Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 4 votes, 5.00 average. Display Modes
Mera kuch saman tumhare pass pada hai....
Old
  (#1)
Diggaj_Dave
EK CHAMAKTA HUA SITARA
Diggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to behold
 
Diggaj_Dave's Avatar
 
Offline
Posts: 1,884
Join Date: Jun 2005
Location: Rajasthan,India
Rep Power: 26
Mera kuch saman tumhare pass pada hai.... - 4th October 2005, 10:56 PM



Mera kuch saman tumhare pass pada hai
Ho sawan k kuch bheege-2 din rakhe hai
Aur mere ek khat mein lipati raat padi hai
Wo raat bujha do
Mera wo saman lota do


Patjhad mein kuch patto k girane ki aahat
Kaano mein ek baar pehan k lotayi thi
Patjhad ki wo sakh abhi tak kaap rahi hai
Wo sakh gira do
Mera wo saman lota do


Ek akeli chhatri mein jab
aadhe-2 bheeg rahe the
Aadhe sukhe aadhe gile
Sukha to mein le aayi thi
geela mann sayad bistar k pass pada ho
Wo bhijwa do
Mera wo saman lota do


Ek 100 sola chand ki raatein
Ek tumhare kandhe kati
Geeli mehandi ki kushboo
Jhuth mut k shikwe kuch
Jhuth mut k waade bhi sab yaad kara du
Sab bhijwado
Mera wo saman lota do

Ek ezajat de do bas
Jab ishko dafnaungi
Main bhi wahi So jaungi





Navard-e-ishq mein kya hua kya bataye hum
kabhi humne yu khud ko harata naa dekha


Kaise Samjhau Dil-e-hasarat-nasiib Ko Apne
K Sab Kuch Milta Nahi Chah Lene Se Ish Zamane Mein..... "Diggaj"
 Send a message via ICQ to Diggaj_Dave Send a message via Yahoo to Diggaj_Dave Send a message via AIM to Diggaj_Dave  
Reply With Quote
Old
  (#2)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
6th October 2005, 04:00 PM

@



Ek ezajat de do bas
Jab ishko dafnaungi
Main bhi wahi So jaungi........





@




.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.

Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay

Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae





.................................bye and tc ..................
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
6th October 2005, 04:23 PM

Mera kuch saman tumhare pass pada hai
Ho sawan k kuch bheege-2 din rakhe hai
Aur mere ek khat mein lipati raat padi hai
Wo raat bujha do
Mera wo saman lota do



Kya baat hai ji....ab ye sab kon lauta sakta hai....wah Gulzaar saahab waah.


atjhad mein kuch patto k girane ki aahat
Kaano mein ek baar pehan k lotayi thi
Patjhad ki wo sakh abhi tak kaap rahi hai
Wo sakh gira do
Mera wo saman lota do



ye Sher kuchh jiyaada hi gehra hai ji....but I like this too.


116 Chaand ki raatieN
Ek tumhaare kaaNdhe ka til


(pata nahi ye shaayar saahab ko hamaare khaaNde ke til ka
keise pata chal gaya... )

Geeli mehNdi ki khushboo
Jhooth mooth ke shiqve kuch....

Love this too...


Bahut khoob Diya ji....parhkar achchha laga...

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Re: Mera kuch saman tumhare pass pada hai....
Old
  (#4)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Re: Mera kuch saman tumhare pass pada hai.... - 6th October 2005, 07:12 PM

Quote:
Originally posted by diya_diggaz


Mera kuch saman tumhare pass pada hai
Ho sawan k kuch bheege-2 din rakhe hai
Aur mere ek khat mein lipati raat padi hai
Wo raat bujha do
Mera wo saman lota do


Patjhad mein kuch patto k girane ki aahat
Kaano mein ek baar pehan k lotayi thi
Patjhad ki wo sakh abhi tak kaap rahi hai
Wo sakh gira do
Mera wo saman lota do


Ek akeli chhatri mein jab
aadhe-2 bheeg rahe the
Aadhe sukhe aadhe gile
Sukha to mein le aayi thi
geela mann sayad bistar k pass pada ho
Wo bhijwa do
Mera wo saman lota do


Ek 100 sola chand ki raatein
Ek tumhare kandhe kati
Geeli mehandi ki kushboo
Jhuth mut k shikwe kuch
Jhuth mut k waade bhi sab yaad kara du
Sab bhijwado
Mera wo saman lota do

