Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
A Tribute To "Faiz Ahmed Faiz"
Old
  (#1)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
A Tribute To "Faiz Ahmed Faiz" - 16th February 2010, 12:04 PM

Faiz Ahmed Faiz (Born 7th jan 1911, died 20th nov 1984) was a Pakistani poet.His pen name was "Faiz".He was famous mainly for his Urdu poems, though he also wrote in Punjabi.Faiz Ahmed Faiz was born in the village Sialkot in Punjab during British rule., he went to Scotch Mission School, Sialkot, for academic education and after matriculation, joined the Murray College, Sialkot for intermediate and graduation. He was an urdu poet and journalist by occupation..

In 1930s Faiz Ahmed Faiz married Alys Faiz, a British woman. They had two daughters Moneeza and Salima Hashmi .Faiz started a branch of Progressive Writers' Movement in Punjab in 1936.He briefly joined the British Indian Army and was promoted to the rank of Lieut. Colonel in 1944. He resigned from the Army in 1947 and returned to Lahore to become the first editor in chief of the Pakistan Times.Faiz was an avowed supporter of Sufism.

Faiz was charged with complicity in a failed coup attempt known as the Rawalpindi Conspiracy Case and was sentenced to four years' imprisonment in 1951. The jail term gave him a first-hand experience of the harsh realities of life, and provided him with the much-needed solitude to think and write poetry. Two of his greatest works Dast-e-Saba and Zindan-Nama were products of this period of imprisonment.

Faiz was the first Asian poet to be awarded the Lenin Peace Prize, the Soviet Union's equivalent to the Nobel Prize in 1963.Before his death in 1984 he was also nominated for the Nobel Prize.

Faiz was one of the best-known poets of Pakistan.who combined in his poetry the themes of love, beauty, and political ideals into a vision of a better world and goodness.





ONE OF MY FAVORITE WRITINGS OF FAIZ:


mujh se pehlii sii mohabbat mere mehbuub na maa.Ng

mai.n ne samjhaa thaa ki tuu hai tou daraKhshaa.N hai hayaat
teraa Gham hai tou Gham-e-dahar kaa jhag.Daa kyaa hai
terii suurat se hai aalam me.n bahaaro.n ko sabaat
terii aa.Nkho.n ke sivaa duniyaa me.n rakkhaa kyaa hai (*)
tuu jo mil jaaye to taqdiir niguu.N ho jaaye
yuu.N na thaa mai.n ne faqat chaahaa thaa yuu.N ho jaaye
aur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaa
raahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa

mujh se pehlii sii mohabbat mere mehbuub na maa.Ng

anaginat sadiyo.n ke taariik bahimaanaa talism
resham-o-atalas-o-kam_Khvaab me.n bunvaaye huye
jaa-ba-jaa bikate huye kuuchaa-o-baazaar me.n jism
Khaak me.n litha.De huye Khuun me.n nahalaaye huye
jism nikale huye amaraaz ke tannuuro.n se
piip bahatii hu_ii galate huye naasuuro.n se
lauT jaatii hai udhar ko bhii nazar kyaa kiije
ab bhii dil_kash hai teraa husn maGar kyaa kiije
aur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaa
raahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa

mujh se pehlii sii mohabbat mere mehbuub na maa.Ng


[daraKhshaa.N : shining; hayaat = life]
[Gam-e-dahar = sorrows of the world; aalam = world]
[sabaat = permanence; niguu.N = bow/subservient]
[faqat = merely; vasl = union/meeting; taariik = dark]
[bahiimaanaa = dreadful; talism = magic]
[resham = silk; atalas = satin; kam_Khvaab = brocade]
[jaa-ba-jaa = hither-thither; litha.De = covered/soaked in]
[amaraaz = diseases; tannuuro.n = ovens; piip = pus]
[naasuur = ulcer/a wound that won't heal; dil_kash = heart-warming]


PLS... CONTINUE THIS THREAD WITH FAIZ'S WRITINGS...........





Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 15th June 2010 at 04:13 PM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#2)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
17th February 2010, 07:43 AM

wah mohatarama ,is bazm mein kamkam hee aise nayab silsile dekhne mayacar ate hein

mere pasandeeda shayer aur eik mayanaaz shayer ka ye silsila buahat hee khub hei janab...

Lijiye kuch meri pasand bhi haazir hei....ishq hei hamae in tehreeron se.........dilke saaz pe sur detee hoee ye tehreerain dharkanon mein bastee hein maham ke...........






"eeraani talaba ke naam jo amn aur azzadi ki jidd-o-jahad meiN kaam aaye"


yeh kaun sakhi haiN
jin ke lahu ki
ashrafiaaN, chhan chhan, chhan chhan,
dharti ke peham piyaase
kashkol meiN Dhalti jaati haiN
kashkol ko bharti haiN
yeh kaun jawaaN haiN arz-e-ajam
yeh lakh~luT
jin ke jismoN ki
bharpoor javaani ka kundan
yuN khaak meiN reza reza hai
yuN koocha koocha bikhra hai
ai arz-e-ajam, ai arz-e-ajam!
kiyuN noche ke haNs haNs phaiNk diye
in aaNkhoN ne apne neelam
in hoNtoN ne apne marjaaN
in haatoN ki "be~kal chaandi
kis kaam aaii, kis haath lagi?"

"ai poochne waale pardesi!
yeh tifl-o-javaaN
us noor ke nauras moti haiN
us aag ki kachchhee kaliaaN haiN
jis meeThe noor aur kaRwi aag
se zulm ki andhi raat meiN phooTa
subh-e-baghaavat ka gulshan
aur subh hui man man, tan tan,
in jismoN ka chaandi sona
in chehroN ke neelam, marjaaN,
jag~mag jag~mag, rukhshaaN rukhshaaN
jo dekhna chaahe pardesi
paas aaye dekhe jee bhar kar
yeh zeest ki raani ka jhoomar
yeh amn ki devi ka kaNgan!"

Faiz Ahmad Faiz



_____________________________________

hum ke thahare ajanabii itne madaaraatoN ke baad
phir baneNge aashna kitani mulakatoN ke baad

kab nazar meiN aayegi bedaagh sabze ki bahar
khooN ke dhabbe dhuleNge kitni barsatoN ke baad

dil to chahaa par shikast-e-dil ne mohalat hi na di
kuch gile shikwe bhi kar lete munajaatoN ke baad

the bahot bedard lamhe khatm-e-dard-ishq ke
thiN bahot bemahar subaheN meharbaaN ratoN ke baad

unse jo kahane gaya the 'FAIZ' jaaN sadaqa kiye
anakahi hi rah gayi woh baat sab batooN ke baad


_________________________________________

Gar mujhe iska yaqiin ho
mere hamdum mere dost
gar mujhe iska yaqiin ho
ke tere dil kii thakan
Terii ankhon kii udaasii tere siine kii jalan
merii diljouyi mere piyar se mit jaiy gi
gar mera harf e tasalii woh dawa ho jis se
ji uthae phir tera ujraa hoa benoor dimagh
Teri peshaani se dhul jain ye tazlil ke daag
Teri bemaar jawani ko shafaa ho jaiy
Gar mujhe iska yaqin ho mere hamdum mere dost
roz o shab sham o sahar mein tujhe behelataa rahoun
mein tujhe geet sunaataa rahaoun
halke shireen
aabshaaroun ke baharoun ke chaman zaaroun ke geet
aamad e subh ke mehtaab ke siyaaroun ke geet
tujh se mein husn o mohabaat kee hikayat kahoun

