Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 5.00 average. Display Modes
Faiz Ahmed Faiz
Old
  (#1)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Faiz Ahmed Faiz - 11th July 2005, 01:57 PM

kuch lamhe jo maine or komal ne sath gujare... oosi ki kuch yaade..

A life sketch of Faiz based on his writings

sheeshon ka masiha
Faiz Ahmed Faiz

*shabana azmi & javed akhtar
ghazals & nazms sung by jaswinder singh

~~~~~~~

kab yaad me.n teraa saath nahii.n kab haath me.n teraa haath nahii.n
sad shukr ke apanii raato.n me.n ab hijr kii koii raat nahii.n


mushkil hai.n agar haalaat vahaa.N dil bech aaye.N jaa.N de aaye.N
dil vaalo kuuchaa-e-jaanaa.N me.n kyaa aise bhii haalaat nahii.n


jis dhaj se koii maqtal me.n gayaa vo shaan salaamat rahatii hai
ye jaan to aanii jaanii hai is jaa.N kii to koii baat nahii.n


maidaan-e-vafaa darbaar nahio.n yaa.N naam-o-nasab kii puuchh kahaa.N
aashiq to kisii kaa naam nahii.n kuchh ishq kisii kii zaat nahii.n


gar baazii ishq kii baazii hai jo chaaho lagaa do Dar kaisaa
gar jiit gae to kyaa kahanaa haare bhii to baazii maat nahii.n

~~~~~~~~~


raaz-e-ulfat chhupaa ke dekh liyaa
dil bahot kuchh jalaa ke dekh liyaa


aur kyaa dekhane ko baaqii hai
aap se dil laga ke dekh liyaa


wo mere hoke bhii mere na hue
unako apanaa banaa ke dekh liyaa


aaj unakii nazar me.n kuchh hamane
sabakii nazare.n bachaa ke dekh liyaa


aas us dar se TuuTatii hii nahii.n
jaa ke dekhaa, na jaa ke dekh liyaa


'Faiz', taqmiil-e-Gam bhii ho na sakii
ishq ko aazamaa ke dekh liyaa


~~~~

shaam-e-firaaq ab na puuchh aaii aur aake Tal gaii
dil thaa ke phir bahal gayaa, jaa.N thii ke phir sambhal gaii


bazm-e-Khayaal me.n tere husn kii shamaa jal gaii
dard kaa chaa.Nd bujh gayaa, hijr kii raat Dhal gaii


jab tujhe yaad kar liyaa, subha mahak mahak uThii
jab teraa Gam jagaa liyaa, raat machal machal gaii


dil se to har muaamalaa karake chale the saaf ham
kahane me.n unake saamane baat badal badal gaii


aaKhir-e-shab ke hamasafar 'Faiz' na jaane kyaa hue
rah gaii kis jagah sabaa, subha kidhar nikal gaii


~~~~




dil me.n ab yuu.N tere bhuule huye Gam aate hai.n
jaise bichha.De huye kaabe me.n sanam aate hai.n


ik ik kar ke huye jaate hai.n taare raushan
merii manzil kii taraf tere qadam aate hai.n


raqs-e-may tez karo, saaz kii lay tez karo
suu-e-maiKhaanaa safiiraan-e-haram aate hai.n


kuchh hamii.n ko nahii.n ehasaan uThaane kaa dimaag
vo to jab aate hai.n maa_il-ba-karam aate hai.n


aur kuchh der na guzare shab-e-furqat se kaho
dil bhii kam dukhataa hai vo yaad bhii kam aate hai.n



~~~


aur meri do fev gajal.........

gulo.n me.n rang bhare, baad-e-naubahaar chale
chale bhii aao ki gulshan kaa karobaar chale


qaffas udaas hai yaro, sabaa se kuchh to kaho
kahii.n to bahr-e-Khudaa aaj zikr-e-yaar chale


kabhii to subh tere kunj-e-lab se ho aaGaaz
kabhii to shab sar-e-kaakul se mushkabaar chale


ba.Daa hai dard kaa rishtaa, ye dil Gariib sahii
tumhaare naam pe aaye.nge Gam_gusaar chale


jo ham pe guzarii so guzarii magar shab-e-hijraa.N
hamaare ashk terii aaqabat sa.Nwaar chale


huzoor-e-yaar huii daftar-e-junuu.N kii talab
girah me.n leke garebaa.N kaa taar taar chale


maqaam 'Faiz' koii raah me.n jachaa hii nahii.n
jo kuu-e-yaar se nikale to suu-e-daar chale


