Quote:
Originally Posted by Hassan
Surat e yaar khwaab ban k rahi ankhon me
Raat kuch is tarah se hampe mehrbaan huyi.
na mila vo sukoon bhi dil ka gaya
Dil e barbaad ki vajah bhi main nadaan huyi.
waaaaaah! waaaaaaaah! Madhu jee..
kia baat hai... bohat hiii aala ghazal se ru ba ru karwaaya hai..
tamaam ashaar khoob haiN..
quoted ashaar bohat acchy lagy ...
dil se nikli dheroN daad haazir hai
|
muafi ki talab gaar hun hassan sahab aaj nigah padi to dekha....
aapka shukriya ada nahi kiya...
shukriya..aate rahiyega...
apna khayaal rakhein..
madhu