Kaise mughroor hasinaoun ke barfaab se jism
garm hathoun ki haraarat se pighal jaatae hein
Kaise ek chehre ke therae hoay maanus naqush
dekhte dekhtae yuklukht badal jaatae hein
kiss tarha aariz e mehbub ka shafaaf bilour
yukbayuk baad aiy ahmar se dehak jaata hei
kaise gulcheen ke liye jhuktee hei khud shaakh e gullaan
kiss tarha raat ka aiwaan mehak jaata hei

Yunhee gaata rahoun gata rahoun teri khaatir
geet buntaa rahoun ,betha rahoun teri khaatir

pur mere geet tere dukh ka mudawa hee nahi
naghma jarrah nahi munis o gham khaour sahee
geet nashtar tu nahi marham e azaar sahi
tere azaar ka charaa nahi nashtar ke siwa

Aur ye safak maseeha mere qabze mein nahi
iss jahaan ke kisi zee ruh ke qabze mein nahi
Haan magar tere siwa , tere siwa......tere siwa.....................!


_______________________________________________

yaad-e-Ghazaal chashmaaN, zikr-e-saman `IzaaraaN
jab chaahaa kar liya hai, kunj-e-qafas bahaaraaN

aankhoN meN dardmandii, hoToN pe `UzrKhwaahi
jaanaanah-vaar aayii shaam-e-firaaq-e-yaaraaN

naamuus-e-jaan-o-dil ki baazi lagii thi, varnah
aasaaN nah thii kuChh aisi raah-e-wafaa-shi`aaraaN

mujrim ho Khwaah ko`ii, rehtaa hai naasiHoN kaa
ruu-e-suKhan hameshah suu-e-JigarfigaaraaN

hai ab bhi waqt zaahid, tarmeem-e-zuhd kar lay
suu-e-Haram chalaa hai anboh-e-baadaKhwaaraaN

shaayad qareeb pahuNchii subH-e-visaal, hamdam!
mauj-e-sabaa liye hai Khushbuu-e-Khush-kinaaraaN

hai apni kisht-e-veeraaN, sar sabz iss yaqeeN se
aayegeN iss taraf bhi ik roz abr-o-baaraaN

aayegi Faiz ik din baad-e-bahaar le kar
tasleem-e-mai faroshaaN, paiGhaam-e-mai gusaaraaN


~Faiz Ahmad “Faiz”


ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
17th February 2010, 07:47 AM

http://www.youtube.com/watch?v=0Bzb7VDoW-o



http://www.esnips.com/doc/661be21f-db88-4101-be06-e6ba73d1e926/Gar-Mujhe-Uska


http://www.esnips.com/doc/8ed77d40-c58b-40b6-9f05-e87e161bfd6b/Gul-Huyi-Jaati-Hain---Abida-Parveen





http://www.esnips.com/doc/599209b1-629d-4518-97fb-2b3821fa7d6c/Dasht-e-Tanhai-Main



http://www.esnips.com/doc/da54c236-a484-4bfc-b069-8ba547ec0134/TinaSani-BaharAye


ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
17th February 2010, 07:49 AM

http://www.youtube.com/watch?v=X-QReFmI-vo

http://www.youtube.com/watch?v=AH0x2CvTec0

http://www.youtube.com/watch?v=-Vti7CfX_ZU

http://www.youtube.com/watch?v=eGJjNqiROlg

http://www.youtube.com/watch?v=Lt161_BvLwE&feature=related

http://www.youtube.com/watch?v=VCSrfp4fv2U&feature=related





1)vo ishq jo humse ruth gaya

2)vo jo hum mein tum mein qarar tha

3)raat yun dilmein teri

4) aiy ishq hamae barbaad na kar

5) hum ke thehre ajnabi itni madaraton ke baad


ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
17th February 2010, 07:50 AM

Ek fursat-e-gunnah milee wo bhi chaar din
dekhe hain ham ne hausle parvardigaar ke

*
guloo-e-ishq ko daar-e-rasan pohanch na sake
tou laut aaye tere sar-buland, kya karte?

