Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
tum kehti ho
Old
  (#1)
romance
Registered User
romance will become famous soon enoughromance will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 305
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 23
tum kehti ho - 31st July 2004, 04:04 AM

[for an online friend of mine with whom i have no contact otherwise]


tum kehti ho
apna dost mujh ko
aaj smajahti ho
apna sathi mujhay
dukh dard saray apnay
mujh say bantTi ho

tum kehti ho
main tumhara
sub say acha dost hoon
aur yeh dosti
hamesha rahay gi
aisay hi zinda

magar tum say to mera
sirif barqi-ro ka rishta hay [barqi-ro: electric wire]
jub tak yeh ro qaim hay
hamari dosti qaim hay
jis din yeh bijlion ka rasta band huwa
hamari dosti bhi khatam
jaisay shaakh per baithay howay kabootar
achanak say ur jatay hain

tumhain to mera poora naam bhi nahin pata
tumhain to yeh bhi nahin maaloom
keh main rehta kahan hoon
sirif aik khayal
aik tehreer ko tum nay
apna sub kuch kaisay maan liya

agar kabhi mujhay kuch ho gaya
main na raha
ya is qabil na raha
keh tum say taaluq qaim rakh sakon
to tum to yehi samjho gi na
keh main bewafa nikla
dosti kay rishtay ki qadar na ki
aur tumhain chor diya
jaisay aik kabootar
jo kabhi tumhaari chat per baitha kerta tha
ur gaya
aur wapas na aaya
magar yeh bhi to ho sakta hay
keh woh kabootar
kisi shikari ka shikar ban gaya ho

kaisi hay yeh dosti
yeh rishta
kaisa rishta hay
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
31st July 2004, 09:18 AM

romance ji,

aapki yah baat shayed kai baar kai logo ne kahi hogi... sochi hogi... aapne is ahesaas ko bekhubi bataya hai...
mera manna hai...
kai rishte aise hote hai jin ka hone ka vajood hum nahi dhundh sakte... yah kyun hai ... hum nahi soch sakte... haan par yah hote hai... ro [wire] ke hote tak hi sahi yah jataa sakte hai..
jo ahesaas aapne yaha jata diye woh ahesaas ki vastavikta agar hum koobul kar le... to yah rishte... ro ke mohtaaj nahi rahte... na milne par bhi yah rishte maan maie khile rahte hai.. mahekte rahte hai.
muje lagta hai ke koshish kare to yah rishta bina kisi aahat ke bhi humaare sathh chal sakte hai.
or mere khayal se yah majbooti sabhi ko laani chahiye rishto maie...
fir shikari ka dar nahi rahega or na hi ood ne ke baad kaha gaya is ka dar.. ya shak rahega. rahega to sirf 'sathh hai' ka ahesaas. bina ro [wire] ke bhi bina aavaj ke bhi bina aahat ke bhi...

meena
   
Reply With Quote
Ye rishta
Old
  (#3)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Ye rishta - 31st July 2004, 12:45 PM

Priye Romance ji....mai aapki is post ko reply kiye bina nahi reh paya...haalaNki bataya Meena ji ne iske baare me...shukriya Meena ji...aap ek achchhi dost haiN.

Romance ji...aaj aapne jo post kiya hai yahaaN ham se hi kai dostoN ki uljhan or sachchhai hai ham sirf bandheiN hai...to electric media ke through...koi pehchaan nahi aapas me ...or shaayad wo sab share kar jaate haiN jo...hamare paida karne waale bhi nahi jaante....or dost sachh to ye hai ke ham anjaanoN per hi khulte haiN kyoNki dar nahi hota...wo sabse alag or door hota hai...wo aapki kamjoriyoN ka misuse nahi karega...ye bhi banefit hai shaayad.

Suna tha...parichay ke bina prem sambhav nahi....mai bhi yahi maanta hooN...per parichay to hua hai hamaare khayaaloN ka...or ham nazdeek aa jaate haiN...bilkul sahi kaha aapne na shakl-o-soorat ka gyaaN hai na pata na pehchaan hai...so agar koi durghatna hui ...to pata kaise chalega...kya rishta hai ye...bilkul sahi uljhan hai aapki...

