Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   DooriyaaN (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=77439)

aslam noor 7th July 2014 06:11 PM

DooriyaaN
 
Ehle bazm ki nazr ek adna si koshish is umeed ke sath ke aap log apni qeemti aara aur mohabbatoN se nawaazenge

DooriyaaN

Safar mai door talak mujhko
Koi dikhta nahi hai ab
Wahi jiske laboN par
ShokhiyaaN thiN muskuraane ki
Usi gul par
KhizaaN ka wehshiyaana
Waar thehra hai
Wo jiske waaste
Saare sitaare tod laaye they
Wahi ab chaand din ka
VusatoN se door baitha hai
Tapish phaili, darakht sookhey
To darya
Talaab ki maanind
MunderoN par samandar ki
QataaroN mai
Nazar ayye
Wo sab manzar
Jo khud par aafreeN
Kehlaaya karte they
Khule bazaar mai aaye
To khul kar saamne aaye
MeiN ab
SochoN se apni
Baat ye manwana chahta huN
BisaatoN par
Wo sab manzar
Jo dil ke pass hote haiN
Asal mai
Door hote haiN!!!!(aslam noor aslam)

Masoom Pyar 7th July 2014 06:25 PM

Waah Waah Aslam Shahab....Bahot Khub.Dil Se Daad...................!!!

Quote:

Originally Posted by aslam noor (Post 461297)
Ehle bazm ki nazr ek adna si koshish is umeed ke sath ke aap log apni qeemti aara aur mohabbatoN se nawaazenge

DooriyaaN

Safar mai door talak mujhko
Koi dikhta nahi hai ab
Wahi jiske laboN par
ShokhiyaaN thiN muskuraane ki
Usi gul par
KhizaaN ka wehshiyaana
Waar thehra hai
Wo jiske waaste
Saare sitaare tod laaye they
Wahi ab chaand din ka
VusatoN se door baitha hai
Tapish phaili, darakht sookhey
To darya
Talaab ki maanind
MunderoN par samandar ki
QataaroN mai
Nazar ayye
Wo sab manzar
Jo khud par aafreeN
Kehlaaya karte they
Khule bazaar mai aaye
To khul kar saamne aaye
MeiN ab
SochoN se apni
Baat ye manwana chahta huN
BisaatoN par
Wo sab manzar
Jo dil ke pass hote haiN
Asal mai
Door hote haiN!!!!(aslam noor aslam)


sameer'shaad' 7th July 2014 08:07 PM

Quote:

Originally Posted by aslam noor (Post 461297)
Ehle bazm ki nazr ek adna si koshish is umeed ke sath ke aap log apni qeemti aara aur mohabbatoN se nawaazenge

DooriyaaN

Safar mai door talak mujhko
Koi dikhta nahi hai ab
Wahi jiske laboN par
ShokhiyaaN thiN muskuraane ki
Usi gul par
KhizaaN ka wehshiyaana
Waar thehra hai
Wo jiske waaste
Saare sitaare tod laaye they
Wahi ab chaand din ka
VusatoN se door baitha hai
Tapish phaili, darakht sookhey
To darya
Talaab ki maanind
MunderoN par samandar ki
QataaroN mai
Nazar ayye
Wo sab manzar
Jo khud par aafreeN
Kehlaaya karte they
Khule bazaar mai aaye
To khul kar saamne aaye
MeiN ab
SochoN se apni
Baat ye manwana chahta huN
BisaatoN par
Wo sab manzar
Jo dil ke pass hote haiN
Asal mai
Door hote haiN!!!!(aslam noor aslam)


masha Allaah Aslam saahab jis andaaz sse aapne ye nazm chedii hai wo kaabile tareef hai... behad gahre ehsaason se saraabor aur ummdah fankaari ka asar liye hue hai ye nazm..... bahot si daad aur mubaarakbaad...
likhte rahiye

Shaad.....

zainy 7th July 2014 11:54 PM

Masha Allah,bohat khoob surat nazm hai..Aslam sahab

Dil se dheron daad qubool kijiye. .

ufaq 8th July 2014 09:05 AM

Behatreen.............................

aadeil 8th July 2014 02:38 PM

Quote:

Originally Posted by aslam noor (Post 461297)
Ehle bazm ki nazr ek adna si koshish is umeed ke sath ke aap log apni qeemti aara aur mohabbatoN se nawaazenge

DooriyaaN

Safar mai door talak mujhko
Koi dikhta nahi hai ab
Wahi jiske laboN par
ShokhiyaaN thiN muskuraane ki
Usi gul par
KhizaaN ka wehshiyaana
Waar thehra hai
Wo jiske waaste
Saare sitaare tod laaye they
Wahi ab chaand din ka
VusatoN se door baitha hai
Tapish phaili, darakht sookhey
To darya
Talaab ki maanind
MunderoN par samandar ki
QataaroN mai
Nazar ayye
Wo sab manzar
Jo khud par aafreeN
Kehlaaya karte they
Khule bazaar mai aaye
To khul kar saamne aaye
MeiN ab
SochoN se apni
Baat ye manwana chahta huN
BisaatoN par
Wo sab manzar
Jo dil ke pass hote haiN
Asal mai
Door hote haiN!!!!(aslam noor aslam)

bahot hi khubsurat rachna hai........ :)

Bedard 9th July 2014 12:28 AM

Kya Khe solid peskks bhai.............................................. ..............

Hassan 10th July 2014 10:45 AM

MeiN ab
SochoN se apni
Baat ye manwana chahta huN
BisaatoN par
Wo sab manzar
Jo dil ke pass hote haiN
Asal mai
Door hote haiN!!!


