Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Tere jaane ke baad
Old
  (#1)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
Tere jaane ke baad - 15th July 2015, 08:52 AM

Haazreen-e-mehfil ko mera adaab !

Dosto, kuchh bikhre huye tinkey, jo baraa-he-raast dil se sdc pe utaar raha huN, bina kaaghaz ke upar likhe huye.. To isko shayari ki kasauti pe mat toliyegaa.
Aur yeh shayari hai bhi nahi, isliye maazrat chahunga agar yeh ghustaakhi huyi mujh se isko sdc pe daal kar. Aap chhaheiN to isko tavajjo dein aur chaahein to khaarij kar dein. main koshish karunga ismeiN thoDa tarmeem karne ki. Islaah ka talabgaar rahunga.

Kuchh mushkileiN to haiN tere jaane ke baad...

Raat ko neeNd ab jaldi aati hai
NeeNd ka yuN aana to achha hai, lekin..
neeNd chhoD kar "Das minute aur.." baat karna achha lagta thaa
har roz tumhara milne ka naya waada karna achha lagta thaa

Din bhar masruuf rehta huuN magar phone pe nazreiN rehti haiN
Ke tumhara paighaam aayegaa zaruur,
aur iss tarah
Meri masruufiyat mujh pe kabhi bhaari nahi hoti
Ba-taqarrur shaam aati hai, par saawan meiN bhi be-qaraari nahi hoti

Tumhein muskurana achha lagta thaa
ba-zaahir tum hansti thii, aur itna hansti thii...
Ke gham palkoN pe khushi ke aansu ban jaata thaa
Aur phir..
dheere se peechhe muD kar, saari ke pallu se aansu ponch leti thii
aur mere puuchhne par, daftan phir hans kar taal deti thii..

Woh be-lawas hansi... aaj bhi mujhe yaad hai
yaad hai woh tumhara mujhe kehna,
ke "tum bhi hanste huye achhe lagte ho"
Tumhaari dii huyii hansii, laboN se ghaayab hone lagi hai
meri apnii pehchaan, meri zaat, mujh se khone lagii hai

MaiN ab uss jheel meiN kankar nahi maarta
Jiss ke kinaare baiThe hum baateiN kiyaa karte thae
Jheel ka paani bhi ab khaamosh rehtaa hai
Phir bhi...
Wo chaand ka aks ab nazar nahi aata
Aata hai har parindaa uss sairgaah meiN aksar
Wo guzra waqt humara, magar nahi aata

Ek chaand, kuchh sitaare aur muThhi bhar sapne
Yehi thii meri khwaahish, tumhaare liye
Mere khwaab aur ehbaab, sab chuut gaye haiN peechhe
Tera peechhe muD ke dekhna wo aakhri dafeh
Ab bhi ghumaan hotaa hai, ke tum waapis aaogii
Aur..
Hansne ka hunar, phir mujhe sikhaaogii

Kuchh mushkileiN to haiN tere jaane ke baad.. .. .. ..


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota

Last edited by Sagar Aashna; 15th July 2015 at 09:45 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
15th July 2015, 10:09 AM

Sagar ji ...kya kahoon bas aapki ye peshkash padh ke isme khoti chali gayi main....sahi kaha aapne ye shayri nahi hai...pure feelings hain...jazbaat jinko lafzon me kuch yoon utara hai aapne ki bas padhne wale ko dard apne dil me mahsoos ho...aksar yoon hota hai ki mashroofiyat aur duniyadari ke beech ham khud hee nahi jaan pate ki andar he andar kya baat dil ko sata rahi hai....aur jab samajh pate hain to bas vo yadein yoon hee doston ke samne kah di jati hain...bina kisi tabdeeli ke...
shukriya share karne ke liye...aate rahiye

Likhte rahiye.....
khush rahiye.....



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
15th July 2015, 10:34 AM

"tum bhi hanste huye achhe lagte ho"

kaun kahta hai ke ye shaayri nahi..... shayari har wo cheeez hai jo dil se likhi gayee ho kisii dil waale ke liye.....

aapko padhnaa waaqai bahut acchaa lagta hai Sagar saahab.. har baar kuch nayaa kuch apnaapan kuch alag mithaas ke bas padh kr dil se waah nikal jaae....


