Asia kabhi na karna.... -
1st September 2008, 11:11 AM
Tum loat k na aao
Tum rooth jao mujhse
aisa kabhi na kerna
Main ik nazar ko tarsoon
Aisa kabhi na kerna
Main pooch pooch haroon
So so sawal kar k
Tum kuch jawab na do
Aisa kabhi na kerna
Mujhse hi mil k hansna
Mujhse hi mil k rona
Mujhse bicher k jee lo
Aisa kabhi nakerna
Tum chand ban k rehna
Main daikhta rahoon ga
Kisi roz tum na niklo
Aisa kabhi na kerna
Tum chalay jao jab bhi
Tu dekhoon tumhara rasta
Tum loat k na aao
Asia kabhi na karna....
|