Ek ezajat de do bas
Jab ishko dafnaungi
Main bhi wahi So jaungi





kuch rachna ka apna jaado aisa hota hai... jitni bhi baar padho... dil par kaboo kar leti hai......

shukria ise share karne k liye...
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#5)
Diggaj_Dave
EK CHAMAKTA HUA SITARA
Diggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to behold
 
Diggaj_Dave's Avatar
 
Offline
Posts: 1,884
Join Date: Jun 2005
Location: Rajasthan,India
Rep Power: 26
hi - 6th October 2005, 11:30 PM

sach kaha meena


thanks for reply


Navard-e-ishq mein kya hua kya bataye hum
kabhi humne yu khud ko harata naa dekha


Kaise Samjhau Dil-e-hasarat-nasiib Ko Apne
K Sab Kuch Milta Nahi Chah Lene Se Ish Zamane Mein..... "Diggaj"
 Send a message via ICQ to Diggaj_Dave Send a message via Yahoo to Diggaj_Dave Send a message via AIM to Diggaj_Dave  
Reply With Quote
Old
  (#6)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
8th October 2005, 01:39 AM

badi khoobsurat ghazal hai..jabbhi ise sunti hoon college ke woh din yaad ata jab ise meine ghazal nite mein gaya tha....
dil ke bahaut kareeb hai yeh ghazal mere.


"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."


**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
hi farhana
Old
  (#7)
Diggaj_Dave
EK CHAMAKTA HUA SITARA
Diggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to behold
 
Diggaj_Dave's Avatar
 
Offline
Posts: 1,884
Join Date: Jun 2005
Location: Rajasthan,India
Rep Power: 26
hi farhana - 8th October 2005, 11:27 PM

Ye gazal hai hi itni achi farhana ji


thanks


Navard-e-ishq mein kya hua kya bataye hum
kabhi humne yu khud ko harata naa dekha


Kaise Samjhau Dil-e-hasarat-nasiib Ko Apne
K Sab Kuch Milta Nahi Chah Lene Se Ish Zamane Mein..... "Diggaj"
 Send a message via ICQ to Diggaj_Dave Send a message via Yahoo to Diggaj_Dave Send a message via AIM to Diggaj_Dave  
Reply With Quote
Old
  (#8)
asdfgh
Guest
 
Posts: n/a
22nd October 2009, 05:06 PM

Thanx for sharin it... Puraani yaadein taza ho aayiin...
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
28th October 2009, 10:57 PM

Dear Diya ji , ye GHAZAL nahi hei ye tou GEET hei aur GULZAR sahab ka geet hei jo film IJAZAAT ke lye bari khubsoorti se gaya hie..

Heraan hon ke MODS ki nigaah nahi paree aur isko GHAZAL section mein abhi bhi rehne diya itne replies ke baad

GHAZAL isko nahi kehte ..GHAZAL ............SHER se bantee hei ....................SHER 2 micron ka hota hei ...............aur eik GHAZAL mein kam se kam 4 ashaar aur behtar hei ke 5 ya us se barh ke hon ...........matla aur maqta hona zarori hie ghazal mein ...ghazal paaband hotee hei radeef qaafiya kee...

Aise hee bas ap sab se ye share karne ko ji chaha ek GHAZAL kiya hotee hei :-)

umeed hei garaan na guzra ho ga aur ainda hum sab samjh payen ge ke GHAZAL aur NAZM ka kiya farq hei .

wasalam,

Maham Azmi


ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
"MAIN TUMHARE BARE ME BAHOT KUCH SOCHA KARTA HU....." meri soch tumhare liye........ Dhaval Shayri-e-Ishq 6 31st August 2006 12:41 PM
Mera Kuchch Saman (Ijaazat) Shantanu Hindi/Urdu Lyrics 0 6th May 2006 09:51 PM
KuCh Tu PasS RaKho, SaB KuCh KaRuBaaR Na JaNo asgher Shayri-e-Ishq 1 16th April 2005 06:50 PM
***Ab To Tumhare Pass Bhi Tanhaee Hai*** love_shoaib Anjuman-e-Shayri 8 16th March 2004 12:58 PM
mera kuchh saman.... swati_khanna Shayri-e-Dard 0 5th July 2002 12:01 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com