Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Meri Jaan--emaan Ki Kasam Tumhain<<<< (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=12329)

banjara'''' 31st May 2003 07:45 PM

Meri Jaan--emaan Ki Kasam Tumhain<<<<
 
AAP DOSTON SE AIK GUZARISH,,AGAR PARHNA CHAHAIN TO PLZ MUKAMAL PARHYE GA,,,
----------------------------
teri dunya nami mehfil main
ham or kuch palon Ko thehre hain
phir jin raston ko jana hay hmain
woh gahre hain bohat hi gahre hain
khwhish hay,,khwahish ka biyan krain
per zubaan per izn k pehre hain
kuch lafz khain jo sadiyon se
in labon tak a kar thahre hain
,,,,,,,,,,,,,suna hay or bohat se hain
,,,,,,,,,,,,,jo kahain k sab tumahara hay
,,,,,,,,,,,,,yeh kahain k un k haton main
,,,,,,,,,,,, tere nam ki likhi rekha hay.....
,,,,,,,,,,,,,meri jaan-emaan ki kasam tumhain
,,,,,,,,,,,,,kabhi KHAN sa aashiq dekha hay
woh KHAN jo tere ishq main kab se
QAIS ki rah main gard hwa
jo dard chupane main MEER bna
biyaan main INSHA ka shagird hwa
,,,,,,,,,,,,,,,,,,jo ratoon ko apni ankhon main
,,,,,,,,,,,,,,,,,,koi tujh si sorat banata hay
,,,,,,,,,,,,,,,,,,teri tasveer se dhool htane ko
,,,,,,,,,,,,,,,,,,ashkon k dariya bahata hay
,,,,,,,,,,,,,,,,,,jo rukti thamti c dharkan ko
,,,,,,,,,,,,,,,,,,teri yaad ki dwa pilata hay
,,,,,,,,,,,,,,,,,,teri duniya nami mehfil main
,,,,,,,,,,,,,,,,,,chand akhri shair sunata hay
,,,,,,,,,,,,,,,,,,phir gahre gahre rastoon per
,,,,,,,,,,,,,,,,,,use jana hay ,,woh jata hay
tasleem k teri mahfil main
tere naam k ashiq or bohat
tere naam pe jaan lutain jo
teri tasveer k khaliq or bohat
,,,,teri yaad k jaam jo pete hon
,,,zakhm khate hon phir sete hon
,,,liye teri tamanna sene main
,,,kisi aas umeed pe jeete hon
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,yoon samjho un hazaroon main se
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,un beemaron ,lachron main se
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,kisi aik ne tum se poch hay..
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,MERI JAAN -EMAAN KI KASAM TUMHAIN
KAHO,,,,,,,,,,,,,,,KABHI KHAN SA ASHIQ DEKHA HAY?????

_____----------________------
khan banjara''''
aap sab bohat achay hain,,,magar
ALWIDA DOSTOO

musharrafhusain 31st May 2003 10:21 PM

khan
ham to kya achchay hain, aap bohat achchay ho.
nazm bhi aap ne bohat achchi bheji hai.
bilkul , jaisa ke mein ne kaha insha ji kaa andaaz hai.
isi tarah kehte raho.
aap ke lehje ki lagan bataati hai bohat dil se aur inhimaak se likhte ho, go ke yeh bohat mushkil style hai magar lagan sachchi ho to kya ho naheen sakta.
wishing you all the best
musharrafhusain

Sharaabi 1st June 2003 01:35 AM

Khan saahab,
waaqaye bahot khoobsuurat likhaa hai aapne!
nayaa andaaz sahii, par dard wahii hai.. har lafz dil ko chuu gayaa.

"teri dunya nami mehfil main
ham or kuch palon Ko thehre hain
phir jin raston ko jana hay hmain
woh gahre hain bohat hi gahre hain
"
«-- laa-javaab shuruuvaat!

jitnii bhii taareef karuuN gaa, woh mujhko kam lagge gii.. par phir bhii, ik dilkash rachnaa likhne kii mubaaraq-baad qabuul farmaaiiye..

take care,
aman

amrit_sharad 1st June 2003 02:19 AM

dost banjara .... main ne aap ki bahut sari ghazal aur sher dekhne ... par is mainmujhe dard jo dekh raha hai woh auro main shayad nazar nahin aaya maafi chahoga ki main aasa bol raha hoon par sach main aap ki is nazm main jo nasha dard hai mujhe bahut pasand aaya ....
woh KHAN jo tere ishq main kab se
QAIS ki rah main gard hwa
jo dard chupane main MEER bna
biyaan main INSHA ka shagird hwa

ye lines mujhe bahut acchi legii hai dost kya khob likha hai well aur accha likhe main wait karooga ki ap ki aasi koi dard bari nazm ya ghazal jaldi hi aaye ...

