Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

 
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
Pa-band nazm= TAQSEEM-E-VATAN
Old
  (#1)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
Pa-band nazm= TAQSEEM-E-VATAN - 15th August 2016, 08:47 AM

Tamaam ehel-e-vatan aur sdc ke parivar ko yaum-e-aazaadi mubarak ho
Magar aazaadi ki khushi ke saath batwaarey ka bhi gham hai wabasta.

Aaj mai aap sab ke saamne uss gham ka ek pehlu pesh kar raha hu

Ye sirf ek manzar-kashi hai

Dukh pohchana qatayi mera maqsad nahi

Bas ek gham ko baa.nt' raha hu jo hazaaro laakho parivaar ke saath wabasta hai.

Kheen.ch dee sarhado ne eik adaavat ki lakeer
Huee taqseem-e-vatan bat gayi sab ki taqdeer
Vo saqaafat vo riwaayat vo tamaddun na rahi
Hai abhi bhi dilo mai taaza vo gham ki tasveer

Jisney hijrat ki muhaajir bhi usey kehne lagey
Jo vahaa reh gaye kaafir bhi usey kehne lagey
Bujh gayi shama voh galya ho gayi be-tanveer
Huee taqseem-e-vatan bat gayi sab ki taqdeer

Jiss taraf dekha faqat khoon ka hi manzar tha
Aag mai jalta hua saamney mera ghar tha
Vo ladakpan ke aqaarib gaye ho kar dilgeer
Huee taqseem-e-vatan bat gayi sab ki taqdeer

Sirf laashey hi padhi thi sukhey patto ki tarah
Chand afraad nazar aaye bhi murdo ki tarah
Kaam na aayi qaraabat na rahi zinda zameer
Huee taqseem-e-vatan bat gayi sab ki taqdeer

Aisi majboori bhi kya thi jo kiya tark-e-chaman
Sirf mazhab ke liye hi huee taqseem- e -vatan
Iss siyaasat ne ki tareekh- e -variq ko tehreer
Huee taqseem-e-vatan bat gayi sab ki taqdeer


FEW MEANINGS

• Adaavat= hate
• Taqseem-e-vatan= partition of country
• Saqaafat= culture
• Riwaayat= tradition
• Tamaddun= civilization
• Hijrat= migrate
• Muhaajir= immigrants
• Be-tanveer= dark/without light
• Ladakpan= childhood
• Aqaarib= kith & kin/relatives
• Dilgeer= sad
• Afraad= people
• Qaraabat= relation
• Zameer= inner conscience
• Tark-e-chaman= to quit garden
• Tareekh-e-variq= page of history
• Tehreer= written
   
Reply With Quote
 


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com