Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

 
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
A Tribute to Mirza Ghalib saheb by Rahat Fateh saheb... (Must Read/Watch)
Old
  (#1)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
Thumbs up A Tribute to Mirza Ghalib saheb by Rahat Fateh saheb... (Must Read/Watch) - 13th September 2014, 08:13 PM

Adaab dostoN! Mirza Asadullah Khan Ghalib saheb ko tribute dete hue,
Rahat Fateh Ali Khan saheb ne apni mashoor-kun awaaz meiN,
neeche di gayiN ghazloN meiN se kuch ashaar ko bohat dil-nasheeN andaaz meiN gayaa hai...
meri taraH aap bhi yakenan lutf-andooz hooN ge, video link:-
http://www.dailymotion.com/video/xub...ptv-home_music (must watch/listen)


yeH jo hijr meiN dewaar-o-dar ko dekhte haiN
kabhi saba ko kabhi naama-bar ko dekhte haiN

woH ayeN ghar meiN hamare Khuda ki Qudrat hai
kabhi hum un ko kabhi apne ghar ko dekhte haiN

nazar lagay na kahiN us ke dast-o-bazu ko
yeH loG kyuN mere zakhm-e-jigar ko dekhte haiN

tere jawahir-e-tarf-e-kulaa ko kia dekheN!
hum ooj-e-taala laal-o-gohar dekhte haiN


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

aah ko chaiye ik umr asar hone tak
kon jeeta hai teri zulf ke sar honay tak

daam hur mooj meiN hai halqa-e-sad kaam-e-nihang
dekheN kia guzray hai qatray pe, guhar honay tak

aashiqui sabr talab, aur tamanna be-taab
dil ka kia rang karoN khoon-e-jigar honay tak

hum ne maana ke taghaful na karo ge, lekin
khaak ho jayeN ge hum, tum ko khabar honay tak

par-tu-e-khuur se, hai shabnam ko fana ki taleem
maiN bhi hooN, aik inayat ki nazar honay

aik nazar beesh nahi fursat-e-hasti ghaafil
garmi-e-bazm hai ik raqs sharrar honay tak

gham-e-hasti ka, Asad! kis se ho juz marg, ilaaj
shama hur rang meiN jalti hai sehar honay tak

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


bus ki dushwaar hai hur kaam ka aasaaN hona
aadmi ko bhi mayassar nahi insaaN hona

giriya chaahe hai kharaabee mere kaashaane ki
dar-o-deewaar se Tapke hai bayaabaaN hona

giriyaaN : weeping
kaashaana : house
bayaabaaN : wilderness

waa-e-deewaangee-e-shauq, ke har dam mujhko
aap jaana udhar aur aap hee hairaaN hona

jalva az_bas ki taqaaza-e-nigah karta hai
jauhar-e-aaina bhee chaahe hai mizhgaaN hona

az : from/then/by
jauhar : skill/knowledge
mizhgaaN : eyelid

ishrat-e-qatl_gah-e-'ehl-e-tamanna mat pooch
id-e-nazzaara hai shamsheer ka uriyaaN hona

ishrat : joy/delight
shamsheer : sword
uriyaaN : naked/bare

le gaye khaak meiN hum daaGH-e-tamanna-e-nishaat
too ho aur aap ba_sad_rang-e-gulistaaN hona

nishaat (or nashaat) : enthusiasm/happiness
sad_rang : hundred colours

ishrat-e-paara-e-dil, zaKHm-e-tamanna_KHaana
lazzat-e-reesh-e-jigar gharq-e-namakdaaN hona


ishrat : joy/delight
paara : fragment/piece
lazzat : taste
reesh : wound
gharq : drown/sink
namakdaaN : container to keep salt

kee mere qatl ke baad usne jafa se tauba
haay us zood_pashemaaN ka pashemaaN hona


jafa : oppression
zood ; quickly
pashemaaN : ashamed/embarrassed

haif us chaar girah kapDe ki qismat 'GHalib'
jis ki qismat meiN ho aashiq ka girebaaN hona


haif : alas!
girah : one sixteenth of a yard
girebaaN : collar

- Mirza Asadullah Khan Ghalib


*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")

Last edited by Hassan; 13th September 2014 at 08:16 PM..
   
Reply With Quote
 


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com