aap ka dost

shayri12345 1st June 2003 02:31 AM

hi
 
teri dunya nami mehfil main
ham or kuch palon Ko thehre hain
phir jin raston ko jana hay hmain
woh gahre hain bohat hi gahre hain"

waah kya baat hai
keep writing

Priya

dil_e_sikast 1st June 2003 01:57 PM

,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,yoon samjho un hazaroon main se
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,un beemaron ,lachron main se
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,kisi aik ne tum se poch hay..
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,MERI JAAN -EMAAN KI KASAM TUMHAIN
KAHO,,,,,,,,,,,,,,,KABHI KHAN SA ASHIQ DEKHA HAY?????
wah wah
salam khan sahab...ye to aapne khub kahi.and these lines were also superb

teri tasveer se dhool htane ko
ashkon k dariya bahata hay
woh KHAN jo tere ishq main kab se
QAIS ki rah main gard hwa
jo dard chupane main MEER bna
biyaan main INSHA ka shagird hwa

bahot hi achhe khan sahab. bahot hi dard chhupa kar rakhe hai sine me aur hamse kehte firte hai "abhi mohabbat puri tarah se nahi hui"... hmmm...ab kaise chhupaenge ..batayeeye...aapki najm hi aapki dil ki juban bolti hai
keep writing
sanam

Afshan 2nd June 2003 06:15 PM

Khan bhai.. Apka ye kalaam humne do din pehle paRa tha.. tabse ye soch rahe hain ki iske baare me kya kahen.. kuchh soojhhta hi nahi.. bas, behad pasand aayi hai.. dil me mehsus ki hai is nazm ko.. bohat asar hai isme.. aapne ghazab ka likha hai.. humari tareef gar is nazm ke kaabil ho, to qubool kijiyega..:)

banjara'''' 2nd June 2003 11:38 PM

thanks
 
hi mushara sahab
how r u?
aap jaise kadar danon k k liye koshish karte hain k
kuch acha laikhne ki koshish karain,,aap sarahte hain,,bohat acha lagta hay k is nachiz ki behasil koshish ko kisi ne pasand to kiya..
hamain INSHA sahab ki shayri parh kar jitna sakoon milta hay,,woh ham bata nahin sakte bas yoon hota hay,,k jaise koi hmare dilbetab k taron ko cher raha ho,,phir un k biyan main jo maza hay woh gazab ka hay,,jo dard biyan bhi kar jaye magar methay andaz main..khair aap ne hmari shayri main un ki jhalak dekhi,,hmain yeh jan kar acha laga,,aap isi tarah hosla azai karte rahiye,,
khan banjara''''
-------------________------------
hi aman sahab
how r u?
shukria dost,,aap ne hmare kuch shabdon ko parha,,parh kar saraha,,or hmain shukria ka moqa diya,,shayad isi wajah se ham abhi tak yahan hain,,magar is site k bare main kuch shikayat hoti ja rahi hain hmain,,khair,,woh phir discuss krain gain,,
aap ka bohat shukria..kalam parhne or sarahne ka
khan banjara''''
____________-----------------_________
hi amrit sahab
how r u?
shukria k aap ne yeh kalam parha parh kar sarah
or reply kar k shukria ka moqa diya..aap jaise dost hamain majbor kar dete hain k likhte rahiye,,magar dost is aik dard biyan ko likhne main jitne ansoo girte hain,,jitni aahain nikalti hain,,
jitni yadain satati hain,,woh ham kabhi biyan nahin kar sakte,,ik hasrat hay k kabhi kuch acha likh skain,,jis main in sab ko aik sath biyan kar skain,,aap jaise doston ka sath raha to koshish jari rahe gi..
khan banjara''''

banjara'''' 2nd June 2003 11:51 PM

thanks
 
hi priya g
how r u?
is adna si kawish ko aap ne
pasand kar k hmain shukria ka moka
diaya,,aap nn hosla azai ki ,,us ka bhi
bohat shukria,,
thanks again
khan banjara''''
________---------------_______
hi sana g
how r u?
aap ne kaha tha k ham
bohat lamba kalam likhte hain,,short hona chahiye
to hmain umeed nahin thi k aap is ko mukamal tor par
parhain gi..any way shukria,,aap ne sahi samjha k ham ne
aap se jhot bola tha,,magar hamain malom hay k
ham ne jhot nahin bola tha...khair,,aap ne jis kadar goor se kalam ko parha or phir is kadar achay andaz main reply kiya
ham aap k maskoor hain..umeed karte hain ainda bhi aap
shukria ka moka dain gin..
than ks again
khan banjara''''
_________-------------____________
ji..to ab kuch waqt hamari sweet si sister BANNO k liye
kaisi hain aap sis,,?theek to hain na,,
hmainmaloom hay k aap aaj kal bohat bzy
hain,,phir bhi hamare kalam ne aap ko dosturb kiya
ab sorry kah dete hain ham,,
khair..ham ne koshish ki k kuch acha likhne ki koshish karain,,
magar hamesha acha likhne ki hasrat hi rah jati hay
magar jaisa bhi hota hay,,aap jaise doston ki taree or hosla azai us ko char chand laga dete hain..
ham aap k mashkor hain,,
thanks
khan banjara''''

