Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Wo bachpan bahut yaad aata hai
Old
  (#1)
asdfgh
Guest
 
Posts: n/a
Wo bachpan bahut yaad aata hai - 25th March 2009, 11:40 AM

Dosto diya ji ne mujhe bachho k upar koi thread banane ko kaha tha,maine ek choti si koshish ki hai, ummeed hai aap bhi is thread me apne bachpan k ehsaas share karenge...
Aur meri choti si koshish ko pasand karenge...

Mai ek chota bachha hu,
akal ka thoda kachha hu,
mere mann me koi khot nahi,
mai dil ka ekdum sachha hu...

baat hai mere bachpan ki,
meri shararte,mere alhad mann ki...
Har kisi k saath hansna khelna,
wo bado ka meri shararte jhelna..
Wo ladakpan bahut yaad aata hai...
Wo bachpan bahut yaad aata hai...

Wo Dosto k sath jhagadna,
fir agle he pal unke sath hansna..
Wo 'Hero mind' bahut yaad aata hai...
Wo bachpan bahut yaad aata hai...
Bazar me kisi cheez ko dekh rukna,
uske liye zid karna,
fir papa ka meri zid k aage jhukna...
Wo 'hitler mind' bahut yaad aata hai...
Wo bachpan bahut yaad aata hai...

Khilono k saath khelna,
unhe todkar fir se jodna,
wo 'engineer mind' bahut yaad aata hai...
Wo bachpan bahut yaad aata hai...

Mera kisi baat pe roothna,
daadi ka papa ko daantna..
Mujhe puchkaarna,mujhe manana..
Wo daadi ka pyaar bahut yaad aata hai..
Wo bachpan bahut yaad aata hai...
Wo bachpan bahut yaad aata hai...


Ummeed hai aapko mere bachpan k ehsaas pasand aaye honge
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
asdfgh
Guest
 
Posts: n/a
25th March 2009, 11:57 AM

Aap dosto se iltezaa hai k aap b is thread me apne shabdo me kuch add kare
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
N@zneen
Banned
N@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud of
 
Offline
Posts: 3,689
Join Date: Jan 2009
Rep Power: 0
25th March 2009, 12:04 PM

Quote:
Originally Posted by Buland Shayar View Post
Aap dosto se iltezaa hai k aap b is thread me apne shabdo me kuch add kare
Wo gudde gudiya ki shadi,
sakhi saheliyaa.n baaraati,
wo jhut moot ka rona,
karte hue gudiya ka gauna,
wo "match making mind"
bht yaad aata hai,
wo bachpan bht yaad aata hai..........

Sach mein yaar tumne wakai bachpan ki yaad dilaadi..........bht hi saaf aur natural ehsaas hain...........aise hi likhte raho.......keep it up

   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Baqtiar
Loquacious Adonis
Baqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to allBaqtiar is a name known to all
 
Baqtiar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Sep 2008
Location: ......
Rep Power: 23
25th March 2009, 12:27 PM

Wo Kehton mein khel na....
wo cycle chalana....

Wo teelon par chadna...
Aur ghir ke sambhalna...

Wo ladkon se ladai
aur unse hata pai...

Wo Rootey hove Hans na
Bahut yaad aata hai .....
Wo bachpan bahut yaad aata hai.....
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
asdfgh
Guest
 
Posts: n/a
25th March 2009, 12:50 PM

Thanx naaz nd baqti-yaar ji,

aapke ehsaas bahut he achhe hain i like it
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
asdfgh
Guest
 
Posts: n/a
26th March 2009, 02:22 PM

Wo saara din ghumna,
masti me khelna,
gali cricket khelna,
patang udana,
hide n seek khelna...
Wo 'player mind' bahut yaad aata hai..
Wo bachpan bahut yaad aata hai...

Subah subah uthna,
Baag se aam churana,
dosto k saath bhagna,
sabko chidana,
khilli udana..
Mann me umang,
jaise ho kati patang...
Idhar udhar dolna,
kahi b ghus jana... !
Wo 'tension free mind' bahut yaad aata hai...
Wo bachpan bahut yaad aata hai....
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
27th March 2009, 11:09 AM

Wo baghon me ghoomna
Aur titliyan pakadna

Wo baarish ke paani me
Kagaz ki kashtiyaN chalana

Wo padosi ke ladkon se kanche khelna
Aur unhe dhoke se haraana

Wo mummy ka daraana,
Aur papa ka manaana

Wo bachpan bohat yaad aata hai..............


