Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Personal Messages > Chit-Chat & General Discussion Forum

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Work versus luck
Old
  (#1)
KATIL SHAYAR
Registered Guest
KATIL SHAYAR has a spectacular aura aboutKATIL SHAYAR has a spectacular aura about
 
KATIL SHAYAR's Avatar
 
Offline
Posts: 263
Join Date: Mar 2009
Location: Chinchpokli bandar, khaaau gali
Rep Power: 17
Work versus luck - 12th July 2010, 03:12 PM

Sabhi ko mera namaskaar

Aap sab k sammukh ek discussion thread laya hu ...
Jaisa ki iske naam se zaahir hai k luck is better or work is better ...

Hindi me bolu to bhaagya bada ya purushaarth ...

Is mudde par aap sabko discussion karna hai.... Agar aap chahe to....
Warna koi zabardasti nahi hai... Aap kayi members ki tarah sirf padhkar he maje loot sakte hain...

Is thread me aap apne experiences bhi share kar sakte hain...

So lets discuss...

Ek baat kehna chahuunga ki aap jo bhi koi tark ( logic ) de... Vo practical ho... I mean aisa na ho k aap logic me kuran,geeta,bible ki baate jode...

Ye discussion sirf aur sirf practical aur healthy hona chahiye...

Aur ek baat... Jaruuri nahi hai k agar koi bhaagya ki side ho to usko sirf bhaagya k paksh me he bolna hai... Agar wo purushaarth k baare me bhi kuch kehna chahta ho to please... Aap swatantr bharat k swatantr naagrik hain... Bol de.n...

Come on guys ......

Aapko chuhe aur billi ki kahani sunani hai...
Jisme chuhe ne yaad dilaayi,billi ko nani hai...
lekin chuha bhool gaya tha k wo sapna tha...
aakhir me shamat to chuhe ki he aani hai :D

Last edited by KATIL SHAYAR; 12th July 2010 at 03:34 PM..
   
Reply With Quote
Bhagya vs kaRma
Old
  (#2)
secret admirer
Registered User
secret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nice
 
Offline
Posts: 473
Join Date: Mar 2010
Location: New Delhi
Rep Power: 18
Bhagya vs kaRma - 12th July 2010, 04:59 PM

Katil bhai ko sadar namashkar........
apki ek aur nayi thread....aur main na aauN apne vichar prastut karne to aisa to ho hi nahi sakta....aapne kaha hai k example practical rakhna to theek hai jaisa aap kahein....

KaRm (work) Vs Bhagya (luck)

KaRm (work)
KaRm use kahte hain jo hum khud k dHwara apne liye ya kisi dusre ke liye PHal athwa udeshya prapti k liye karte hain…

Bhagya (luck)
Bhagya use kahte hain jahan hame kisi dusre k kiye kaRmo dHwara bina suChna k PHal ki prapti hoti hai…

Dono batoN ko ek hi example main samjhane ki koshish karta hoon….shadi k baad ek couple ek bacche k mata pita bante hain…..ye unke kaRm tHe….parNtu bacche ka bhagya hai….k wo unki santaaN bana…jaisa k Zahir hai k isme bacche ka koi kaRm nahi tha fir bhi use PHal prapti hui hai naya jeewan or mata pita k roop mein aur couples ko apne kaRrmo ka PHal bacche k roop mein....

(Isse jayada saral aur upyukt example mujhe koi dusra nahi mila)

Ab baat karte hain k bhagya bada ya kaRm

Dono me se kisi ek ki tarafdari karma to esa hoga jaise ek maa se pucha jaye k tere do bacchoN me se tujhe koon jayada pyaara hai….chaliye maa ko rahne dete hain uske bacchoN k sath aur chunav karte hain k kaRm aur Bhagya mein koon bada…to bhai mera manna hai k dono mein se kaRm bada haiKyunki kaRm k aage bhagya ka astitva kam hota hai…jaisa k main pehle hi kah chukka hoon k kisi dusre k dHwara kiya gaya kaRm hi hamara bhagya banta hai…..aur har waqt to koi apke liye kaRm nahi karega...to le de k niskarsh ye nilta hai k kaRmo se hi Bhagya ki uTpaTti hoti hai…

