker kaha
paraye ghar se jayyee
meri qasam na ayyee
meri qasam na ayyee

wohi haseen shaam hai
bahar jis ka naam hai
chala hoon ghar ko chor ker
na janey jaoon ga kidhar
koi nahin jo rok ker
koi nahin jo tok ker
kahay ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee
   
Reply With Quote
main
Old
  (#23)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
main - 10th August 2008, 11:57 PM

Main jub bhi dob k likhta hoon

Main jub bhi dob k likhta hoon
Sub log ye mujh sy kahty hain
Nazmo sy ishq khuda jaisa
Gazaloon ma kaif udasi ka
Kis dost ny tum ko sonpa hy?
Mera aik jawab hamesha sy
Ik shakhs jo shahr ma aya tha
Kuch rooz wo mery sath raha
Mery lahjy k amrat rus main
Us ny kuch aisa rung diya
Hr nazuk DIL moh leny ka
Mery lafzoon ko ahang diya
Phir soch k tany bany ma
Uljha kr mujh ko choorr gaya
Kuch din sy uski yaad yoon hi
Is dil pr destalk deti hy
Aur Paaon ma Zangeer parri
Kub hum ko jany deeti hy
Kub dil main uski aas nahi
Ye baat alag who mery pass nahi….!!!!!
   
Reply With Quote
udasiyan
Old
  (#24)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
udasiyan - 10th August 2008, 11:59 PM

Udassiyoon k andhery sa-ey
Musaafatoon sy lipat rahy hain
Qadam Qadam pr main sun raha hoon
Sada jo pahly suni hoi hy..
Main kitna TANHA TANHA sa lag raha hoon
Gaey Dino ki talaash ma hoon
Ye kaisy jazby hain chaar janib
Muhabatoon k ye nafratoon k
Judaiyoon k qurbatoon k
Mjhy aisa lag raha hy
Ye rang sary hain ulfattoon k
Bikhar gaey hain tamam janib
K jaisy main hoon
Lutta Lutta sa, Bujha Bujha sa
Na pa k isko thaky thaky sy
Ajeeb Rangoon ma ghir gaya hoon
Udassiyoon k khamoshiyoon k
Addawatoon k, Musafattoon k
Magr ! mjhy ye hi buhat hy
Teri Wafa K Hain RanG sArY!!!
Tamam RaNgOOn k Darmiyaan HooN……
   
Reply With Quote
kushal
Old
  (#25)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
kushal - 11th August 2008, 12:00 AM

khushhaal se tum bhi lugtay ho

khushhaal se tum bhi lugtay ho.
yun afsurda to hum bhi nahee..
per jan'nay wale jantay hain.
khush tum bhi nahee
khush hum bhi nahee

tumapni khudi k pehray main...
aur daam e gharoor main jakray hueuy...
hum apnay zaum k nerghay main..
una haath hamaray pakray huay

mehsoor e talatum aaj bhi ho..
go tum ne kinaray dhond liyey...
toofaan se sambhlay hum bhi nahee..
kehnay ko kinaray dhoond liyey

ik mudat se ghaltan paichan..
tum rabt o guraiz k dharoan mein..
hum apnay aap se uljhay huay..
pachtawoan k angaroan mein

khamosh se tum ho muhur ba-lub..
jug beet gaey kuch baat kiyeey...
suno khel adhoora chortay hain..
bina chaal chalay bina maat kiyeey

jo bhagtay bhagtay thukk jaein..
wo sayey rukk bhi saktay hain..
chalo toro qasam iqraar kerain..
hum dono jhukk bhi saktay hain
   
Reply With Quote
tum
Old
  (#26)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
tum - 11th August 2008, 12:01 AM

tum jab aye man mandir may

tum jab aye man mandir may
dekha tum ko chaha tumko lakin maine yeh kab socha jo rasta sahil per wohi rasta tu wapis bhi jata hai
pheli pheli bhar mila jab
pyar ka alam mat poochoo tum
kaisa nasha tha kaisi masti bheeg rahe thay ek barish may
is chahat may ek nazar may dob gaye thay
phali phali bar ka alam kaise bataon tum ko balam
kaisa nasha tha kaisi masti
kaisa sama tha kaisa manzir
ek dujhe may kho huwee thay
jagte may may bhi sooye huwee thay
khuwab ka alam roshan roshan
cha ka nasha munzir munzir
phele phele ishq ka alam
pheli nazar ki baat na poochoo
kya kuch dil may utara tha
kali ankhain sundar mukhra
chand wali mathay pe tika
phool say mehaki kale baloon wali
phala manzir pheli nazar ka alam
kaise batain tu ko sajan
kaise baatain tum ko balam
pheli pheli bar laga tha
dil dharkha hai tazi say
sans chali hai tazi say
khoon baha hai tazi say
nis nis may rag rag may
pheli pheli bar barish may
wasal say anjuman pheli nazar ka phele ishq ka phela munzir
kaise batain tu ko humdum
kaise batain tu ko sajan
   
Reply With Quote
tu
Old
  (#27)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
tu - 11th August 2008, 12:02 AM

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-e-gazal

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-e-gazal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal



Pehele Haq Tha Teri Chahat Ke Chaman Par Mera
Pehele Haq Tha Teri Khushbu-e-badan Par Mera
Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi
Main Tere Gesu-o-rukhsar Ka Haqdar Nahi
Ab Kisi Aur Ke Shano Pe Hai Tera Aanchal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal.......