*
tu hai aur ek taghaaful-e-payham
main hoon aur intazar-e-be andaaz

*
rang-o-khushboo ke husn-o-khoobee ke
tum se the jitne bhi iste'aaray the

*
qatl gaahon se chun kar hamaare alam
aur niklen ge usshaq ke qaafle

*
bujha jo rauzan-e-zindaan tou dil ye samjha hai
ke teri maang sitaaron se bhar gayee hogee


ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
17th February 2010, 10:32 AM

[quote=MahamAzmi;384130]wah mohatarama ,is bazm mein kamkam hee aise nayab silsile dekhne mayacar ate hein

mere pasandeeda shayer aur eik mayanaaz shayer ka ye silsila buahat hee khub hei janab...

Lijiye kuch meri pasand bhi haazir hei....ishq hei hamae in tehreeron se.........dilke saaz pe sur detee hoee ye tehreerain dharkanon mein bastee hein maham ke...........


My pleasure Maham ji.............I am glad u liked it.....aapki collection bhi behad acchi hai...this one is ,one of my favourites.........tfs.........







hum ke thahare ajanabii itne madaaraatoN ke baad
phir baneNge aashna kitani mulakatoN ke baad

kab nazar meiN aayegi bedaagh sabze ki bahar
khooN ke dhabbe dhuleNge kitni barsatoN ke baad

dil to chahaa par shikast-e-dil ne mohalat hi na di
kuch gile shikwe bhi kar lete munajaatoN ke baad

the bahot bedard lamhe khatm-e-dard-ishq ke
thiN bahot bemahar subaheN meharbaaN ratoN ke baad

unse jo kahane gaya the 'FAIZ' jaaN sadaqa kiye
anakahi hi rah gayi woh baat sab batooN ke baad




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#7)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
18th February 2010, 03:25 AM

chaaNd nikle kisee jaanib tiree zebaayee kaa
raNg badle kisee Soorat shab-e-tanhaayee kaa

daulat-e-lab se phir ai Khusro-e-sheereeN-dahanaaN!
aaj arzaaN ho koyee Harf shanaasaayee kaa

garmee-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanaaN
taZkirah chheRe tiree pairahan-aaraayee kaa

SeHn-e-gulshan meN kabhee ai shah-e-shamshaad-qadaaN
phir naz^ar aaYe saleeqah tiree ra'naayee kaa!

ek baar aur maseeHaa-e-dil-e-dil-zadagaaN!
koyee wa'dah, koyee iqraar maseeHaayee kaa!

deedah-e-dil ko saNbhaalo ke sar-e-shaam-e-firaaq
saaz-o-saamaan baham poNhchaa hai ruswaayee kaa!


ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
24th February 2010, 01:13 AM

GuloN meiN rang bhare baad-e-naubahaar chale
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale

Qafas udaas hai yaaro saba se kuchh to kaho

KahiN to bahr-e-Khuda aaj zikar-e-yaar chale

Kabhi to subah tere kunj-e-lab se ho aaghaz

Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushakbaar chale

Bara hai dard ka rishta yeh dil gharib sahi

Tumhare naam pe aaenge ghamgusaar chale

Jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijraan

Hamaare ashk teri aaqbat saNwaar chale

Maqaam Faiz koi raah meiN jacha hi nahiN

Jo kue yaar se nikle to sue daar chale

--FAIZ AHMED FAIZ




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#9)
janumanu
Banned
janumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
24th February 2010, 10:30 AM

bahr-e-Khuda ...

kunj-e-lab

sar-e-kaakul se mushakbaar

sue daar

Meaning plzz..........
  Send a message via Yahoo to janumanu  
Reply With Quote
Old
  (#10)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
24th February 2010, 11:16 AM

bahr-e-Khuda :..waves of sea of God Almighty!!...

