Hi Nehaji, Aapki ye post waqai kabil-e-taareef hai, khaas taur par ye do laineiN.
dhuup me.n nikalo ghaTaao.n me.n nahaa kar dekho
zindagii kyaa hai kitaabo.n ko haTaa kar dekho
Regards
Chaand
Chaand
Un hawaaoN ka gujar... ab meri galiyoN nahi hota
Ik umr guzre... jo..meri in..zulfoN ko sehlaati thi,
Hamne bhi... un apnoN se..milna-milaana chhhod diya
jinki nazdiqiyaan...begaanoN ka sa ehsaas karaati th
bohot hi zabardast likha hai ..
ek ek shair ki dil se tareef nikalti hai ..aap ki doosri ghazalen bhi bohot pasand ..aaye hain .. par is main kuch ziada hi asar hai