Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Mazdoor
Old
  (#1)
mujib66
Registered User
mujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 409
Join Date: Nov 2006
Rep Power: 26
Mazdoor - 17th October 2018, 02:54 AM

Mazdoor

Kaam hota hai haath aane se
Apni qismat ko aazmane se
Kuch nahin milta kaarkhane se
Milta hai ise hum chalane se |
Khalta hai kaam ko na jane se
Hum hain mazdoor ek diwane se
Koi shikwa nahin zamane se |

Tez jeewan ki apa dhapi men
Roz marra ki zindegani men
Tang hai haath kharchapani men
Kuch bhi berkat nahin kamayi men |
Thoda majboor khoob kamane se
Hum hain mazdoor ek diwane se
Koi shikwa nahin zamane se |

Paise mehnat se hum kamate hain
khuN pasina bohut bahate hain
raat foot path pe so jate hain
jab jahan jo mila oh khate hain |
uthta hai her qadam thikane se
Hum hain mazdoor ek diwane se
Koi shikwa nahin zamane se |

Hum ko hai aitbaar mosam ka
Kyon Karen intezaar mosam ka
Kaam ho saazgaar mosam ka
Naam ho khushgawaar mosam ka |
Khilta mosam hai muskurane se
Hum hain mazdoor ek diwane se
Koi shikwa nahin zamane se |

Bhukh mita ne ke kaam ate hain
Dhukh ghatane ke kaam ate hain
Sukh badhane ke kaam ate hain
Hum zamane ke kaam ate hain |
Rokte khud ko ladkhadane se
Hum hain mazdoor ek diwane se
Koi shikwa nahin zamane se |
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com