kunj-e-lab:..kunj= corner,..lab= lips

sar-e-kaakul se mushakbaar :..kaakul= curls of hair,....mushakbaar=fragnance

suu-e daar..suu= in the direction of, daar= house
/country




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#11)
janumanu
Banned
janumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
24th February 2010, 03:36 PM

plzz aap inhe hindi font mai likh de taaki sahi pronunciation samjh aa sake

thank u stillllllllll
  Send a message via Yahoo to janumanu  
Reply With Quote
Old
  (#12)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
24th February 2010, 03:44 PM

hahahaha!!!...vikaas ji kitna kaam karwa rahe haiN mujhse....??..well give me some time plzz........




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#13)
janumanu
Banned
janumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
24th February 2010, 04:50 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
hahahaha!!!...vikaas ji kitna kaam karwa rahe haiN mujhse....??..well give me some time plzz........
ab kya kare ... aur koe chaara bhi to nahi hai
  Send a message via Yahoo to janumanu  
Reply With Quote
Tere intazaar mein hun main,,..Me
Old
  (#14)
Noor__rj99
" Noor."
Noor__rj99 is on a distinguished road
 
Noor__rj99's Avatar
 
Offline
Posts: 5
Join Date: Feb 2010
Rep Power: 0
Tere intazaar mein hun main,,..Me - 24th February 2010, 05:38 PM

Kahin jindagi bhar na, Guzar jaaye, Tere intazaar mein /
Dil shaayed ghut-ghut ke, Mar jaaye, Tere intazaar mein //
Tum har koshish karna, Jaldi waapis laut aane ki,
Ab-ke kahin ye paagal, Kuch kar jaaye, Tere intazaar mein //
Badi mushqil se roke baithaa hun, Aankhon mein aansuon ko mein,
Ragoon mein kahin, Yahi dard na uter jaaye, Tere intazaar mein //
Tu na jaane kyun, Uski aarzoo mein paagal hai,Jo tera nahi,
Ghar mera, Kahin, Yun-hi na bikhar jaaye, Tere intazaar mein //
Tum-mein, Jab, Kisi aur ki, Tadap nazar aati hai mujhe,
Dil yahi kehta hai "noor" Aye kaash ke mar jaaye, Tere intazaar mein//
Attached Thumbnails
Click image for larger version

Name:	Burning Love.jpg
Views:	256
Size:	5.1 KB
ID:	2909  


"Noor."
  Send a message via Yahoo to Noor__rj99  
Reply With Quote
Old
  (#15)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
24th February 2010, 11:26 PM

गुलूं में रंग भरे बाद -इ - नौबहार चले
चले भी आओ के गुलशन का कारोबार चले

क़फ़स उदास है यारो सबा से कुछ तो कहो
कहीं तो बहर -इ -खुदा आज जीकर -इ -यार चले

कभी तो सुबह तेरे कुञ्ज -इ -लब से हो आग़ाज़
कभी तो शब् सर -इ -काकूल से मुशाक्बार चले

बड़ा है दर्द का रिश्ता यह दिल ग़रीब सही
तुम्हारे नाम पे आएँगे घम्गुसार चले

जो हम पे गुजरी सो गुजरी मगर शब् -इ -हिज्राँ
हमारे अश्क तेरी आकबत संवार चले


मक़ाम फैज़ कोई राह में जाचा ही नहीं
जो कुए यार से निकले तो सुए दार चले


--फैज़ अहमद फैज़




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Chand Ghazal...--FAIZ AHMED FAIZ
Old
  (#16)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 86
Chand Ghazal...--FAIZ AHMED FAIZ - 26th February 2010, 10:08 AM