Main Tere Pyaar Se Ghar Apna Basaun Kaise
Main Teri Maang Sitaron Se Sajaun Kaise
Meri Kismat Men Nahi Pyaar Ki Khushboo Shayad
Mere Haathon Ki Lakeeron Men Nahi Tu Shayad
Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal......


Mujhse Kehtin Hain Ye Khamosh Nigahen Teri
Meri Parvaaz Se Oonchi Hain Panahen Teri
Aur Gairat-e-ehsaas Pe Sharminda Hun
Ab Kisi Aur Ki Bahon Men Hain Bahen Teri
Ab Kahan Mera Thikana Hai Kahan Tera Mahal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal !
   
Reply With Quote
tumhare
Old
  (#28)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
tumhare - 11th August 2008, 12:03 AM

Tumhare bheegti palkoon se main ne barra poocha
ke dil ke khel main kya jeetne wale bhi rote hain
wo jin ke cham-e-khurdbeen ooroon ko dekha bhi nahin kerte
bhala kis dil se gum ki tar main moti prote hein

Tumhare bheegte palkoon se main ne barra poocha
ke kya maanend shesha patheroon per baal ata hai
aser angeez hai ab bhi mohabbat ka wohi jazba
jo ase hooshmandoon ko bhi yoon pagel banata hai


Tumhare bheegte palkoon se main ne barra poocha
mezaj-e- hus-ne-yaar main yak ba yak kya inkelab aya
sitara dekhna or dekh ker afsorda hogaya
bohot takher se tum ko sitaroon kaa hisab aya


Tumhare bheegte palkoon se main ne barra poocha
ke tark-e-rabt per kya mujh se wahsee yaad ate hain?
taluq torrna asan tha to phir!aankh kyun naam hai.
ana perver jafa pesha bhi yoon aansoo bahate hain?

Tumhare bheete palkoon se main ne barra poocha
ki jalne or jalane main bhala kya luttuf ata hai?
bus ak jhote ana ke waste berbad hojana
khude ke zaem main insan kitne dukh uthata hai?
   
Reply With Quote
Old
  (#29)
haris qureshi
Registered User
haris qureshi is on a distinguished road
 
haris qureshi's Avatar
 
Offline
Posts: 5
Join Date: Sep 2008
Rep Power: 0
10th September 2008, 10:50 PM

dear subahy,
i love that poet,
which u hav post alot of posts,
khalil ullah faroouqi a nice poet
hav u ever listen his fm 91 programme on every thursday nite from 12 to 4 midnite
i hope u listen it and will like it
i m listening that show from last 4 years

ok dear hav nice day
take care urself

keep it up ur threads

thanks

haris (lahore)


haris qureshi
   
Reply With Quote
Old
  (#30)
koi to ho
Registered User
koi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to behold
 
koi to ho's Avatar
 
Offline
Posts: 3,851
Join Date: Dec 2005
Location: karachi
Rep Power: 31
11th September 2008, 11:09 PM

subha ji aapki collection mujhe be inteha achi lagi aur khas tor per sab se pehli wali meri pasandeeda nazmon main se aik hai keep sharing.....


Waqt ke jisam ki kharash hoon main
apne ander se pash pash hoon main
zaaat hai aetbaar e zaaat nahin
ab to main khud bhi apne saath nahin
   
Reply With Quote
Old
  (#31)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
26th May 2010, 07:20 PM

Quote:
Originally Posted by subha View Post
Main aysi muhabbat karta ho'n
tum kaise muhabbat karti ho..?

jis colleg me tum padti ho
main us me lekchar deta ho'n
wo class jaha'n tum hoti ho
main us ko takta rehta ho'n

jis kursi pr tum bethti ho
main us ko chuta rehta ho'n
jo copy tum ne gum ki thi
main apne beg me rakhta ho'n

gadla sa aik tisshu-paper
jo tum ne class me chora tha
wo mere pars me rehta hay
wo mere lams me rehta hay

wo makhmal hay, wo teeba hay
wo chandi hay, wo soona hay
wo ambar hay, wo sandal hay
wo kushbo'n ka aik jungal hay

har mokay pr, har manzar me
main sath tumharay hota ho'n
main chasham-e-tassawor se aksar
bas tum ko dekhta rehta ho'n
bas tum ko sochta rehta ho'n

Main aysi muhabbat karta ho'n
tum kaise muhabbat karti ho..?

tum kaise muhabbat karti ho..?
Very Nice.....