Ab misaal k taur par…ek aur example deta hoon apko…ek sacchi ghatna ka…ek baar main apne ek dost k sath mussoorie se dhanaulti bike se ja raha tha hamme us din dhanaulti mein hi camp karma tha….sham ka waqt tha halka halka andhera hone laga tha…dhanaulti se sirf 3 km pehle hamne dekha k ek ladka paidal dhanaulti ki taraf ja raha hai…kuch hi duri par ek leopard beech raste mein baitha tha…wo ladka achanak se ulte pawn bhagne laga…aur bhagte bhagte hamari bike k aage chala aaya meri nazar tab tak us leopard par pad hi chuki thi maine aur mere dost ne us ladke ko sambhala….aur kafi der tak uske sath wahin ruke rahe jab tak k leopard wahan se chala nahi gaya…uske baad hamne usko bhi apne sath bike par bithaya aur dhanaulti ki taraf nikal pade…usne hamme camp karne k liye ek acchi jagah bata di…aur wo apne raste chala gaya…us jagah apna camp lagane k baad humne socha k chalo thoda aaram karte hain uske baad kuch sookhi lakdiyaaN ikathi karenge aur khana banayenge thakan k karan hamari aankh lag gayi thodi der mein jab ham jage to dekha k barish ho rahi hai…hamme laga k shayad aaj bhukHa hi sona padega par tabhi hamne mehsus kiya k jaise kuch log hamare camp ki taraf chale aa rahe hain…bahar torch ki roshni laga kar dekha to wo ladka apne kuch dostoN se sath aa raha tha hamme badi hairani hui…usne aate hi hamse kaha k mujhe laga aap logo ko shayad khana banana ka mauka nahi mila hoga is liye main apke liye khana laya hoon…yakin maniye…hum na kuch kah paye na hi vishwas kar paye k jo hum dekh rahe hain wo sach hai ya koi sapna…us din to apne kiye gaye acche kaRmo aur us ladke k karmo ki badaulat khana naseeb ho gaya…isse aap hamara bhagya bhi kah sakte hain...

To aNt mein itna hi k Bhagya hai par kaRm se badkar nahi…kaRm har waqt sath dete hain Bhagya nahi....Bhagya kabhi bhi badal sakta hai par apke kaRm hamesha apke sath chalte hain....

Na tha main to khuda tha, kuch na hota to khuda hota?
mitaya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota !!
(NM)

Last edited by secret admirer; 12th July 2010 at 05:55 PM..
  Send a message via Yahoo to secret admirer  
Reply With Quote
Old
  (#3)
gazzal
Registered User
gazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to behold
 
gazzal's Avatar
 
Offline
Posts: 374
Join Date: Jun 2010
Location: chandigarh
Rep Power: 23
Sad 12th July 2010, 06:15 PM

i think luck is better

jaese ki aaj ki hi baat hai main addmition krwane gyi thi 8 seats thin or ladkiyan phunchi thi 6.....jinme se mera 4th numbr tha....hum subha 10 se leke 3 bje tk mauj masti me baithe rhe addmition to ho hi jayegi kyu k sari seats khali thi bas hum counsling call ki wait kr rhe the..itne me do ladkion ko call aayi unka rank mujhse zara sa upar tha..unki addmition ho gyi....matlb 8 mese 6 seats khali n hum bas do ladkian bachi thi...hum ne ek ghnta wait ki k kub hume addmition k liye bulaya jayega...or jab hum andar gye to unhone kha k sari addmitions ho chuki hai aap waiting me ho to 24 ko aana....ab bhai ye btayen k 8 seats or ladkian 6 jinme se 4th rank hmara or fir bhi khali haath laut aaye ab mere marks to 75% the or luck ne saath nai diya.....

If you don't like something, change it. If you can't change it, change your attitude......
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
secret admirer
Registered User
secret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nice
 
Offline
Posts: 473
Join Date: Mar 2010
Location: New Delhi
Rep Power: 18
12th July 2010, 06:30 PM

Quote:
Originally Posted by gazzal View Post

gazzal ji namaste.......
hmmmmmmm.... to aap luck ko favor karti hain...ab jara sa dimaag par jor daliye k agar aapne padhne mein jara jayada mehnat ki hoti to apke marks 75% se kuch jayada aate aur apka admission ho hi jata aur na hi apko waiting list mein latakna padta.....main ye nahi kahta k apne padhne mein mehnat nahi ki main to sirf itna kah raha hoon k apke kiye gaye karmo mein todi kami rah gayi thi shayad......

koi baat nahi nirash na hoon kisi dusre k kaRm jald hi apka bhagya ban kar apke sammukh upastHit honge....aisi mujhe asha hai...parantu aap bhi apne kaRm karte rahiyega......

Na tha main to khuda tha, kuch na hota to khuda hota?
mitaya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota !!
(NM)
  Send a message via Yahoo to secret admirer  
Reply With Quote
Wowww
Old
  (#5)
KATIL SHAYAR
Registered Guest
KATIL SHAYAR has a spectacular aura aboutKATIL SHAYAR has a spectacular aura about
 
KATIL SHAYAR's Avatar
 
Offline
Posts: 263
Join Date: Mar 2009
Location: Chinchpokli bandar, khaaau gali
Rep Power: 17
Wowww - 12th July 2010, 07:56 PM

Quote:
Originally Posted by secret admirer View Post
Katil bhai ko sadar namashkar........

namaskar bhai ji

apki ek aur nayi thread....aur main na aauN apne vichar prastut karne to aisa to ho hi nahi sakta....

Ye meri khushnaseebi hai huzuur

aapne kaha hai k example practical rakhna to theek hai jaisa aap kahein....