BOHUT KHOOB LIKHA HAI AAPNE RAJ SAHEB,MUJHE BHI APNA BACHPAN YAAD AAGAYA,,.........YUHI LIKHTE RAHIYE.......

ZAINY




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 27th March 2009 at 11:14 AM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#8)
asdfgh
Guest
 
Posts: n/a
27th March 2009, 01:26 PM

Apne ehsaaso ko share karne k liye thanx zainy ji...
aur b kuch yaad aaye to jrur share kijiyega...

   
Reply With Quote
Old
  (#9)
nalinmehra
The Lost Poet
nalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nice
 
nalinmehra's Avatar
 
Offline
Posts: 312
Join Date: Nov 2008
Rep Power: 20
27th March 2009, 02:02 PM

Buland Ji, bahut hi khubsurat likha hai, mujhe toh mera bachpan yaad aa gaya............. behand khubsurat, apki kavita pad ke ehsaas hua ki kitni jaldi zindagi ke 22 saal beet gaye, aur aaj me ek 22 saal ka ladka hun, jo apne bachpan ko bahutmiss karta hai.................. behad khusbsurat.....
Quote:
Originally Posted by Buland Shayar View Post
Dosto diya ji ne mujhe bachho k upar koi thread banane ko kaha tha,maine ek choti si koshish ki hai, ummeed hai aap bhi is thread me apne bachpan k ehsaas share karenge...
Aur meri choti si koshish ko pasand karenge...

Mai ek chota bachha hu,
akal ka thoda kachha hu,
mere mann me koi khot nahi,
mai dil ka ekdum sachha hu...

baat hai mere bachpan ki,
meri shararte,mere alhad mann ki...
Har kisi k saath hansna khelna,
wo bado ka meri shararte jhelna..
Wo ladakpan bahut yaad aata hai...
Wo bachpan bahut yaad aata hai...

Wo Dosto k sath jhagadna,
fir agle he pal unke sath hansna..
Wo 'Hero mind' bahut yaad aata hai...
Wo bachpan bahut yaad aata hai...
Bazar me kisi cheez ko dekh rukna,
uske liye zid karna,
fir papa ka meri zid k aage jhukna...
Wo 'hitler mind' bahut yaad aata hai...
Wo bachpan bahut yaad aata hai...

Khilono k saath khelna,
unhe todkar fir se jodna,
wo 'engineer mind' bahut yaad aata hai...
Wo bachpan bahut yaad aata hai...

Mera kisi baat pe roothna,
daadi ka papa ko daantna..
Mujhe puchkaarna,mujhe manana..
Wo daadi ka pyaar bahut yaad aata hai..
Wo bachpan bahut yaad aata hai...
Wo bachpan bahut yaad aata hai...


Ummeed hai aapko mere bachpan k ehsaas pasand aaye honge



Nalin

Uski Har "Uff" pe hum apni jaan lutate rahe,
Uski Shaqsiyat ko karke buland hum khudko mitate rahe,
Raahe-e-mohobbat me hamne kuch yun paya sila wafa ka,
woh dete rahe zakhm pe zakhm aur ham muskurate rahe




Please Honor me and my creative writing by visitng my website @ www.nalin-mehra.blogspot.com
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
asdfgh
Guest
 
Posts: n/a
27th March 2009, 02:37 PM

Quote:
Originally Posted by nalinmehra View Post
Buland Ji, bahut hi khubsurat likha hai, mujhe toh mera bachpan yaad aa gaya............. behand khubsurat, apki kavita pad ke ehsaas hua ki kitni jaldi zindagi ke 22 saal beet gaye, aur aaj me ek 22 saal ka ladka hun, jo apne bachpan ko bahutmiss karta hai.................. behad khusbsurat.....
Thanx Nalin ji,
aapne apne keemti waqt se kuch waqt meri is koshish ko diya...
Ise saraaha ...
Thanx alot...
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
N@zneen
Banned
N@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud of
 
Offline
Posts: 3,689
Join Date: Jan 2009
Rep Power: 0
27th March 2009, 03:34 PM

wo dadi, wo nani,
wo paiyo.N ki kahani,
wo raat mei.N chat pe sona,
phir darr ke rona,
wo gittiyo.N keliye ladai,
wo bunk karna padhai,
wo 'tension free mind' bht yaad aata hai,
wo bachpan bht yaad aata hai.

