Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Aapki Shayri (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=32)
-   -   khamoshi (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=59926)

muskaan arora 17th March 2008 02:26 PM

khamoshi
 
khamoshi
khamoshi ankahe shabdo ka sagar hain.
mithe ehsaaso ka kaarwa hain,
jhukti kuch na kehti nazro ko ye samajhta hain,
khwabose saji palko pe ye rehta hain
kehna kuch chahkar bhi khayalo mein hamein gudgudata hain
chandni raat mein ye taaro ki doli mein sajkar baith jaata hain
haya se bhari chunari mein dabi apni muskaan mein na jaane ye kisi dhundhta hain,khoyee khoyee si lamho se bhari tanhai mein ye kiske saaye ko dekh apni nazro ko jhukata hain

na jaanu mein na jaane woh bekraar bhi hain ye dil
thoda pareshaan bhi hain ye dil
kehna chahkar bhi kuch nahin kehta
pata nahin shabdo ka saath na dekar ye dil khamoshi se kyon dosti nibhata hain
khamoshi yaani pyaar aur kuch nahin:p

only anum 20th March 2008 11:23 AM

Kuch Masoom Say Jazbey Hain,
Kuch Un-dekhay Sapney Hain,
Mager Woh Naheen Janta Shayad...!!!
Meri bhi Zindagi To .............Hai..!!!!!!

Tufan mein kashti ko kinare bhi milte hain
jahaan mein logon ko sahare bhi milte hain
duniya mein sabse pyari hai zindagi
kuch log zindagi se pyare bhi milte hain.

Har kadam pe imtihaan leti hai Zindagi
Her waqt naye sadme deti hai Zindagi
Hum Zindagi se shikwa kaise kare?
Aap Jaise Pyaare Dost Bi tho deti hai Zindagi.

Zindagi mein hamesha naye log milenge
Kahi Zyaada tho kahi kam milenge
Aitbaar zara sochkar karna
Mumkin nahi her jagah tumhe DANY jaisey milengay.


All times are GMT +5.5. The time now is 01:22 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.