KaRm (work) Vs Bhagya (luck)

KaRm (work)
KaRm use kahte hain jo hum khud k dHwara apne liye ya kisi dusre ke liye PHal athwa udeshya prapti k liye karte hain…

'bravo... bahut he sundar paribhasha pratut ki aapne '

Bhagya (luck)
Bhagya use kahte hain jahan hame kisi dusre k kiye kaRmo dHwara bina suChna k PHal ki prapti hoti hai…

'yaha thoda sa mukhtalif vichaar rakhta hu mai... Zaruuri nahi k aap meri baat se sehmat ho...
Mere anusaar bhaagya hamare dwara he kiye gaye pichle krmo ka phal hai... Aur ye sirf kisi aur k dwara kiye gaye karmo ka phal nahi hai apitu nature k dwara bhi hamko phal praapt ho jate hain...

Udaahran k taur par kisaan k liye baarish

Dono batoN ko ek hi example main samjhane ki koshish karta hoon….shadi k baad ek couple ek bacche k mata pita bante hain…..ye unke kaRm tHe….parNtu bacche ka bhagya hai….k wo unki santaaN bana…jaisa k Zahir hai k isme bacche ka koi kaRm nahi tha fir bhi use PHal prapti hui hai naya jeewan or mata pita k roop mein aur couples ko apne kaRrmo ka PHal bacche k roop mein....

(Isse jayada saral aur upyukt example mujhe koi dusra nahi mila)

'ek baar fir se aapke haatho ko choomne ka mann karta hai... Bahut he sundar aur saral udaaharann pesh kiya aapne '

Ab baat karte hain k bhagya bada ya kaRm

Dono me se kisi ek ki tarafdari karma to esa hoga jaise ek maa se pucha jaye k tere do bacchoN me se tujhe koon jayada pyaara hai….chaliye maa ko rahne dete hain uske bacchoN k sath aur chunav karte hain k kaRm aur Bhagya mein koon bada…to bhai mera manna hai k dono mein se kaRm bada haiKyunki kaRm k aage bhagya ka astitva kam hota hai…jaisa k main pehle hi kah chukka hoon k kisi dusre k dHwara kiya gaya kaRm hi hamara bhagya banta hai…..aur har waqt to koi apke liye kaRm nahi karega...to le de k niskarsh ye nilta hai k kaRmo se hi Bhagya ki uTpaTti hoti hai…

Ab misaal k taur par…ek aur example deta hoon apko…ek sacchi ghatna ka…ek baar main apne ek dost k sath mussoorie se dhanaulti bike se ja raha tha hamme us din dhanaulti mein hi camp karma tha….sham ka waqt tha halka halka andhera hone laga tha…dhanaulti se sirf 3 km pehle hamne dekha k ek ladka paidal dhanaulti ki taraf ja raha hai…kuch hi duri par ek leopard beech raste mein baitha tha…wo ladka achanak se ulte pawn bhagne laga…aur bhagte bhagte hamari bike k aage chala aaya meri nazar tab tak us leopard par pad hi chuki thi maine aur mere dost ne us ladke ko sambhala….aur kafi der tak uske sath wahin ruke rahe jab tak k leopard wahan se chala nahi gaya…uske baad hamne usko bhi apne sath bike par bithaya aur dhanaulti ki taraf nikal pade…usne hamme camp karne k liye ek acchi jagah bata di…aur wo apne raste chala gaya…us jagah apna camp lagane k baad humne socha k chalo thoda aaram karte hain uske baad kuch sookhi lakdiyaaN ikathi karenge aur khana banayenge thakan k karan hamari aankh lag gayi thodi der mein jab ham jage to dekha k barish ho rahi hai…hamme laga k shayad aaj bhukHa hi sona padega par tabhi hamne mehsus kiya k jaise kuch log hamare camp ki taraf chale aa rahe hain…bahar torch ki roshni laga kar dekha to wo ladka apne kuch dostoN se sath aa raha tha hamme badi hairani hui…usne aate hi hamse kaha k mujhe laga aap logo ko shayad khana banana ka mauka nahi mila hoga is liye main apke liye khana laya hoon…yakin maniye…hum na kuch kah paye na hi vishwas kar paye k jo hum dekh rahe hain wo sach hai ya koi sapna…us din to apne kiye gaye acche kaRmo aur us ladke k karmo ki badaulat khana naseeb ho gaya…isse aap hamara bhagya bhi kah sakte hain...

To aNt mein itna hi k Bhagya hai par kaRm se badkar nahi…kaRm har waqt sath dete hain Bhagya nahi....Bhagya kabhi bhi badal sakta hai par apke kaRm hamesha apke sath chalte hain....
achha udaahrann hai bhai ji... aur bahut he sahi bhi... Samjhaane ki drishti se...

Mai bhi kuch add karna chahuunga k jaisa ki aapne kaha ki kisi maa se puucha jaaye ki kaun pyara hai to wo nahi bata payegi ...

Mai bhi yahi kehta hu k dono cycle k do pahiye k samaan hain... Din aur raat k samaan hain... Subah aur shaam k samaan hain... Narr aur naari k samaan hain...
Kisi b ek k abhaav me kuch bhi sambhav nahi hai...

cntd....