~~~~~~~


mujh se pahalii sii mohabbat merii mahabuub na maa.Ng

mai.n ne samajhaa thaa ki tuu hai to daraKhshaa.N hai hayaat
teraa Gam hai to Gam-e-dahar kaa jhaga.Daa kyaa hai
terii suurat se hai aalam me.n bahaaro.n ko sabaat
terii aa.Nkho.n ke sivaa duniyaa me.n rakkhaa kyaa hai (*)
tuu jo mil jaaye to taqadiir niguu.N ho jaaye
yuu.N na thaa mai.n ne faqat chaahaa thaa yuu.N ho jaaye
aur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaa
raahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa

mujh se pahalii sii mohabbat merii mahabuub na maa.Ng

anaginat sadiyo.n ke taariik bahimaanaa talism
resham-o-atalas-o-kam_Khvaab me.n bunavaaye huye
jaa-ba-jaa bikate huye kuuchaa-o-baazaar me.n jism
Khaak me.n litha.De huye Khuun me.n nahalaaye huye
jism nikale huye amaraaz ke tannuuro.n se
piip bahatii hu_ii galate huye naasuuro.n se
lauT jaatii hai udhar ko bhii nazar kyaa kiije
ab bhii dil_kash hai teraa husn maGar kyaa kiije
aur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaa
raahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa

mujh se pahalii sii mohabbat merii mahabuub na maa.Ng


[daraKhshaa.N : shining; hayaat = life]
[Gam-e-dahar = sorrows of the world; aalam = world]
[sabaat = permanence; niguu.N = bow/subservient]
[faqat = merely; vasl = union/meeting; taariik = dark]
[bahiimaanaa = dreadful; talism = magic]
[resham = silk; atalas = satin; kam_Khvaab = brocade]
[jaa-ba-jaa = hither-thither; litha.De = covered/soaked in]
[amaraaz = diseases; tannuuro.n = ovens; piip = pus]
[naasuur = ulcer/a wound that won't heal; dil_kash = heart-warming]


or bhi hai yaade........ fir kabhi sahi.
   
Reply With Quote
hi!
Old
  (#2)
komal5
Eyes and Dreams..
komal5 will become famous soon enoughkomal5 will become famous soon enough
 
komal5's Avatar
 
Offline
Posts: 1,228
Join Date: Jan 2005
Location: Mumbai
Rep Power: 22
hi! - 11th July 2005, 02:48 PM

Di, tamaro PM malya pehela aa post joi lidhi!
thx so much di for sharing alll the gazals...i was thinking bahot kuch achha suna par yaad na rakh payi...magar apne ye post karke...baat bana di...taza ho gaya voh mahaul..ab fursat se padhti rahungi!

tc
komal


~a tender touch~
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
11th July 2005, 04:56 PM

komal,

pulkit ki madad se kuch or yaade tumhare liye.....


http://www.geocities.com/pulkit_crea...abanajaved.jpg


( mithhdo sardaar)
http://www.geocities.com/pulkit_creations/jaswinder.jpg

Last edited by meena chheda; 11th July 2005 at 04:58 PM..
   
Reply With Quote
hi!
Old
  (#4)
komal5
Eyes and Dreams..
komal5 will become famous soon enoughkomal5 will become famous soon enough
 
komal5's Avatar
 
Offline
Posts: 1,228
Join Date: Jan 2005
Location: Mumbai
Rep Power: 22
hi! - 11th July 2005, 05:00 PM

Arre wah DIdi...
thx pulkit..us shaandar shakhs ka chehra phir yaad dilane k liye!
Amazing singer!

tc
komal


~a tender touch~
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
11th July 2005, 07:59 PM

Didi!

Bahut hi pyaari ghazalen hain...Ek ek ghazal bahut hi pyaari hai... Bahaut acacha laga...ais ehi share karte rahiye...