Wahh wahhh Aslam Bhai,,

Aik shandaar nazm k liye dil se nikli dherooN "wah" "wah" qabool kijiye,, :)

Apna khiyaal rahiye ga,

DuaooN k saath ijazat,




aslam noor 14th July 2014 04:25 PM

Quote:

Originally Posted by Masoom Pyar (Post 461299)
Waah Waah Aslam Shahab....Bahot Khub.Dil Se Daad...................!!!

Nazm ki pasndagi ke liyN aapka tahe dil se shukrguzaar huN


aslam

AHMAD SHAKIL 14th July 2014 04:40 PM

Janab Mohtaram Aslam Noor Sahab...!
Be-had Khubsurat Alfaaz Me Aap ne Apne Takhayyul Ko Piroya Hai.....
Dheron DAAAAAAAD Is Khubsurat Nazm Par Qaboool Kijiye...
Likhtay rahiye
Khush Rahiye

zarraa 14th July 2014 10:28 PM

Wwwwwaaaaahhhhhhh !!!!!!!! Laajawaab nazm kahi hai Aslam sahab !!! Daad dene ke pehle shukriya kehna chaahoonga hameiN apni khoobsurat nazm se nawaazne ke liye !! Behtareen !! Alfaaz ki booNdoN se ehsaas ki ek jheel taameer ki hai jis meiN jazbaat ki lehreiN raqs kar raheeN haiN !!

Yasmine 15th July 2014 11:17 AM

Boht Umda!
 
Quote:

Originally Posted by aslam noor (Post 461297)
Ehle bazm ki nazr ek adna si koshish is umeed ke sath ke aap log apni qeemti aara aur mohabbatoN se nawaazenge

DooriyaaN

Safar mai door talak mujhko
Koi dikhta nahi hai ab
Wahi jiske laboN par
ShokhiyaaN thiN muskuraane ki
Usi gul par
KhizaaN ka wehshiyaana
Waar thehra hai
Wo jiske waaste
Saare sitaare tod laaye they
Wahi ab chaand din ka
VusatoN se door baitha hai
Tapish phaili, darakht sookhey
To darya
Talaab ki maanind
MunderoN par samandar ki
QataaroN mai
Nazar ayye
Wo sab manzar
Jo khud par aafreeN
Kehlaaya karte they
Khule bazaar mai aaye
To khul kar saamne aaye
MeiN ab
SochoN se apni
Baat ye manwana chahta huN
BisaatoN par
Wo sab manzar
Jo dil ke pass hote haiN
Asal mai
Door hote haiN!!!!(aslam noor aslam)

.....................
Aur kabhi boht door ke manzar
Dil mn hi Raha Krte Hn
Ihsaas ki Dunia Mn
Hum Unko Paas hi Rakhte Hn
Jese Phool Ki Pati Pe
Shabnam Ke Qatre Larza Krte hn

( chand fil badeeh satren jo aapki nazm ko parh kr raqm ken)

aslam noor 15th July 2014 04:12 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 461301)
masha Allaah Aslam saahab jis andaaz sse aapne ye nazm chedii hai wo kaabile tareef hai... behad gahre ehsaason se saraabor aur ummdah fankaari ka asar liye hue hai ye nazm..... bahot si daad aur mubaarakbaad...
likhte rahiye

Shaad.....

nazm ki pasndagi ke liyN aapka tahe dil se shukrguzaar huN aapki hosla afzaii sar aankho par bhut nawaazish


aslam

aslam noor 15th July 2014 04:16 PM

Quote:

Originally Posted by zainy (Post 461321)
Masha Allah,bohat khoob surat nazm hai..Aslam sahab

Dil se dheron daad qubool kijiye. .

Zainy saheba aapne hamesha hosla badhaaya hai nazmaapko achi lagi behad khushi hui yuN hi nawaazti rahiye bhut shukriyaH



aslam

aslam noor 15th July 2014 04:17 PM

Quote:

Originally Posted by ufaq (Post 461338)
Behatreen.............................

Ufaq sahab hosla afzaii ka bhut bhut shukriyaH


aslam

Harash Mahajan 15th July 2014 04:39 PM

Quote:

Originally Posted by aslam noor (Post 461297)
Ehle bazm ki nazr ek adna si koshish is umeed ke sath ke aap log apni qeemti aara aur mohabbatoN se nawaazenge

DooriyaaN

Safar mai door talak mujhko
Koi dikhta nahi hai ab
Wahi jiske laboN par
ShokhiyaaN thiN muskuraane ki
Usi gul par
KhizaaN ka wehshiyaana
Waar thehra hai
Wo jiske waaste
Saare sitaare tod laaye they
Wahi ab chaand din ka
VusatoN se door baitha hai
Tapish phaili, darakht sookhey
To darya
Talaab ki maanind
MunderoN par samandar ki
QataaroN mai
Nazar ayye
Wo sab manzar
Jo khud par aafreeN
Kehlaaya karte they
Khule bazaar mai aaye
To khul kar saamne aaye
MeiN ab
SochoN se apni
Baat ye manwana chahta huN
BisaatoN par
Wo sab manzar
Jo dil ke pass hote haiN
Asal mai
Door hote haiN!!!!(aslam noor aslam)


Waah aslam noor sahab...ek pukhta ourbehtareen nazm ko anjaam diya hai aapne...dil ko chhu sii gayii...dili daad qabool keejiyega...


All times are GMT +5.5. The time now is 11:30 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.