Aapko chuhe aur billi ki kahani sunani hai...
Jisme chuhe ne yaad dilaayi,billi ko nani hai...
lekin chuha bhool gaya tha k wo sapna tha...
aakhir me shamat to chuhe ki he aani hai :D
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
gazzal
Registered User
gazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to behold
 
gazzal's Avatar
 
Offline
Posts: 374
Join Date: Jun 2010
Location: chandigarh
Rep Power: 23
12th July 2010, 07:57 PM

Quote:
Originally Posted by secret admirer View Post
gazzal ji namaste.......
hmmmmmmm.... to aap luck ko favor karti hain...ab jara sa dimaag par jor daliye k agar aapne padhne mein jara jayada mehnat ki hoti to apke marks 75% se kuch jayada aate aur apka admission ho hi jata aur na hi apko waiting list mein latakna padta.....main ye nahi kahta k apne padhne mein mehnat nahi ki main to sirf itna kah raha hoon k apke kiye gaye karmo mein todi kami rah gayi thi shayad......

koi baat nahi nirash na hoon kisi dusre k kaRm jald hi apka bhagya ban kar apke sammukh upastHit honge....aisi mujhe asha hai...parantu aap bhi apne kaRm karte rahiyega......
secret ji
mene karam karne me koi kami nai chodi bt addmition meri aaj ho sakti thi bs collg walo k pass koi bhana tha k unho ne mujhe waitin me dal diya
addmition to aram se 24 ko ho hi jayegi bt baat aaj ki hai agar aaj mera luck acha hota to mujhe aaj hi seat mil jati........

If you don't like something, change it. If you can't change it, change your attitude......
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
KATIL SHAYAR
Registered Guest
KATIL SHAYAR has a spectacular aura aboutKATIL SHAYAR has a spectacular aura about
 
KATIL SHAYAR's Avatar
 
Offline
Posts: 263
Join Date: Mar 2009
Location: Chinchpokli bandar, khaaau gali
Rep Power: 17
12th July 2010, 08:19 PM

Bhagya aur karm dono he jeevan chakr ko suchaaru ruup se chalane k liye nitaant aavshyak hain...

Waise mai zyadatarr bhagya parr he vishwaas rakhta hu... Aur ye vishwaas kayam rakhte hue karm isiliye karta hu k ab jo ho raha hai mere saath wo puurv upaarjit karmo ka phal hai....

Aur aage jo hoga wo ab jo mai karm karr raha hu.. Unke according mujhe phal ki praapti hogi...

Waise mai bhaagya me viswaas rakhne waalo ko ek story sunana chahta hu...

Ek baaar subah-2 miya biwi me jhagda ho jata hai ... Jhagde ka kaaran yahi k miya ji karm parr vishwaas rakhte they aur biwi ji bhagy parr...

miya ji ka kehna tha ki agar bhaagy bada hai to mai aaj khana nahi khaaunga ... aur yaha se duur jungle me paed parr jake rahuunga... Fir dekhta hu k aaj khana apne aap mere muuh me kaise jata hai...

( Wo ek sanskrit ki pankti bhi to hai na.. Proper to nahi yaad parr arth ye hai k soote hue sher k muuh me hiran apne aap nahi jata.. )

Biwi kehne lagi k aap yakeen karo ya matt karo.. Parr agar aaj aapke bhagy me khana hoga to aapko zaruur milega...

Ye sunkarr miya ji ko aur gussa aa gaya aur jungle ki taraf badh gaye...

Ab din chadhne laga .. Biwi ki miya ji ki chinta hone lagi... Aakhir bhaartiya naari jo thi ( ispe mera next topic kaisa rahega )
Khair... biwi ne khana lagaya aur nikal padi talaash me...

Near about 2 baje usko miya ji ek paed parr baithe dikh gaye... Chuunki miya ji lakadhaare they to unhe paed ki tehniyo parr baithna pasand tha... Biwi ji ne khane ka tiffin rakha aur kaha ki ab zidd choro aur khana kha lo... Miya ji bole ki aaj to mai dekhuunga ki bhaagy bada ya karm.. Aur tum jaao aur bachho ko school se le aao .. Fir biwi khane ka tifin rakhkar ye kehkar chali gayi k jab gussa shaant ho jaye tab kha leejiyega...

Parr miya ji to miya ji they... Sanki type k... Sanak lag gayi to lag gayi...

Ab shaam hone ko aayi... Miya ji ka bura haal tha...
Lekin fir bhi ve ade rahe...

Ab udhar se 2 daaku aa gaye... Usi jungle me usi paed k neeche baith karr apni loot ka hisaab lagane lage... Itne me ek daaku ki nazar khane k tiffin parr padi... Usne apne saathi ko bataya... Dono ne tiffin khola to dekha ki achha lazeez khana hai... Unme se Ek daaku ne jaise he niwala tod kar muh upar kar k khane ki koshish ki to uski nazar miya ji parr padd gayi...

