Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Gulzaar
Old
  (#1)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
Post Gulzaar - 30th August 2005, 12:21 PM

Gulzar was born as Sampooran Singh, on August 18, 1936. His birthplace was the town of Deena, which is now in Pakistan. He shifted to Delhi after the tumultuous events of the partition.

Poet, Lyricist, Writer, Director - Gulzar is one of those sensitive people whose work is laced with the lyrical but psychologically adept examination of human sensibilities.

He is my favourite Poet, and i want to share some of his beautiful creations with u all.....Hope u would like these as much as i do....

Qadam usii mod par jame hain...


qadam usii mod par jame hain,
nazar sameTe hue kha.Daa huu.N
junuu.N ye majabuur kar rahaa hai palaT ke dekhuu.N
Khudii ye kahatii hai mo.D mu.D jaa
agarche ehasaas kah rahaa hai
khule dariiche ke piichhe do aa.Nkhe.n jhaa.Nkatii hai.n
abhii mere intazaar me.n vo bhii jaagatii hai
kahii.n to us ke goshaa-e-dil me.n dard hogaa
use ye zid hai ki mai.n pukaaruu.N
mujhe taqaazaa hai vo bulaa le
qadam usii mo.D par jame hai.n
nazar samete hue kha.Daa huu.N

[Khudii = self respect; dariichaa = window]
[goshaa = corner; taqaazaa = demand]


Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Tassavvur tera.....
Old
  (#2)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
Post Tassavvur tera..... - 30th August 2005, 12:51 PM

Bandh sheeshon ke parey dekh,dareechon ke udhar...
sabz pedon pe, ghanii shaakhon pe,phoolon pe wahaaan,
kaise chup chaap barasta hai, musal-sal paani....

kitni aawaazein hain, yeh log hain, baatein hain magar...
zehan ke peechey,kisi aur hi sateh pe kahiin,
jaise chup chaap barasta hai...Tassavvur tera...........


Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#3)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
30th August 2005, 09:50 PM

Roz sahil pe khade hoke yahi dekha hai
Shaam ka pighla hua surkh-sunhari rogan
Roz matiyale-se paani mein yeh ghul jaata hai

Roz sahil pe khade hoke yahi socha hai
Mein jo pighali huee rangeen shafaq ka rogan
Ponchh loo haathon pe

Aur chpuke se ik baar kabhi
Tere gulnaar se rukhsaaron pe chhap se mal doon
Shaam ka pighala hua surkh-sunhari rogan

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#4)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
30th August 2005, 09:53 PM

A nazm dedicated to Indo-Pak relationship. The pain of partition can be seen in many of his nazms and stories. This nazm has two distinct views on Indo-Pak relations. The nazm starts with a view of awaam (The hope) and ends with siyasi view of it (The truth).


Subah subah ik khwab ki dastak par darwaza khola, dekha
Sarhad ke us paar se kuchh mehmaan aaye hain
Aankhon se maanoos the saarey

Chehre saarey sune sunaaye
Paanv dhoye, Haath dhulaye
Aangan mein aasan lagwaaye...
Aur tandoor pe makki ke kuchh mote mote rot pakaye
Potli mein mehmaan mere
Pichhale saalon ki faslon ka gud laaye the

Aankh khuli to dekha ghar mein koi nahin tha
Haath lagakar dekha to tandoor abhi tak bujha nahin tha
Aur hothon pe meethe gud ka jaayka ab tak chipak raha tha

Khwab tha shayad!
Khwab hi hoga! !
Sarhad par kal raat, suna hai, chali thi goli
Sarhad par kal raat, suna hai
Kuchh khwaabon ka khoon hua hai


Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#5)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
30th August 2005, 09:55 PM

Raat bhar sard hawa chalti rahi
Raat bha hamne alaav taapa
Maine maazi se kai khushk see shaakhien kaati
Tumne bhi gujre hue lamhon ke patte tode
Meine jebon se nikali sabhi sukhi nazme
Tumne bhi haathon se murjhaaye hue khat khole
Apnee in aankhon se meine kai maanze tode
Aur haathon se kai baasi lakeeren phenki
Tumne palkon pe nami sookh gayee thee, so gira di

Raat bhar jo bhi mila ugte badan par humko
Kaat ke daal diya jalte alaawon main use
Raat bhar phoonkon se har lau ko jagaye rakha
Aur do jismon ke indhan ko jalaye rakha
Raat bhar bujhte hue rishte ko taapa humne

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#6)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
30th August 2005, 09:57 PM

HUMDUM

Mod pe dekha hai wo boodha-sa ek ped kabhi ?
Mera waqif hai, bahut salon se mein use jaanata hoon

Jab mein chhota tha to ik aam udaane ke liye
Parli deewar se kandhon pe chadha tha uske
Jaane dukhti huee kis shaakh se jaa paanv lagaa
Dhaad se phenk diya tha muje neeche usne
Meine khunnas main bahut phenke the pathar us par

