Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Kaash nazariye ki bhi awaazen hotin
Old
  (#1)
Kaamil
Registered User
Kaamil will become famous soon enoughKaamil will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 32
Join Date: Aug 2011
Rep Power: 0
Kaash nazariye ki bhi awaazen hotin - 12th September 2011, 02:18 PM

kaash nazariye ki bhi awaazen hotin
dil ki sada dil ki baaten na jhutlatin




bolne ki salahiyat to di par saath hi
kahi gayi har baat unsuni kar din




kyun na chale ahleshahar barbaadi par
jo hukmraano ne hi bastiyaan jaladin



chup karaane ko ek sachhayi ki awaaz
khamosh logon ne bhi khamoshiyan tod.din


banaya to tha shahar mohabbat ke liye

chingariyan har aashiyane ke aage rakhin?


nainsaafi par awaaz buland kaun kare
insaaf ki adalaten hi jab band ho chalin


sifarishpasand insaan is kadar ho gaya
khud ki awaaz jo kadwi lagi daba din



aham ko mitana tha use hi badhate rahe
andheron ke liye ujaalon ko sazaen din


bhookh se mar jana utna bura nahi hai
mar mar ke jeene me gar zindgaani bitadin


guzar jana hai aakhirash sabko dunia se
phir kyun maut ki chitayen dil me palin


ab to likhna likhana jaise karobaar hua
panno ko bechne ke lie siyaahi mitadin



charag sachaai ka jalne paaye to kaise
jhooth ki aandhiyaan jo dilon me uthhin



mohabbat saleeke se zyada haq se pata chalti
rishton me khataas bhi mithaas badhaatin



bhool jaate hain log har achi baat
par dil me aisi baaten hi jagah banatin



naya nazaraiya hai alag taur se dekhna faqat
taazgi hi to saveron ki sahar hai hotin


raaste kahin nahi jaate pade rahte hain
unhi raaston se manzilen manzilen paatin


dil me talkhi dil ki talkhi na banne dena
zindagaaniyaa zindagi ko manane nahi aatin




apni fitrat se azaad jo ho gaya 'Kavi'
usne azaadi ki nai tehreeren likhdin

Last edited by Kaamil; 12th September 2011 at 02:20 PM..
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com