har haqiiqat majaaz ho jaaye
kaafiro.n kii namaaz ho jaaye

minnat-e-chaaraasaaz kaun kare
dard jab jaa.N navaaz ho jaaye

ishq dil me.n rahe to rusavaa ho
lab pe aaye to raaz ho jaaye

lutf kaa intazaar karataa huu.N
jor taa hadd-e-naaz ho jaaye

umr besuud kaT rahii hai 'Faiz'
kaash afshaa-e-raaz ho jaaye

--------------------------------------------


raaz-e-ulfat chhupaa ke dekh liyaa
dil bahot kuchh jalaa ke dekh liyaa


aur kyaa dekhane ko baaqii hai
aap se dil laga ke dekh liyaa

wo mere hoke bhii mere na hue
unako apanaa banaa ke dekh liyaa


aaj unakii nazar me.n kuchh hamane
sabakii nazare.n bachaa ke dekh liyaa

'Faiz', taqmiil-e-Gam bhii ho na sakii
ishq ko aazamaa ke dekh liyaa


-------------------------------------------------------

terii ummiid teraa i.ntazaar jab se hai
na shab ko din se shikaayat na din ko shab se hai

kisii kaa dard ho karate hai.n tere naam raqam
gilaa hai jo bhii kisii se terii sabab se hai

huaa hai jab se dil-e-naasabuur beqaabuu
kalaam tujhase nazar ko ba.Dii adab se hai


agar sharar hai to bha.Dake, jo phuul hai to khile
tarah tarah kii talab tere rang-e-lab se hai


kahaa.N gaye shab-e-furqat ke jaaganevaale
sitaaraa-e-sahar ham-kalaam kab se hai


[naasabuur=impatient]

------------------------------------------------------------------


tumhaarii yaad ke jab zaKhm bharne lagte hai.n
kisii bahaane tumhe.n yaad karne lagte hai.n


hadiis-e-yaar ke unavaa.N nikharne lagte hai.n
to har hariim me.n gesuu sa.Nvarne lagte hai.n


har ajanabii hame.n maharam dikhaa_ii detaa hai
jo ab bhii terii galii galii se guzarne lagte hai.n


sabaa se karate hai.n Gurbat-nasiib zikr-e-vatan
to chashm-e-subah me.n aa.Nsuu ubharne lagte hai.n


vo jab bhii karate hai.n is nutq-o-lab kii baKhiyaagarii
fazaa me.n aur bhii naGme.n bikharne lagte hai.n

[hariim - house] [maharam=acquaintance] [Gurbat-nasiib=those in exile; chashm=eye] [nutq-o-lab=speech and lips]

---------------------------------------------------------------------




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----

Last edited by naresh_mehra110; 26th February 2010 at 10:17 AM..
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#17)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
16th March 2010, 11:46 PM

Faiz sahab ka eik sher jo behud pasand hamae

"meri jaan, aaj kaa Gham nah kar, k nah jaane kaatib-e-waqt ne
kisi apne kal meN bhi bhuul kar, kahiiN likh rakhii ho masarrateN"


ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
24th March 2010, 04:57 PM

Shaam-E-Firaaq Ab Na Puuchh Aa_ii Aur Aa Ke Tal Ga_ii
Dil Thaa Ke Phir Bahal Gayaa Jaa.N Thii Ke Phir Sambhal Ga_ii

Bazm-E-Khayaal Me.n Tere Husn Kii Shamaa Jal Ga_ii

Dard Kaa Chaa.Nd Bujh Gayaa Hijr Kii Raat Dhal Ga_ii

Jab Tujhe Yaad Kar Liyaa Subah Mahak Mahak UThii

Jab Teraa Gam Jagaa Liyaa Raat Machal Machal Ga_ii

Dil Se To Har Muaamalaa Kar Ke Chale The Saaf Ham

Kahane Me.n Un Ke Saamane Baat Badal Badal Ga_ii

AaKhir-E-Shab Ke Ham-Safar 'Faiz' Na Jaane Kyaa Hue

Rah Ga_ii Kis Jagah Sabaa Subah Kidhar Nikal Ga_ii


--Faiz Ahmed Faiz




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com