Bass fir kya tha unhone miya ji ko neeche utaara aur puucha k kya chakkar kya hai... Tum yaha uupar chadh karr kyu baithe ho aur kya tiffin me zehar mila khana khilakarr hame maarne ka plan tha kya tumhara... Miya ji ki sitti pitti gum ho gayi... Miya ji ne apni vyatha keh sunaayi.. Miya ji ki kahani sunkarr daaku soch me padd gaye aur unhone miya ji se kaha k ye khana kha k dikha.. Miya ji bole nahiiiiiiiiiiiiiiiii....
Wo bole khaaaaaaaaaaaa....

Ab daakuo ne milkarr khana miya ji ko zabardasti thoos thoos k khila diya

Aapko chuhe aur billi ki kahani sunani hai...
Jisme chuhe ne yaad dilaayi,billi ko nani hai...
lekin chuha bhool gaya tha k wo sapna tha...
aakhir me shamat to chuhe ki he aani hai :D
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
KATIL SHAYAR
Registered Guest
KATIL SHAYAR has a spectacular aura aboutKATIL SHAYAR has a spectacular aura about
 
KATIL SHAYAR's Avatar
 
Offline
Posts: 263
Join Date: Mar 2009
Location: Chinchpokli bandar, khaaau gali
Rep Power: 17
12th July 2010, 08:25 PM

Quote:
Originally Posted by gazzal View Post
i think luck is better

jaese ki aaj ki hi baat hai main addmition krwane gyi thi 8 seats thin or ladkiyan phunchi thi 6.....jinme se mera 4th numbr tha....hum subha 10 se leke 3 bje tk mauj masti me baithe rhe addmition to ho hi jayegi kyu k sari seats khali thi bas hum counsling call ki wait kr rhe the..itne me do ladkion ko call aayi unka rank mujhse zara sa upar tha..unki addmition ho gyi....matlb 8 mese 6 seats khali n hum bas do ladkian bachi thi...hum ne ek ghnta wait ki k kub hume addmition k liye bulaya jayega...or jab hum andar gye to unhone kha k sari addmitions ho chuki hai aap waiting me ho to 24 ko aana....ab bhai ye btayen k 8 seats or ladkian 6 jinme se 4th rank hmara or fir bhi khali haath laut aaye ab mere marks to 75% the or luck ne saath nai diya.....
First of all aapka haardik abhinandan gazzal ji

Aur itni udaasi kyu??
Khair... Ab jab secret ji se guftgu chaalu hai to i am sure k ye udaasi bhare icons jaldi smiling icons me tabdeel ho jaayenge

Waise mai aapki baato se sehmat hu ... mai bhi luck factor pe he believe karta hu...

Mere saath 10th me ajeeb he hua tha...

Hamare group me mai ek average student tha parr tha bada naughty type mai ezams se 2 din pehle dosto se puuchta tha ki parso kis subject ka exam hai

Hua yu ki jab hamara result aaya to mai apni zindagi ki sabse uunchi challaang maari thi in real

Mere sabb dost fail aur mai pass

Meri handwriting aisi hai k jaise koi bachha nusery me likhna seekhta hai aur hindi me highest marks mile they mujhe wo bhi tab, jab maine essay me ek film ki story likhi thi

Aapko chuhe aur billi ki kahani sunani hai...
Jisme chuhe ne yaad dilaayi,billi ko nani hai...
lekin chuha bhool gaya tha k wo sapna tha...
aakhir me shamat to chuhe ki he aani hai :D
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
secret admirer
Registered User
secret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nice
 
Offline
Posts: 473
Join Date: Mar 2010
Location: New Delhi
Rep Power: 18
12th July 2010, 08:33 PM

Quote:
Originally Posted by KATIL SHAYAR View Post
Mai bhi yahi kehta hu k dono cycle k do pahiye k samaan hain... Din aur raat k samaan hain... Subah aur shaam k samaan hain... Narr aur naari k samaan hain...
Kisi b ek k abhaav me kuch bhi sambhav nahi hai...

cntd....
apne bilkul sahi kaha jeevan mein kai aise udahran mil jayenge jahan ek dusre ka mahatwa janne aru samajhne mein aasani hoti hai........

Na tha main to khuda tha, kuch na hota to khuda hota?
mitaya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota !!
(NM)
  Send a message via Yahoo to secret admirer  
Reply With Quote
Old
  (#10)
secret admirer
Registered User
secret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nice
 
Offline
Posts: 473
Join Date: Mar 2010
Location: New Delhi
Rep Power: 18
12th July 2010, 08:40 PM

Quote:
Originally Posted by gazzal View Post
secret ji
mene karam karne me koi kami nai chodi bt addmition meri aaj ho sakti thi bs collg walo k pass koi bhana tha k unho ne mujhe waitin me dal diya
addmition to aram se 24 ko ho hi jayegi bt baat aaj ki hai agar aaj mera luck acha hota to mujhe aaj hi seat mil jati........
maine pehle hi kaha hai gazzal ji k app jise baar baar apna durbhagya kah rahi hain wo college administrator k kaRm hain......

ab aap maan bhi lijiye.....

admission aaram se ho jayega to tension kaisi bhagya ko kosna band kijiye aur vajpayee ji ki kavita ki kuch lines par amal kijiye.....

haar nahi manuNga
raar nahi thanuNga
kaal ke kapal par
likhta mitata hoon
geet naya gata hoon..