Afshan 3rd June 2003 11:18 AM

Apse kisne keh diya ke aap achha nahi likh paate.. janaab aapki achha likhne ki hasrat poori tarah shayri ka roop le leti hai!.. yahan maujood har shaqz se poochh li jiye ke Khan Banjara kaisa shayar hai.. jawaaab ek hi hoga..:)

Haan, afsos, zor marra ki zindagi aksar haqeekat se waakif karwa hi deti hai.. lekin shayri ki duniyan me itne saare dost hain, zindagi aasaan ho jaati hai unke khayaal sun kar.. Apse kaii dino se baat nahi hui, maafi chahte hain, magar hum bhale hi baat na karein, apne bhai ko yaad zaroor karte hain!;)

Apna khayal rakhiyega aur muskuraate rahiyega!:)

banjara'''' 4th June 2003 11:34 AM

hi
 
hi banno sis
how r u?
chlain khair aap se kisi tor baat to hui
ham kis se pochain k ham kaisa likhte hain..
aap dostton ne jo mohabbat di hay,,woh hi kai hay
hamare liye,,or phir hamare liye shayri.com ki ahmait is liye bhi hay kiyon k yahan ham ne aap jaise behan ko dhonda hay
itni sweet or itni nice,,magar har koi to aap ki tarah nahin hota
na,,is liye shayri .com per aaj kal jaise log a raehe hain woh
un adab se na unknown hain jo k aik shayri ki mehil main hote hain
khair phir bhi ,,ham ne socha hay k ab yahan sir visit karne hi ayin gain pani shayri post nahin karain gain,,ham jis k liye likhte hain woh to use parh hi nahin sakta,,ab bas boaht bezar ho gaye hain is dard mand dil k haton,,or bardasht nahin hota..
ohh ham dosri tara nikal gaye..
aap ka shukria
yad rakhne ka or dad dene ka
thanks again
khan banjara

Afshan 4th June 2003 12:32 PM

Are janaab! Aise na kahein!.. Apki shayri paRne ka to hume intezaar rehta hai.. agar aap post karna chhod doge to shayri ka kya hoga??!.. Chaliye, theek hai... aap chahte hain ki sirf ACHHI shayri post ho na, to hum shayri chhod dete hain.. aap par humari shayri paRne ka zulm bhi bandh ho jayega!:p.. mazaak kar rahe hain..

Khair, kisi ne humse kaha hai ki shayri shauk nahi, junoon hoti hai.. aur junoon ka saath itni aasaani se nahi chhot ta.. Umeed karte hain ki aap apni behen ki baat maanenge..:)

Apna khayal rakhiyega, aur likhte rahiyega..

shahabuddin 4th June 2003 02:57 PM

Naseeb
 
Nato koi kisi ke kareeb hota hain
Nato koi kisi ka rakeeb hota hain
Yeh to apni apni nazar ka fair (farak) hain
Jo bhi hota hai woh apna apna Naseeb hota hain



Dedaar ki talab rakhta hain to nazrein zamay rakh
hawa sey parda udta zaroor hain

banjara'''' 5th June 2003 12:03 AM

hi
 
dear shahab sahib
how r u?
malom nahin aap ne hmain reply kiya ,,hamari post parhne k bad yah phir apne kuch ashar likhne k bad??ham kuch samajh nahin sake..plz samjhayi ga,,any way thanks
khan banjara''''

banjara'''' 5th June 2003 12:07 AM

hi
 
hi banno sis
are jnab itna israr mat karain k ham se
bardasht nahin ho sake or ham guse main akar
aaj hi koi nayi post kar dalain,,khair ,,jnab ham yahan ayin gain zaror,,or bohat se log hain jin ko parh kar hmain bohat acha lagta hay,,un se batain hon gi,,un ko parhain gain,,replies bhi karain gain,,kiyon itna kai nahin hay kiya,,
khan banjara''''

Afshan 7th June 2003 12:40 PM

hmm.. Khan sahab ka gussa bohat bura hota hai!!:p..LOL!!..

Janaab, apka jab dil kare, tab likho....apki maujoodgi hi kaafi hai..:)..

Apna khayal rakhiyega!


All times are GMT +5.5. The time now is 12:45 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.