tumhi samjhao.... -
31st August 2002, 05:23 PM
kitni baar
andhkaar se ghabrakar
tumhara hi naam pukara hai maine
sahashtron baar
prem ki annant gahraion mein utarkar
unnmat hokar
tumhein hi dekhna chaha hai maine
aur dikhi ho tum!
ek raah par saath chalte hue ladkhadakar
tumhare hi kandhe ka sahara liya hai maine
aur sambhal gaya hoon main
aur ab jabki tum parai ho
tumhari saanson par
tumhare prem par
khushi par gam par
uska adhikar hai
jo main nahin hoon
kise pukaroon aise mein
kiska sahara loon
tumhi samjhao
tumhi..
|