Aj bachpan ki yaad ayi to tumhare is thread ki bhi yaad ayi, sochi kuch share karti hun..........
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
asdfgh
Guest
 
Posts: n/a
27th March 2009, 03:44 PM

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
wo dadi, wo nani,
wo paiyo.N ki kahani,
wo raat mei.N chat pe sona,
phir darr ke rona,
wo gittiyo.N keliye ladai,
wo bunk karna padhai,
wo 'tension free mind' bht yaad aata hai,
wo bachpan bht yaad aata hai.

Aj bachpan ki yaad ayi to tumhare is thread ki bhi yaad ayi, sochi kuch share karti hun..........
howwww sweeeet , thanx Naaz...

actully mujhe tumhare ehsaas padh k wakai me mujhe b ek incident yaad aa gaya... Suno...


Wo chat pe sona,
darr k rona,
bandar ka aana,
mujhe le k jaana...
wo bandar bahut yaad aata hai,
wo bachpan bahut yaad aata hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
N@zneen
Banned
N@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud ofN@zneen has much to be proud of
 
Offline
Posts: 3,689
Join Date: Jan 2009
Rep Power: 0
27th March 2009, 03:49 PM

Quote:
Originally Posted by Buland Shayar View Post
howwww sweeeet , thanx Naaz...

actully mujhe tumhare ehsaas padh k wakai me mujhe b ek incident yaad aa gaya... Suno...


Wo chat pe sona,
darr k rona,
bandar ka aana,
mujhe le k jaana...
wo bandar bahut yaad aata hai,
wo bachpan bahut yaad aata hai...
hahahaha interesting

wo bhagho.N mei.N jaana,
churake aam khaana,
wo bhooto.n ki kahani,
dila deti thi yaad nani,
wo 'darpok mind' bht yaad aata hai,
wo bachpan bht yaad aata hai..............
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
asdfgh
Guest
 
Posts: n/a
27th March 2009, 04:04 PM

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
hahahaha interesting

wo bhagho.N mei.N jaana,
churake aam khaana,
wo bhooto.n ki kahani,
dila deti thi yaad nani,
wo 'darpok mind' bht yaad aata hai,
wo bachpan bht yaad aata hai..............
now its sumthng diffrent...

wo jb kisi shadi me jaana,
naye naye dost banana,
raat ko jaagna, jagaana,
dosto k sath milke ,
unko bhoot banake,
apne se bado ko daraana...
Wo 'Horror mind' bahut yaad aata hai...
Wo bachpan bahut yaad aata hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Fathomless
Ð Amorist
Fathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to behold
 
Fathomless's Avatar
 
Offline
Posts: 2,283
Join Date: Aug 2008
Rep Power: 26
27th March 2009, 06:43 PM

woh black board par teachers ke cartoon banana
woh teachers day par unki nakl utarna
woh ladkiyon ko hamesha pareshaan karna,
woh half pant mein jaane par unka machalna
woh mere pass unka baithkar mujhko cherna

wakai yaar bahot yaad aata hai......


Save me from the safety of my SILENCE
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Sharab Mujhe Bachpan Ki Yaad Dilati Hai Junior_Ghalib Shayri-e-Sharaab 0 23rd January 2006 11:03 AM
Sagar mein bahut kuch Nazer Aata hay sukanya Shayri-e-Dard 8 12th June 2005 01:47 PM
bachpan ki yaad meena chheda Shayri-e-Dard 17 15th May 2004 11:21 AM
Phir yaad Aaya Bachpan baba Shayri-e-Ishq 1 21st October 2003 02:55 AM
Sach bahut saaf nazar aata hai aayene mein. Neha Haroon Shayri-e-Ishq 0 26th March 2003 05:47 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com