Na tha main to khuda tha, kuch na hota to khuda hota?
mitaya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota !!
(NM)
  Send a message via Yahoo to secret admirer  
Reply With Quote
Old
  (#11)
KATIL SHAYAR
Registered Guest
KATIL SHAYAR has a spectacular aura aboutKATIL SHAYAR has a spectacular aura about
 
KATIL SHAYAR's Avatar
 
Offline
Posts: 263
Join Date: Mar 2009
Location: Chinchpokli bandar, khaaau gali
Rep Power: 17
12th July 2010, 08:56 PM

Quote:
Originally Posted by secret admirer View Post
maine pehle hi kaha hai gazzal ji k app jise baar baar apna durbhagya kah rahi hain wo college administrator k kaRm hain......

ab aap maan bhi lijiye.....

admission aaram se ho jayega to tension kaisi bhagya ko kosna band kijiye aur vajpayee ji ki kavita ki kuch lines par amal kijiye.....

haar nahi manuNga
raar nahi thanuNga
kaal ke kapal par
likhta mitata hoon
geet naya gata hoon..
ye raar nahi thaanuunga ka kya matlab hai secret ji ???

Waise aap gazal ji k badluck ko kyu administrator ka bad luck banane pe tule hain.

Coz Jab gazal ji ka admission ho jayega to fir gazal ji k dwara kiya gaya karm administrator ka bhaagya bann jayega

Secret ji.... Aap bhi maan leejiye ki bhaagya sirf duusre k dwara kiya gaya karm nahi hai apitu hamare he dwara poorv me kiye gaye karmo ka phal hai bhaagya ki sahi paribhasha mere hisaab se yahi hai... Aapki raai mukhtalif ho sakti hai.....
isiliye sorry k aapko maan ne k liye zor de diya

Aapko chuhe aur billi ki kahani sunani hai...
Jisme chuhe ne yaad dilaayi,billi ko nani hai...
lekin chuha bhool gaya tha k wo sapna tha...
aakhir me shamat to chuhe ki he aani hai :D
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
secret admirer
Registered User
secret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nice
 
Offline
Posts: 473
Join Date: Mar 2010
Location: New Delhi
Rep Power: 18
12th July 2010, 09:04 PM

Quote:
Originally Posted by KATIL SHAYAR View Post
Bhagya aur karm dono he jeevan chakr ko suchaaru ruup se chalane k liye nitaant aavshyak hain...

Waise mai zyadatarr bhagya parr he vishwaas rakhta hu... Aur ye vishwaas kayam rakhte hue karm isiliye karta hu k ab jo ho raha hai mere saath wo puurv upaarjit karmo ka phal hai....

Aur aage jo hoga wo ab jo mai karm karr raha hu.. Unke according mujhe phal ki praapti hogi...

Waise mai bhaagya me viswaas rakhne waalo ko ek story sunana chahta hu...

Ek baaar subah-2 miya biwi me jhagda ho jata hai ... Jhagde ka kaaran yahi k miya ji karm parr vishwaas rakhte they aur biwi ji bhagy parr...

miya ji ka kehna tha ki agar bhaagy bada hai to mai aaj khana nahi khaaunga ... aur yaha se duur jungle me paed parr jake rahuunga... Fir dekhta hu k aaj khana apne aap mere muuh me kaise jata hai...

( Wo ek sanskrit ki pankti bhi to hai na.. Proper to nahi yaad parr arth ye hai k soote hue sher k muuh me hiran apne aap nahi jata.. )

Biwi kehne lagi k aap yakeen karo ya matt karo.. Parr agar aaj aapke bhagy me khana hoga to aapko zaruur milega...

Ye sunkarr miya ji ko aur gussa aa gaya aur jungle ki taraf badh gaye...

Ab din chadhne laga .. Biwi ki miya ji ki chinta hone lagi... Aakhir bhaartiya naari jo thi ( ispe mera next topic kaisa rahega )
Khair... biwi ne khana lagaya aur nikal padi talaash me...

Near about 2 baje usko miya ji ek paed parr baithe dikh gaye... Chuunki miya ji lakadhaare they to unhe paed ki tehniyo parr baithna pasand tha... Biwi ji ne khane ka tiffin rakha aur kaha ki ab zidd choro aur khana kha lo... Miya ji bole ki aaj to mai dekhuunga ki bhaagy bada ya karm.. Aur tum jaao aur bachho ko school se le aao .. Fir biwi khane ka tifin rakhkar ye kehkar chali gayi k jab gussa shaant ho jaye tab kha leejiyega...