Ek chaand, kuchh sitaare aur muThhi bhar sapne
Yehi thii meri khwaahish, tumhaare liye
Mere khwaab aur ehbaab, sab chuut gaye haiN peechhe
Tera peechhe muD ke dekhna wo aakhri dafeh
Ab bhi ghumaan hotaa hai, ke tum waapis aaogii
Aur..
Hansne ka hunar, phir mujhe sikhaaogii


aap yaqeen maaniye sir in misron ne mujhe andar tak jhakjhor diyaa hai... kitnii h der tak main ise bas padhta raha padhta rahaa aur zubaan se ek harf na likhaa...... uffff kitnaa dard bayaan kar diyaa hai aapne is baar..... samajh nahi aa rha hai ke kaise tareef karun..... bas itnaa hi kah sakunga that you have created a masterpiece this time.. i salute your emotions and expressions sir .... take care

Shaad.....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
15th July 2015, 10:56 AM

Kyaa Ehsaas Nazm Hue HaiN

Bahut UmdaaH Nazm

Mubaaraqbaad !!!




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#5)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
15th July 2015, 01:47 PM

Sagar bhaiya bahut khoob rahi aapki yeh rachna............
yun hi likhte rahe
duaon ke saath


Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
trialbyfire
Registered User
trialbyfire has a spectacular aura abouttrialbyfire has a spectacular aura abouttrialbyfire has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 451
Join Date: Feb 2013
Rep Power: 14
15th July 2015, 06:03 PM

Sagar ji...aapki yeh rachna dil ke kuch jyada hi kareeb rahi...I have read it multiple times...aur phir sochte rahe ki aapki iss rachna ki tareef kaise Karen...Kisi ka bahaut kareeb hona aur phir achanak duriyaa aa jana bakhoobi dikhayi diya ismai.

Yeh kuch lines jo dil ke sabse jyada kareeb rahin and baar baar padhi humne.

Raat ko neeNd ab jaldi aati hai
NeeNd ka yuN aana to achha hai, lekin..
neeNd chhoD kar "Das minute aur.." baat karna achha lagta thaa
har roz tumhara milne ka naya waada karna achha lagta thaa

Din bhar masruuf rehta huuN magar phone pe nazreiN rehti haiN
Ke tumhara paighaam aayegaa zaruur,
aur iss tarah
Meri masruufiyat mujh pe kabhi bhaari nahi hoti
Ba-taqarrur shaam aati hai, par saawan meiN bhi be-qaraari nahi hoti

Woh be-lawas hansi... aaj bhi mujhe yaad hai
yaad hai woh tumhara mujhe kehna,
ke "tum bhi hanste huye achhe lagte ho"
Tumhaari dii huyii hansii, laboN se ghaayab hone lagi hai
meri apnii pehchaan, meri zaat, mujh se khone lagii hai

Aapki iss rachna mai kuch hum bhi likh rahe hain...aapne itna accaha likha hai ki hum majoob ho gaye kuch kehne par.

woh baat baat pe roothna...woh baat baat pe ladna
aur humare rooth jaane pe tumhara yun manana
aaj bhi yaad aata hai
masruf ho tum bhi masruf hai hum bhi
par aaj bhi tumhare jawaab ka intezaar rehta hai

Hua ek arse tumse guftgoo kiye hue
Hua ek zamana tumhari hansi sune hue
par jaante ho tum bhi, jaante hain hum bhi
ke dil mai aaj bhi tumhara ehsaas rehta hai

Yeh shabd bas apne aap ban pade...gustakhi ke liye maufi chahenge.

Dua rahegi ki yeh sirf ek rachna thee hakekkat nahi...khayal rakhiye.


Zindagi wahi jise khul ke Jiya jaaye, apne armaanon ko pankh lagaa udhne do...

Last edited by trialbyfire; 15th July 2015 at 06:39 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
15th July 2015, 09:23 PM

Sagar dost,

Main Shaad miyaan ki baat se sehmat hoon... Kaun kehta hai yeh shayri nahin... Isne to jhanjhodh ke rakh diya... Aapke ehsaas, woh pyaar woh dard hum aapke aashaar me mehsoos kar paa rahe hain, isse khoobsurat shayri aur kya hogi.

