Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
ghazal
Old
  (#1)
yasmeenraaz
Registered User
yasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,028
Join Date: Jun 2006
Rep Power: 34
ghazal - 24th October 2006, 03:26 PM

ghazal
yaqeen nahn hai mujhae kisi per
na apnae ghum per,na hai hansi per

isi nae dhoaka diya hai mujh ko
hazaar lanat hai zindagi per

hain paaoan laekin,chalan nahin hai
na yun hanso maeri bae-basi per

kinaarae jis kae hain piyaasae ab tak
nazar jamaao na us nadi per

ae phool kagaz kae hain chaman main
khizaan nichaawer hain,taazgi per

rakho na mehmaan dil main koi
karo bharoasa na her kisi per

karoan nichaawer main chaand ko bhi
tumharae chehrae ki dilkashi per

gumaan dushman hai dosti ka
gumaan karo na tum kisi per

sharaab-ae-ulfat main banti hoon
kae naaz mujh ko hai mae-kashi per

wo jin ko ulfat nahin hai hum sae
ae RAz daetae hain jaan unheen per

razia
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
25th October 2006, 10:26 AM

isi nae dhoaka diya hai mujh ko
hazaar lanat hai zindagi per

WAH...!! KYA BAAT HAI..!!!

hain paaoan laekin,chalan nahin hai
na yun hanso maeri bae-basi per

BAHOOT KHOOB!!

kinaarae jis kae hain piyaasae ab tak
nazar jamaao na us nadi per

BAHOOT SUNDAR..BAHOOT SUNDER...!! BAHOOT BADI BAAT KEH GAYI AAP...!!

ae phool kagaz kae hain chaman main
khizaan nichaawer hain,taazgi per

WAH..!! KYA BAAT HAI..>!!

rakho na mehmaan dil main koi
karo bharoasa na her kisi per

BAHOOT SUNDER..!!

karoan nichaawer main chaand ko bhi
tumharae chehrae ki dilkashi per

WAH,,!!

sharaab-ae-ulfat main banti hoon
kae naaz mujh ko hai mae-kashi per

wo jin ko ulfat nahin hai hum sae
ae RAz daetae hain jaan unheen per

WAH..!!
KYA KEHNE..!!!
RAZIA SAHIB
AADAB AUR Id mubaaraq
hairaani hai ki kyun ab tak kisi qadardaan ki nazar is gazal par nahin padi..aapki gazal kisi gazre ki tarah mehfil ko mehka rahi hai...har sher umda aur laajawab hai...aapki ek aur trademark gazal....!!! meri dheron daad kubool kijiye....
take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
hi
Old
  (#3)
yasmeenraaz
Registered User
yasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,028
Join Date: Jun 2006
Rep Power: 34
hi - 25th October 2006, 03:58 PM

Quote:
Originally Posted by yasmeenraaz View Post
ghazal
yaqeen nahn hai mujhae kisi per
na apnae ghum per,na hai hansi per

isi nae dhoaka diya hai mujh ko
hazaar lanat hai zindagi per

hain paaoan laekin,chalan nahin hai
na yun hanso maeri bae-basi per

kinaarae jis kae hain piyaasae ab tak
nazar jamaao na us nadi per

ae phool kagaz kae hain chaman main
khizaan nichaawer hain,taazgi per

rakho na mehmaan dil main koi
karo bharoasa na her kisi per

karoan nichaawer main chaand ko bhi
tumharae chehrae ki dilkashi per

gumaan dushman hai dosti ka
gumaan karo na tum kisi per

sharaab-ae-ulfat main banti hoon
kae naaz mujh ko hai mae-kashi per

wo jin ko ulfat nahin hai hum sae
ae RAz daetae hain jaan unheen per

razia
hi
manoj

meherbaan hai zindagi
tum sae ki jo dosti
kal talak ghumgeen thae hum
ab mili hum ko khushi
sookhae sookhae phool nae
paayee hai ab taazgi
piyaasa piyaasa tha koi
ab mili usko nadi
khud ko hi hum bhoolae hain
achchi hai ae bae-khudi
yaad rakhna dost ae
RAZ ki hai dosti
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
SUPER GHAZAL OF THE YEAR - Winner Ghazal Dhaval Ghazal Section 36 11th October 2010 02:59 PM
Ghazal: Tum aao to sahii (ek Rumaani Ghazal) Mayank Shayri-e-Ishq 30 29th March 2009 08:32 PM
AshruO Khaali Ne Ghazal Lakhato Gayo-- Gujju Ghazal acharya_mj Shayri-e-Dard 3 16th September 2006 10:19 AM
ghazal yasmeenraaz Shayri-e-Dard 0 15th September 2006 10:38 PM
Ghazal: Tum ghazal MeN Jo HaseenooN... Ameen Asim Aapki Shayri 1 16th November 2005 02:46 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com