I love u
Pulkit


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai

Last edited by Pulkit_gupta; 11th July 2005 at 08:02 PM..
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#6)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
12th July 2005, 02:33 AM

thanks for sharing these.......... take care!
   
Reply With Quote
waah saahab
Old
  (#7)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
waah saahab - 12th July 2005, 03:46 PM

raaz-e-ulfat chhupaa ke dekh liyaa
dil bahot kuchh jalaa ke dekh liyaa


aur kyaa dekhane ko baaqii hai
aap se dil laga ke dekh liyaa



bahut khoob ...........faiz saahab ka jawaab nahi...!

wo mere hoke bhii mere na hue
unako apanaa banaa ke dekh liyaa



.................................................. ...................!

aaj unakii nazar me.n kuchh hamane
sabakii nazare.n bachaa ke dekh liyaa


..........................................Again... .!


aas us dar se TuuTatii hii nahii.n
jaa ke dekhaa, na jaa ke dekh liyaa


.........................................Faiz saahab ko mera salaam


'Faiz', taqmiil-e-Gam bhii ho na sakii
ishq ko aazamaa ke dekh liyaa



Waah faiz saahab waah....kya kahooN

Ham to samjhe the ke ham sa gham kisi ka nahi...
Per hamne ey Feiz, tera Dard parh ke dekh liya...
...


Shukriya Meena ji....tahe dil se shukriya.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
12th July 2005, 07:15 PM

bahut khoob meena jee...

ek ek ghazal dil fareyb...Faiz sahib ka jawaab nahin...yahan share karne ka shukriya...aur iss album ka naam kya hai? main sun na chahoongi...

aur ab ek meri pasand kee...

dono jahaa.N terii mohabbat me.n haar ke
wo jaa rahaa hai koii shab-e-Gam guzaar ke


viiraa.N hai maikadaa Khum-o-saaGar udaas hai
tum kyaa gaye ke ruuTh gaye din bahaar ke


ik fursat-e-gunaah milii, wo bhii chaar din
dekhe hai.n ham ne hausale parvar-digaar ke


duniyaa ne terii yaad se begaanaa kar diyaa
tujh se bhii dil fareb hai.n Gam rozagaar ke


bhuule se muskuraa to diye the wo aaj 'Faiz'
mat puuchh val-vale dil-e-naa-kardaakaar ke


paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
13th July 2005, 04:35 PM

Quote:
Originally posted by Pulkit_gupta
Didi!

Bahut hi pyaari ghazalen hain...Ek ek ghazal bahut hi pyaari hai... Bahaut acacha laga...ais ehi share karte rahiye...

I love u
Pulkit

mere pulkit,

yah sari gajal soon mai or bhi maja aaya thha... tum soch sakte ho. or bhi gajal sooni thhi .... muje milte hi post karungi.

di
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
13th July 2005, 04:36 PM

Quote:
Originally posted by Parul
thanks for sharing these.......... take care!

parul,

shukria.....
   
Reply With Quote
Re: waah saahab
Old
  (#11)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Re: waah saahab - 13th July 2005, 04:41 PM

Quote:
Originally posted by Chaand
raaz-e-ulfat chhupaa ke dekh liyaa
dil bahot kuchh jalaa ke dekh liyaa


aur kyaa dekhane ko baaqii hai
aap se dil laga ke dekh liyaa



bahut khoob ...........faiz saahab ka jawaab nahi...!

wo mere hoke bhii mere na hue
unako apanaa banaa ke dekh liyaa



.................................................. ...................!

aaj unakii nazar me.n kuchh hamane
sabakii nazare.n bachaa ke dekh liyaa


..........................................Again... .!


aas us dar se TuuTatii hii nahii.n
jaa ke dekhaa, na jaa ke dekh liyaa


.........................................Faiz saahab ko mera salaam


'Faiz', taqmiil-e-Gam bhii ho na sakii
ishq ko aazamaa ke dekh liyaa



Waah faiz saahab waah....kya kahooN

Ham to samjhe the ke ham sa gham kisi ka nahi...
Per hamne ey Feiz, tera Dard parh ke dekh liya...
...


