Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega
Old
  (#1)
KhamosH DiL
____-KhamoSh DiL-____
KhamosH DiL is on a distinguished road
 
KhamosH DiL's Avatar
 
Offline
Posts: 1
Join Date: Feb 2009
Location: Jacobabad Sindh
Rep Power: 0
Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega - 23rd February 2009, 02:38 PM

Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega
Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega


Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai
Jis Taraf Bhi Chal Parainge Raasta Ho Jaayega


Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya
Tu Nahin Mera To Koi Doosra Ho Jaayega


Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega


Sab Usi Ke Hain Hawa, Khushboo, Zameen-o-Aasmaan
Main Jahan Bhi Jaaoonga Us Ko Pata Ho Jaayega


Rooth Jaana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jaayega
  Send a message via Yahoo to KhamosH DiL  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Praneeta
~"REBELLIOUS IN LOVE"~
Praneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Praneeta's Avatar
 
Offline
Posts: 3,264
Join Date: Feb 2008
Location: Ruatonga, Cook Islands
Rep Power: 52
Love 23rd February 2009, 02:43 PM

Quote:
Originally Posted by KhamosH DiL View Post
Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega
Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai
Jis Taraf Bhi Chal Parainge Raasta Ho Jaayega

Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya
Tu Nahin Mera To Koi Doosra Ho Jaayega

Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega

Sab Usi Ke Hain Hawa, Khushboo, Zameen-o-Aasmaan
Main Jahan Bhi Jaaoonga Us Ko Pata Ho Jaayega

Rooth Jaana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jaayega
wah wah.....bahot khub
warm welcome to you
bahot achcha likha hai aap ne especially these lines...

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai
Jis Taraf Bhi Chal Parainge Raasta Ho Jaayega

Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya
Tu Nahin Mera To Koi Doosra Ho Jaayega


Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega


keep up
Regards
Praneeta


_______________________________________________
PRANEETA

Kaash k khamoshi bhi ek zabaaN hoti
Main dekta rehta unhe aur haal-e-dil bayaaN hota
Ananthpak
  Send a message via Yahoo to Praneeta Send a message via Skype™ to Praneeta 
Reply With Quote
Old
  (#3)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
23rd February 2009, 02:46 PM

janaab bohat hi khoobsurat ghazal hai ye dr .bashir badr saheb ki...hum sab ke saath share karne ke liye bohat bohat shukriya...per ye ghazal is site per pehle se hi posted hai,aur waise bhi is ki sahi jagah hai shayri-e-mashoor shayer...

shukriya

zainy

http://www.shayri.com/forums/showthr...a+bewafa+khafa




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#4)
noor_noor
Registered User
noor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 545
Join Date: Feb 2009
Rep Power: 25
26th February 2009, 03:04 AM

mai ghazal padhun mai ghazal kahun, mujhy de to husn e khyaal de
tera gham hi meri tabiyat, mujhay de to ranj o malaal de

sabhi chaar din ki hain chandni, ye riyastain ye wazaratian
mujhay us faqeer ki shaan de, ke zamana jis ki misaal de

meri subh tere hi naam se, meri shaam tere hi naam se
tere dar ko **** ke jaunga, ye khyaal dil se nikaal de

mere saamne jo pahaad thay, sabhi sar jhuka ke guzar gaye
jise chahe tu ye urooj de, jise chahe tu ye zawaal de

bade shoq se inhi pattaron ko shikam se baandh ke so rhun
mujhay maal e muft haraam hai, mujhay de to rizq e halaal de(dr.basheer badr)
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Sar jhukaoge to patthar devata ho jaayega Mohammad Kashif Shayri-e-Mashahoor Shayar 4 5th August 2010 02:09 PM
patthar ke Khudaa patthar ke sanam patthar ke hii insaa.N paaye hai.n Mayank Shayri-e-Mashahoor Shayar 2 18th May 2008 05:56 PM
le jaayega karan q Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 23rd May 2005 05:15 AM
Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega.. Mayank Shayri-e-Mashahoor Shayar 3 26th October 2004 09:10 AM
patthar ke khudaa, patthar ke sanam, patthar ke hii inasaan paae hai.n sanjoo Ghazal Section 2 20th August 2004 09:41 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com