Some poetry of Majid Deobandi -
6th July 2010, 11:27 PM
amn kaa jo paiGaam sunaane vaale hai.n
galiyo.n galiyo.n aag lagaane vaale hai.n
tum le jaao nezaa Khanjar aur talvaar
ham maqtal me.n sar le jaane vaale hai.n
zulm ke kaale baadal se Daranaa kaisaa
ye mausam to aane jaane vaale hai.n
biimaaro.n kaa ab to Khudaa hii haafiz hai
saare masiihaa zahar pilaane vaale hai.n
jaan bachaane vaale to sab hai.n lekin
ab kitane imaan bachaane vaale hai.n
ham ko un valiyo.n kii nisbat haasil hai
dasht ko jo gul_zaar banaane vaale hai.n
bhuukaa rah ke saa_il ko Khairaat jo de
ham bhii 'Majid' usii gharaane vaale hai.n
[saa_il = beggar]
************************************************** ********
saaman-e-tijaarat meraa imaan nahii.n hai
har dar pe jhuke sar ye merii shaan nahii.n hai
[tijaarat = trade]
har lafz ko siine me.n basaa lo to bane baat
taako.n me.n sajaane ko ye quraan nahii.n hai
[taak = shelf]
allaah merii rizq kii barakat na chalii jaaye
do roz se ghar me.n ko_ii mahamaan nahii.n hai
[rizq = subsistence/daily bread; barakat = abundance/good fortune]
ham ne to banaaye hai.n samandar me.n bhii raste
yuu.N ham ko miTaana ko_ii aasaan nahii.n hai
jis ko buzurgo.n kii rivaayat na rahe yaad
us shaKhs kii logo.n ko_ii pahachaan nahii.n hai
[buzurg = elder]
************************************************** ************
Faisle taqdeer ke lakeere badal nahi sakti
Eh insaan teri uske aage hargiz chal nahi sakti
Aaj tu zameen par hai kal zameen mein hoga
Maut tujhe aani hai har roz tal nahi sakti
|