Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Rudad
Old
  (#1)
rumi
Registered User
rumi has a spectacular aura aboutrumi has a spectacular aura about
 
rumi's Avatar
 
Offline
Posts: 80
Join Date: Dec 2002
Location: Ab Tak Isi Duniya Me...
Rep Power: 23
Smile Rudad - 6th June 2003, 01:13 PM

aadab arz hai dosto^n

intahai intezar ke baad aaj mai ne faisla kiya hai
ke aaj aapko apni rudad suna hi doo^n.
waise ye ek shayar kee rudad hai naa ki rumi kee,
kiounki rumiiss tarah ke dandho^n me padta hi nahi hai.

waise mere kahne se kya hota hai ,
aap to manne se rahe .
faisla aapke hath me hai, maano ya naa maano !

================================================== ======
================================================== ======

haan to arz kiya hai,

Zaalimo^n ne kahi^n ka naa chhoda rumi.
Ikhtyar-e-ishq bhi toone khoyaa rumi.

Abb kya sunaoo^n haal-e-dil yaaro^n
kahi^n ka naa raha haa-e-dil rumi.

Rudad-e-jafa unki sunaoo^n to kioun-kar.
Rudad-e-wafa kabb toone kaha^n jaana rumi.

Saa^ns kee aamad-o-shad ne bacha rakha hai.
Rooh to kabb kee fanaa ho gayee rumi.

Eik mohabbat thi usne bhi nazar fer liya,
Eik qayamat thi usne bhi nazar fer liya,
Eik adawat thi usne bhi nazar fer liya,
Eik nazakat thi usne bhi nazar fer liya.

kis-kis ka sunaoo^n kis-kis ne nazar fer liya.
Eik jafakar se tune fir bhi na nazar fera rumi.

==============================================
==============================================

kisi ne khoob kaha hai yaaro^n.

Iqraar me wo lazzat kaha^n jo inqaar me hai
badhta hai sauq ghalib unki "nahi","nahi" se

faisla aapke hath me hai

sabba-khair


Dilon Ki Imaaraton Mein Kahin Bandagi Nahi….................
Aur Pathar Ki Masjidon Mein Khuda Dhoondtey Hain Log............

(ALLAMA)
  Send a message via Yahoo to rumi  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com