Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   talkhiyaaN..... (nazm) ( a very personal one\) (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=78267)

maikasH 22nd November 2014 07:09 AM

talkhiyaaN..... (nazm) ( a very personal one\)
 
aadaab yaaran-e-mehfil,


ek nazm, jo dar asl haqeeqat ka aainaa hai, aapki khidmat meiN haazir kar raha hooN. aaj kaifiiyat kuch aisi hai is nazm ko post karte hue jhijhak nahiiN ho rahi hai vagarnaa aam haalaat meiN yeh kabhi post na hui hoti

mulaiiza kijiye


na maa ne mujhe goad hi meiN uThaaya
na waalid ne apne gale se lagaaya
mehruum rakkha gaya har khushi se
haaN! mujhko bahot hai gilaa ziNdagi se

na seene se apne kisi ne lagaaya
na baahoN ke ghere meiN jhuula jhulaaya
na mujhko kabhi lo'riyaaN hi sunaayiiN
na zaaNooN pe rakh ke kisi se sulaaya

na bachpan bhi mujhko milaa ziNdagi se
haaye! kyoN na karuN maiN gilaa ziNdagi se?

thokaroN ne nawaaza, saNbhaltaa raha hooN
dehaktee rehguzar pe bhi chala raha hooN
chaltee rahiiN aaNdhiyaaN nafratoN ki
chiraaGhoN ki maaniNd jaltaa raha hooN

mere waalid-e-mohtaram ne kahaa hai :
"mere haath se qatl tera likhaa hai"
lekin kabhi zikr mujhse kiya naa
ke aakhir gunaah mujhse kya ho gaya hai

maine kahaa , mere pyaare se abbu
meri jaan par haq tumhaara bajaa hai
tumhiiN ne mujhe ziNdagi se nawaaza
tumhi maar daalo , meri iltijaa hai

na jeene ki himmat na marne ka dam hai
khuda tu, rihaayi, dillaa ziNdagi se

haaN....mujhko bohat hai gilaa ziNdagi se

Hamdam 22nd November 2014 07:39 AM

Maikash sahib ,
Namaskar ..Aap ki mazm mein jo dard chipa hai ..uski chuban apne
dil pe mehsoos ki aur agar beadabi na ho apne dard mein likhi do lines
likh raha hun , jo kuch saal pehle likhi thi.

Aye zindagee tujh se hai mera gila ,
Meri masoomiyat ka diya hai ye sila ;
Jinke liye kurbaan kardi sari Zindagee,
Vo chand sikke dal kar keh gaye alvida.

Regds
Sanjay Sehgal

Madhu 14 22nd November 2014 10:13 AM

Maikash ji kya kahoon itna dard hai aapki is nazm me...padkar emotional ho gayi main...
hamesha khush rahein aap yahi dua hai..

sameer'shaad' 22nd November 2014 06:22 PM

mere waalid-e-mohtaram ne kahaa hai :
"mere haath se qatl tera likhaa hai"
lekin kabhi zikr mujhse kiya naa
ke aakhir gunaah mujhse kya ho gaya hai


Amaa kyaa likh rahe ho maikash bhai.... ab rulaa ke maanoge kyaa........
aapki nazm khatam hone se pahle hi aankhen nam ho gayeen meri bas kuch kaha na jaaega...... Allaah aapke sabr ko aur mazboot de aur iskaa bahot accha sila de.. yahi baargahe rab me meri duaa hai......

salaamat rahen ....

Shaad...

vinaydahiya 23rd November 2014 06:42 PM

Maikash sahab ye kya likh diya aapne...
Ek line padne ke bad dusri line padni musqil ho gayi...itna dard bhar diya hai aapne
Maaf kijijiyega main tareef nahi karunga kyonki jo mahsus karaya hai aapne mujhe.... dil se jod liya aapne
Khuda aapko lambi umar se navaje...

sunita thakur 24th November 2014 09:39 AM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 472006)
aadaab yaaran-e-mehfil,


ek nazm, jo dar asl haqeeqat ka aainaa hai, aapki khidmat meiN haazir kar raha hooN. aaj kaifiiyat kuch aisi hai is nazm ko post karte hue jhijhak nahiiN ho rahi hai vagarnaa aam haalaat meiN yeh kabhi post na hui hoti

mulaiiza kijiye


na maa ne mujhe goad hi meiN uThaaya
na waalid ne apne gale se lagaaya
mehruum rakkha gaya har khushi se
haaN! mujhko bahot hai gilaa ziNdagi se

na seene se apne kisi ne lagaaya
na baahoN ke ghere meiN jhuula jhulaaya
na mujhko kabhi lo'riyaaN hi sunaayiiN
na zaaNooN pe rakh ke kisi se sulaaya

na bachpan bhi mujhko milaa ziNdagi se
haaye! kyoN na karuN maiN gilaa ziNdagi se?