Par dost un sabke baavjood bhi ye rishta hai...or utna hi gehra jitne ke baaki...kyoNki hame iska bhi intjaar rehta hai ham iske liye bhi waqt nikaalte haiN...ham is rishte ki bhi fikr karte haiN...jeise ke aap kar raheiN haiN...or rishta hai ...to hai...phir ise naam dene ki kya chinta...per ye rishta bemaani nahi hai....utna hi goorh..or gehra hai jitne baaki...(mujhe to yahi samajh aaya ye rishta bhi).


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Re: Ye rishta
Old
  (#4)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Re: Ye rishta - 31st July 2004, 12:54 PM

Quote:
Originally posted by Chaand
Priye Romance ji....mai aapki is post ko reply kiye bina nahi reh paya...haalaNki bataya Meena ji ne iske baare me...shukriya Meena ji...aap ek achchhi dost haiN.

Romance ji...aaj aapne jo post kiya hai yahaaN ham se hi kai dostoN ki uljhan or sachchhai hai ham sirf bandheiN hai...to electric media ke through...koi pehchaan nahi aapas me ...or shaayad wo sab share kar jaate haiN jo...hamare paida karne waale bhi nahi jaante....or dost sachh to ye hai ke ham anjaanoN per hi khulte haiN kyoNki dar nahi hota...wo sabse alag or door hota hai...wo aapki kamjoriyoN ka misuse nahi karega...ye bhi banefit hai shaayad.

Suna tha...parichay ke bina prem sambhav nahi....mai bhi yahi maanta hooN...per parichay to hua hai hamaare khayaaloN ka...or ham nazdeek aa jaate haiN...bilkul sahi kaha aapne na shakl-o-soorat ka gyaaN hai na pata na pehchaan hai...so agar koi durghatna hui ...to pata kaise chalega...kya rishta hai ye...bilkul sahi uljhan hai aapki...

Par dost un sabke baavjood bhi ye rishta hai...or utna hi gehra jitne ke baaki...kyoNki hame iska bhi intjaar rehta hai ham iske liye bhi waqt nikaalte haiN...ham is rishte ki bhi fikr karte haiN...jeise ke aap kar raheiN haiN...or rishta hai ...to hai...phir ise naam dene ki kya chinta...per ye rishta bemaani nahi hai....utna hi goorh..or gehra hai jitne baaki...(mujhe to yahi samajh aaya ye rishta bhi).

mere chaand,

maie bhi tumhare in khayalo se sahemat hu.
kuchh bhi kaho... par yahi sach hai.... ye rishta bemaani nahi hai....utna hi goorh..or gehra hai jitne baaki.

tumhari meena
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
romance
Registered User
romance will become famous soon enoughromance will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 305
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 23
24th October 2017, 10:32 AM

aur phir wohi howa
jiska dar tha
woh dosti
woh rishta
jo sirif aik khayal tha
waqt kay saath
khatam ho gayi
jaisay rait per qadmon kay nishan
waqt kay saath baynishan ho jatay hain

ab to yeh haal hay keh
kabhi bhoolay say dil main ek khayal aata hay
keh kayi baras pehlay koi apna sa laga tha
kisi say dil ki baat ki thi
magar woh khayal us hawa ki tarah hay
jo buhut kam chalti hay
phir dil yeh sochta hay
keh janay woh shaks ab kahan hoga
kis haal main hoga
kush bhi hoga keh nahin
us ko mera khayal aata bhi hoga keh nahin?
aur phir dil main yeh khayal aata hay
keh nahin!
jub mujhay uska khayal kabhi nahin aata
to usay mera khayal kaisay aa sakta hay
woh to apni zindagi main khush hoga
jahan bhi hoga sukh hi sukh hoga
is khushi aur sukh chain main
usko kon yaad rakahay ga
jisay kabhi daikha hi nahin
jiska poora naam bhi nahin pata
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
26th October 2017, 02:46 PM

