Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Umeed!!!
Old
  (#1)
Abrarsworld
Zindagi Ek Tassavvur!!!
Abrarsworld is a splendid one to beholdAbrarsworld is a splendid one to beholdAbrarsworld is a splendid one to beholdAbrarsworld is a splendid one to beholdAbrarsworld is a splendid one to beholdAbrarsworld is a splendid one to behold
 
Abrarsworld's Avatar
 
Offline
Posts: 369
Join Date: Mar 2007
Location: Hyderabad,India
Rep Power: 24
Thumbs up Umeed!!! - 21st October 2007, 12:19 PM

Aadab Dosto...

Ek lambe arse baad aaya hun aaj... Umeed hai aapko meri yeh koshish pasand aayegi... Aapki keemti raaye ke muntazir...

Abrar...

Khwaishon ko jalati kabhi, kabhi bujhati hai,
Ek umeed hi to hai jo aage badna sikhati hai,

Mohabbat mein kabhi jo tum khao thokar kisi ki,
Sacchi agar ho mohabbat to bas umeed kaam aati hai,

Kahin bhi jist-o-jaan duniya ki musibaton mein,
Ho gar giraftaar use umeed wapas le aati hai,

Khayal-e-umeed ke kabhi dil laga paunga main,
Gaur kiya ke jhat se dil mein koi aur umeed ajati hai,

Tanhai ki umeed na rakh kabhi mehfil se tu,
Ye umeed aksar bewaja bekaar chali jaati hai,

Dil jalon ke aashiyane jab jale the kahin,
Zindagi ki umeed unhe khudaai yaad aati hai,

Zamane ke zulm sahe kitne is umeed ke saath,
Ke har kaali raat ke baad ek subeh zarur aati hai,

Kuch khayaal dil ke aaj bahekne lage hai,
Umeed thi kuch aur likhne ki par umeed likhi jaati hai,

Ek daastan-e-mohabbat ki umeed bhi dekhlo logon,
Mar gayi mohabbat par umeed milne ki baaki hai,

Khayal-e-guzar me ek khayal yeh bhi aaya,
Umeed karte hai yeh nazm aapke khayal chhu jaati hai,

Hum mohabbat ka kaarwan khatm nahi karte yaaron,
Umeed hi ise mitati hai umeed hi badati hai,

Bas ab kitni umeed lagaoge is umeed se "Abrar"
umeed jagate,Umeed mitate hue tujhe mitati jaati hai...




Hum to pattharon se mohabbat ka hunar rakhte hain,
Tum to phir bhi moom ho "Abrar" ke gale lag kar pighal jaoge...

Last edited by Abrarsworld; 21st October 2007 at 12:22 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
22nd October 2007, 11:33 AM

Quote:
Originally Posted by Abrarsworld View Post
Aadab Dosto...

Ek lambe arse baad aaya hun aaj... Umeed hai aapko meri yeh koshish pasand aayegi... Aapki keemti raaye ke muntazir...

Abrar...

Khwaishon ko jalati kabhi, kabhi bujhati hai,
Ek umeed hi to hai jo aage badna sikhati hai,

Mohabbat mein kabhi jo tum khao thokar kisi ki,
Sacchi agar ho mohabbat to bas umeed kaam aati hai,

Kahin bhi jist-o-jaan duniya ki musibaton mein,
Ho gar giraftaar use umeed wapas le aati hai,

Khayal-e-umeed ke kabhi dil laga paunga main,
Gaur kiya ke jhat se dil mein koi aur umeed ajati hai,

Tanhai ki umeed na rakh kabhi mehfil se tu,
Ye umeed aksar bewaja bekaar chali jaati hai,

Dil jalon ke aashiyane jab jale the kahin,
Zindagi ki umeed unhe khudaai yaad aati hai,

Zamane ke zulm sahe kitne is umeed ke saath,
Ke har kaali raat ke baad ek subeh zarur aati hai,

Kuch khayaal dil ke aaj bahekne lage hai,
Umeed thi kuch aur likhne ki par umeed likhi jaati hai,

Ek daastan-e-mohabbat ki umeed bhi dekhlo logon,
Mar gayi mohabbat par umeed milne ki baaki hai,

Khayal-e-guzar me ek khayal yeh bhi aaya,
Umeed karte hai yeh nazm aapke khayal chhu jaati hai,

