bahut khoob mausam ji aap ne jo ghazal paish/share ki hai padh kar achha laga,shukriyaa share karne ke liye .Magar yeh ghazal pankaj ji ki aawaz men sune to jyaadaa hi mazaa aayega. uska lutf kuchh aur hi hai yahaa aap ise sun bhi sakti hai.
dard ki baarish sahi maddham zara aahista chal
dil ki mittii hai abhii tak nam zara aahista chal
tere milane aur phir tere bichhad jaane ke biich
faasala ruswaayii ka hai kam zara aahista chal
apne dil hi mein nahi hai us ki mahruumi ki yaad
uski aankhon mein bhi hai shabnam zara aahista chal
koyii bhi ho ham-safar 'Raashid' na ho Khush is qadar
ab ke logon mein wafaa hai kam zara aahista chal
-Mumtaz Rashid
ADAAB MOUSAM JI itni acchi gazal hamse share karne ke liyen apka bahut bahut shukriya
"Do Pal Ruka Khushio.n ka Karwan"
Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko, wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hain. Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif'' Uske kitne chehre samne laye ja rahe hain.
bahut khoob mausam ji aap ne jo ghazal paish/share ki hai padh kar achha laga,shukriyaa share karne ke liye .Magar yeh ghazal pankaj ji ki aawaz men sune to jyaadaa hi mazaa aayega. uska lutf kuchh aur hi hai yahaa aap ise sun bhi sakti hai.
kese ho aap..!
mujhe aapki ye rachna pasand aayi..!
i like it..
apka khayal rakhna..
aftabji..aapko galatphemi hui hain..yeh rachna meri nahin hain......mujhe yeh ghazal pasand hai ..sirf maine isse yaha post kiya hain..pasand karne ka shukriya.......
Jaane kya samjha woh mujhe Jaane kya samjhi main useN