Meri shaadi pe mujhe yaad hai shaakhein dekar
Meri vedi ka hawan garm kiya tha usne
Aur jab haamla thi 'Biba' to dopahar main har din
Meri biwi ki taraf kairiyan phenki thi isi ne
Waqt ke saath sabhi phool, sabhi patti gaye

Tab bhi jal jaata tha jab Munne se kehti 'Biba'
'Haan,usi ped se aaya hai tu, Ped ka phal hai'
Ab bhi jal jaata hoon. jab mod se gujarte mein kabhi
Khaanskar kehta hai, 'Kyo, Sar ke sabhi baal gaye?'

'Subah se kaat rahe hain woh Kameti wale
Mod tak jaane ki himmat nahin hoti mujhko'


Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#7)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
30th August 2005, 09:59 PM

Din-Raat (May 98)

Teri Ankhon Se Hi Khulte Hain Saveron Ke Ufaq
Teri Aankhon Se Hi Band Hoti Hai Ye Seep Ki Raat
Teri Aankhen Hain Ya Sajde Main Hai Masoom Namazi
Palken Khulti Hain to Youn Goonj Ke Uthati Hai Nazar
Jaise Mandir Se Jaras Ki Chale Namnaak Hawaa
Aur Jhukti Hain To Bas Jaise Azaan Khatm Huee Ho
Teri Ankhen, Teri Thahri Huee Gamgeen See Ankhen
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Huee Hai Sachchi
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Huee Hai Ye Hayat

You can hear this nazm in the Album 'Boodhe Pahadon Par' released by PAN last year.
Music-Vishal, Singer-Suresh Wadekar

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#8)
aakashh
andekha anjana
aakashh is on a distinguished road
 
aakashh's Avatar
 
Offline
Posts: 81
Join Date: May 2005
Location: anjani rahe hai anjani manzil
Rep Power: 19
30th August 2005, 10:03 PM

thanks for sharing such beautiful information


aasmaan ke paar shayad aur koi aasmaan hoga.........

gar dekhna chaho meri udaan..to asmaa ko aur uncha kar do.....


There Are no Rights & Wrongs Only Power




kar lo ikkathe chahe kitne bhi heere moti.....lekin itna yaad rakhna ki KAFAN me kabhi jeb nahi hoti
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#9)
khamosh_aawaz
:)
khamosh_aawaz is just really nicekhamosh_aawaz is just really nicekhamosh_aawaz is just really nicekhamosh_aawaz is just really nicekhamosh_aawaz is just really nice
 
khamosh_aawaz's Avatar
 
Offline
Posts: 226
Join Date: Jun 2005
Rep Power: 23
hi - 3rd September 2005, 10:07 AM

hi naina...
it was supurbe..... ek sath itne sare gulzar ki post.. supurbe....
i love it. maza aa gaya.....
yakinan gulzar is the best...
thanks for shering .........
................tarang


"salika ho gar bhigi aankho ko padhne ka to.....
aksar bahte hue aansu bhi bat kiya karte hain...!"



Tarang
   
Reply With Quote
shukriya naina..
Old
  (#10)
amaan7am
Registered User
amaan7am will become famous soon enoughamaan7am will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 187
Join Date: Mar 2004
Location: in indore
Rep Power: 22
shukriya naina.. - 20th September 2005, 12:33 PM

Gulzar sahab mere bhi pasandeda shayar hai....unki ghazalein nazmein bahut kareeb hai dil ke ...unke lahaze ki baat kahein to ..ek alhada bayan hai unka...bilkul naye aur na-mallom lafzon se khelte hue na jane kaise itni acchi ghazalein kah lete hai..main tab se unka deewana hoon jab se....maine unka muhabbat ko bayan karta gana suna....aur mere khayal se muhabbat ko itni behateri se kisi ne nahin bayaan kiya hoga ... gana tha.."humne dekhi hai un aankhon ki mahakti khusbhoo"
tumhari mahnat kabil-e-tareef hai ....shukriya
muhabbat-amaan


usne chukar mujhe pathar se insan kiya
muddaton baad meri aankhon mein aansoon aaye
dr.bashir badr
 Send a message via ICQ to amaan7am  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Dil dhooNdta hai..........(gulzaar sahab) kasak Ghazal Section 6 24th October 2005 02:46 PM
Gulzaar shahab at his best karan q Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 15th February 2005 07:40 AM
gil gulzaar zakhmee Shayri-e-Dard 0 5th June 2003 04:11 AM
gulzaar kareh deewaana Shayri-e-Ishq 0 28th May 2003 03:40 AM
Tujhse naaraaz nahi jindagi - Gulzaar subodhgupta Hindi/Urdu Lyrics 5 2nd November 2001 03:12 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com