Shukriya Meena ji....tahe dil se shukriya.

Chaand


mere chaand,

faiz ji ne apni jyada tar gajal jail mai likhi hai jab woh kaid thhe.....
or waha bhi kothri ki khidki se nazar aate aasmaan ko oonhone khubsurat jataya hai ...
takleef k yah dino k liye apni patni alis ko khat mai likha thha k yaad karna ... oos waqt ko jo humne sath bitaya thha or yaad karna jo waqt hum sath bitane wale hai..... yah din aasani se kat jaayenge. or yah dorriya ek din hume bahut chhoti nazar aayegi.
aise bahut se khat soone...... faiz ji k likhe huae.

tumhari meena

Last edited by meena chheda; 13th July 2005 at 04:46 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
13th July 2005, 05:16 PM

Quote:
Originally posted by Parastaar
bahut khoob meena jee...

ek ek ghazal dil fareyb...Faiz sahib ka jawaab nahin...yahan share karne ka shukriya...aur iss album ka naam kya hai? main sun na chahoongi...

aur ab ek meri pasand kee...

dono jahaa.N terii mohabbat me.n haar ke
wo jaa rahaa hai koii shab-e-Gam guzaar ke


viiraa.N hai maikadaa Khum-o-saaGar udaas hai
tum kyaa gaye ke ruuTh gaye din bahaar ke


ik fursat-e-gunaah milii, wo bhii chaar din
dekhe hai.n ham ne hausale parvar-digaar ke


duniyaa ne terii yaad se begaanaa kar diyaa
tujh se bhii dil fareb hai.n Gam rozagaar ke


bhuule se muskuraa to diye the wo aaj 'Faiz'
mat puuchh val-vale dil-e-naa-kardaakaar ke


paras

meri paras,

yah gajal yaad dilane k liye shukria.
waise yah kisi album se nahi hai . par darasal......

'sheeshon ka maseeha', based on the life & works of revolutionery poet Fiaz ahmed faiz... where shabana azmi & javed did the show with jaswinder as a tribute to poet kaiefi azmi, who was a friend of a Faiz & a believer in the same political ideology.

ek nazm jo shabana azmi ne soonai thhi.... tumhare liye paras...


bol ki lab aazaad hai.n tere
bol zabaa.N ab tak terii hai
teraa sutawaa.N jism hai teraa
bol ki jaa.N ab tak terii hai
dekh ke aaha.ngar kii dukaa.N me.n
tu.nd hai.n shole surKh hai aahan
khulane lage quffalo.n ke dahaane
phailaa har ek zanjiir kaa daaman
bol ye tho.Daa waqt bahot hai
jism-o-zabaa.N kii maut se pahale
bol ki sach zi.ndaa hai ab tak
bol jo kuchh kahane hai kah le


[sutawaa.N=well built;
aaha.ngar=blacksmith;
tu.nd=sharp (here it means bright);]
[aahan=iron; quffalo.n ke dahaane=keyhole]



meena
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
13th July 2005, 08:46 PM

meena dost

faiz saheb ki ghazlon ka khuubsurat intikhaab mein to isey "GULDASTA" kahoongaa.
aur daad doon gaa meena ko itni achchay rujhaan ki aur un ke khayaal ki bulandi ki.
faiz saheb ki parwaaz-e-takhaiyul tak pohanchna hi bohat aizaaz ki baad hai.
faiz saheb urdu adeb ka bohat bara naam hain aur yeh ghazlein is ka muunh bolta saboot hai.
meena meri mubarakbaad qabool karein itni haseen intikhaab ke liye. thanks for sharing these beautiful poetry with us.
khush rahein aabaad rahein.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
13th July 2005, 11:35 PM

Behak.. Faiz sahab ek revolutionary shayar the...

Yahn unke kuchh kalaam pesh kiye aapne, jinhe padkar bahut achha laga..