Hum mohabbat ka kaarwan khatm nahi karte yaaron,
Umeed hi ise mitati hai umeed hi badati hai,

Bas ab kitni umeed lagaoge is umeed se "Abrar"
umeed jagate,Umeed mitate hue tujhe mitati jaati hai...

abrar ji namaskaar
aapki gazal + ahsaas bahut pasand aaye.......har sher dil ke kareeb raha....yu hi likhtey rahiye

haan humey aapse shikayat bhi hai....aap mahfil se bahut dino tak gayab rahtey ho...aisa mat kiya kijiye...rotuine meiN aatey raha kijiye aur humey mokka diya kijiye ki hum aapko pad sakeN

god bless u


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Merul
Registered User
Merul will become famous soon enoughMerul will become famous soon enough
 
Merul's Avatar
 
Offline
Posts: 1,008
Join Date: Feb 2006
Location: India (Surat)
Rep Power: 21
22nd October 2007, 11:40 AM

Bahut khub abraar bhaii
janab kese ho aap??

Bara achchha laga aapki is rachna ko padhke, ehsaas bhi bahut achchhe lage hamien...

bhaii aajke jamane mein agar koi aashiq ko ek baar har milti hai to wo devdaas ya fir kisi aur saksh ki pahchaan banane lagta hai par aapki is rachna ko padhne ke baad hamein yu bhi lagta hai ki kash aaj dunia ka hara hua har aashiq aapko padh pata, unlogo ko bhi fir se dunia mein rang bharne ki ummid aap jaga dete..

Abraar bhai mehfil ko yuhi sajate rahiyega
aapka dost
MErul


!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!





Dhoka diya tha jab tumne mujhe,
Tab dil se me naraz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal du,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha.


Merul~~~~~~~~~~>
  Send a message via Yahoo to Merul  
Reply With Quote
Shukriyah!!!
Old
  (#4)
Abrarsworld
Zindagi Ek Tassavvur!!!
Abrarsworld is a splendid one to beholdAbrarsworld is a splendid one to beholdAbrarsworld is a splendid one to beholdAbrarsworld is a splendid one to beholdAbrarsworld is a splendid one to beholdAbrarsworld is a splendid one to behold
 
Abrarsworld's Avatar
 
Offline
Posts: 369
Join Date: Mar 2007
Location: Hyderabad,India
Rep Power: 24
Shukriyah!!! - 22nd October 2007, 01:23 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
abrar ji namaskaar
aapki gazal + ahsaas bahut pasand aaye.......har sher dil ke kareeb raha....yu hi likhtey rahiye

haan humey aapse shikayat bhi hai....aap mahfil se bahut dino tak gayab rahtey ho...aisa mat kiya kijiye...rotuine meiN aatey raha kijiye aur humey mokka diya kijiye ki hum aapko pad sakeN

god bless u
Aadab Sunita Ji...

Bohot khushi hui aapko hamare kalaam par dekh kar, Yunhi saath dete rahe...

Aur aapki shikayat ki baat se main sehmat hun par kareeb 1 mahine pehle mera accident hua tha to main complete bed rest par tha, Us wajeh se zyada aa nahi paya ab chal phir raha hun to fir mehfil mein aajata hun... Maafi ka talabgaar hun is tareh bina bataye jaane ke liye... Ainda Aisa nahi hoga... khair Mujhe bohot khushi hui aapko yahan dekh kar... yunhi aate rahe... aur is nacheez ke chand ehsaason ko pasand karne ke liye Bohot bohot shukriyah....

Yunhi saath dete rahe...

Duaon ke saath Ijazat...

Abrar...




Hum to pattharon se mohabbat ka hunar rakhte hain,
Tum to phir bhi moom ho "Abrar" ke gale lag kar pighal jaoge...
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
umeed abhishekaditya Shayri-e-Ishq 3 20th November 2005 09:43 PM
((((Umeed)))) Niks Shayri-e-Dard 3 2nd November 2005 08:48 PM
umeed!!! amrit Shayri-e-Ishq 0 31st July 2005 08:01 PM
Umeed! gulabjamun_4_u Shayri-e-Dard 0 1st December 2004 04:08 PM
Umeed aap sab se... pankaj_sundrani Aapki Shayri 1 13th November 2004 04:36 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com