Waise to main ziyada kavitay likhta nahi par kabhi kabhi kavitay yuhi ban si jati hain, bohat roz pehle ek kavita likhi thi aap sab ki nazar kar raha hu....ek dard ek sadma bayaan karne ki nakaam koshish ki hai.
Baat samajh me aayee hoti to bole hote
Bas itna hi suna tha ke tum nahi rahe
Tum nahi rahe achcha mazak hai
Jab tum hi se sab kuch hai to tum kaise nahi rahoge
Kitne sapne dekhe hain humne milkar
Aur unko pura bhi milkar karna hai
Aur woh kehte hai tum nahi rahe
Achcha mazak hai par kya hua tum abhi tak ghar q nahi laute
Aaj tumne wada kiya tha mujhe kahi baher khana khilaoge
Wada pura na karna ho mat karo par ghar to aa jao
Aaj maine tumhari pasand ki saree pehni hai
Aur dekho chudiyaa.N bhi kitni pyaari hai
Par in sab khushiyo ke beech q yeh baat sata rahi hai
Jo maine aaj phone par suni ke tum nahi rahe
Kya ho sakta hai iska matlab baat samajh me aayee hoti to bole hote
Bas itna hi suna tha ke tum nahi rahe........
Sajid Ghayel