Meri dil se dheron daad aur duaayen aapke liye. Yunhi ehsaasaat ko aawaaz dete rahiye... Apna khayal rakhiye...


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#8)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
15th July 2015, 09:31 PM

Sagar bhaii

Namaste

Aapki soch ko salaam.... aik behteein koshish ke liye dil se daad

Duaaon ke saath ijaazat

Aapka

Dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
15th July 2015, 10:33 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
Sagar ji ...kya kahoon bas aapki ye peshkash padh ke isme khoti chali gayi main....sahi kaha aapne ye shayri nahi hai...pure feelings hain...jazbaat jinko lafzon me kuch yoon utara hai aapne ki bas padhne wale ko dard apne dil me mahsoos ho...aksar yoon hota hai ki mashroofiyat aur duniyadari ke beech ham khud hee nahi jaan pate ki andar he andar kya baat dil ko sata rahi hai....aur jab samajh pate hain to bas vo yadein yoon hee doston ke samne kah di jati hain...bina kisi tabdeeli ke...
shukriya share karne ke liye...aate rahiye

Likhte rahiye.....
khush rahiye.....

Madhu ji,
aapki iss zarranawazi se na jaane kitni himmat mili hai, warna yeh koshish to bas yuNhi baithe huye bhatakte khayalaat ka nateeja thi jo maine casually he yahaN par utaar diye.

Bohot bohot shukriyaa.
yuNhi saaTh dete rahiye.


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
23rd July 2015, 12:22 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
"tum bhi hanste huye achhe lagte ho"

kaun kahta hai ke ye shaayri nahi..... shayari har wo cheeez hai jo dil se likhi gayee ho kisii dil waale ke liye.....

aapko padhnaa waaqai bahut acchaa lagta hai Sagar saahab.. har baar kuch nayaa kuch apnaapan kuch alag mithaas ke bas padh kr dil se waah nikal jaae....


Ek chaand, kuchh sitaare aur muThhi bhar sapne
Yehi thii meri khwaahish, tumhaare liye
Mere khwaab aur ehbaab, sab chuut gaye haiN peechhe
Tera peechhe muD ke dekhna wo aakhri dafeh
Ab bhi ghumaan hotaa hai, ke tum waapis aaogii
Aur..
Hansne ka hunar, phir mujhe sikhaaogii


aap yaqeen maaniye sir in misron ne mujhe andar tak jhakjhor diyaa hai... kitnii h der tak main ise bas padhta raha padhta rahaa aur zubaan se ek harf na likhaa...... uffff kitnaa dard bayaan kar diyaa hai aapne is baar..... samajh nahi aa rha hai ke kaise tareef karun..... bas itnaa hi kah sakunga that you have created a masterpiece this time.. i salute your emotions and expressions sir .... take care

Shaad.....

Khaak ilfaaz ko bhi itni tehseen ataa karte haiN jenab aap.

Aapki iss baat keliye aapko dil se shukriyaa.

Isi tarah hausla baDhaate rahiye jenab, to shaayad kalam ko kuchh quwwat mil jaaye aur wo chlti rahe.
Pazeerayi keliye ek baar phir se mamnuun huN.
Aate rahiye.


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
23rd July 2015, 01:05 PM

Sagarji jazbaat jab dil se umad kar panno par bikharte hain to sailaab aa jata hai.

Kuch aisa hi manzar yaha nazar aaya.

Bakhoobi aapne is nayaab rachna ko kaagaz par ukera hai. Ek ek shabd jaise dilke dariya meinkankar maar raha ho. Iske liye mubaarakbaad.


-Apki Dost
Sarika

Last edited by masti; 23rd July 2015 at 01:11 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
1st September 2015, 01:00 PM

Quote:
Originally Posted by naresh_mehra110 View Post
Kyaa Ehsaas Nazm Hue HaiN

Bahut UmdaaH Nazm

Mubaaraqbaad !!!

