Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Old
  (#1)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
31st August 2015, 10:55 PM

Yadon ke jharokhe me diya ji ki ek peshkash....

http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=67857


mera mahfil-e-dard meN rahna unko raas nahi
seewaaye dard ke kuchh aur Diya ke pass nahi

Aadaab DostoN ,
bahot dino ke baad shayari-e-ishQ thread meiN hazir hu
Sunita Di, Purvi Di aur Sameer jee ko mera dard ke mahfil meiN rahna pasand nahi
isiliye ek pyar bhari nagma kahne ki nakam koshish kar rahi hu
umiid hai unko aur aap sab ko pasand aayegi


thahar jao sanam haseeN raat baki hai
rasm-E-muhabbat ki saari baat baki hai

kar diya hai main ne chaahat ka izhaar
tere labooN se ab ye soughaat baki hai

shuru yeh silsila toh ussi roz huaa thaa
kahaa thaa jab tum ne iltifaat baki hai

sulagti hai raateiN meri, sulagte haiN din
Dilbar tere pyaar ki barsaat baki hai

guzar na jayeN kahin ye pal bekhudi ke
suna bhi do ulfat ki jo bisaat baki hai

jalti hai "Diya" tere ishQ ki aatish meiN
aur keh rahe ho tum , shuruwaat baki hai


iltifaat = regard, kindness, favor, friendship, and mercy
bisaat = extent , capacity



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com