thokaroN ne nawaaza, saNbhaltaa raha hooN
dehaktee rehguzar pe bhi chala raha hooN
chaltee rahiiN aaNdhiyaaN nafratoN ki
chiraaGhoN ki maaniNd jaltaa raha hooN

mere waalid-e-mohtaram ne kahaa hai :
"mere haath se qatl tera likhaa hai"
lekin kabhi zikr mujhse kiya naa
ke aakhir gunaah mujhse kya ho gaya hai

maine kahaa , mere pyaare se abbu
meri jaan par haq tumhaara bajaa hai
tumhiiN ne mujhe ziNdagi se nawaaza
tumhi maar daalo , meri iltijaa hai

na jeene ki himmat na marne ka dam hai
khuda tu, rihaayi, dillaa ziNdagi se

haaN....mujhko bohat hai gilaa ziNdagi se


Maikash bhai...aapki yeh nazam jab se aapne post ki hai, kai baar padi hai maine aur aik aik lafz dil meiN chuban paida karta rha hai jitni baar bhi pada hai, sab kuch jaanti hu main aapke bare meiN, shayad esi liye takleef jayada hue aur reply karne ki himmat nahi ho rhi thi.

aap bahut brave ho, zindgi ka saamna aapne bahut himmat se kiya hai, to phir aaj kyu etne toot gye. ham hai na aapke saath...dosto ka sahara kam nahi hota...dosti meiN dekho to dost maa-baap, bhai-behan sabki kami door kar detey hai :)

apna khayal rakhiye acche se, aur khush rahiye.

:)

Qasid 25th November 2014 10:04 PM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 472006)
aadaab yaaran-e-mehfil,


ek nazm, jo dar asl haqeeqat ka aainaa hai, aapki khidmat meiN haazir kar raha hooN. aaj kaifiiyat kuch aisi hai is nazm ko post karte hue jhijhak nahiiN ho rahi hai vagarnaa aam haalaat meiN yeh kabhi post na hui hoti

mulaiiza kijiye


na maa ne mujhe goad hi meiN uThaaya
na waalid ne apne gale se lagaaya
mehruum rakkha gaya har khushi se
haaN! mujhko bahot hai gilaa ziNdagi se

na seene se apne kisi ne lagaaya
na baahoN ke ghere meiN jhuula jhulaaya
na mujhko kabhi lo'riyaaN hi sunaayiiN
na zaaNooN pe rakh ke kisi se sulaaya

na bachpan bhi mujhko milaa ziNdagi se
haaye! kyoN na karuN maiN gilaa ziNdagi se?

thokaroN ne nawaaza, saNbhaltaa raha hooN
dehaktee rehguzar pe bhi chala raha hooN
chaltee rahiiN aaNdhiyaaN nafratoN ki
chiraaGhoN ki maaniNd jaltaa raha hooN

mere waalid-e-mohtaram ne kahaa hai :
"mere haath se qatl tera likhaa hai"
lekin kabhi zikr mujhse kiya naa
ke aakhir gunaah mujhse kya ho gaya hai

maine kahaa , mere pyaare se abbu
meri jaan par haq tumhaara bajaa hai
tumhiiN ne mujhe ziNdagi se nawaaza
tumhi maar daalo , meri iltijaa hai

na jeene ki himmat na marne ka dam hai
khuda tu, rihaayi, dillaa ziNdagi se

haaN....mujhko bohat hai gilaa ziNdagi se

Maikash bhai..apne jin khayaalaton ko alfaazon mein dhaala hai uski mohabbat ki gehraayi shayaad jaan paana na mumkin hai...

zindagi se gilaa rakhne waale hi zindagi ki ahemiyat jaante hai...apke har misre mein ek alag sa aks nazar aaya mujhe kahi ranjish to kahin razaa, gilaa bhi kahi to kahi tha silaa...

Behad khoob andaad-e-bayaan ustaad ji...

nacheez ki duaa aur daad qubool farmiYeGaa

maikasH 2nd December 2014 04:04 AM

aadaab dosto,

aalam-e-iz'teraab ke haathoN majboor ho kar yeh nazm post kar baiThaa tha aur aap sab dostoN ki muhabbat dekh dil ne to bohat chaaha ke aapka alehdaa-alehdaa shukriya adaa karuuN go himmat ne saath nahiiN diya

agli baa taq ke liye muaafi ka talabgaar hooN aur is vaayide ke saaTh ijaazat chaah raha hooN ke do-ek roz meiN jawaab haazir karne ki koshish karooNga

khuda kareem aapko har ne'mat se nawaazey


dua'go
maikash


All times are GMT +5.5. The time now is 09:47 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.