Thanks 4 sharing................




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#32)
Parwaazz
Aazaad Panchi
Parwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really nice
 
Parwaazz's Avatar
 
Offline
Posts: 312
Join Date: May 2010
Location: SKY
Rep Power: 17
6th June 2010, 11:13 PM

Quote:
Originally Posted by subha View Post
hazaron dukh paray sehna mohabbat mar nahin sakti
hai tum say bus yeh hi kehna mohabbat mar nahin sakti

tera har baar meray khat ko parhna aur ro dena
mera har baar yeh hi likh dena mohabbat mar nahi sakti

kia tha hum ney campus ki nadi per ik haseen waada
bhalay hum ko paray marna mohabbat mar nahin sakti

jahan mai jab talak panchi chahektay udtay phirtay hain
hai jab tak phool ka khilna mohabbat mar nahin sakti

puranay waadey ko jab zinda kernay ka khiyaal ayay
muyjhay bas itna likh dena mohabbat mar nahin sakti

wo tera hijar ki shab phone rakhnay say zara pehlay
bohat rotey huay kehna muhabbat mar nahin sakti

puraanay raabton ko phir naey waadon ki khwahish hai
zara ik baar to kehna mohabbat mar nahin sakti

gayay lamhaat wo fursat k kahan say dhoond ker laaoon
wo pehron hathon pai likhna mohabbat mar nahi sakti.

ager hum hasraton ki qabar mai hi dafan ho jaain
to yeh kutbon per likh dena mohabbat mar nahin sakti

Apne sabi post ache kiye hai hume ye gazal bahot achi lagi.... ise padhker bahot sukun mila shukriya Bhai.... apka bahot bahot shukriya.


Faisle taqdeer ke lakeere badal nahi sakti
Eh insaan teri uske aage hargiz chal nahi sakti

Aaj tu zameen par hai kal zameen mein hoga
Maut tujhe aani hai har roz tal nahi sakti

   
Reply With Quote
Old
  (#33)
premeet01245
Registered User
premeet01245 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 40
Join Date: May 2010
Rep Power: 0
7th June 2010, 12:58 PM

Quote:
Originally Posted by subha View Post
Samjhauta !!
khush-haal se tum bhi lagtay ho
yun afsurdah tu hum bhi nahi

per jan-ne walay jaantay hain
khush hum bhi nahi,khush tum bhi nahi

tum apni khudi ke pehray may
aur daam gharoor may jakray hoay

hum apnay zuam ke narghay may
ana haath humara pakray hoay

ek muddat se halqan peechan
tum rabt guraiz ke dhaaroon may

hum apnay aap se uljhay hoay
pachtaaway ke angaaroon may

mehsoor-e-talatim aaj bhi ho
jo tum ne kinaaray dhoond liye

toofan se sambhlay hum bhi nahi
kehnay ko saharay dhoond liye

khamosh se tum, hum mehar ba lub
jo beet geay dukh baat keay

chalo khel adhoora chortay hain
bina chal chalay bina maat keay

jo bhagtay bhagtay thak jain
wo saay ruk bhi saktay hain

chalo toro qasam iqrar karain
hum dono jhuk bhi saktay hain
hum aapkeee sayeri ka intjar kerta hu please write soon above also great.
   
Reply With Quote
Old
  (#34)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
23rd June 2010, 03:31 PM

gazab ka collection hai aapka, bas aap aage v uNhi share karti rahen....!!



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#35)
premeet01245
Registered User
premeet01245 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 40
Join Date: May 2010
Rep Power: 0
14th July 2010, 04:22 PM

Quote:
Originally Posted by ghayal_shayar View Post
gazab ka collection hai aapka, bas aap aage v uNhi share karti rahen....!!
very nice keep it up.
Aik aisa safha bhi us main aaya
Likha howa tha jo aansooun say
Jis ka unwan “hamsafar” tha
Wo safha sab say hi moutabar tha
   
Reply With Quote
Old
  (#36)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
15th July 2010, 03:42 AM

nice collection subha ji,

Thanks for sharing with us.!
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Prayer - By Khalil Gibran prayerforall English Poetry 2 7th October 2006 01:34 AM
Mohhabat KRUTI.. Shayri-e-Ishq 1 26th March 2006 11:47 AM
Poochtay ho kio us say pyar kerty jaaty hoo sem Shayri-e-Ishq 0 3rd March 2005 01:04 PM
"Love"-Khalil Gibran Afshan Quotable Quotes 0 18th May 2003 05:48 PM
Nazar nazar say mila kar sharaab peetay hain - by Tasneem Farooqi Mahek Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 5th December 2002 12:38 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com