Jitna shukriya kaha jaaye kamm hoga

fIR BHI...... Shukriya


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
*KOHINNOOR*
Registered User
*KOHINNOOR* is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 11
Join Date: Jul 2005
Rep Power: 0
14th July 2005, 02:00 AM

Asalam-O-Alaikum


Bahut hi pyaari ghazalen hain...keep sharing n keep up the gud work...bahut khoob


Take care
Keep smiling
Allah Hafiz

Regads: Ashjan
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
14th July 2005, 10:46 AM

Quote:
Originally posted by musharrafhusain
meena dost

faiz saheb ki ghazlon ka khuubsurat intikhaab mein to isey "GULDASTA" kahoongaa.
aur daad doon gaa meena ko itni achchay rujhaan ki aur un ke khayaal ki bulandi ki.
faiz saheb ki parwaaz-e-takhaiyul tak pohanchna hi bohat aizaaz ki baad hai.
faiz saheb urdu adeb ka bohat bara naam hain aur yeh ghazlein is ka muunh bolta saboot hai.
meena meri mubarakbaad qabool karein itni haseen intikhaab ke liye. thanks for sharing these beautiful poetry with us.
khush rahein aabaad rahein.

musharrafhusain

mere mushi dost,

kuch yaad aapke sath.....

Tum na'hakk sheeshay chunn chunn kar
Damann mein chupaae bethay ho
Sheeshon ka maseeha koi nahi
Kiya aas lagaae bethay ho

oos waqt ki baat hai...Moscow mai literary conference thi... bharat ki or se krishna chander or faiz sahib pakstaan ki or se aaye huae the. waha par sabhi k liye alag table tha... pahchaan k liye sabhi desh ka flag table par rakha huaa tha. jab yah dono sahib apne apne table k paas aaye... aapas mai oonki nazar takraai... dono ne apne flag ootha liye... or ek doosre ki or badhe.. waha haazir sabhi ki dhadkan rook gayi... ke yah kya ho raha hai. woh dono ne sabko chonka diya.... jab whe ek hi table par dono flag laga kar baith gaye..

aapki dost meena
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
14th July 2005, 11:09 AM

Quote:
Originally posted by ghayalparwana
Behak.. Faiz sahab ek revolutionary shayar the...

Yahn unke kuchh kalaam pesh kiye aapne, jinhe padkar bahut achha laga..

Jitna shukriya kaha jaaye kamm hoga

fIR BHI...... Shukriya

mere varinder,

tumhare shukriya ka shukriya. ek gajal jo muje pasand hai... tumhare liye.......


yuu.N sajaa chaa.Nd ki jhalakaa tere a.ndaaz kaa rang
yuu.N fazaa mahakii ki badalaa mere hamaraaz kaa rang


saayaa-e-chashm me.n hairaa.N ruKh-e-raushan kaa jamaal
surKhii-e-lab pe pareshaa.N terii aavaaz kaa rang


bepiye ho.n ki agar lutf karo aaKhir-e-shab
shiishaa-e-may me.n Dhale subah ke aaGaaz kaa rang


cha.ngo-nay rang pe the apane lahuu ke dam se
dil ne lay badalii to madham huaa har saaz kaa rang


[cha.ng= a type of musical instrument; nay=flute]


ik suKhan aur ki phir rang-e-takallum teraa
harf-e-saadaa ko inaayat kare ejaaz kaa rang


[takallum=conversation; ejaaz=miracle]



tumhari meena
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
14th July 2005, 11:11 AM

Quote:
Originally posted by *KOHINNOOR*
Asalam-O-Alaikum


Bahut hi pyaari ghazalen hain...keep sharing n keep up the gud work...bahut khoob


Take care
Keep smiling
Allah Hafiz

Regads: Ashjan
kohinnoor ji,

aapka tahe dil se shukria.....
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Muhabbat by Faiz silent-tears Anjuman-e-Shayri 0 4th December 2010 12:19 PM
A Tribute To "Faiz Ahmed Faiz" zainy Shayri-e-Mashahoor Shayar 17 24th March 2010 04:57 PM
Gulon mein rang bhare baad-e-naubahaar chale - by Faiz Ahmed Faiz Mahek Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 9th April 2003 11:43 PM
Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke - by Faiz Ahmed Faiz Mahek Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 8th November 2002 11:21 PM
faiz ahmad faiz sagar29in Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 7th June 2001 05:22 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com