mere khat-e-muhabbat.... -
27th July 2005, 04:34 PM
sadamon pe sadama khaya ye main kidhar aaya
purze the bikhare khaton ke,jana tera ghar aaya
aapni-aapni gardish hai suraj ki bhi uski bhi
woh bhi sham se gayab ye sahar aaya
kuch tarakki to kasbe mein bhi hui abke
kitne gharon ke baad mera ghar aaya
tarz-e-zist ko aate aate der lagi
ab kaza aayi to ye hunar aaya
saath the to tawwajo na di usne
aaj jo milne khud badhakar aaya
tarz-e-zist=way of living
usne chukar mujhe pathar se insan kiya
muddaton baad meri aankhon mein aansoon aaye
dr.bashir badr
|