Meri gudiyaa...
itti choti see aur batein itti badi badi...bahut hee sanjiida topic ko leke tumne likha hai...hai na kitna sach...aur itna kadwaa sach...shukriya ki tumne sabka dhyaan iss or kendrit kiya hai...
maanav jeevan kyaa teraa hai yahi arth
sab kuch sahnaa ant mein ho jaata hai vyarth
jiski khaatir har dukh jhelaa haste haste
usne hare k rista toda antim path mein
Us jeevan ko bojh samjh ke kyun fenka hai
Jis jeevan ne use banaya hai samarath.
Antim path mein saaya bhi to saath nahi hai
Jeete to hai par jeene meein koi baat nahi hai
Hamne jab koi bhed kiya na tere jeevan se
Tujhe paalne mein kabhi rakhi na koi shart.
Ham ye jeevan dhote hai rokar ke ab yun
Sochte hai jeete hai aakhir ab ham kyun
Kaise bhule unhein jise khoon se seecha haai
usne hi is antim path ka kiya anarath.
wakai bahut saralta se yeh gehraayi kee baat keh gayin tum...bhagwaan tumhein hamesha aisee hee soch dein...
tumhari aapa (with mithi)