Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Mashahoor Shayar (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=13)
-   -   Gulshan ki faqat phoolon se nahin kaaton se bhi zeenat hoti hai,(Saba Afghani) (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=57440)

Mohammad Kashif 28th August 2007 06:45 PM

Gulshan ki faqat phoolon se nahin kaaton se bhi zeenat hoti hai,(Saba Afghani)
 
Gulshan ki faqat phoolon se nahin
kaaton se bhi zeenat hoti hai,

jeene ke liye is duniya mein
gham ki bhi zaroorat hoti hai.

Ae waaiz-e-naadan karta hai
tu ek qayamat ka charcha,

yahan roz nigahen milti hain
yahan roz qayamat hoti hai.

Wo pursish-e-gham ko ayae hain
kuch keh na sakoon chup reh na sakoon,

khaamosh rahoon to mushkil hai
keh doon to shikaayat hoti hai.

Karna hi padega jabt-e-alam
peene hi padenge ye aansoo,

fariyaad-o-fugaan se aey naadaan
tauheen-e-mohabbat hoti hai.

Jo aake ruke daaman pe ‘Saba’
wo ashq nahin hai paani hai,

jo ashq na chhalke aankhon se
us ashq ki keemat hoti hai.


jabt=suffer,bear Lyrics : Saba Afghani
alam=pain
fugaan=lamentation
purshish=inquiry
zeenat= beauty
waaiz= preacher

acharya_mj 28th August 2007 10:42 PM

Hi
 
Quote:

Originally Posted by Mohammad Kashif (Post 246645)
Gulshan ki faqat phoolon se nahin
kaaton se bhi zeenat hoti hai,

jeene ke liye is duniya mein
gham ki bhi zaroorat hoti hai.

Ae waaiz-e-naadan karta hai
tu ek qayamat ka charcha,

yahan roz nigahen milti hain
yahan roz qayamat hoti hai.

Wo pursish-e-gham ko ayae hain
kuch keh na sakoon chup reh na sakoon,

khaamosh rahoon to mushkil hai
keh doon to shikaayat hoti hai.

Karna hi padega jabt-e-alam
peene hi padenge ye aansoo,

fariyaad-o-fugaan se aey naadaan
tauheen-e-mohabbat hoti hai.

Jo aake ruke daaman pe ‘Saba’
wo ashq nahin hai paani hai,

jo ashq na chhalke aankhon se
us ashq ki keemat hoti hai.


jabt=suffer,bear Lyrics : Saba Afghani
alam=pain
fugaan=lamentation
purshish=inquiry
zeenat= beauty
waaiz= preacher

THESE GHAZAL IS SUNG BY JAGJEET SINGH, VERY BEAUTIFUL GHAZAL SEEMS TO LISTEN TO.

AAP KA SHUKRIYAA KASHIF JI ISE SHARE KARNE KE LIYE
REGARDS
MANU

Dhaval 11th June 2010 10:33 AM

Thanx for Sharing kashif jee!

~ Dhaval


All times are GMT +5.5. The time now is 10:00 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.