Taaveez uske naam ke
daikha nahi hai usko magar jaanti hun main
qadmoN ki aahatoN se pehchaanti hun main
aa aa ke basta rehta hai khwaaboN mai wo mere
shamil hai meri zaat mai haan maanti hun main
jab mil rahenge hum tum, kya vasl e qayamat hogi
un aamatoN ke darr se pareshaan si hun main
aisa na ho ke mil kar mujhse juda ho wo
taaveez uske naam ke ab baandhti hun main
mujh mai usi ka aks phaila hai chaar soo
chaadar ab uski yaad ki lo taanti hun main
"Lamha" wo keh raha hai deewani ho gayiN kya?
Keh do ke khud mai shamil teri jaan si hun main
************************