Sab se pehle takheer keliye muazrat chahunga Mehra sahib.
Aur aapki aamad se mera likhna safal ho gaya, aisa maiN maanta huN.

Tehseen keliye bohot bohot shukriya.

Apna aashirwaad hamesha mere saTh rakhiyega.
Regards


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
1st September 2015, 01:03 PM

Quote:
Originally Posted by ISHK EK IBADAT View Post
Sagar bhaiya bahut khoob rahi aapki yeh rachna............
yun hi likhte rahe
duaon ke saath

Radhe Radhe Rajender sahib.

Aapka bohot bohot shukriya ke aapne isko paDha aur aapko achha bhi laga.

Aate rahiye.


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
1st September 2015, 05:25 PM

Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna View Post
Haazreen-e-mehfil ko mera adaab !

Dosto, kuchh bikhre huye tinkey, jo baraa-he-raast dil se sdc pe utaar raha huN, bina kaaghaz ke upar likhe huye.. To isko shayari ki kasauti pe mat toliyegaa.
Aur yeh shayari hai bhi nahi, isliye maazrat chahunga agar yeh ghustaakhi huyi mujh se isko sdc pe daal kar. Aap chhaheiN to isko tavajjo dein aur chaahein to khaarij kar dein. main koshish karunga ismeiN thoDa tarmeem karne ki. Islaah ka talabgaar rahunga.

Kuchh mushkileiN to haiN tere jaane ke baad...

Raat ko neeNd ab jaldi aati hai
NeeNd ka yuN aana to achha hai, lekin..
neeNd chhoD kar "Das minute aur.." baat karna achha lagta thaa
har roz tumhara milne ka naya waada karna achha lagta thaa

Din bhar masruuf rehta huuN magar phone pe nazreiN rehti haiN
Ke tumhara paighaam aayegaa zaruur,
aur iss tarah
Meri masruufiyat mujh pe kabhi bhaari nahi hoti
Ba-taqarrur shaam aati hai, par saawan meiN bhi be-qaraari nahi hoti

Tumhein muskurana achha lagta thaa
ba-zaahir tum hansti thii, aur itna hansti thii...
Ke gham palkoN pe khushi ke aansu ban jaata thaa
Aur phir..
dheere se peechhe muD kar, saari ke pallu se aansu ponch leti thii
aur mere puuchhne par, daftan phir hans kar taal deti thii..

Woh be-lawas hansi... aaj bhi mujhe yaad hai
yaad hai woh tumhara mujhe kehna,
ke "tum bhi hanste huye achhe lagte ho"
Tumhaari dii huyii hansii, laboN se ghaayab hone lagi hai
meri apnii pehchaan, meri zaat, mujh se khone lagii hai

MaiN ab uss jheel meiN kankar nahi maarta
Jiss ke kinaare baiThe hum baateiN kiyaa karte thae
Jheel ka paani bhi ab khaamosh rehtaa hai
Phir bhi...
Wo chaand ka aks ab nazar nahi aata
Aata hai har parindaa uss sairgaah meiN aksar
Wo guzra waqt humara, magar nahi aata

Ek chaand, kuchh sitaare aur muThhi bhar sapne
Yehi thii meri khwaahish, tumhaare liye
Mere khwaab aur ehbaab, sab chuut gaye haiN peechhe
Tera peechhe muD ke dekhna wo aakhri dafeh
Ab bhi ghumaan hotaa hai, ke tum waapis aaogii
Aur..
Hansne ka hunar, phir mujhe sikhaaogii

Kuchh mushkileiN to haiN tere jaane ke baad.. .. .. ..

Jagdish...kya kahun kuch bhi samaj nahi aa rha, tadap, kasak aur bahut sara dard hai es meiN, shayri karne ka aik fayada yeh bhi hai ki ham dil ki baat jo kisi se keh bhi nahi sakte usko shayri mein kehna accha lagta hai, dard ko lafzoN ka parhen dena dil ko sakoon deta hai...aik aik lafz par dil dard mehsoos hua. beete pal lout kar to nahi aate par zehan meiN hamesha yaadoN ke roop meiN tazza rehte haiN.

khush rho


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com