Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Tanhayee
Old
  (#1)
Mahek
Registered User
Mahek will become famous soon enoughMahek will become famous soon enough
 
Mahek's Avatar
 
Offline
Posts: 166
Join Date: May 2002
Location: US
Rep Power: 23
Tanhayee - 26th September 2002, 10:10 PM

Namaste to all! - I have been reading a lot of shayari and for the first time thought I should write one myself - give it a shot and see if there is any hope for me in sher-o-shayari duniya! - ofcourse I would not have been able to come up with something presentable for this forum had it not been for Anamika-jee who helped me fix it up a little - to bahut himmat battor ke hum apna pehla kalaam pesh kar rahe hain - all feedback will be very much appreciated

Pyaar kiya Tumse to Sazaa me Paayi Tanhayee
Toote Dil ki hain Parchchaayi Tanhayee

Yeh Dil Bewafaa se Wafaa Chahta tha
kyon Dil ke Raaste main Aayi Tanhayee

Kal dikhaayi dete the jahan Sapne beshumaar
ab in Aankhon me hain Chchaayi Tanhayee

Manzil se pehle hi doob gayi Khwabon ki Kashti
Ashkon ke Samundar mein Lehraayi Tanhayee

Jee lete hum sirf teri Yaadon ke Sahaare
Par teri Yaadein bhi Sang apne Laayi Tanhayee


zindagI jab bhI terI bazm mein LAtI hai hamein
ye zamIn chAnd se behatar nazar AtI hai hamein

surkh phUlon se MAHEK uThatI hain dil kI rAhen
din Dhale yUN terI AvAz bulAtI hai hamein
----------------------------------------------
taeray Gham ki KhuShbu say jism-o-jaaN MAHEK uTThay
saaNs ki havaa jab bhi Choo kay maeray lab guzri

aek saath reh kay bhi, door hi rahay ham bhi
dhoop aur Chaa'ooN ki dosti ajab guzri

Last edited by Mahek; 11th October 2002 at 10:19 PM..
  Send a message via Yahoo to Mahek  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Feroz
None
Feroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2001
Location: Canada
Rep Power: 23
27th September 2002, 07:05 AM

mehak ji
aap kaa is mehfil meiN sawaagat hai..

aap kii ghazal paDhii.. aur maiN mubaarkabaad denaa chaahtaa huuN ke aap ne itnii achchii koshish kii.. zaahir hai ke aap ne duniya e sher o sukhaN meiN abhii abhii qadam rakhaa hai.. is liiye aap se ghuzaarish hai ki aap apnii har ghazal ko "siikhney kii khwaahish" se post kiiyaa kiijiyegaa. bahr kii samajh aaney meiN kayii dafaa der lag jaatii hai .. lekin ye naa mumkin kaam nahiiN..

mere khyaal se sab se aasaan tariikaa hai ke aap kisii mash_hoor e zamaanaa ghazal ko paDh kar us kii bahr par apnii ghazal kahaa kareiN.. kaash mere paas har qism kii bahr kii misaaleiN hotiiN to maiN zarur bataa detaa.. lekin jaisaa mainey kahaa ki aap shuru shuru meiN kisii mash_hoor ghazal par apnii ghazal kaheiN .... jab waqt ho to aisii kisii ghazal kii taraz gungunaatey huey.. puuraa sher na sahii, ek misraa hii kahney kii koshish kiijiyye..

jo ghazal aap ne kahii hai us ke baarey meiN kuchh baateiN...
1.
Pyaar kiya Tumse to Sazaa me Paayi Tanhayee
Toote Dil ki hain Parchchaayi Tanhayee
>...is sher ka bunyaadi khyaal bahut achaa hai.. is sher ke pahley misrey ko paDh kar sochtaa huN ki aap ko ye ghazal is bahr par kahnii chaahiye thii
pyaar kiiyaa tumse to humney sazaa meiN paayii tanhaayii
tere saath guzaarey lamhoN kii parchchayii tanhaayii

I want you to read this sher that i have suggested and try to fix the rest of the ghazal urself....



Feroz



Feroz
ye zindagi hai kya 'feroz' shayari hai kya
kuchh haulnaak haadsey asha'ar ho gaye
  Send a message via Yahoo to Feroz  
Reply With Quote
Thanks!
Old
  (#3)
Mahek
Registered User
Mahek will become famous soon enoughMahek will become famous soon enough
 
Mahek's Avatar
 
Offline
Posts: 166
Join Date: May 2002
Location: US
Rep Power: 23
Thanks! - 24th October 2002, 11:17 PM

hausla afzai ka bahut shukirya feroz-jee - hum aapke salaah aur bataye example par zarur gaur karenge - thanks a lot!

- Mahek -


zindagI jab bhI terI bazm mein LAtI hai hamein
ye zamIn chAnd se behatar nazar AtI hai hamein

surkh phUlon se MAHEK uThatI hain dil kI rAhen
din Dhale yUN terI AvAz bulAtI hai hamein
----------------------------------------------
taeray Gham ki KhuShbu say jism-o-jaaN MAHEK uTThay
saaNs ki havaa jab bhi Choo kay maeray lab guzri

aek saath reh kay bhi, door hi rahay ham bhi
dhoop aur Chaa'ooN ki dosti ajab guzri
  Send a message via Yahoo to Mahek  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Tanhayee zishan107 Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 17th February 2009 10:40 PM
Tanhayee sujal Hindi/Urdu Lyrics 0 19th March 2005 08:33 PM
tanhayee bhuwan_bhaskar Shayri-e-Dard 2 24th October 2003 10:35 PM
tanhayee prem_tanha Shayri-e-Ishq 0 9th January 2003 06:47 PM
Tanhayee Hai sneerja Shayri-e-Dard 5 11th February 2002 08:31 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com