Quote:
Originally Posted by romance View Post
[for an online friend of mine with whom i have no contact otherwise]


tum kehti ho
apna dost mujh ko
aaj smajahti ho
apna sathi mujhay
dukh dard saray apnay
mujh say bantTi ho

tum kehti ho
main tumhara
sub say acha dost hoon
aur yeh dosti
hamesha rahay gi
aisay hi zinda

magar tum say to mera
sirif barqi-ro ka rishta hay [barqi-ro: electric wire]
jub tak yeh ro qaim hay
hamari dosti qaim hay
jis din yeh bijlion ka rasta band huwa
hamari dosti bhi khatam
jaisay shaakh per baithay howay kabootar
achanak say ur jatay hain

tumhain to mera poora naam bhi nahin pata
tumhain to yeh bhi nahin maaloom
keh main rehta kahan hoon
sirif aik khayal
aik tehreer ko tum nay
apna sub kuch kaisay maan liya

agar kabhi mujhay kuch ho gaya
main na raha
ya is qabil na raha
keh tum say taaluq qaim rakh sakon
to tum to yehi samjho gi na
keh main bewafa nikla
dosti kay rishtay ki qadar na ki
aur tumhain chor diya
jaisay aik kabootar
jo kabhi tumhaari chat per baitha kerta tha
ur gaya
aur wapas na aaya
magar yeh bhi to ho sakta hay
keh woh kabootar
kisi shikari ka shikar ban gaya ho

kaisi hay yeh dosti
yeh rishta
kaisa rishta hay
Quote:
Originally Posted by romance View Post
aur phir wohi howa
jiska dar tha
woh dosti
woh rishta
jo sirif aik khayal tha
waqt kay saath
khatam ho gayi
jaisay rait per qadmon kay nishan
waqt kay saath baynishan ho jatay hain

ab to yeh haal hay keh
kabhi bhoolay say dil main ek khayal aata hay
keh kayi baras pehlay koi apna sa laga tha
kisi say dil ki baat ki thi
magar woh khayal us hawa ki tarah hay
jo buhut kam chalti hay
phir dil yeh sochta hay
keh janay woh shaks ab kahan hoga
kis haal main hoga
kush bhi hoga keh nahin
us ko mera khayal aata bhi hoga keh nahin?
aur phir dil main yeh khayal aata hay
keh nahin!
jub mujhay uska khayal kabhi nahin aata
to usay mera khayal kaisay aa sakta hay
woh to apni zindagi main khush hoga
jahan bhi hoga sukh hi sukh hoga
is khushi aur sukh chain main
usko kon yaad rakahay ga
jisay kabhi daikha hi nahin
jiska poora naam bhi nahin pata

Romance ji, hame bhi aapka naam nahi maloom, Romance keh kar bulana bhi ajeeb sa lag rha hai, shayad aapko pehli baar pad rhi hu ya pehle bhi pada hai, yaad nahi muje, par aik baat to maan.ni padegi ki ehsaasoN ko hu-b-hu bayaan karna koi aapse seekhe
pyar, dosti kisi naam ya pehchaan ki mohtaaj nahi hoti, agar aap aaj bhi apni us dosti ko yaad karte hai to jaroor aapki dost bhi aapko yaad karti hogi, kyuki "yeh diloN ke naate hai, jo todey nahi jaate"

so ham duaa karti hai ki aapki wo dosti yahan b hai khush rhe aur aap bhi khush raheN.



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#7)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
30th March 2021, 04:07 PM

Beautifully written and expressed Umar!

Take care

~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Tum kehti thi... !!! naresh_mehra110 Hindi Kavitayen 30 5th June 2010 11:25 AM
kehti thi.. pakimafia Aapki Shayri 0 25th February 2008 10:25 PM
Tum Kehti ho cool_boy00744 Shayri-e-Ishq 0 18th October 2006 09:51 AM
~*~*KeHtI hAi ZiNdAgI~*~* Taish Shayri-e-Dard 9 9th September 2005 05:30 PM
Tum Kehti Ho ........ shakil-jaan Aapki Shayri 0 8th September 2004 04:23 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com