Parr miya ji to miya ji they... Sanki type k... Sanak lag gayi to lag gayi...

Ab shaam hone ko aayi... Miya ji ka bura haal tha...
Lekin fir bhi ve ade rahe...

Ab udhar se 2 daaku aa gaye... Usi jungle me usi paed k neeche baith karr apni loot ka hisaab lagane lage... Itne me ek daaku ki nazar khane k tiffin parr padi... Usne apne saathi ko bataya... Dono ne tiffin khola to dekha ki achha lazeez khana hai... Unme se Ek daaku ne jaise he niwala tod kar muh upar kar k khane ki koshish ki to uski nazar miya ji parr padd gayi...

Bass fir kya tha unhone miya ji ko neeche utaara aur puucha k kya chakkar kya hai... Tum yaha uupar chadh karr kyu baithe ho aur kya tiffin me zehar mila khana khilakarr hame maarne ka plan tha kya tumhara... Miya ji ki sitti pitti gum ho gayi... Miya ji ne apni vyatha keh sunaayi.. Miya ji ki kahani sunkarr daaku soch me padd gaye aur unhone miya ji se kaha k ye khana kha k dikha.. Miya ji bole nahiiiiiiiiiiiiiiiii....
Wo bole khaaaaaaaaaaaa....

Ab daakuo ne milkarr khana miya ji ko zabardasti thoos thoos k khila diya
katil ji.........waise baat to aapki sahi hai k Bhagya aur karm dono he jeevan chakr ko suchaaru roop se chalane k liye nityAnt aavshyak hain....

apne kaha k aap bhagya par jara jayada hi vishwas karte hain aur har karm ko karte waqt ye dhyaan rakhte hain k jo bhi apke sath ghatit ho raha hai wo apke purva uparjit kaRmo ka parinam hai....

is vishyas par mera manNa hai k apki soch bahut asha wadi hai...

haan main bhi apki soch se ek rai rakhta hoon parantu sirf un halat par jahan hamara samna prakarti se hota hai jaise ek udahran main bhi deta hoon apko..........

ek gaon mein ek gareeb kisaan tha usne bahut mehnat karke bahut hi acchi fasal ugai.....tabhi wahan par ek sadhu mahatma aaye aur unhone usse kaha k wah tum to bade hi bhagyashali ho jo itni acchi fasal tumhare khet mein ugi hai...is baat par wo kisan bhadak gaya aur kahne laga .....k bhagya kahan se bich mein aa gaya ye to meri apni mehnat hai aur usne us sadhu ko wahan se bhaga diya....sadhu wahan se nikal kar dusre gaun chala gaya....us raat bahut jor ki andhi toofan aaya ....sadhu agle din usi kisaan k khet k paas se wapas gujar raha tha usne dekha k kisan ro raha hai sadhu ne pucha kya hua... to usne kaha k bhagya ka khel to dekho meri sari fasal kal ke toofan me barbaad ho gayi....is par sadhu ne kaha k jab main tumse kal bhagya ko lekar kuch kah raha tha to tum mujh par bigad rahe the aur aaj khud bhagya ko kos rahe ho......

in halatoN mein jahan hame nahi pata k kiske karmo se hame ye acche ya bure phal mile hain wahan main bhi bhagya k naam se use pukarta hoon...

Na tha main to khuda tha, kuch na hota to khuda hota?
mitaya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota !!
(NM)
  Send a message via Yahoo to secret admirer  
Reply With Quote
Old
  (#13)
secret admirer
Registered User
secret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nice
 
Offline
Posts: 473
Join Date: Mar 2010
Location: New Delhi
Rep Power: 18
12th July 2010, 09:13 PM

Quote:
Originally Posted by KATIL SHAYAR View Post
ye raar nahi thaanuunga ka kya matlab hai secret ji ???

raar = Altercation

Waise aap gazal ji k badluck ko kyu administrator ka bad luck banane pe tule hain.

wo apke hisab se kahun to administrator k pichle janam k kuch bure kaRm honge shayad........

Coz Jab gazal ji ka admission ho jayega to fir gazal ji k dwara kiya gaya karm administrator ka bhaagya bann jayega

...................

Secret ji.... Aap bhi maan leejiye ki bhaagya sirf duusre k dwara kiya gaya karm nahi hai apitu hamare he dwara poorv me kiye gaye karmo ka phal hai bhaagya ki sahi paribhasha mere hisaab se yahi hai... Aapki raai mukhtalif ho sakti hai.....
isiliye sorry k aapko maan ne k liye zor de diya

katil ji....main bhagya par bharosa nahi karta....agar main sirf apne kaRm jo maine kiye hain ya jo dusre mere liye kar rahe hain main un par hi bharosa karta hoon.....
.................is thread mein ab kuch jaan aayi......

Na tha main to khuda tha, kuch na hota to khuda hota?
mitaya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota !!
(NM)
  Send a message via Yahoo to secret admirer  
Reply With Quote
Old
  (#14)
gazzal
Registered User
gazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to beholdgazzal is a splendid one to behold
 
gazzal's Avatar
 
Offline
Posts: 374
Join Date: Jun 2010
Location: chandigarh
Rep Power: 23
12th July 2010, 09:23 PM

Quote:
Originally Posted by secret admirer View Post
maine pehle hi kaha hai gazzal ji k app jise baar baar apna durbhagya kah rahi hain wo college administrator k kaRm hain......

ab aap maan bhi lijiye.....

admission aaram se ho jayega to tension kaisi bhagya ko kosna band kijiye aur vajpayee ji ki kavita ki kuch lines par amal kijiye.....

haar nahi manuNga
raar nahi thanuNga
kaal ke kapal par
likhta mitata hoonai...
geet naya gata hoon..

thanks secret ji apne vo keh diya jo main soch rhi thi ye us administration k hi karm hain...well thanxxx alot... bt stil i trust in luck wthr its bad or good...

If you don't like something, change it. If you can't change it, change your attitude......

Last edited by gazzal; 12th July 2010 at 09:30 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
KATIL SHAYAR
Registered Guest
KATIL SHAYAR has a spectacular aura aboutKATIL SHAYAR has a spectacular aura about
 
KATIL SHAYAR's Avatar
 
Offline
Posts: 263
Join Date: Mar 2009
Location: Chinchpokli bandar, khaaau gali
Rep Power: 17
12th July 2010, 10:31 PM

Quote:
Originally Posted by secret admirer View Post
katil ji.........waise baat to aapki sahi hai k Bhagya aur karm dono he jeevan chakr ko suchaaru roop se chalane k liye nityAnt aavshyak hain....

apne kaha k aap bhagya par jara jayada hi vishwas karte hain aur har karm ko karte waqt ye dhyaan rakhte hain k jo bhi apke sath ghatit ho raha hai wo apke purva uparjit kaRmo ka parinam hai....

is vishyas par mera manNa hai k apki soch bahut asha wadi hai...

haan main bhi apki soch se ek rai rakhta hoon parantu sirf un halat par jahan hamara samna prakarti se hota hai jaise ek udahran main bhi deta hoon apko..........

ek gaon mein ek gareeb kisaan tha usne bahut mehnat karke bahut hi acchi fasal ugai.....tabhi wahan par ek sadhu mahatma aaye aur unhone usse kaha k wah tum to bade hi bhagyashali ho jo itni acchi fasal tumhare khet mein ugi hai...is baat par wo kisan bhadak gaya aur kahne laga .....k bhagya kahan se bich mein aa gaya ye to meri apni mehnat hai aur usne us sadhu ko wahan se bhaga diya....sadhu wahan se nikal kar dusre gaun chala gaya....us raat bahut jor ki andhi toofan aaya ....sadhu agle din usi kisaan k khet k paas se wapas gujar raha tha usne dekha k kisan ro raha hai sadhu ne pucha kya hua... to usne kaha k bhagya ka khel to dekho meri sari fasal kal ke toofan me barbaad ho gayi....is par sadhu ne kaha k jab main tumse kal bhagya ko lekar kuch kah raha tha to tum mujh par bigad rahe the aur aaj khud bhagya ko kos rahe ho......

in halatoN mein jahan hame nahi pata k kiske karmo se hame ye acche ya bure phal mile hain wahan main bhi bhagya k naam se use pukarta hoon...
secret ji ek baar fir se aapne bahut he sundar udaahran pesh kiya hai

Waise aapko ek baat apne baare me batana chahta hu ki mai us kisaan ki tarah nahi jo achhe ko apni mehnat ka phal aur bure ko bhagya ka phal kahta hu...

Sirr ji maine jo 10th claas ka experience gazal ji ko bataya shayadd wo aapki nazro se chook gaya

aur sirr ji... Poorv upaarjit karmo se matlab sirf pichle janm me kiye gaye karm nahi varan is janm me kiye gaye karm bhi hote hain... Jaisa ki aapki 'dhanaulti' waali baat se spasht hai

Bhaagya mere according karm se zyada balwaan hai...

Iska ek udaahrann aapne swayam diya hai 'kisaan' wala.... Karm to kisaan ne poora kiya... lekin uska durbhagya uske karm se oopar ho gaya aur natija aapke sammukh hai...

Isi tarah se ek aalsi kisaan tha...
Wo kuch nahi karta tha... Uska khet kaafi dino se banjar tha... Gaao me sab usko nithalla aur aalsi kehkar bulate aur uski beizzati karte... Ek din gaao me ek govt. Ka group aaya aur gaao me usi kisaan ki dharti k neeche tail ( crude oil ) hone ki baat kahi...
Bass... Fir kya tha... Wo kisaan baithe bithaaye gaao ka sabse ameer aadmi ho gaya ...

Aapko chuhe aur billi ki kahani sunani hai...
Jisme chuhe ne yaad dilaayi,billi ko nani hai...
lekin chuha bhool gaya tha k wo sapna tha...
aakhir me shamat to chuhe ki he aani hai :D
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com